namaz-e-janaza

Namaz Janaza Niyat Aur Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:9 Comments
  • Post last modified:February 16, 2019
  • Reading time:11 mins read

Har Insan Ko Ek Na Ek Din Marna Hai

Har insaan ko ek na ek din marna hai, maut ke changul se koyi bach nahi sakta, badi se badi Qeemat de kar bhi maut se azadi nahi pa sakta, har aadmi ki maut ka ek time hai, us se pahle koyi mar bhi nahi sakta, maut ke baad aadmi ko is dunya se Qabr wale ghar ki taraf jana hai, yah aisi haqiqat hai jis ko hum any time apni aankhon se dekhte hain, aur chaah kar bhi ese jhhutla nahi sakte. Namaz-e- Janaza Niyat aur parhne se pahle marne wale ke saath kiya kiya karna chahiye? us ki knowledge zaruri hai.

Aakhiri Waqt ka Masnoon Amal

Jab Halaat se pata chale ki maut Qareeb hai to ghar ke logon ko chahiye ki mariz ke qareeb aa kar dhimi aawaz me “Kalma”:  “ASHHADU ALLA ILAHA ILLALAHU W ASHHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU W RASULUHUِ”, “أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ  padhen, isi ko “TALQEEN E KALIMA” kahte hain, taki marne wale mariz ko bhi khayal aa jaye aur wah bhi “Kalma” padh le.

.”عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “لَقِّنُوا مَوْتَاكُمْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ

Translation: Abu Saieed Khudri (R Z) se riwayat hai Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Apne marne walon ko LA ILAHA ILLALAH ki talqeen karo”. (Sahih Mslim Hadees No: 916, Abu Daud: Hadees No: 3117, Tirmizi Hadees No: 976).

Rooh ke nikalne ka waqt bahut dard naak aur sakht hota hai, us waqt marne wale ko bahut takleef hoti hai, is liye ghar walon ko chahiye ki mariz ko “Kalma” padhne ka hukm na den, kyon ki ho sakta hai ki mariz dard aur takleef ki wajah se kalama padhne se inkar kar de aur shaitan apne maqsad me kamyab ho jaaye, us waqt shaitan bhi marne wale ke paas hota hai.

 

“عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “مَنْ كَانَ آخِرُ كَلَامِهِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ دَخَلَ الْجَنَّةَ. (سنن أبي داود: 3116).

Translation: Hazrat Muaz bin Jabal (R Z) kahte hain ki Rasulullah (S A W) ne farmaya ki “Jis ka aakhiri  kalama LA ILAHA ILLALAAH ho wah jannat me jaye ga”. (Abu Daud Hadees No: 3116).

 

Maut Ke Baad Masnoon Amal

Marne ke baad agar mayyit ki aankhen khuli hon to us ko band karden, thodi patti se bandh den, haath aur pair ko seedha kar den, tez aawaz se rone se bacha jaye, is se mayyit ko takleef hoti hai,  us waqt mayyit ke liye dua karni chahiye kyon ki Farishte bhi wahan maujood hote hain jo dua karne walon ki dua par aameen kahte hain:

 

 عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ قَالَتْ: دَخَلَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَى أَبِي سَلَمَةَ وَقَدْ شَقَّ بَصَرُهُ، فَأَغْمَضَهُ، ثُمَّ قَالَ: «إِنَّ الرُّوحَ إِذَا قُبِضَ تَبِعَهُ الْبَصَرُ»، فَضَجَّ نَاسٌ مِنْ أَهْلِهِ، فَقَالَ: «لَا تَدْعُوا عَلَى أَنْفُسِكُمْ إِلَّا بِخَيْرٍ، فَإِنَّ الْمَلَائِكَةَ يُؤَمِّنُونَ عَلَى مَا تَقُولُونَ»، ثُمَّ قَالَ: «اللهُمَّ اغْفِرْ لِأَبِي سَلَمَةَ وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ، وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ، وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ، وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ، وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ». رواه مسلم (920) وابن ماجه. (1454).

 

Translation: Hazrat Umme Salma (R Z) se riwayat hai farmati hain ki: Abu Salma(yah Hazrat Umme Salma ke pahle husband the) ke intiqal ke baad Nabi Kareem (S A W) tashreef laaye, to Abu Salma ki aankhen khuli huyi thin aap ne un ko band kiya aur farmaya: “Jab rooh badan se nikalti hai to aankh us ko dekhti rahti hai”, phir Abu Salma ke ghar walon ke jazbaat qabu se bahar hone lage to Aap (S A W) ne farmaya ki: “Sirf acchhi duayen karo, is waqt Farishte bhi tumhari dua par aameen kah rahe hain”. Us ke baad aap ne Abu Salma ke liye dua ki: “ai allah Abu Salma ki maghfirat farma, us ki qabr ko kushada aur roshan kar de”. (Muslim Hadees No: 920, Ibne Maja hades No: 1454).

Janaza Ki Namaz Aur niyyat

Janaza ki Namaz gaon aur mohalle ke logon par “Farz e Kifaya” hai, yani agar kuchh logon ne Namaz Janaza padh li to sab ki taraf se ada ho jaye gi, aur agar kisi ne bhi nahi padha to sare gaon aur mohalle wale gunaahgar hon ge. Namaz-e-Janaza asl me mayyit ke haq me dua ke liye padhi jati hai, is liye dil se yah niyyat kare ki: mai mayyit ke haq me dua ke liye yah namaz padh raha hun. Namaz-e-Janaza me dosri Namazon ki tarah “Ruku” “Sajda” aur Qirat  nahi hoti. Is me 4 Takbiren hoti hain, jaisa ki “Bukhari Sharif” me Hazrah Abu Huraira se riwayat hai:

 

 عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: نَعَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلَى أَصْحَابِهِ النَّجَاشِيَّ، ثُمَّ تَقَدَّمَ، فَصَفُّوا خَلْفَهُ، فَكَبَّرَ أَرْبَعًا. رواه البخاري (1318).

 

Translation: Hazrat Abu Huraira se riwayat hai kahte hain ki Rasulullah (S A W) ne Sahaba ko  “Najashi”-yeh us zamane me “Habsha” ka baadshah tha-  ke marne ki khabar di, phir aap un ki namaz janaza padhne ke liye aage badhe aur sahaba aap ke peechhe saf bana kar khade ho gaye us ke baad aap ne 4 takbeer kah kar namaz padhyi. (Bukhari hades No: 1318).

Pahli Takbeer Ke Baad Sana

Dil se janaza ki niyyat ke baad “Imam”  buland awaz me “Allahu Akbar” kahte huye kanon tak  hath utha kar naaf ke niche bandh le, aur imam ke peechhe sare log bhi aahista se “Allahu Akbar”  kahte huye hath bandh len, us ke baad aahista se “Sana” padhen yah “Sana” dosri Namazon ki “Sana” se thori different hai, wah is tarah hai:

 سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، وَتَبَارَكَ اسْمُكَ، وَتَعَالَى جَدُّكَ، وجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ.

“SUBHANAKA ALLAHUMMA W BIHAMDIKA,  W TABARAKAS MUKA, W TAALA JADDUKA, WJALLA SANAUKA, W LA ILAHA GHIRUKA”.

Namaz-e-Janaza Me Sure Fatiha Ka Hukm

Namaz-e-Janaza me Sure Fatiha padhna wajib aur zaruri nahi hai, Hamd o Sana ke taur par koyi padhna chahe ho padh sakata hai jaisa ki “Bukhari Shareef” me “Abdullah bin Abbas” ke bare me aaya hai:

عَنْ طَلْحَةَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَوْفٍ، قَالَ: صَلَّيْتُ خَلْفَ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا عَلَى جَنَازَةٍ فَقَرَأَ بِفَاتِحَةِ الكِتَابِ قَالَ: لِيَعْلَمُوا أَنَّهَا سُنَّةٌ.  رواه البخاري (1335).

Translation: Talha bin Abdullah bin Auf se riwayat hai kahte hain ki: mai ne Abdullah bin Abbaas ke peechhe Namaz-e-Janaza padhi to unhon ne us me “Sure Fatiha” padh aur farmaya: Taki tum sab jaan lo ki yah bhi sunnat hai. (Sahih Bukhari Hadees No: 1335).

Dosri taraf “Abdullah bin Umar” (R Z) ke bare aata hai ki wah “Sure Fatiha” nahi padhte the, jaisa ki “Muatta Imam Malik” me hai:

مَالِكٌ، عَنْ نَافِعٍ: أَنَّ عَبْدَ اللهِ بْنَ عُمَرَ كَانَ لاَ يَقْرَأُ فِي الصَّلاَةِ عَلَى الْجِنَازَةِ. رواه الإمام مالك في “موطئه”. (777).

Translation: Imam Malik nafe se riwayat karte hain ki: Abdullah bin Umar Janaza ki namaz me Qirat nahi karte the. Yani Sure Fatiha nahi padhte the. (Muatta Imam Malik Hadees No: 777).

Isi tarah Sure Fatiha padhne aur na padhne ke bare me bahut sari riwayaten hain, wah sab ki sab “Mauqoofhain yani sirf Sahaba hi se Sure Fatiha padhna sabit hai, Huzoor (S A W) se nahi.

Sari riwayaton me ghaur karne baad yah pata chalta hai ki jin jin Sahabi ne Sure fatiha padha hai un ki niyat sirf Dua aur Sana ki thi na ki yah ki Sure Fatiha wajib aur Zaruri hai, agar aisa hota to dosri aur teesri takbeer ke baad bhi Sure Fatiha padhna zaruri hota. Kyun ki Namaz-e-Janaza ki har takbeer ek rakaat ke barabar hai. Aur dosri aur teesri takbeer ke baad Sure Fatiha padhna kisi hadees se sabit nahi hai, aur na ki kisi sahabi ka is par amal hai.

Lihaza: Agar koyi yah kahe ki: Namaz-e-Janaza me Sure Fatiha wajib ya farz hai, to us ki baat hadeeson ke bilkul khilaaf hogi.

.Sana ke baad imam dosri takbeer kahe

Dosri Takbeer Ke Baad Darud Shareef

Sana padhne ke baad dosri takbeer kahe, lekin is baar sirf takbeer kahna hai kanon tak hath nahi uthana hai, is takbeer ke baad imam aur muqtadi  sab ke sab “Darud Shareef” pdhen, us ke liye is Article par click Karen:

Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi

darud-sharif

Teesri Takbeer Ke Baad Dua:

Sana aur darud padhne ke baad ab teesri takbeer ke baad mayyit ke liye dua padhe jo is tarah hai:

“اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا، وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا،  وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا، وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا، اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الْإِسْلَامِ، وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الْإِيمَانِ”.(مصنف عبد الرزاق: 6419، سنن الترمذي: 1024).

 

“ALLA HUMMAGH FIR LI HAYYINA, W MAYYITINA, W SHAHIDINA W GHAYIBINA, W SAGHIRINA W KABIRINA, W ZAKARINA W UNSANA, ALLA HUMMA MAN AHYAITAHU MINNA FA AHYIHI ALAL ISLAM, W MAN TAWAFFAITAHU MINNA FATAWFFAHU ALAL IMAAN ” (Musannaf Abdur Razzaq: 6419, Sunanut Tirmizi: 1024).

baligh-ke-janaze-ki-dua

Chauthi Takbeer Ke baad Salam

Is takbeer ke baad salam fere, dayen taraf salam pher kar dayan hath chhor de aur bayen taraf salam pher kar bayan hath chhor de  jaisa ki Hadees me aaya hai:

قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “صَلُّوا عَلَى النَّجَاشِيِّ”، سَمَّاهَا صَلاَةً لَيْسَ فِيهَا رُكُوعٌ، وَلاَ سُجُودٌ، وَلاَ يُتَكَلَّمُ فِيهَا وَفِيهَا تَكْبِيرٌ وَتَسْلِيمٌ. (صحيح البخاري: (2/ 87).

Translation: Nabi kareem (S A W)  ne farmaya: “Najashi par Namaz padho”, Yahan aap (S A W) ne us ko Namaz kaha hai jis me “Ruku” “Sajda” nahi hai, aur us me baat cheet ki bhi permission nahi  hai, is me sirf taqbeeren aur salam hai. (Bukhari: 2/87).

Nabaligh Mayyit Ki Dua

Mayyit agar nabaligh ho to us ki maghfirat ki dua ki zarurat nahi, kyon ki allah ke yahan us ka koyi hisaab o kitaab nahi hai, bas us ke liye yah dua kare ki: “allah tala is bachche ya bachchi ko hamare liye aakhirat me sawab ka zaria bana ”. (Bukhari: 2/89).

Nabaligh Bachche ki dua:

Nabaligh mayyit agar bachcha ho to teesri takbeer ke baad yah dua padhe:

اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ لَنَا فَرَطًا، وَاجْعَلْهُ لَنَا أَجْرًا وذُخرا، اجْعَلْهُ لَنَا شَافِعًا وَ مُشَفَّعاً.

 

“ALLA HUMMA J  ALHU LANA FARTAN WAJALHU LANA AJRAN W ZUKHRA, WAJALHU LANA SHAFIAN W MUSHFFA”

Bachche-ke-janaza-ki-dua

Nabaligh Bachchi ki dua

اللَّهُمَّ اجْعَلْهَا لَنَا فَرَطًا، وَاجْعَلْهَا لَنَا أَجْرًا وذُخرا، اجْعَلْهَا لَنَا شَافِعَةً وَ مُشَفَّعَةً

 

“ALLA HUMMA J ALHA LANA FARTAN WAJALHA  LANA AJRAN W ZUKHRA, WAJALHA LANA SHAFIATAN W MUSHFFIAH”

 

Bachchi-ke-janaza-ki-dua

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 9 Comments

    1. Online Islam

      Sir! aisi koyi khas niyat arabic me nahi hai, uper jo niyat batayi gayi hai, koyi arabic jan ne wala us ko arabic me bhi khah sakta hai: أصلي هذه الصلاة للدعاء على الميت lekin yah zaruri nahi hai.

  1. Mohd Irfan

    इसमें इंग्लिश में जो सना लिखी है वो उर्दू कि सना से अलग है
    उर्दू सना —سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، وَتَبَارَكَ اسْمُكَ، وَتَعَالَى جَدُّكَ، وجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ،
    इंग्लिश सना —-“SUBHANAKA ALLAHUMMA W BIHAMDIKA, W TABARAKAS MUKA, W TAALA JADDUKA, W LA ILAHA GHIRUKA”.

    1. Online Islam

      Aap ka bahut bahut shukria us ko ab correct kar diya gaya hai

  2. IMRAN PASHA

    Masha Allah

  3. Adil Ali baig

    Aslm alkm Aapne Muatta imaan Malik ki hadees bathye o( 777 ) hadees me Nahi hai use jhoote number math daliye

    1. Online Islam

      Sir! Hadees ka no sahi hai, aap jis Muaata me dekh rahe hon ho sakta hai us me publication ka farq ko, mere paas Muatta Imam Malik ke 2 Nuskhe hain:
      1 Moassah zayez bin sultan Aale Nahyan Dubai (مؤسسة زايد بن سلطان آل نهيان للأعمال الخيرية والإنسانية – أبو ظبي – الإمارات) ka hai, jo 2005 me Mustafa Azmi ki tahqeeq se publish hua hai, us me wahi no hai jo mai ne dia hai.
      2 Daru Ihyayi tturasul Arabi( دار إحياء التراث العربي، بيروت – لبنان)
      Beirut Lebanon ka hai jo 1985 me publish hua hai us me Kitabul Janayez hadees no 19 par yah hadees hai.
      Aap ke paas muatta ka jo bhi nuskha ho aap us me Kitabul Janayez (كتاب الجنائز) Babu Ma Yaqoolul Musalli Alal Janazati (باب ما يقول المصلي على الجنازة) me dekhiye hadees ml jaye gi.

  4. dr.anis ahmed

    salam masnoon aap ne kaha ki sahabi fatiha padhty thy,hoozur nahi, sahabi nabi kay aagy kaise badh gaye tajjub hai aap imam ko ziyadah tarjeeh de raha hai banisbat sahaba key.

    1. Online Islam

      walaikum assalam
      1- agar huzoor S A W se koyi sahi riwayat namaz janaza me sure fatiha se related ho to batayen?
      2- aap kah rahe hain ki mai imam ko tarjeeh de raha hun, yah imam ka word aap ko kahan se mil gaya? is article to me mai ne kani bhi imam ka word use nahi kia hai, phir aap kaise kah rahe hain ki: mai imam ko tarjeeh de raha hun? is article me to kya aap puri website me kahi bhi kisi imam ki baat nahi payen ge, taraweeh ke masle ko chhod kar.
      3- hamara masad sirf Quran aur hadees ki roshni sahi masla batana hai, mane na mane aap ka kaam hai.
      4- aap se request hai ki pure article https://allonlineislam.com/namaz-janaza-ka-tarika/ ko gair janibdar ho kar padhen phir aap ko aisa betuka sawal karne ki zahmat nahi hogi.

Leave a Reply