Hadees Pak

Hadees Pak In Hindi, Urdu

  • Post author:
  • Post category:Hadees
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:October 18, 2018
  • Reading time:7 mins read

Ek Gunaahgar Bande Ke Liye Jannat Ka Faisla

Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai kahte hain Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Ek aadmi ne apne uper bahut zulm kia, allah tala ki nafarmani me puri life guzaar dia, aur jab us ke marne ka time aaya, to apne beton ko bula kar wasiyat ki: ai beto! mere marne ke baad meri laash ko jala kar us ki kuchh raakh ko samandar me daal dena, aur kuchh ko hawa me ura dena, taki mere naam o nishaan khatam ho jaye, aur mai hisaab o kitaab ke liye dobara zinda na kia jaaon, kyun ki tum sab bhi jante ho ki mai ne allah ki kitni nafarmani ki hai, kbhi bhi us ke order ko nahi mana hai, ab mujhe bahut dar lag raha hai, agar mai dobara zinda kia jaoon ga aur allah tala ne mujhe pakad lia to wah mujhe aisi saza dega, jo dunya jahan me kisi ko na dega,

jab wah aadmi mar gaya to us ke beton ne, us ki wasiyat par amal karte huye us ki raakh ko hawa me uda dia, aur samandar me baha dia,

us ke baad allah ke order par us aadmi ke body ke parts phir se us ke body me aa kar joined ho gaye, aur wah aadmi phir se zinda kia gaya, phir us se poochha gaya ki tu ne aisa kyun kia? us aadmi ne jawab dia ki: ai mere malik tu achchhi tarah janta hai ki yah sab mai ne tere dar ki wajah se kia tha”,

Huzoor (S A W) ne yah qissa batane ke baad kaha: “allah tala ne us bande ko maaf kar dia, aur us ki bakhshish ka faisla suna dia”. (Sahih Bukhari: 3481, Sahih Muslim: 2756)

Allah Ke Dar Aur Khauf Ki Wajah Se Sahaba Ki Halat

      Hazrat Hanzala bin Rabi Usaidi (R Z) se riwayat hai, kahte hain: ek baar Hazrat Abu Bakr Siddiq (R Z) mujh se milne aaye, aur mera haal chaal poochha, mai ne jawab dia: mai aap ko kya bataun mai to Munafiq[1] ho gaya hai, Hazrat Abu Bakr ke kaha: Are Hanzala! yah kya kah rahe ho, mai ne kaha actually baat yah hai ki jab hun Rasulullah (S A W) ke paas hote hain, aur aap (S A W) hum se Jannat aur Jahannam ka zikr kar ke hum ko nasihat karte hain to to hum ko aisa feel hota hai ki Jannat aur Jahannam hamari aankhon ke samne hai, lekin jab hum apne home par return hote hain aur apne works busy ho jate hain to hamari feeling khatam ho jati hai.

Hazrat Abu Bakr ne sun kar farmaya: bahi is tarah ki halat to hamari bhi hai.

Us ke baad Hazrat Abu Bakr aur Hazrat Hanzala Huzoor (S A W) ke paas pahonche, aur Hazrat Hanzala ne aap (S A W) se wahi baat kahi jo Hazrat Abu Bakr se kahi thi, un ki baat sun kar Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Qasam hai us zaat ki jis ke qabze me meri jaan hai, agar always tumhari wah halat ho rahe jo mere paas aa kar hoti hai aur tum anytime tum allah ke zikr me busy raho, to allah ke farishte tumhare bed par aur raaston me tum se mulaqaat karen ge, lekin ai Hanzala! allah ne tum ko yah order nahi dia hai ki tum anyway and any time allah ki yaad me busy raho, aur hamesha tumhari wahi feeling rahe jo mere paas aa kar hoti hai, jitni feeling hai bas utna kafi hai”.  (Sahih Muslim: 2750) 

Islam Lane Ke Baad Pichhle Sare Gunaah Maaf Ho Jate Hain

Hazrat Amr Bin Aas (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki jab mere dil me allah tala ne islam lane ka khayal dala to main Nabi Kareem (S A W) ki paas aaya, aur aap se kahne laga: apna hath badhyiye main aap se baiat karna chahta hun yani musalman hona chahta hun, aap (S A W) ne apna right hand badha dia, us ke baad fauran mai ne apna hath kheench lia, aap (S A W) ne farmaya: “tum ne apna hath kyun kheench lia?”, mai kaha meri ek shart hai, aap (S A W) ne farmaya: “kya shart hai?”, mai ne kaha shart yah hai ki mere gunaahon ko maaf kar dia jaye.

 

Huzoor (S A W) ne farmaya: “ai Amr! kya tum ko maloom nahi hai ki islam lana pichhle tamam gunaahon ko dha deta hai, aur allah ke raaste me hijrat bhi pichhle tamam guunaahon ko khatam kar deti hai, aur hajj bhi pichhle sare gunaahon ko finish kar deta hai”. [Shahi Muslim: 121] 

Qabar Me Marne Wale Se Sawal O Jawab

Hazrat Anas (R Z) se riwayat hai, kahte hain: Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Marne wale ko jab us ki qabar me dafan kar dia jata hai, aur us ke friend aur rishtedar return ho jate hain, us ke fauran baad 2 frishte, aate hain, murde ko baitha kar us se sawal karten hain ki: tum Hazrat Mohammad (S A W) ke related kya kahte ho? agar marne wala musalman hota hai to fauran jawab de deta hai ki: Mohamamd (S A W) allah ke bande aur us ke rasool hain,” us admi ke jawab se parishte khush hote hain, aur us se kahte hain: zara us taraf dekho wah dozakh aur jahannam hai, agar tum momin na hite to wahi tumhari jagah hoti, lekin us ke badle me allah ne tumhare liye jannat me ek jagah de di hai, zara us ko bhi dekh lo, (us time Jannat aur Jahannam us aadmi ke samne kar di jaye gi) marne wala un dono ko ek sath dekhe ga, aur allah ka shukr ada kare ga ki allah ne mujhe jahannam se bacha lia.

 

Agar marne wala Munafiq ya kafir hoga to us se bhi Huzoor (S A W) ke bare me sawal kia jaye ga, magar wah kahe ga ki: mai Hazrat Mohammad (S A W) ke bare kuchh nahi janta, dosre log jo kaha karte the mai bhi wahi kahta tha.

 

Us ke jawab par farishte us se kahen ge: tu ne na to khud jana, aur na jaan kar imaan lane walon ki pairwi ki, us ke baad lohe ke gurzon se us ko mara jaye ga wah zoor se cheekhe ga, us ki is cheekh insan aur jinnat ke elawa us ke aas paas ki sari makhlooq sune gi”. [Sahih Bukhari: 1374, Sahih Muslim: 280]


[1] Munafiq: us aadmi ko kahte hain jis ke dil me kuchh ho aur zaban par kuchh: Zaban se to muslaman hone ka dawa kare lekin dil se wah kafir ho.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply