witr-ki-namaz

How To Pray 3 Witr? Or Witr ki Namaz in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:2 Comments
  • Post last modified:April 2, 2020
  • Reading time:8 mins read

Witr Ki Meaning

Witr ke many khali ya taaq, yani jis ko koyi joda na ho, aksar namazen 2, 2 rakat ki hoti hain, aur witr ki namaz 3 rakat ki hoti hai, is hisab se wah khali hai, isi leye us ko witr kahte hain.

Namaz  e Witr Ki Fazilat

عَنْ خَارِجَةَ بْنِ حُذَافَةَ، أَنَّهُ قَالَ: خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: ” إِنَّ اللَّهَ أَمَدَّكُمْ بِصَلَاةٍ هِيَ خَيْرٌ لَكُمْ مِنْ حُمْرِ النَّعَمِ: الوِتْرُ، جَعَلَهُ اللَّهُ لَكُمْ فِيمَا بَيْنَ صَلَاةِ العِشَاءِ إِلَى أَنْ يَطْلُعَ الفَجْرُ ” رواه الترمذي في سننه (452)

Translation:  Hazrat Kharija Bin Huzafa kahte hain ki: ek baar Rasulullah (S A W) hamare paas tashreef laaye aur farmaya: “Be shak allah tala ne tum par ek aisi Namaz ka izafa kiya hai jo tumhare liye surkh unton se bhi jyada behtar hai, aur yah witr ki namaz hai jis ka waqt isha aur fajr ke darmiyan hai”. (tirmizi shareef Hadees No: 452)

Hadees Ka Matlab: Arab country me surkh ya red colour ka uoont bahut zada qimat wala hota tha, log us ko bahari se bahri qeemat de kar khareed lete the, is hadees me yah bataya gaya hai ki witr ki namaz to surkh uoonton se bhi zada qeemat wali hai, is ko kisi bhi qeemat par nahi chhodna chahiye.

Witr Ki Namaz Wajib Hai

Witr ki namaz padhna har musalman par zaruri hai, chahe wah mard ho ya aurat, yani us ka ada karna farz hai, agar wah chhoot jaye to us ki qaza zaruri hai.

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: “الْوِتْرُ حَقٌّ، فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا، الْوِتْرُ حَقٌّ، فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا، الْوِتْرُ حَقٌّ، فَمَنْ لَمْ يُوتِرْ فَلَيْسَ مِنَّا”. سنن أبي داود (1419)

Translation:  Abdullah bin Burida apne walid se riwayat karte hain unhon ne kaha ki: mai ne Rasulullah (S A W) ko farmate huye suna hai ki: “Witr haq hai, jo witr na padhe wah hum me se nahi hai”. (Abudaud Hadees No: 1419)

Matlab: is hadees me witr ko Haq kaha gaya hai, us ki meaning yah hai ki us ko ada karna zaruri hai, Isi tarah witr ke bare me aur dosri hadisen bhi hain jin se pata chalta hai ki witr ka ada karna  farz aur zaruri hai.

Witr Ki Namaz Ka Waqt

Wirt ki namaz ka waqt Isha ki Farz Namaz ke baad start hota hai, Isha ki farz se pahle witr padhna sahi nahi hai. aur us ka ending time subah sadiq tak hai.

Namaz e Witr Padhne Ka Tarika Aur Us Ki Rakaten

  1. Witr ki namaz me total 3 rakats hain, sab se pahle 3 rakat ki niyat kare.
  2. Pahli rakat me Alhamdu ke baad koyi surat padh kar ruku sajda kar ke dosri rakat ke liye khada ho jaye.
  3. Dosri rakat me bhi alhamdu ke baad koyi surat padh kar koyi surat padh kar  Qada Ula kare, phir “Attahiyat” padh kar tisri rakat ke liye khara ho jaye.
  4. Tisri rakat me alhamdu aur surat padh kar ruku me jane se pahle, Allahu Akbar” kahte huye dono hathon ko kano tak uthaye, phir hath bandh kar “Duaye Qunoot” padhe jo is tarah hai:

اللهُمَّ إِنَّا نَسْتَعِينُكَ وَنَسْتَغْفِرُكَ، وَنؤمِنُ بِكَ وَ نَتَوكَّلُ عَلَيكَ  وَنُثْنِي عَلَيْكَ الْخَيْر وَنَشْكُرُكَ وَلَا نَكْفُرُكَ وَنَخْلَعُ وَنَتْرُكُ مَنْ يَفْجُرُكَ اللهُمَّ إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَلَكَ نُصَلِّي , وَنَسْجُدُ وَإِلَيْكَ نَسْعَى وَنَحْفِدُ ونَرْجُو رَحْمَتَكَ وَنَخْشَى عَذَابَكَ إِنَّ عَذَابَكَ بِالْكُفَّارِ مُلْحِقٌ. رواه عبد الرزاق في مصنفه (4978)، والبيهقي في سننه (3144)

 

Duaaye Qunoot

Dua e Qunoot Roman

ALLAHUMMA INNA NASTAYEENUKA W NASTAGHFIRUKA W NUMINU BIKA, W NATAWAKKALU ALIKA W NUSNI ALIKAL KHAIR, W NASHKURUKA WALA NAKFURUKA, W NAKHLAU W NATRUKU MAY YAFJURUKA, ALLAHUMMA IYYAKA NABUDU W LAKA NUSALLI, W NASJUDU, W ILAIKA NAS’AA, W NAHFIDU W NARJU RAHMATAKA, W NAKHSHA AZABAKA, INNA AZABAKA BIL KUFFARI MULHIQ.  (Musannaf Abdur Razzaq Hadees No: 4978, AL Sunanul Kubra: Hadees No: 3144)

Dua e Qunoot In Hindi

अल्लाहुम्मा इन्ना नस्तयिनुका वनसतगफिरुका वनुमिनुबिका वनतवक्कालू अलैका वनुस्नी अलैकल खैर, वनश्कुरुका वला नक्फुरुका वनख्लऊ वनतरुकू मैंयफजुरुका, अल्लाहुम्मा इय्याका नाबुदु, वलका नुसल्ली, वनस्जूदू वइलैका नसआ, वनह्फिदु वनर्जू रह्मताका, वनख्शा अज़ाबका, इन्ना अज़ाबका बिलकुफ्फारी मुल्हिक.

Us ke baad Allahu Akbar kahte huye “Ruku” “Sajda” aur “Qada Akhira” karke salam pher de

Witr Me kaun si Soorten padhna Masnoon Hai?

Is ke bare me Hazrat  Ubai bin Kaab (R Z ) se ek riwayat hai:

عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ قَالَ: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقْرَأُ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى مِنَ الْوِتْرِ بِسَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى، وَفِي الثَّانِيَةِ بِقُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ، وَفِي الثَّالِثَةِ بِقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ. رواه النسائي في سننه: (1700).

Translation: Hazrat Ubai bin Kaab (R Z ) farmate hain ki: Nabi Kareem (S A W) Witr ki pehli rakat me Sure Fatiha ke baad “Sabbihisma Rabbikal aala” padhte the, aur dosri rakat me “Qul ya Ayyuhal Kafirun” aur tisri rakat me “Qul huwallahu Ahad” padhte the (Sunanun Nasayi Hadees No: 1700)

Yah masnoon tariqa hai,  sirf inhi surton lagatar rozana padhna, aur un ko wajib jaanna munasib nahi hai.

Kya Witr Ki Qaza Zruri hai?

Jo aadmi Tahajjud ki namaz barabar padhta ho us ke liye behtar yah hai ki Witr tahajjud ke baad padhe, Warna Isha ke sath hi padh le, agar fajr ke waqt tak witr na padh saka to us ki qaza kare, jaisa ki  abudaud ki riwayat me aaya hai:

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ «مَنْ نَامَ عَنْ وِتْرِهِ، أَوْ نَسِيَهُ، فَلْيُصَلِّهِ إِذَا ذَكَرَهُ». رواه أبوداود (1431)

Translation: Abu sayeed Khudri (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jo shkhs witr padhe begair so gaya ya bhool gaya to jab yaad aaye to zarur padhe”. (abu daud Hadees No: 1431)

Isi tarah “”Sunane Baihaqi” me unhi sahabi se riwayat hai ki:

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” مَنْ نَامَ عَنْ وِتْرِهِ، أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّهِ إِذَا أَصْبَحَ، أَوْ ذَكَرَهُ رواه البيهقي في السنن الكبرى (4210)

Translation: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jo witr padhe begair so gaya wah subah ko padhe, aur jo padhna bhool jaaye wah yaad aane par padhe ”. (Al sunanul Kubra Hadees No: 4210)

In sab riwayaton se pata chla ki witr chhutne se us ki Qaza zaruri hai.

Jis ko “Duaaye Qunoot” Yaad Na Ho Wah Kya Kare?

Jis aadmi ko Duaaye Qunoot yaad na ho us ko yaad karne ki koshish karna chahiye, han jab tak yaad na ho us waqt tak رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ Rabbana aatina fiddunya hasanah w fil aakhirati hasanah w qina azaban nar 3 baar padh le.

Aur agar yah bhi na parh sake to اللهم اغفرلي  Alla hummagh fir li ya “يا ربي” Ya Rabbi 3 baar padh le, lekin yaa karne ki koshish zaruri hai.

 Duaay e Qunoot Bhool Kar Ruku Me Chala Gaya to Kya Kare?

Agar koyi namazi witr ki tisri rakat me Duaay e Qunoot bhool kar ruku me chala jaye to us ke liye behtar yah hai ki Qayam ki taraf na laute aur Duaay e Qunoot Chhor de, aur akhir me Sajda Sahw  kar le, kyun ki Ruku Farz hai aur Duaay e Qunoot Wajib hai, farz ko chhor kar wajib ki taraf aana munasib nahi hai.

Aur agar ruku karne ke baad yaad aane par wah khada ho gaya to ab Duaaye Qunoot padh kar Ruku na kare balki sajde me chala jaye, kyun ki tisri rakat ka Ruku to wah pahle hi kar chuka hai, us se ruku ka farz ada ho gaya, ab us ko dobara karne ki zarurat nahi, bas sajda karke  “Attahiyaat” padh kar dahini taraf salam pher kar “Sajda Sahw” kar le, phir “Attahiyaat”, “Darud” aur “Duaay e  masurah” padh kar Salam pher de namaz ho jaaye gi.

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 2 Comments

  1. S A khan

    ماشاء اللہ
    بہت عمدہ سادہ اسلوب میں نہایت ضروری اور اہم چیزیں سامنے لا رہے ہیں ۔
    اللہ جزائے خیر دے۔

  2. S A khan

    This site is so important and useful for islamic knowladge and practices

Leave a Reply