Magrib Namaz Image

Magrib Ki Namaz Ka Tarika in Roman Urdu Hindi

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:6 Comments
  • Post last modified:October 7, 2019
  • Reading time:4 mins read

Magrib Ki Namaz Ka Time

Farz namazon me ek namaz Maghrib ki bhi hai, jo suraj dubne ke baad parhi jati hai, aur is ka aakhri waqt suraj dubne ke baad taqreeban 1 hour  tak rahta hai, lekin us ka behtar waqt yah hai ki us ko suraj dubne ke fauran baad padhi jaye, magrib ki azan ke baad aur farz se pahle koyi namaz nahi hai.

Magrib Ki Namaz Me Kitni Rakats Hain?

Magrib ki namaz me: 3 rakat farz, 2 rakat  sunnat e Muakkada,  aur  2 rakat nafal hai, is tarah magrib me total 7 rakats hoti hain.

 Magrib Ki Farz  Namaz Ka Tarika

  1. Sab se pahle 3 rakat farz ki niyat kare, Sana, Taauzz,  Tasmiah, aur  Sure  Fatiha aur  Surat padhne ke baad Ruku sajda kare,  is tarah ek rakat puri ho gayi.
  2. Dosri rakat me Sure Fatiha , surat aur ruku sajda ke baad Qada Ula kare, is me:  Tashauhud yani Attahiyaat padhe,  us ke baad tisri rakat ke liye khada ho jaye.
  3. Tisri rakat me sirf Alhamdu padh kar ruku sajda kar ke Qada Akhira kare, fir Attahiyat, Darud aur Allahuma Inni Zalamtu Nafsi padh kar salam pher de. ab 3 rakat complete ho gayi.

Magrib Ni Namaz Me Kaun Kaun si Surten Padhe?

Jin logon ko kam surten yaad hon wah log  koyi bhi surat padh sakte hain, aur jin ko zada surten yaad hon un ke liye bhi sunnat yah hai  ki is namaz me IZA ZULZILATIL  ARZU  ZILZALAHA se lekar QUL AAUZU BIRABBIN NAAS ke beech ki surten padhen, kyon ki is namaz me dosri namazon ke muqable me waqt kam hota hai is liye chhoti chhoti surten padhna behtar hai. agar jamaat ke sath namaz ho tab bhi imam ko chahiye ki is namaz me chhoti chhoti surten padhe.

3 Rakat Farz ke Baad Dosri Namazen

3 rakat farz ke baad 2 rakat Sunnat padhe is ko Sunnat e Muakkada kahte hain, is Sunnat ko padhna Zaruri hota hai,  us ke baad 2 rakat nafal padhe.

2 Rakat sunnat ke baad 2 rakat nafal padhe.

Agar koyi aadmi Magrib tisri rakat me jamat shamil ho to us ko kya karna chahiye?

Yah baat har koyi janta hai ki namaz me qada ula pahli 2 rakat ke baad hota hai, isi baat ko zehan me rakhte huye magrib ki tisri rakat me jamat me shamil hone wale imam ke salam pherne ke baad jab apni chhoti huyi namaz padhte hain, to ek rakat par qada karne ke bajaye wah 2 rakat par qada karte hain, jab ki yah galat hai, un ko ek rakat padhne ke baad qada ula karna chahiye, kyun ki un ki ek rakat to imam ke ho gayi hai, ab jab wah ek rakat aur padhen ge to un ki 2 rakat puri ho jaye gi, is liye tisri rakat me shamil hone walon ko apni ek rakat puri karne baad qada karna chahiye.

Magrib Ki Namaz Agar Koyi Safar Me Padhe

Agar magrib ki Namaz koyi banda safar me pdhta hai to us ko 3 rakat hi padhni hogi, magrib ki namaz safar me bhi Qasar nahi hoti, us ko puri puri 3 rakat padhni hogi.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 6 Comments

  1. Aayat

    Kya app action K sath mujhe mail Kar saktey hai K namaz mein kya padhey I have accepted Islam but don’t know wht say if send me link or mail so I can star performing namaz

    1. Online Islam

      Aap us se related videos dekh sakte hain us me action mil jaye ga.

    1. Online Islam

      Aap yaad karne ki koshish karen,

  2. Azmat

    Agar koyi akele padh raha ho to aawaz kar ke padhna hai ya aahista padhe?

    1. Online Islam

      Agar koyi aadmi akele magrib ki namaz padh raha ko to us ko ekhtiyar hai chahe aaawz se qirat kare ya aahista se, wah dono tarah se padh sakta hai, yahi haal un namazon ka bhi hai jis me qirat aawaz se hoti hai jaise: Fajr, Isha.

Leave a Reply