Ashura Ka Roza

10 Muharram Ka Roza, Ashura Ka Roza, Aur Fazilat

  • Post author:
  • Post category:Islamic
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:August 7, 2022
  • Reading time:6 mins read

Saal ke kuchh din aise hai jin ki fazilat bahut hoti hai un me ibadat ka sawab dosre days ke muqabale me zada ho jata hai, un days me se ek day ashura ka ka bhi hai, to aayen hum jaan ne ki koshish karen ki ashura kya hai? aur us ki fazilat kya hai? aur us ka roza kaisa hai?

Yaum e Ashura Ya Ashura Ka Din

Arabic month ke first month yani Muharram ki 10 date ko Ashura ka din kahte hain, yah wahi tarikhi din hai jis me allah ke nabi hazrat Musa (A S) apni qaum Bani Israel ko Firaun ke Zulm o Sitam ki wajah se lekar chale gaye the, aur jis waqt wah samandar ke kinare pahonche allah tala ki taraf se wahi aayi: “ai Musa apne Asa (chhadi, Stick) ko pani par maro, pani me raasta ban jaye ga”, Musa (A S) ne aisa hi kia, aur pani me raasta ban gaya, aur wah aur unki qaum samandar ko aasani se paar kar gayi, aur jab firaun aur uski fauj samandar ko paar karne lagi to allah ne pani ko hukm dia ki wah usi tarah ho jaye jaise tha, raasta phir se pani me change gaya, firaun aur uski fauj pani doob gayi, firaun death body aaj bhi misr ke museum me rakhkhi huyi hai, aur logon ke kiye ibrat aur sabaq seekhne ka sabab hai.

Ashure Ki Fazilat

Isi tarikhi din ki wajah se jis me allah tala ne hazrat Musa ko firaun se nijat dia aap aur aap ki qaum bani Israel roza rakhti thi, aur wah sab is din khushi manate the, hamare hazrat mohammad (S A W) ki paidayish se pahle aur aap ki paidayish ke baad bhi makkah wale bhi is din roza rakhte the.

Huzoor (S A W) jab hijrat kar ke madinah gaye to wahan ke Yahoodi logon ko dekha ki wah bhi ashura ke din roza rakhte the, aap ne un se is ke bare me poochha to un logon ne bataya: is din allah ne Musa (A S) ki madad ki thi, aur firaun aur us ke lashkar ko duba dia tha, is din ki khushi me hum sab roza rakhta hain, Aap (S A W) ne farmaya: in yahood se zada to hum Musa (A S) ko maan ne wale hain, chunanche us din aap ne khud roza rakhkha aur sahaba ko bhi roza rakhne ke liye kaha.  (Sahih Bukhari: 2004)

Kya Ashure Ka Roza Farz Hai?

Ramazan ka roza  farz hone se pahle ashura ka roza farz aur zaruri tha, lekin jab ramazan ka roza farz ho gaya to ashura ke roze ki farziyat khatam ho gayi, ab ashura ka roza Sunnat hai, yahi riwayton se maloom hota hai, ek riwayat me aaya hai:

عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: «كَانَ يَوْمُ عَاشُورَاءَ تَصُومُهُ قُرَيْشٌ فِي الجَاهِلِيَّةِ، وَكَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَصُومُهُ، فَلَمَّا قَدِمَ المَدِينَةَ صَامَهُ، وَأَمَرَ بِصِيَامِهِ، فَلَمَّا فُرِضَ رَمَضَانُ تَرَكَ يَوْمَ عَاشُورَاءَ، فَمَنْ شَاءَ صَامَهُ، وَمَنْ شَاءَ تَرَكَهُ». (صحيح البخاري: 2002)

Translation: Hazrat Aisha (R Z) se riwayat hai kahti hain: “zamana Jahiliyat me Qabilah Quraish ke log ashura ke din roza rakhte the, aur rasulullah (S A W) bhi us din roza rakhte the, jab aap madinah tashreef laye aur ramazan ka roza farz hua to ashura ki farziyat khatam ho gayi, ab jis ka dil chahe is din roza rakhkhe, jis ka dil chahe na rakhkhe”. (Sahih Bukhari: 2002)

Muharram Ke Roze Ki Fazilat

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، قَالَ: «مَا رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَتَحَرَّى صِيَامَ يَوْمٍ فَضَّلَهُ عَلَى غَيْرِهِ إِلَّا هَذَا اليَوْمَ، يَوْمَ عَاشُورَاءَ، وَهَذَا الشَّهْرَ يَعْنِي شَهْرَ رَمَضَانَ». (صحيح البخاري: 2006)

Translation: Hazrat Ibn e Abbas (R Z) kahte hain mai ne nabi kareem (S A W) ko jitna ashura aur ramazan ke rozon ka ehtimam karte huye dekha utna kisi aur roze ke bare me nahi dekha. (Sahih Bukhari: 2006)

عَنْ أَبِي قَتَادَةَ: سَأَلَ رَجُلٌ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ صَومِ يَومِ  عَاشُورَاءَ فَأَجَابَهُ: “صِيَامُ يَوْمِ عَاشُورَاءَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَه”. (صحيح مسلم: 1162)

Translation: Hazrat Abu Qatadah se riwayat hai: ek aadmi Nabi Kareem (S A W) se ashura ke roze ke bare me sawal kia ki is ki kya fazilat hai? aap ne us ko jawab dia: “Mai allah ki zat se ummid rakhta hun ki wah ashura ke roze ki wajah pichhle ek saal ke chhote chhote gunaah maaf kar de”. (Sahih Muslim: 1162)

Hadees Ka Malab: Hadees se yah saaf maloom hota hai ki jitna sawaab Ramzan ke roze se milta hai utna hi sawaab 10 Muharram ke roze se bhi mile ga, aap ko maloom hona chahiye ki ramzan me ek Farz ka sawaab 70 farz ke barabar milta hai, to hum allah ki zaat se yahi ummid karte hain ki hame 10 muharram ke roze ka sawaab 70 rozon ke barabar mile ga, is liye hum sab ko is din ka roza rakhna chahiye, aur allah ki zaat se sawaab ki ummid rakhna chahiye, wah ham ko us ka pura pura badla zaruru de ga, kyun ki hadees me 10 muharram ke roze ko ramzan ke roze ki tarah bataya gaya hai.

Kya Sirf Ashure Hi Ke Din Roza Rakhna Chahiye?

Sunnat Tarika yah hai ki ashura ke ek din pahle ya ek din baad me roza rakhkhe, is me yahudiyon ki mukhalafat bhi ho jaye gi, aur sath sath Muslim Shareef ki us riwayat par amal bhi ho jaye jis me aap (S A W) ne farmaya hai: “Agar mai agle saal zinda raha to 9 Muharram ko bhi roza rakhkhon ga”. (Sahih Muslim: 1134)

Allamah Hafiz Ibn e Qayyim (R A) apni book “Zadul Maad” (2/72) me likhte hain:

فَمَرَاتِبُ صَوْمِهِ ثَلَاثَةٌ أَكْمَلُهَا: أَنْ يُصَامَ قَبْلَهُ يَوْمٌ وَبَعْدَهُ يَوْمٌ، وَيَلِي ذَلِكَ أَنْ يُصَامَ التَّاسِعُ وَالْعَاشِرُ وَعَلَيْهِ أَكْثَرُ الْأَحَادِيثِ، وَيَلِي ذَلِكَ إِفْرَادُ الْعَاشِرِ وَحْدَهُ بِالصَّوْمِ. (زاد العاد: 2/72)

Translation:  Ashura ka roza 3 tarah se rakh sakte hain:

(1) 9, 10, 11, 3 days rakhkha jaye, yahi sab se behtar aur complete tarika hai.

(2) 9 aur 10 ko rakhkha jaye, yah tarika aksar hadison me aaya hai.

(3) sirf 10 tareekh ko rakhkha jaye, yah bhi sahi hai.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply