Aaytul-Kursi

Ayatul Kursi Tarjuma and Translation in Roman Hindi

Ayatul Kursi in Arabic  Translation in Roman Hindi

اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ

Allah ke siwa koyi ibadat ke layeq nahi, zinda hai, (jis ko maut nahi aa sakti,

لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ

Na us ko ungh daba sakti hai na nid.

لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ

Usi ka hai jo kuchh aasmanon aur zameen me hai.

مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ

Aisa kaun hai jo us ke paas kisi ki sifarish kare us ki permission ke begair.

يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ

Wah in logon ke aage pichhe ke tamam halaat ko janta hai,

وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ

Insan aur tamam makhlooq allah ke knowledge ka ihata nahi kar sakte magar jitna allah chahe,

وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ

Us ki kursi itni badi hai ki us ne sab aasmano aur zameen ko apne andar liye hoye hai.

وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ} [البقرة: 255]

Aur allah tala ko in dono (aasmano aur zameen) ki hifazat geran aur bhari nahi lagti.

 

Explaination: Yah aayet quran ki baut badi aayet hai, is me allah tala ki tauheed ka bayan hai, jis me allah tala ka maujood hona, zinda hona, sun ne aur dekhne wala hona, us ka hamesha baqi rahna, wagaira bataya gaya hai,

Aytul Kursi ki Fazailat

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ وَكَّلَنِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِحِفْظِ زَكَاةِ رَمَضَانَ فَأَتَانِي آتٍ فَجَعَلَ يَحْثُو مِنَ الطَّعَامِ فَأَخَذْتُهُ، فَقُلْتُ لَأَرْفَعَنَّكَ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – فَذَكَرَ الحَدِيثَ -، فَقَالَ: إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشِكَ فَاقْرَأْ آيَةَ الكُرْسِيِّ، لَنْ يَزَالَ عَلَيْكَ مِنَ اللَّهِ حَافِظٌ، وَلاَ يَقْرَبُكَ شَيْطَانٌ حَتَّى تُصْبِحَ، فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ «صَدَقَكَ وَهُوَ كَذُوبٌ ذَاكَ شَيْطَانٌ» رواه البخاري في صحيحه: 3275  

Translaton: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki: ek bar Rasulullah (S A W) ne mujh ko Ramazan ki zakat ki hifazat ke kaam me lagaya tha, isi dauran ek aadmi aaya aur khane ko bharne laga, mai ne us ko pakar liya, aur  kaha: mai tumhari shikayat Rarulullah (S A W) se karunga , us ne kaha: tum mujhe chhor do mai tum ko ek kaam ki baat batata hun, aur wah yah hai ki: jab tum sone lago to aytul kursi padh kar so jaao, allah tumhari barabar hifazat kare ga , subah tak shaitaan tumhare pass nahi aaye ga. Abu Hurairah kahte hain ki: yah sara kissah mai ne aap (S A W) ko bataya to aap (S A W) ne farmaya: “wah jhoota shaitan tha jo tum se sachchi baat kah gaya “. Bukhari Shareef Hadees No: 3275

 

Aaytul kursi in Arabic

Aytul Kursi Roman Hindi Me

Allahu layi laha illa hual hayyul qayyum. La ta khuzuhu sinatun wla naum. Lahu ma fissamawaati w ma fil arz. Man zal lazi yashfau indahu illa biyiznihi, yaalamu ma baina aidihim wama khalfahum. Wla uhitoona bishaiyim min ilmihi illa bima sha aa. wasia kursiyyuhus samawaati wal arz, wa la yauoduhu hifzuhuma wahuwal aliyyul azaim.

आयतुल कुर्सी हिन्दी में

अल्लाहु ला इलाहा इल्ला हुवल हय्युल क़य्युऊम। ला ताखुजुहु सिनतुन वला नौम. लहू मा फिस्समावाती वमा फिल अरज़ि। मन ज़ल लज़ी यशफउ इन्दहु इल्ला बिइज़्निही। यालमु मा बैना ऐदीहिम् वमा खलफहुम। वला युहीतूना बिशैयिम मिन इल्मिही इल्ला बिमा शाआ. वसिआ कुरसिययुहुस समावाती वल अर्ज़ा। वला ययुदुहु हिफ्जुहुमा वहुवल अलिय्युल अज़ीम।

Aaytul Kursi Hindi Me

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 8 Comments

    1. Online Islam

      Online islam aap ka bahut bahut shukria ada karta ki aap ne ek aham cheez ki taraf wajjuh dilayi, hum to yahi chahte hain ki hamare visitor hamen comment me likh kar batayen ki un ko kis masle ki zarurat hai, aur phir hum us ke bare me aap ko sahi jankari den.

  1. mohammed rafiq

    Add me on your website

  2. Md Sabir Hussain

    Thank you for giving me a useful knowledge. It will help me in the namaz to better understand that what I’m saying during tashood.

  3. Munsaf Ansari

    Mai din islam ke bare sikhna chahta hun ap log mujhe bataey mai kaise sikh sakta hun

    1. Online Islam

      Ma sha allah Bahut khushi ki baat hai ki din e islam ke bare me aap ko interest hai, i think is website me din e islam ke bare me bahut kuchh hai, Han alag se agar aap ko kokuchh poochhna ho to aap hum ko email ya comments send kar sakte hain.

    2. Syed imran

      As salam alikum Bhai yea jo arabic ma likha so hai ayatul Kursi isa Roman English ma bato na

      1. Online Islam

        wahan matlab likha hai

Leave a Reply