Namaz Ke faraiz

Namaz Ke Faraiz In Roman Hindi, Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:4 Comments
  • Post last modified:April 11, 2019
  • Reading time:9 mins read

Hamare Islam me Namaz bahut hi important cheez hai, us ki fazilat bahut zada hai, yah total free hai, is me koyi cheez hum ko invest nahi karna hai, Namaz  allah tala ko bahut pasand hai, is ko chhorne ka gunaah bahut zada hai, us ko na padhne se aadmi Jahamnnam me jaye ga, Quran Pak ki Sure Muddassir me allah tala farmate hain: مَا سَلَكَكُمْ فِي سَقَرَ  قَالُوا لَمْ نَكُ مِنَ الْمُصَلِّينَ  . is aayat ka matlab yah hai ki jab Namaz na padhne wale log Jahannam me chale jayen ge us ke baad un se sawal kia jaye ga ki: bhai! tum log jahannam me kaise chale aaye? wah log jawab den ge ki hum namaz nahi padhte the. [Sure Muddassir: 42, 43]

Is aayet se maloom hua ki namaz bahut hi zaruri cheez hai, Namaz padhne ka tarika, aur 5 time ki namazon ke bare me hum alag alag article likh chuke hain, please read these on below links:

 

Kisi Bhi Namaz Ke Padhne Ka Tarika

Fajr Ki Namaz Ka Tarika

Zohar Me Kitni Rakats Hain? Aur Un Ke padhne Ka Tarika

Asar Ki Namaz Ki Fazilat Aur Us Ke Padhne Ka Tarika

Magrib Ki Namaz Kaise Padhen?

Isha Ki Namaz Ka Tarika Aur Us Me Kitni Rakats Hain?

 

Is article me hum aap ko namaz ke faraiz ke bare me batane wale hain, yani wah cheezen jin ko namaz me karna zaruri hai, jin ke begair namaz nahi hoti.

Namaz Me Total 6 Farz Hain

Yahan hum aap ko un cheezon ke bare me batayen ge jo namaz ke andar farz hain:

(1) Takbeer e Tahrima: yani Allahu Akbar kah kar namaz start karna.

(2)  Qayam: yani Farz, Wajib, aur Nazar ki namazon me khada hona.

(3) Qirat: yani farz namaz ki  2 rakaton, aur Sunnat, Nafal aur Witr ki har rakat me Quran Shareef se 3 chhoti aayat ya 1 badi aayet padhna, aur yah qirat Arabic language me zaruri hai, kisi aur language us ka translation karke nahi padh sakte.

(4) Ruku karna.

(5) Sajda karna.

(6) Qada Akhira me Jitni der me Tashauhud padhte hain utni der baithna.

yah 6 cheezen namaz me farz hain agar in me se koyi cheez chhoot jaye to namaz nahi hogi.

 Namaz Ke 6 Farz Se Reated Dosre Masle

Unpadh Aur Goonga (mute) Namaz Kaise Start Kare?

Hum aap ko abhi bata chuke hain ki Takbeer Tahreema Farz hai, ab maan lia jiye ki koti aadmi bilkul jahil aur anpadh hai jo takbeer tahrima bhi na janta ho, ya koyi goonga hai, takbeer ke words us ki zaban se nahi nikalte to aise log apni namaz kaise strat karen ge? aur un ki namaz kaise sahi hogi?

us ka jawab yah hai ki aise logon ke liye zaban se takbeer ke words kahna zaruri nahi hai, only takbeer tahrima ki niyat hi se un ki namaz start ho jaye gi.

Begair Kisi Diqqat Ke Farz Namaz Baith kar Padhna Sahi Nahi Hai

Hum Aap ko yah bhi Bata chuke hain ki Qayam yani khada hona namaz me farz hai, is liye jo aadmi khade ho kar namaz padh sakta ho us ke liye Farz aur Wajib namaz baith kar padhna sahi nahi hai, jo log train ke safar me begair kisi diqqat aur pareshani ke farz namaz baith kar padh lete hain un ki namaz sahi nahi hoti.

agar kisi aadmi ke foot me koyi maar laga ho jis ki wajah se us ko khada hone me takleef ho rahi ho wah aadmi baith kar namaz padh sakta hai.

Nafal Namaz Baith Kar Padh Sakte Hain

Qayam yani kahde ho kar namaz padhne ka masla Farz aur wajib se related hai, agar koyi aadmi, nafal namaz begair kisi diqqat  ke baith kar padhna chahta ho to yah jayez hai, yah alag baat hai ki bila majboori baith kar namaz padhne ka sawab khade hone ke muqabale me half half milta hai.

Sunnat e Muakkadah Ko Baith Kar Padhne Ka Masla

Jitni bhi Sunnat e Muakkadha hain especially Fajr ki sunnat un ko  bina kisi pareshani ke baith kar padhna munasib nahi hai, kyun ki in sab ka darja nafal namazon se badha hota hai, aur farz aur wajib se kam hota hai, is liye un ke darje ka khayal karte huye un ko bhi khade ho kar padha jaye.

Ruku Ki Halat Me Takbeer Tahrima Nahi Mani Jaye Gi

Agar Koyi aadmi masjid me us time pachoncha jab imam ruku me ja chuka tha, us ne jalti se ruku kar  ke takbeer tahrima kah li, to us ki namaz ki stating nahi mana jaye ga, is liye qayam yani kahde hone ki halat me takbeer tahrima farz hai, ruku ki halat me kahi gayi takbeer ka etbaar nahi, han agar wah pahle khade ho kar takbeer kah le us ke baad ruku me chala jaye, aur imam abhi bhi ruku me ho to us ki namaz ki strating ho jaye gi, aur wah rakat ka pane wala bhi mana jaye ga.

Muqtadi Ka Imam Se Pahle Ruku Me Chale Jana

Namaz me Ruku karna farz hai, is ko hum bata chuke hain, aur Muqtadi us aadmi ko kahte hain jo imam ke pichhe namaz padh raha ho, ab masla yah hai ki agar koyi muqtadi imam se pahle ruku me chala jaye, aur imam ke ruku me jane se pahle wah ruku se khada ho jaye, to us ka yah ruku nahi sahi nahi hoga, use  imam ke sath ya imam ke baad ruku me phir se jana pade ga other wise us ki namaz sahi nahi hogi.

Aur Agar Muqtadi Imam se pahle ruku me gaya lekin wah ruku hi me tha ki imam bhi ruku me chala gaye to is surat me muqtadi ka ruku mana jaye ga kyun ki us ka ruku imam ke ruku ke sath ho gaya hai.

Baith Kar Namaz Padhne Wala Ruku Kis Tarah Kare?

Agar koyi aadmi kisi pareshani ki wajah se baith kar namaz padh raha ho to wah ruku me apni peeth aur sar jhuka de to us ka ruku ho jaye ga, better yah hai ki wah itna jhuke ki us ka sar ghutnon ke samne aa jaye, us ko ruku me apni sureen uthana zaruri nahi hai.

Ruku Ya Sajde Ki Halat Me So Jana

Agar koyi aadmi ruku ya sajde me jate time jaag raha tha, phir wah so gaya aur baad me jaag kar sar uthaya to us ki namaz ho jaye jaye gi, is liye ki ruku ya sajde me jate aur uthte time wah jaag raha tha, jis se asal farz ada ho gaya, aur rahi baat ruku aur sajde ki tasbeeh ki to wah sunnat hain farz nahi hain.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 4 Comments

  1. Safina

    Kya anyne ya shisha me shakal dekne ya photos dekne se aapka wazu toot ta hai kya? .. kisika photo dekne se namaz nhi padhia jaa saktti?

    1. Online Islam

      Ji nahi aayne me apni shakal dekhne se Wazu nahi toot ta hai.
      Jin chizon se wazu toot jata hai un ko jaa ne ke liye click on below link:
      Wazu Ko Todne Wali Cheezen

      kisi ke photo se namaz ka kuchh lena dena nahi hai, aap kisi bhi photo dekh kar namaz padh sakte hain.

  2. Safina

    Shukriya !! Me jaha rehti hu yaha aisa mana jata hai ki kisi ke photo dekne se b wazu toot ta hai.. per mere mayke me kaha jata h ki photo samne rehna nhi chahiye..

    1. Online Islam

      un ka khayal galat hai.
      han agar photo samne ya sajda ki jagah par ho Namaz makrooh ho jati hai, agar photo namazi ke peechhe ho to koyi baat nahi.

Leave a Reply