Online Islam LogoIlm ke bare me Quran ka Nazria

Likhna padhna Islam Dharm ka bahut important part hai, Quran pak ke 78000 words me se  sab se pahla word jo hamare Nabi par Allah tala ki traf se aaya wah “اقرأ” “IQRA” tha yani “padh”, aur Quran pak ki 6000 aayton me sab se pahle jo 5 aayten allah ki taraf se nazil hui wah bhi education se related the,  Allah tala farmate hain ki:

“Padh aur jaan le ki tera rab kareem hai, jis ne ilm sikhaya Qalam se, aur insaan ko wah cheezen sikhaya jise wah nahi janta tha”(Sure Alaq: 3-5). 

Ek dusri aayat me  allah tala farmate hain ki:

“Allah tala un logon ke darjaat ko buland karta hai jo imaan laaye, aur jinhon ne ilm hasil kiya”. (ٍSure Mujadalah: 11)

Ilm Sikhna Har Musalman par Farz Hai

Hamare Hazrat Mohammad (S A W) ne farmaya hai ki:

Ilm sikhna har musalman mard aurat par farz hai (Ibne Majah: Hadees No: 224)”.

Dusri taraf jo students ilm seekhne ke liye safar karte hain un ke bare me Aap (S A W) ne farmaya hai ki:

Jo log ilm  seekhne ke liye safar karte hain allah un ke liye Jannat ka raasta aasan kar dete hain, allah ke farishte un se khush ho kar  apne paron ko bichhate hain, aur aasman o zameen ki sari cheezen Alim ke liye maghfirat ki dua karti hain”. (Abu Dauood Hadees No: 3641, Tirmizi Hadees No: 2656).

In sab chizon ko samjhne ke baad yah baat saaf ho jati hai ki hamara islam ya Quran ilm Seekhne se nahi rokta, balki wah hamare liye education ko farz karta hai, taki ek musalman  apne deen ki zaruri masayel ko seekh kar apni zindagi dine islam ke tarz pe guzaren, unhen jayez aur najayez chizon ka ilm ho, Halal o Haram, aur ache aur bure ki pahchan ho jaaye.

Musalman ka Asal Target Aakhirat hai

Har musalman ko yeh baat achhi tarah jaan leni chahiye ki us ka dunya me aane ka maqsad dunya kamana nihi hai balki dunya me rahte huye us ko apni aakhirat ki fikr karna hai, dunya me rahte huye us ko anpni zindagi allah aur us ke rasool ke hukm ke mutabiq guzarna hai,  use yah bhi pata hona chahiye ki is dunya se jane ke baad us ke samne ek dosri dunya bhi hai, jahan us ko apni pahli zindgi ka hisaab o kitab dena hai, wahan us ko waisa result milega jaisa us ne dunya me kiya, matlab yah hai ki yah dunya ek question paper ki copy hai, aur us me answers wah tamam achhe bure kaam hain jo aadmi dunya me karta hai, us ka result us  ko marne ke baad Jannat ya Jahannam ki shakal me mile ga. Quran kahta hai ki:

Jis ne raayi (Sarso) ke brabar bhi achha kam kiya hai kal Qayamat ke din wah us ko dekh le ga, aur jis ne Zarra brabar bhi bura kam kiya hai wah bhi us din us ko dekh le ga” (Sure Zilzal: 7-8).

Alim Ki Fazilat

Isi aakhirat ke maqsad ki wajah se islam dharm me aakhirat me kaam dene wali education bahut hi important hai, jo log us ko seekhte sikhate hain un ki allah aur us rasool ke yahan badi respect hai, Quran kahta hai ki:

“Jin logon ne ilm hasil kiya allah tala un ke darjaat ko baland kare ga” (Sure Mujadalah: 11)

Aur ek hadees me aap (S A W) ne farmaya hai ki: “allah tala us aadmi ke chahre ko taro taza rakhhe jis meri baat ko suna, aur us ko yaad kar ke dosron tak pahonchaya”(Abu Dauood: 6660, Tirmizi: 2656).

Ek aur hadees me aap (S L W) ne farmaya ki: “tum me se sab se behtar wah hai jis ne khud Quran seekha aur doaron ko sikhaya” (Bukhari: 5027).

Hamara Mission

Ilm e deen ki fazilat aur us ki ahmiyat ko samne rkhte huye hum ne Allah aur us ke Rasool ki khushi hasil karne ke liye is website: allonlineislam.com  ko shuru kiya hai taki islam ki important chizon ki logon ko knowledge ho jaaye, is website me: Roman Urdu, Urdu, Hindi, aur  kuchh Arabic language me Islamic articles publish hon ge. Yah website aise educated logon ke liye hai jo Urdu ya Arabic Achhi tarah nahi jante. Ya wah log jo internet par dini masayel jaise: Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Sadqa, o Khairat ke Bare me Search karte haien. Dua Karen ki Allah tala is website ko hum sab ke liye Dunya o Aakhirat me kaamyabi ka zaria banaye (Aameen).

Mohammad Hashim Qasmi Bastawi

Our Contributors

Is website ko behtar se behtar banana ke liye hamare bahut se mukhlis doston ne apna qimti waqt lagaya hai, allah tala un ki is mehnat ko qabool farmayen, aur apni shayane shan un ko badla den, aise hazraat ki list lambi hai misaal ke taur par kuchh Khass naam diye ja rahe haien:

Maulana Irshad Ahmad Qasmi (Saudi Arabia).

Maulana Salaman Wasim Qasmi (Mumbai).

Vasim Vasiullah Khan (Sangli M H).

Hafiz Shamim Ahmad (Basti, up).

Maulana Mahmood Akhtar (Basti, up).

Mufti Mohammad Yaqoob Qasmi Azami (Malaysia).

Mufti Mohammad Ajmal Qasmi (Moradabad).

Mufti Mohammad Shakir Qasmi Azmi (Azamgarh, up).

Maulana Imdadullah Qasmi (Mau, up).

Mufti Mashhooduddin Qasmi (Haydrabad).

Mufti Mohammad Irfan Qasmi (Haydrabad).

Mufti Abdul Bari Qasmi (Assam).

Mufti Jawed Qasmi (Saharanpur, up).

Mufti Amanat Ali Qasmi (Haydrabad).