Salatul Tasbeeh

How to Pray salatul Tasbih? Aasan Tarika in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:May 24, 2018
  • Reading time:8 mins read

Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.

Salatul Tasbih kya hai?

Salatul tasbih ka matlab tasbih wali namaz, Salatul tasbih ek aisi khas namaz hai jis ko Nabi kareem (S A W) ne apne uncle Hazrat  Abbas bin Abdul Muttalib aur dosre sahaba ko sikhlayi thi, yah ek nafal namaz hai. Is namaz me ek khas tasbih hai jo bar bar padhi  jati hai, isi liye is namaz ko salatul tasbih kahte hain, aur wah tasbih: سُبْحَانَ اللَّهِ، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ SUBHANA LLAHI, WALHAMDU  LILLAHI, W LA ILAHA ILLALAHU, WLLAHU AKBAR hai, yah tasbih is namaz me 300 bar padhi jati hai jis ki detail aa rahi hai

Salatul Tasbih ki fazilat

Is namaz ke bare me hadison me bahut fazilat aayi hai un me ek fazilat Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib ki riwayat me hai:

  أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لِلْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ: ” أَلَا أُعْطِيكَ إِذَا أَنْتَ فَعَلْتَ ذَلِكَ غَفَرَ اللَّهُ لَكَ ذَنْبَكَ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ، قَدِيمَهُ وَحَدِيثَهُ، خَطَأَهُ وَعَمْدَهُ، صَغِيرَهُ وَكَبِيرَهُ، سِرَّهُ وَعَلَانِيَتَهُ” فَذَكَرَ صَلَاةَ التَّسْبِيحِ. رواه أبو داود في سننه. رقم الحديث: (1292) والبخاري في القراءة خلف الإمام رقم الحديث: (149).

Translation: Rasulullah (S A W) ne apne chacha Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib se farmaya: “ai chacha! keya mai aap ko aisa tohfa ya gift na dun jin ko agar aap kar len to allah tala aap ke sare gunaah maaf kar den ge, wah gunaah naye hon ya purane, bhool kar kiye hon ya jaan boojh kar, chhup kar kiye hon ya sab ke samne ”. Us ke baad aap (S A W) ne Hazrat Abbas ko Salatul tasbih ke bare me bataya. (Abu Daud: Hadees No: (1292) Al Qirat Khalfal imam: Hadees No: 149).

Kya Salatul Tasbih daily padhna Chahiye?

Is ke bare me Abu daud, ibne maja, sahih ibne khuzaima samet hadees ki baut sari kitabon me hazrat Abbas hi se riwayat jin ke Arabic words is tarah se hain:

إِنَّ النَبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لِعَبَّاسٍ ” إِنِ اسْتَطَعْتَ أَنْ تُصَلِّيَهَا فِي كُلِّ يَوْمٍ مَرَّةً فَافْعَلْ، فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ جُمُعَةٍ مَرَّةً، فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ شَهْرٍ مَرَّةً، فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ سَنَةٍ مَرَّةً، فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي عُمُرِكَ مَرَّةً”. رواه أبو داود في سننه (1297)، وابن ماجه في سننه (1387)، وابن خريمة في صحيحه (1246)، الحاكم في المستدرك (1192).

Translation and Explanation: is hadees se pata chalta hai ki Salatul tasbeeh daily padhna chahiye, agar daily na padh sake to week end me padhe, aur agar yah bhi na ho to month me ek bar, yah bhi na ho sake saal me ek bar, agar yah bhi na ho to zindagi me ek bar zarur padhe. (Abu Daud Hadees No: 1297, Sunan e Ibne Majah: Hadees No: 1387, Sahih Ibn e Khuzaima: Hadees No:1246, Al Mustadrak Alas Sahihain: Hadees No: 1192).

Salatul Tasbeeh ka Mustahab Waqt

Jin waqton me namaz padhne se mana kiya gaya hai un ke elawah kisi bhi waqt me Salatul tasbih padh sakte hain, agar hadison ko dekha jaye to un se maloom hota hai ki is namaz ko zawal midday ke baad aur zuhar se pahle  padhna chahiye  jaisa ki Hazrat  Abdullah bin Amr Bin Aas (R Z) se ek riwayat hai:

عَنْ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَمْرٍو، قَالَ: قَالَ لِي النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا زَالَ النَّهَارُ، فَقُمْ فَصَلِّ أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ قُلْتُ: فَإِنْ لَمْ أَسْتَطِعْ أَنْ أُصَلِّيَهَا تِلْكَ السَّاعَةَ؟ قَالَ «صَلِّهَا مِنَ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ». رواه أبو داود في سننه (1298)، والبيهقي في السنن الكبرى (4919).

Translaton: Abdullah bin Amr Bin Aas (R Z) se riwayat karte hain ki mugh se Nabi Kareem (S A W) ne farmaya ki: “midday  zawal ke baad 4 rakat namaz padho” main ne kaha ki: agar mai us time na padh sakun to aap ne farmaya: “Raat aur din me jab bhi time mile padh lo”. (Abu Daud Hadees No: 1298, Al sunanul Kubra: 4919).

Salatul Tasbih Ka Tarika

 (1) Sab se pahle 4 rakat namaz ki niyat kare, us ke baad jis tarah har namaz me “Sana” , “Taauz” , “Tasmiyah” “Alhamdu”  aur koyi soorat padhi jati hai isi tarah is namaz me bhi padhe, yani Qirat kare, Alhamdu aur soorat padhne ke baad “Ruku” me jane se pahle 15 bar: سُبْحَانَ اللَّهِ، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ SUBHANA LLAHI, WALHAMDU  LILLAHI, W LA ILAHA ILLALAHU, WLLAHU AKBAR padhe.

(2) Us ke baad Ruku kare, Tasbeeh e Ruku “Subhana Rabbial Azim” ke baad 10 bar wahi Tasbih padhe.

(3) Ruku se uth kar seedha khada ho jaye is ko Qauma kahte hain, us baad 10 bar wahi tasbih padhe.

(4) ab us baad sajda kare Sajda me “Subhana Rabbial Aala” ke baad 10 bar wahi  tasbih padhe.

(5) pahle Sajda se uthne ke baad 10 bar padhe.

(6) dosre sajda me bhi 10 bar padhe.

 (7) dosre sada se uthne ke baad khade hone se pahle 10 bar padhe.

Is tarah yah tasbeeh ek rakat me 75 bar padhi jati hai, aur 4 rakat me total 300 bar  padhi jati hai. (Abu Daud Hadees No: 1292).

Pahli rakat ke baad dosri, tisri, aur chauthi rakat me aise hi tasbih padhe jaise pahli rakat me padha hai.

Note: 15 bar sirf Qayam ki Halat me “Alhamdu” aur Surat ke baad padhna hai, aur dusri haalton yani ruku sajda 20 wagaira me sirf 10 10 bar padhna hai.

Salatul Tasbih me kaun si surten padhe?

Salatul Tasbih me koyi khas surat padhna zaruri nahi hai, yah time pe depend hai, jaisa time ho chhoti badi soorat padh sakta hai. Han yah baat zarur hai ki kuchh ulma ne kaha hai ki: is namaz me tasbih zada hai is liye aisi surton ko padhe jin ke shuru me tasbih ka zikr hai, jaise: “Sure Hadid”, “Sure Hashr”, “Sure Saf”, “Sure Juma” wagaira.

قِيلَ لِابْنِ عَبَّاسٍ: هَلْ تَعْلَمُ لِهَذِهِ الصَّلَاةِ سُورَةً قَالَ: التَّكَاثُرُ وَالْعَصْرُ وَالْكَافِرُونَ وَالْإِخْلَاصُ. وَقَالَ بَعْضُهُمْ: الْأَفْضَلُ نَحْوُ الْحَدِيدِ وَالْحَشْرِ وَالصَّفِّ وَالتَّغَابُنِ لِلْمُنَاسَبَةِ فِي الِاسْمِ.  الدر المختار وحاشية ابن عابدين (رد المحتار) (2/ 27).

Translation: Hazrat ibe Abbas (R Z) se sawal kiya gaya ki Salatul tasbih me kaun kaun si surten padhni chahiye?  To Aap ne jawab dia ki: Sure “Alhakumut Takasur”, aur sure “Walasri”, aur sure “Qul Ya Ayyuhal Kafirun”, aur “Qul huwallahu Ahad” padhni chahiye. (Durrul Mukhtar: 2/27).

Tasbihaat ki Counting kaise kare?

Slatul Tasbeeh me total 300 tasbihaat hain is liye in tasbihaat ki counting ka sab se bada masla hai, to in ki ginti ka sab se aasan tarika yah hai ki ungliyon ko apni jagah pe rakhkhe, yani khade hone ki halat me ya Ruku, Sajda wagaira me ungliyan jahan rakhni chahiye wahin par rakhkhe, aur har tasbeeh par ek  ek ungli ko usi jagah par dabate rahen.

Masla 1: Tasbeeh hath me lekar ya ungliyon ko bandh kar tasbihaat ki counting karna makrooh hai, han is se namaz fasid nahi hogi.

Masla 2: agar ko namazi zaban se in tasbihaat ki counting kare to us ki namaz fasid ho jaye gi, yani us ko namaz dobara padhni pade gi. . (Durrul Mukhtar: 2/28).

وَفِي الْقُنْيَةِ: لَا يَعُدُّ التَّسْبِيحَاتِ بِالْأَصَابِعِ إنْ قَدَرَ أَنْ يَحْفَظَ بِالْقَلْبِ وَإِلَّا يَغْمِزُ الْأَصَابِعَ.  الدر المختار وحاشية ابن عابدين (رد المحتار) (2/ 28).

In Arabic sentences ka matlab wahi hai jo tasbihaat ki counting ke related bataya gaya.

Kisi Rukn me Agar Tasbeeh Bhool Jaye to Kya Kare?

Yah namaz aam namazon se thoda hat kar hai, to ho sakta hai ki kisi jagah tasbeeh padhna bhool jaye, to agar kisi rukn me tasbih bhool jaye to us ko dusre rukn me padh le, lekin bhooli huyi tasbih ko “Qauma”,  “Jalsa”,  aur “Jalsa Istirahat” me na padhe, balki un ko “Qayam “, “Ruku”, “Sada”, aur “Qada” me padhe.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply