40 hadees in hindi urdu

40 Hadees In Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Hadees
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 17, 2019
  • Reading time:16 mins read

Hadees No 1:

Hazrat Abu Shuraih (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Allah ki qasam wah momin nahi ho sakta, Allah ki qasam wah momin nahi ho sakta, Allah ki qasam wah momin nahi ho sakta,” sawal kiya gaya: wah kaun aadmi hai ai allah ke rasool? aap ne farmaya: “Jis ki taklifon se us ka padosi mahfooz na ho”. (Sahih Bukhari: 6016)

Hadees No 2:

Hazrat Noman Bin Basheer (R Z) se riwayat hai, farmate hain ki Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Body me gosht ka ek tukda ya lothra hai, jab wah sahi ho to pura jism sahi rahta hai, aur agar wah kharab ho jaye to pura jism kharab ho jata hai, aur wah Dil hai”. (Sahih Bukhari: 2051, Sahih Muslim: 1599)

Hadees No 3:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, farmate hain ki: ek baar logon ne Rasulullah (S A W) se sawal kia ki: kya hum apne rab ko qayamat ke din dekhen ge? Aap ne un se poochh: “kya tumko chaudhwin (14) raat me chand ko dekhne koyi diqqat hoti hai? ” sahaba ne kaha nahi, aap ne phir un se poochh: “kya tumko badal ke begair suraj ko dekhne me koyi pareshani hoti hai?” sahaba ne kaha nahi, us ke baad aap ne un se farmaya: “isi tarah tum ko qayamat ke din apne rab ko bhi dekhne me koyi pareshani nahi hogi”. (Sahih Bukhari: 7437, Sahih Muslim: 182)

Hadees No 4:

Hazrat Moaz bin Jabal (R Z) kahte hain: Rasulullah (S A W) ne mera hath pakad kar farmaya: “Allah ki qasam ai Muaz mai tum se mohabbat karta hun, aur isi mohabbat ki wajah se mai tum ko wasiyyat karta hun ki: Har Namaz ke baad yah padhna kabhi na bhoolna: ALLAHUMMA AINNI ALA ZIKRIKA, W SHUKRIKA, W HUSNI EBADATIKA,” Yani: ai allah! mujhe apne zikr ki, aur shukr ki, aur achchhi tarah ibadat ki taufeeq de”. (Sunan e Abu Daud: 1522)

Hadees No 5:

Hazrat Asma bint e Umais (R Z) kahti hain: mujh se Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Kya mai tum ko aisi dua na bata dun jis ko tum musibat aur pareshani ke waqt padho? aur wah yah hai: ALLAHU RABBI, LA USHRIKU BIHI SHAIYAN”, yani allah mera rab hai aur mai us ke sath kisi ko shareek nahi krongi. (Sunan e Abu Daud: 1525)

Hadees No 6:

Hazrat Abu Bakr Siddieeq (R Z) ne Rasulullah (S A W) se poochha ki ai allah ke rasool mujhe koyi dua batayen jis ko mai namaz me padhon, to aap (S A W) ne un ko Duaay e Masorah padhne ke liye bataya. (Sahih Bukhari: 834, Sahih Muslim: 2705)

Hadees No 7:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) Rasulullah (S A W) se riwayat karte hain aap ne farmaya: “Munafiq ki 3 alamat ya pahchaan hai: 1 jhoot bole, 2 wada khelafi kare, 3 amanat me khayanat kare”. (Sahih Bukhari: 33, Sahih Muslim: 58)

Hadees No 8:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Momin Bhola bhala nek hota hai, aur Fajir kamina aur makkar hota hai”. (Sunan e Abu Daud: 4790, Sunan e Tirmizi: 1964)

Hadees No 9:

Hazrat Abdullah Bin Amr se riwayat hai kahte hain: Rasulullah (S A W) ne Sood lene aur dene wale dono par lanat farmayi hai. (Sunan e Abu Daud: 3580, Sunan e Tirmizi: 1337)

Hadees No 10:

Hazrat Aisha (R Z) farmati hain: ek baar ek aurat apni 2 chhoti bachchiyon ke sath mere paas kuchh mangne ke liye aayi, us waqt mere paas sirf ek khujoor hi thi, main us aurat ko de dia, us ne us ko half half kar ke apni bachchiyon me bant dia aur chali gayi, Huzoor (S A W) ke aane ke baad mai ne sara qissa bataya, aap ne farmaya: “Jis ke paas bachchiyan hon aur wah un ke sath achchha sulook kare, to yah bachchiyan us ko Jahannam ki aag se bachayen gi”. (Sahih Bukhari: 5993)

Hadees No 11:

Hazrat Abu Burda apne walid se riwayat karte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: 3 logon ke liye double sawab hai: 1 wah Yahodi aur isaayi jo apne Nabi Hazrat Musa (A S) ya Hazrat Isaa (A S) par imaan laya, phir wah hamare Nabi Hazrat Mohammad (S A W) par imaan laye, 2 aisa aadmi jo apni job ko puri imaandari se kare, aur sath sath allah tala ke haq ko bhi pura pura ada kare, 3 aisa aadmi jo apni nokrani ko achchhi tarah se taleem o tarbiyat de phir us ko aadaz kar ke us ki shadi kar de”. (Sahih Bukhari: 97, Sahih Muslim: 154)

Hadees No 12:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “2 kalme hain jo zaban par halke phulke hain, lekin tarazoo me un ka weight bahut zada hai, aur allah tala ko bahut pasand hain, aur wah kame yah hain: SUBHANALLAHI W BI HAMDIHI, SUBHANALLAHIL AZEEM”. (Sahih Bukhari: 6682, Sahih Muslim: 2694)

Hadees No 13:

Hazrat Abdullah Bin amr se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Raham karne walon par alllah raham karta hai, Tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kare ga”. (Sunan e Abu Daud: 4941, Sunan e Tirmizi: 1924)

Hadees No 14:

Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki: mai ne Rasulullah (S A W) ko farmate huye suna hai, aap ne farmaya: Us aadmi ko imaan ki mithaas mil jaye gi Jo allah tala ko apna rab, aur Mazhab e Islam ko apna deen, aur Mohammad (S A W) apna rasool maan ne par razi ho jaye”. (Sahih Muslim: 34)

Hadees No 15:

Hazrat Abdullah Bin Amr (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki: Rasulullah (S A W) farmate the: “Tum me sab se achchha wah hai jis ki bool baat sab se achchhi ho”. (Sahih Bukhari: 6035, Sahih Muslim: 2321)

Hadees No 16:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “imaan 70 se zada parts hain, aur haya yani pakdamni imaan ka bahut hi important part hai”.  (Sahih Bukhari: 9, Sahih Muslim: 35)

Hadees No 17:

Hazrat Anas (R Z) se riwayat hai, kahte hain: Rasulullah ne irshad farmaya:” Tum me se koyi us waqt tak full imaan wala nahi ho sakta jab tak apne bhai ke liye wah cheez na pasand kare jo apne kiye pasand karta ho”. (Sahih Bukhari: 9, Sahih Muslim: 35)

Hadees No 18:

Hazrat Abdullah Bin Masuood (R Z) kahte hain mai ne Rasulullah (S A W) ko farmate huye suna aap farma rahe the: “Hasad ya jalan 2 logon se sahi hai, 1 aise aadmi ke bare jis ko allah tala ne bahut maal o daulat dia ho aur wah us ko sahi jagah use karta ho, 2 jis ko allah ne ilm ki daulat dia ho aur wah us ke zariye se faisla karta ho aur logon ko sikhata bhi ho”. (Sahih Bukhari: 1409, Sahih Muslim: 816)

Hadees No 19:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) kahte hain: Rasulullah ne ek baar Sahaba se poochha: “kya tum jante ho ki gheebat kya hai?”, sahaba ne jawab dia ki allah aur us rasool zada jante hain, app ne farmaya: “gheebat yah hai ki tum apne bhai ki koyi aisi baat dosron se bataoo jis se us ko takleef ho, agar wah burayi tumhare bhai me ho to wah geebat hai, aur agar wah burayi tumhare bhai me na to mamla aur bhi zada khatarnak ho jaye ga, us ko tohmat ya buhtaan kahte hain”. (Sahih Muslim: 2589)

Hadees No 20:

Hazrat Abdullah Bin Masuood (R Z) kahte hain  Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Musalman ko gali dena bahut buri baat hai, aur us ko qatal karna kufr hai”. (Sahih Bukhari: 6035, Sahih Muslim: 2321)

Hadees No 21:

Hazrat Abu Sayeed Khudri (R Z) kahte hain mai ne Rasulullah (S A W) ko kahte huye suna hai: “Tum me koyi agar kisi jagah par galat kaam hote hoye dekhe to apne hath se rook de, agar hath rokne ki taqat na ho to zaban se roke,aur agar zaban se bhi rokne ki taqat na ho kam se kam dil se us kaam ko galat samjhe,yah imaan ka sab se kam darja hai”. (Sahih Muslim: 49)

Hadees No 22:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Allah tala tumhare face ya chehron aur tumhare maal ko nahi dekhta, balki wah tumhare, dil ki niyat aur tumhare kaam ko dekhta hai”. (Sahih Muslim: 2564)

Hadees No 23:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai,kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jahannam ko shahwat wali cheezon se gher dia gaya hai, aur Jannat ko takleef wali cheezon se gher dia gaya hai”. (Sahih Bukhari: 6035, Sahih Muslim: 2321)

Hadees No 24:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Dunya Momin ke kiye jail ki tarah hai, aur kafir ke liye jannat ki tarah hai”. (Sahih Muslim: 2956)

Hadees No 25:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai,kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya:”Tum Jannat me us waqt tak entry nahi kar sakte jab tak tum full imaan wale na ho jaoo, aur tum full imaan wale us waqt tak nahi ban sakte jab tak tum ek dosre se Mohabbat na karne lago, kya mai tum aisi cheez na bata don jis se tum ek dosre se mohabbat karne kago? Jab bhi tum ek dosre se milo to salam karo”. (Sahih Muslim: 54)

Hadees No 26:

Hazrat abdullah Bin Amr (R Z) Nabi Kareem (S A W) se riwayat karte hain, aap ne famaya: Sahi Mano me musalman wah hai jis ke hath aur pair se musalman mahfooz hon, (Yani wah kisi ko takleef na pahonchaye) aur real me Muhajir wah hai jo us cheez ko chhor de jis se allah ne mana kia hai”. (Sahih Bukhari: 10)

Hadees No 27:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai,kahte hain ki: mai ne rasulullah (S A W) ko farmate huye suna hai: “ek musalman ka dosre musalman par 5 haq hain: 1 salam ka jawab dena, 2 mareez ki mizaj pursi karna,3  Janaze ke peechhe chalna, 4 dawat ko qabool karna,5  chhkne wale ke jawab me “YARKAMUKAL LLAH” kahna”. (Sahih Bukhari: 1240, Sahih Muslim: 2162)

Hadees No 28:

Hazrat Abdullah Bin Amr (R Z) rasulullah (S A W) se riwayat karte hain, aap ne famaya: Dunya saman ka naam hai, aur dunya ka sab se behtareen saman nek wife hai”. (Sahih Muslim: 1467)

Hadees No 29:

Hazrat Abdullah Bin Abbas (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Allah ki 2 bahut important nemat ya gift hai jis se aksar log dhoka kha jate hain: 1 health, 2 free timing “. (log yah samajhte hain always yah dono cheezen rahen gi jab ki waqt ke sath sath dono khatam ho jahi hain) (Sahih Bukhari: 6412)

Hadees No 30:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: allah tala farmate hain: Mai ne apne nek bandon ke liye aisi cheez tayyar kar rakhkhi hai, jis ko abhi tak kisi aankh ne nahi dekha ha, aur na hi kisi kaan ne suna hai, aur hi kisi ke dil me us ka khayaal aaya hai kiwah cheez kaisi hai? agar tum free ho to Quran ki yah aayat padho: FALA TALAMU MA IKHFIA LAHUM MINQURRATI AAUN”. (yani kisi aadmi ko yah bilkul knowledge nahi jo allah ke nek bandon ki aankhon thandak pahochanne ke liye chhupa kar rakhhi gayi hai)  (Sahih Bukhari: 3244, Sahih Muslim: 2824)

Hadees No 31:

Hazrat Abu Hurairah aur Hazrat Abu Sayeed Khudri (R Z) Rasulullah (S A W) se riwayat karte hain aap ne farmaya: “Jo log allah ka zikr karte hain Allah ke farishte aur allah ki rahmat un ko dhanp lete hain, un par sakinat nazil hoti hain,aur allah tala apne farishton me un ka zikr e khair karta hai”. (Sahih Muslim: 2700)

Hadees No 32:

Hazrat Abu Moosa (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: Jo banda apne rab ko yaad karta hai, us ki misaal us aadmi ki tarah hai jo Zinda ho, aur jo apne rab ko yaad nahi karta wah us aadmi ki tarah hai jo mar chuka ho”. (Sahih Bukhari: 6404)

Hadees No 33:

Hazrat Usman Bin Affan (R Z) se riwayat hai kahte hain: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jab koyi banda achchhi tarah se wazu karta hai to us ke gunaah us ke jism se nikal jate hain yahan tak ki us ke nail ya nakhoon ke niche se bhi nikalte hain”. (Sahih Mislim: 245)

Hadees No 34:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jab koyi so kar uthe to begair apne hath ko 3 baar wash kiye huye pani ke bartan me hath na dale, kyun ki pata nahi sone ki halat me us ka hath kahan kahan gaya hai”. (Sahih Bukhari: 162, Sahih Muslim: 278)

Hadees No 35:

Hazrat Abdullah Bin Umar (R Z) kahte hain: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Kane pine me Right hand use karo, kyun ki Shaitaan left hand se khata peeta hai”. (Sahih Muslim: 2020)

Hadees No 36:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Nabi Kareem (S A W) ne farmaya: kisi aurat se 4 cheezon ki wajah se shadi ki jati hai: 1 us ke maal o daulat ki wajah se, 2 us ke bade khandan ki wajah se, 3 us ki khobsurti ki wajah se, 4 nek sirat ya dindari ki wajah se, ai Abu Hurairah! tum dindar aurat se shadi karo isi me tumhari kamyabi hai”. (Sahih Bukhari: 5090, Sahih Muslim: 1466)

Hadees No 37:

Hazrat Abdullah Bin Masuood (R Z)  kahte hain:Nabi Kareem (S A W) aksar yah dua padhte the: “ALLAHUMMA INNI ASALUKAL HUDA, WTTUQA, WAL AFAFA, WAL GHINA”. (Sahih Muslim: 2721)

Hadees No 38:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, kahte hain: Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Insan ke marne ke baad us ke nek amal ka silsila band ho jata hai, magar 3 cheezon se us ki neki continue rahti hai: 1 aisa kaam karke dunya se jaye jis se log fayda uthayen, 2 us ki knowledge se (books ya students ki shakal me) jin se logon ko fayda ho, 3 nek aulad chhor jaye jo us ke liye dua karte rahen”. (Sahih Muslim: 1631)

Hadees No 39:

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Agar meri ummat ko yah baat pareshani wali na hoti to mai unko har namaz ke liye miswak ka hukm deta”. (Sahih Bukhari:887 , Sahih Muslim: 252)

Hadees No 40:

Hazrat Aisha (R Z) se riwayat hai, Huzoor (S A W) ne farmaya: “Jo Aadmi hamare deen se related kisi aisi baat ka dawa kare jo hamare deen me nahi hai to wah baat usi ke face par maar di jaye gi”. (Sahih Bukhari:2697 , Sahih Muslim: 1718)

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply