Hijab And Parda In Islam (Islam Me Parda Aur Hijab)
Author: Mantasha Arif Ghazi Aligarh
Parda Ourat ka Bahut Badaa Hathhyaar Hai. Ye Ise Nafsaani Hamlon Se Mehfooz Rakhta Hai , Shaitaani Harbon Or Chaalon Ko Palat Deta Hai, Ye Ourat ki izzato Aabru ka Muhafiz Hai ,Dilon ki Paakeezgi Or Tahaarat Or Bahut Se Gunahon se Rukaawat ka Zariya Hai , ye Muslim Ourton ka Shi Aar Hai ,Ye Taqwa Ka Libas, Izzat ka Tamgha Or Hayaa ki Daleel Hai , Ye insan Numa Bhaidyon Ki Hos Bhari Nigaahon se Bachata hai ,Ye Hame Zinakaari , Bad Nazri, Na Jaaiz Taalluqaat Or Faaltu Baat Cheet Se Rokta hai , Ye ek Esy Nemat hai Jisme Deen or Duniya Dono ka Fayda hai , Ye Ourat ka Tahaffuz iski izzato Asmat Or Waqaar ka Zaamin Hai .
Ba Parda Ourat ko Dekh ker Luchche Lafange Qism ke Mard bhi apni Nazren jhuka lete hen ,Or inke liye Raast Khaali Kar Dete hen , Or Be Prda Baal Khol Ker Gale me Dupatta Daal ker Or Mek up karke Baher Nikalne Wali Ourat jo Khud ko Modern Kehti he Or Zubane Haal se Logon ko Daawate Nazara (Apni Taraf Dekhni ki Daawat) Deti hai , Iski Taraf Log Na Chahte hue bhi Dekhne Pe Majboor ho jate hen Or Lafange Qism ke Mardon ka kiya Kehna inki to Bin Maangi Muraad poori ho jate hai , Wo iske Husno Jamaal (Khoobsoorti) Ki Tareef Ka poora Haq Adaa karte hen , Faqre per Faqra , Seeti per Seeti , Or Masha Allah Sub Haanallah ke Zamzamon Se Iske Dil ko Mas hoor kerte hen (Jaadu Chalane ki poori koshish krte hen) , Or Mouqa Haathh a jaye To Chhed Khaani karne se Bhi Baaz nahi Aate .
Be Parda Ourat apni Tabaahi or Barbadi Ke Sathh Sathh apni Naslon ki Tabaahi ka Sabab bhi Banti hai , Qatal or Ghaarat Giree or Fasaad ka Sabab hoti he wo apne Mu Aashre Or Islam ke Roshan Chehre per Bad numaa Daagh bhi he . Ourat jab be Parda hoker Baaher nikalti hai to Wo Ourat Nahi Rehti Balke Wo Bazar ka Saamaan Ban jaati hai Jispe Her Nigaah Ek Khareedaar Ki Tarah Uthhti hai , Her Mard use Lalchaayi hui Nigah se Dekhta hai , Or Dil hi Dil me iski Boli lagata hai , Is Khareedo Farokht (Kisi Cheez ko Khareedna Or Bechna) Ke Nataaij Kabhi Kabhi Bahut Bhayaanak Hote hen , Iski izzat Neelaam ho jati hai , Wo Mard ke Hathhon ka Khilona Ban ker Reh jati Hai , Iske Saare khwab toot ker Bikhar jaate hen , Phir Wahi Mu Aashrah Or Samaaj Jo isko Maa Behen Beti Or Bahu ki Shakal Mai apni Palkon Per Bithata hai Wahi inko Dhakke Dekar Bhagaa Deta Hai .
Ye Sab Kara Karaya Maghribi Tahzeeb Ka Hai Jisko Aj Ham Log Andhe Hoker Follow Karte hen , jisne Aazaadi Niswaan (Ourton ki Aazadi ) Ki Aad Mai Be Sharmi, Be hayaayi,Be Hijabi, Fahaashi , or Izzat Ki Neelaami ka Toofaan Barpa kar Rakhaa Hai . Jiske Bahaao Mai Ham Sab Behte Chale ja Rahe hen Jiska Asar Aj Ham log Ourat or Mard Ka Aazaadi ke Sathh milaap inki Be pardagi ke Sathh Baat Cheet Bazaron me Ourton ka Hujoom Be Hayaayi or Be Pardgi Ki Bulandi ki Soorat me Dekhte hen . Aazaadi Niswaan Ke (Ourton ka Aazaad Ghoomna ) Is Maghribi Naare Ne Hamari Mashriqi Tahzeeb Ke
Hamari Mashriqi Tahzeeb ki Dhajjiyaan udaa di hen . Hamari Muslim Behno ko Be hijab Karke Inki izzat ko Taar Taar Kar ke Rakh Diya ,Or Hamari Muslim Behno ko Charaaghe Khana (Ghar ka Charaagh) Se Charaaghe Anjuman (Mehfilon Ka Charaagh )Banaa Diya Hai Allah Ghareeq Rehmat Kare Akbar Ilaha baadi Marhoom ko kiya Pate ki Baat Kahi Unhone …….
Hamida Chamki Na Thin Maghrib Se jab Be Gana Thin
Ab Hen Sham e Anjuman Pehle Charaaghe Khana thin
Parde Ka Hukm Quran Se
Her Hosh Mand Aadmi kabhi bhi ye baat Gawara nahi karega ke uski Behen Betiyan Zaleel o Khwar hon uski izzat Sare Bazar Neelaam ho Log Is per Awazen Kasen isko taane den Wo poore Samaaj se Muh Chhupata Phire Mazhabe Islam ne Be Pardgi ki Kokh Se Janam lene wali Tamaam Burayyon ko Khatm karne ke liye Ourat ko Parde ka Hukm Diya hai . Islami Mu Aashirti Zindgi me Parde ki Bahut Badi Ehmiyat hai Quran or Hadees Mai Parda karne ki Bahut Taakeed Aayi hai , Parda kisse karna Hai ?? Kab Karna Hai ?? Baher kese Aanaa Jaanaa Hai ?? Sabko Tafseel Se Bataya Gaya Hai . Quran Shareef Mai Aayaa Hai ke :
﴿وَقُلْ لِلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَلْيَضْرِبْنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَى جُيُوبِهِنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ أَوْ آبَائِهِنَّ أَوْ آبَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ أَبْنَائِهِنَّ أَوْ أَبْنَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي أَخَوَاتِهِنَّ أَوْ نِسَائِهِنَّ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُنَّ أَوِ التَّابِعِينَ غَيْرِ أُولِي الْإِرْبَةِ مِنَ الرِّجَالِ أَوِ الطِّفْلِ الَّذِينَ لَمْ يَظْهَرُوا عَلَى عَوْرَاتِ النِّسَاءِ وَلَا يَضْرِبْنَ بِأَرْجُلِهِنَّ لِيُعْلَمَ مَا يُخْفِينَ مِنْ زِينَتِهِنَّ وَتُوبُوا إِلَى اللَّهِ جَمِيعًا أَيُّهَ الْمُؤْمِنُونَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ﴾ [النور: 31]
Translation in Roman English
1 Or Momin Ourton Se keh Dejiye Ke Wo apni Nigaahen Neechi Rakhen Or apni Sharmgaahon ki Hifazat Karen ,Or Apni Zeenat ko Zaahir Na karen Magar jo isme se Zaahir Ho jaye , Or Apne Dupatte Apne Seeno per Daale Rahen Or apni Zeenat Ko Zaahir Na karen Magar Apne Shohron per Ya Apne Baap Per Ya Apne Shoher ke Baap per Ya Apne Beton per Ya Apne Shoher ke Beton per ya Apne Bhayyon per Ya Apne Bhayyon ke Beton per Ya Apni Behnon Ke Beton Per ya Apni Ourton per Ya Apne Ghulamon Per Ya Ese Khidmat Karne walon per Jo kuchh Jinsi Khahish (Sex ki Khahish) Nahi Rakhte Ya Ese Ladkon per Jo Abhi Parde ki Baaton Ko Nahi jante hon, Or Wo (Muslim Ourten) Apne Paaon Zor se Na Maaren ke Unki Chhipee hui Zeenat Maloom Ho jaye, Or Ey Iman Walo Tum Sab Mil Ker Allah ki Taraf Rujoo karo (Loto) Taake Falaah Paao (Kaamyaab ho jao). Sureh Noor Aayat No 31
﴿وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَى وَأَقِمْنَ الصَّلَاةَ وَآتِينَ الزَّكَاةَ وَأَطِعْنَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنْكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا﴾ [الأحزاب: 33]
Translation in Roman English
2 Or Tum Apne Gharon Mai Ruki Raho Or Sabiqa Jaahilyat ki tarah Dikhlati na Phiro (Islam Aane Se pehle Jis Tarah Ourten Aazaad Ghooma Karti thin ) Or Namaz Qaaym Karo Or Zakaat Adaa Karo Or Allah Or Uske Rasool Sallallaahu Alaihi Wasallam ki Farma Bardari Karo Or Allah To Chaahta hai Ke Tum Ehle Bait (Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam ke Ghar wale ) Se Gandgi Ko Door Kare Or Tumhe Poori Tarah Paak Karde . Sureh Ahzaab Aayat No 33
﴿يَاأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتَ النَّبِيِّ إِلَّا أَنْ يُؤْذَنَ لَكُمْ إِلَى طَعَامٍ غَيْرَ نَاظِرِينَ إِنَاهُ وَلَكِنْ إِذَا دُعِيتُمْ فَادْخُلُوا فَإِذَا طَعِمْتُمْ فَانْتَشِرُوا وَلَا مُسْتَأْنِسِينَ لِحَدِيثٍ إِنَّ ذَلِكُمْ كَانَ يُؤْذِي النَّبِيَّ فَيَسْتَحْيِي مِنْكُمْ وَاللَّهُ لَا يَسْتَحْيِي مِنَ الْحَقِّ وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعًا فَاسْأَلُوهُنَّ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ ذَلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ وَمَا كَانَ لَكُمْ أَنْ تُؤْذُوا رَسُولَ اللَّهِ وَلَا أَنْ تَنْكِحُوا أَزْوَاجَهُ مِنْ بَعْدِهِ أَبَدًا إِنَّ ذَلِكُمْ كَانَ عِنْدَ اللَّهِ عَظِيمًا﴾ [الأحزاب: 53]
Translation in Roman English
3 Ey Iman Walo Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam Ke Ghar Mat Jaya Karo Magar Jis Waqt Tumko Khaane ki Ijazt Di jaye Esy Waqt Per Ke Uski (Khane ki) Teyari Ka Intezaar na Karna Pade ,Lekin Jab Tumko Bulaya Jaye To Daakhil ho Jao Phir Jab Tum Kha Chuko To Uthh Kar Chale Jao Baaton me Lage Bethhe Na Raho Is baat Se Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam ko Na gawaari Hoti Hai Magar Wo tumhara Lihaaz Karte Hen Or Allah Haq Baat Kehne Mai Kisi ka Lihaaz Nahi Karta Or Jab Tum Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam ki Biwiyon se Kuchh Maango To Parde Ke Peechhe Se Maango Ye Tareeqa Tumhare Dilon ke liye Zyada pakeeza Hai or unke Dilon ke liye bhi , Or Tumhare liye Jaaiz Nahi Ke tum Allah Ke Rasool ko Takleef Do Or Na hi Ye Jaaiz Hai Ke Tum unke Baad unki Biwiyon se Kabhi Nikah Karo Ye Allah Ke Nazdeek Badi Bhaari Baat Hai . Sureh Ahzaab Aayat No 53
﴿يَاأَيُّهَا النَّبِيُّ قُلْ لِأَزْوَاجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَاءِ الْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِنْ جَلَابِيبِهِنَّ ذَلِكَ أَدْنَى أَنْ يُعْرَفْنَ فَلَا يُؤْذَيْنَ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا﴾[الأحزاب: 59]
Translation in Roman English
4 Ey Nabi Apni Biwiyon Apni Betiyon Or Musalmano ki Ourton Se Keh Dejiye ke apne Uper Apni Chaadren thodi Si Neeche Kar Liya Karen isse inki Pehchaan Jaldi Ho jaygi To Wo Sataayi Na Jayngin Or Allah Bakhshne Wala Meherbaan Hai . Sureh Ahzaab 59
Hadees Mai Parde Ka Hukm
عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ: كَانَ الرُّكْبَانُ يَمُرُّونَ بِنَا وَنَحْنُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مُحْرِمَاتٌ، فَإِذَا حَاذَوْا بِنَا سَدَلَتْ إِحْدَانَا جِلْبَابَهَا مِنْ رَأْسِهَا عَلَى وَجْهِهَا فَإِذَا جَاوَزُونَا كَشَفْنَاهُ. رواه ابوداود في سننه ((1833).
1 Abu Daaud Shareef Mai Hazrat Aysha Se Riwayat Hai Farmati Hen Ke Sawaar Hamare Pas Se Guzarte the Or Ham Ourten Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam Ke Sathh Ehraam Mai Hua Karti Thin ,Jab Wo Samne A jate To Ham apni Chaadren apne Saron ki Taraf Se apne Chehron per Daal liya Karti Thin Or Jab Wo Guzar Jaate Muh Khol liya Karti Thin .
وعَنْ فَاطِمَةَ بِنْتِ الْمُنْذِرِ أَنَّهَا قَالَتْ: كُنَّا نُخَمِّرُ وُجُوهَنَا وَنَحْنُ مُحْرِمَاتٌ، وَنَحْنُ مَعَ أَسْمَاءَ بِنْتِ أَبِي بَكْرٍ الصِّدِّيقِ. رواه الإمام مالك في موطئه (1/ 328)
Translation in Roman English
2 Or Moutaa Imam Malik Mai Hai Fatima Binte Manzar Ka Bayan Hai Farmati Hen ke Ham Haalate Ehraam Me Apne Chehron per Kapda Daal Leti thin ,Or Hazrat Abu Bakar Ki Sahab Zaadi Hazrat Asma Hamare Sathh thin ,Unhone Hame Manaa Nahi kiya yaani ye Nahi Kaha ke Ehraam ki Haalat mai Naqaab Se jo Chehra Dhakna Manaa hai Ham esa hi Kar rahi hen . Fat hul Baari Kitabul Haj mai Hazrat Aysha ki Ek Riwayat Hai Farmati hen Haalate Ehraam mai Ourat apne Sar ki Taraf se Chehre per Parda Daal liya kare .
Shar ee Parda kiya Hai? (Shariyat me Parda kiya hai ?) Satar Or Hijab mai Farq
Quran Or Hadees Ki Roshni mai Shar ee Parda Darsal 2 Pardon Per Mushtamil hai .
Ek Ghar ke Andar ka Parda jiske Baare mai Ehkamat Sureh Noor Mai Bayan hue hen Or in Ahkamat Ko Ahkamate Satr Kaha Jata Hai .
Dusra hai Ghar ke Bahr ka Parda Jiske Baare mai Ahkamat Sureh Ahzaab Mai Bayan Hue Hen Or In Ahkamat Ko Ahkamate Hijab Kehte hen.
Satar Or Hijab Mai Farq
Parde ke Hawale se Log Zyadatar Satar or Hijab Mai Koi Farq Nahi Karte Hen Jab ke Shariyat Me Dono Ke Ahkam Alag Alag hen .
Satar Jism Ka Wo Hissa Hai Jisko Dusron Se Chhupana Her Haal Mai Farz hai Siwaye Miya Biwi ke Ye isse Alag hen. Mard Ka Satar Naaf ( Tundi ,Navel) Se Lekar Ghutno (Knee) Tak Hai .
Or Ourat Ka Satar Haathh Paaon Or Chehre Ke Alawa Poora Jism Hai .
Ek Dusri Riwayat Ke Mutabiq Ourat ka Saaraa Jism Satar Hai Siwaye Chehre Or Haathh Ke Or Ourat Ke Liye Ourat Ka Satar Naaf (Tundi,Navel)Se Lekar Ghutno (Knee) Tak Hai Roz ke Haalaat Mai Ek Ourat Apne Satar Ka koi Bhi Hissa Apne Shoher ke Siwa kisi ke Saamne Nahi Khol Sakti . Satar Ka ye Parda Un logon se Hai Jinhe Shariyat Ne Mehram Qaraar Diya Hai . In Mehram Logon Ki Fehrist Sureh Noor Aayat No 31 Mai Moujood Hai . Satar Ke Tamam Ahkamat Sureh Noor Mai Bayan Hue Hen Jinki Tafseelaat Ahaadeees mai Mil Jaati hai . Ghar ke Andar Ourat ke Liye Parde ki Yahi Soorat hai .
Hijab Hijab Ourat ka wo Parda hai Jise Ghar se Baaher Jaane ke liye liya jata hai . Is Time Shariyat ke Wo Ahkamat hen Jo jo Ajnabi Mardon se Ourat ke Mutalliq hen . Hijab Ke ye Ahkam Sureh Ahzaab Mai Bayan hue hen Inka Mafhoom ye he Ke Ourat Ghar Se Baher Nikalte Waqt Jalbaab yaani Badi Lambi Chodi Chaader Odegy Taake uska Poora Jism Dhak Jaye Or Chehre Per Bhi Naqaab Daalegi Taake Siwaaye Aankh ke Chehra bhi Saaraa Chhip jaye .Matlab ye Ki Hijab Ye he ke Ourat Aankhon ke Siwa Poora Jism Chhipaygi. Aankh ko Kholne ki ijaazat Raasta Dekhne ke liye di Gayi hai Lekin is Waqt jo Naqaab A Rahe hen Unse Aankhen bhi Baa Aasani Dhaki ja Sakti hen Or inse Raasta bhi Saaf Nazar Aataa hai To Behtar yahi he Ke Ese hi Naqaabon ko istemal kiya jaye Taake Aankhon ka bhi Parda ho jaye .
Parde Ke Fayde
Mery Piyari Islami Behno!
Allah Rabbul Izzat ki Taraf se Mili Hame Hijab Ki Doulat Bahut Naayaab Or Anmol hai Or is Doulat ki wajah se Ham Bahut Si Burayyon Se Bachti hen . Behno Ham jab Parde Mai Hoti hen To Mard Hame Dekh Kar Nazren Jhuka lete hen Or Bahut Adab ke Sathh Ek Site Ho jaate hen Or Hamare Liye Raasta Chhod dete hen. Ba Parda Ourat Ko Chhedne Or Pareshan karne ki Bhedye Numa Insan ki Himmat hi nahi hoti Or khud Hamse Bhi Kabhi koi Ghalat Qadam Nahi Uthh Sakta. Behno Ham Hijab mai Jo Garmi Bardaasht karti hen Paseena Bahati hen Behno is Paseene ke Badle jo Doulat Hame Milni Wali Hai Wo Hamari Asal Kamyabi hai wo hi Hamari Manzil hai .Jo Ladkiyan Ourten Naqaab Mai Dam Ghutne ka Bahana banati thin Or Naqaab nahi pehenti thin Wo Aj Corona ke Dar se Kese khushi khushi Mask Laga ker Ghoom rahi hen aj Mask mai Dam nahi Ghut taa hai ? Jab Allah Ne Hame Parde ka Hukm De diya To Hame parda kar lena Chahiye tha Hijab Odh lena Chahiye tha lekin Hamara to Dam Ghut taa tha na Naqaab Mai Ab Dekhen Allah Rabbul izzat ne Corona ke Zariye Mask lag waker Bata diya ke Naqaab mai Dam nahi Ghut taa Agar Naqaab mai Dam Ghut taa na to Tum ese Asani se Mask laga ker na Ghoomtin islye parda na Karne ka Bahane Na Banao. Mery Behno Agar Hamne pehle hi Naqab Odh liya hota to ab Mask lagane ki zarurat Nahi padti .
Mery Behno Jab Ham Poori Tarah Parda karke Baher Nikalti hen to apne liye Dozakh ke Darwaze Band karke Or Mardon ke liye Fitno ke Darwaze Band karke Nikalti hen . Mery Behno jis Tarah Moti ke liye Sadaf Or Jawaahirat ke liye Sandooq Zaruri hai isi tarah Ourat ke liye Parda Zaruri hai . Is Parde mai hi Hamari izzat Mahfooz Reh Sakti hai Ham Agar Ye Chahti hen ke Baa izzat bhi Rahen Or Be parda bhi Rahen to ye Naa Mumkin hai . Mery Behno Hame Chahiye ke Ham khud ko Parde ke Zewar se Muzayyan (Sajaayen) karen Or Ba parda Ba hayaa Ba izzat Or Baa Ghairat Or Muslimah Ourat ki Tarah Zindgi Guzaren.
Waqiya
Islam Ne Saali ko Behnoyi se parda karne ka Hukm Diya hai lekin Hamare Mu Aashre (Socitey) ne Isko Bilkul hi Khatm Kar Diya hai Or Kabhi Kabhi Iske Bahut Danger Result Samne Aate hen .. Ek Ladki Apni Badi Behen Ke Ghar Rehne Ke liye A Gayi Lekin Behnoyi se Koi Parda nahi A pas Me Khoob Hansi Mazaq Gap Shap hoti Or Ye Hansi Mazaq Or Gap Shap Hote Hote Saali Behnoyi me Rishta Ban Gaya Kuchh Din to Esa Hi Chalta Raha Or phir Saali or Behnoyi Rafu Chakkar Ho Gaye Na Biwi ko Talaaq Di Na Saali Se Nikah Hua or Dono ne Miya Biwi ka Rishta Banaa liya Biwi Baichaari Dekhti Reh Gayi .
Saali Or Behnoyi Me Gap Shap ki Wajah Se Ek Or Sahab Ka Saali Se Na Jaaiz Rishta Ban Gaya Or Dono miya Biwi ki tarah Rehne lage Mu Aashre (Socitey) Ki Ruswaayi Or Be Izzati se Bachne ke liye Saali Barabar Hamal Rokne (Abortion ) Ki Goliyan Khaati Rahi Yahaan Tak ki Wo Shadi Hoker Apni Sasuraal Chali Gayi Mery Behno ye kis Wajah se Hua Sirf Or Sirf Be Pardgi Be Hijabi Ki Wajah se Agar Parda kar leti To Kiu ye Moqa Aataa Kiu ??
Behno Ham Khud Dekhti Hen Ke Jab Gali Se Koi Be Parda Ourat Nikalti hai To Her Mard ki Nigah uspe Padti hai Or Jab Hos Bhari Nigahen Padti Hen To Ourat Se Barkat Nikal Jaati hai Or Phir Pareshanyaan Aati Hen Aj Ladkiyan Or Ourten Msg kar kar ke Shikayt karti hen Ke Shoher Ham pe Tawajjo Ni Deta Hamara Khayal hi ni Rakhta hamari Fikr hi nahi hai usko, Bachche Baat Nahi Maante, Shoher ki job nahi Lag Rahi, Ghar mai Sukoon nahi hai, Saas Susar to ese Zaalim Hen Ke Bas Jeena haram kar diya hai mera to Behen kiya Bataun ab Tumhe ,Ap koi Taweez De Den Koi Wazifa Bata den Jisse mere Masle Hal ho jayen To Behen Jis Rab ko Apki Mohabbat apke Shoher ke Dil mai Basaani thi Jis Rab ko apke Bachche Apke Farma bardaar Or Nek banane the Jis Rab ko apke Shoher ko Job Deni thi Jis Rab ko apke Sasuraal walon Ke Dilon Mai Apki Mohabbat Daalni thi Jis Rab ko Apke Tamaam Masle Hal Karne The kiya apne Us Rab Ki baat Maani usne apko Parda karne ka Hukm diya lekin Apne Kis Tarah Us Rab Ke Hukm Ko peethh Peechhe Phenk Diya Or khud Ko Be Parda karke apni Marzi ke mutabiq apne Zindgi Guzari Mery Behno us ek Rab ko Raazi kar lo Wo apke Tamam Masle Tamaam Problem Solf Kar dega ap Us Rab ko Raazi Kar ke to Dekhen phir Dekhen wo apke Kaam Kese Jaldi Banata hai kese apke Ghar me Barkat Rehmat Or khushyon ki Baarish Barsaataa hai.
Parde ke Baare Mai Islam Per Etraaz
Kuchh Kam Aqal Or Kam Samajh Log Ourton ke Baare mai Islam per Ye Etraaz Karte hen Ke Islam ne Ourat ko Bandi Bana diya Hai Ourat ko Ghar ki Chaar Diwari Mai Qaid Kar Diya Hai or Ourton ko Mardon ke Kaandhe se Kaandha Mila ker khade hone or Taraqqi karne se Rok Diya hai Jis Tarah Ek Mard Bulandi per Pahunchta hai apni marzi ki Zindgi Guzaarta hai Izzat or pesa Kamata hai Is Tarah ek Muslim Ourat Nahi kar Sakti Kiu ki Islam ne usse Uska Haq Chheen kar use Ghar me Qaid Kar Diya hai . Islam ko Agar Ourton se Hamdardi hoti Ye inka Kher Khwaah Hota to Inhe Bulandi per Pahunchne ka Moqa deta lekin Usne inse ye Haq hi Chheen liya or unhe Ghar Mai Qaid Kar Diya ye Ourton per Saraasar Zulm Hai.
Is Tarah Ke Bahut Se Etrazat Ke Jawab mai ek Usooli Baat Sun len Ke Islam ne Her Insan Ko uski Taaqat ke Mutabiq Zimmedaari Di Hai.
Quran kehta he:
﴿لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا﴾ [البقرة: 286]
Laa Yukallifullaahu Nafsan Illaa Wus Ahaa Lahaa (Sureh Baqrah Aayat No: 286)
Allah Rabbul izzat kisi ko uski taaqat Se zyada Zimmedari ni dete usko kisi ese kaam ki Zimmedari ni Dete jisko wo kar Na Sake Jo uski Taaqat Se Baher ho . Ourten Choonke Jismani Lihaz Se Kamzor Hoti hen , Naazuk Hoti hen islye inhe Ghar ke Kaam kaaj ki Zimmedaari Di , Mard Choonke Mazboot Hote hen Taaqat war Hote hen Haadson ka Muqabla karna Jante hen Islye Inhe Baher ke Kaam kaaj ki Zimmedari Di Rozi Roti Kamane per lagaya , Mard agar Kaam ke liye Ghar se Baher na Jaye to Log use Nikamma Or Pata nahi kiya kiya kehte hen lekin agar Ourten Rozi Roti ke liye Baher na Niklen Ghar me hi Rahen to koi bhi inhe Bura ni kehta Kiu ki Yahi inka Asal Haq Hai or yahi iski Zimmedari hai . Ourat ko agar Baher ki Zimmedariyan Sonp Di jayen To Wo Mard ki Tarah Achchhe se Nahi Nibha Sakti hai Usko Qadam Qadam per Sahaare ki Zarurat Mehsoos Hogi , Or Kabhi to ise Apni izzat se Bhi Haathh Dhona Padega , islye Islam ne ise Wo Zimmedaari Di Hai jisko wo Achche se Nibha Sake Or iski Izzat per Bhi Aanch Naa Aaye . Dusri Baat Her Ourat ke Kuchh Na Kuchh Fitri Masaail Hote hen Jinki Wajah se Wo Mard ki Tarah Mehnat Or Dil Chaspi ke Sathh kaam nhi kar Sakti hai Jese Pregnacy Chhote Chhote Bachche jinko Sambhaalna isi ki Zimmedaari hai Ghar ka Kaam kaaj Islye Allah Rabbul Izzat ne Ourat ko wahi kaam Karne ko kaha jinko wo Asani Or apni izzat ki Hifazt ke Saathh kar Sakti hai.
To Islam per Etraaz karne Walon Ko Chahiye Ke wo is Baat ko Achchhi Tarah Samajh len Ke Duniya mai Ourat ko Agar Sabse zyada Izzat Kisi Mazhab Ne Di hai to Wo Mazhabe Islam hai . Islam ne apni Bahu Betiyon ko Qaid nahi kiya Balke Hos Paraston ki Nigah Se Mahfooz kiya hai . Jo Kam Aqal Log ye Kehte hen ke islam ne Ourat ko Qaid kar Diya hai Hamara Unse Ek Sawaal Hai ke Kiya wo Log Qaid ke Maanaa (Meaning) Bhi jante hen Wo Qaid ke Mana to Door Balke Qaid ke Q ko Bhi Thik se Nahi Jante hen unhe Chahiye pehle Isko Samjhen ke Qaid kehte kisko hen ? Ham Batati Hen apko Qaid Kis ko Kehte hen Qaid Kehte hen Tabiyat ke Khilaaf Mizaj ke Khilaf Parde ko Or Jo Parda Tabiyat or Mizaj ke Khilaf Na ho Usko Qaid Her Giz Nahi Kahenge Jese Ke …..Ye Hazraat Bathh Room Jate hen to Khud Parda Kar ke Andar Bethhte hen Ab agar ye Parda Qaid Hai To in Hazraat Ko Bhi Kehna Chahiye Ke Ham itni Der Qaid Rahe lekin Ye Kabhi esa nahi kehte kiu ki ye Parda inki Tabiyat or Mizaj ke mutabiq he Mizaj ke khilaf nahi hai Ab Agar Inhe Zabardasti Bathh room mai Qaid Karke Baher Chokeedaar Ko Khadaa kar Diya jaye Or keh Diya jaye ke ye Hazrat Baher na Nikalne payen to is Surat mai ye Hazrat Zarur Kahenge ke Ham itni Der Qaid Rahe , Jab ki Parda wo tha or Parda ye he lekin wo parda inki Tabiyat ke Mutabiq tha Or ye Tabiyat ke Khilaf hai . To Samajh ye Aaya ke Her parda Qaid nahi hota Balke wo Parda Qaid Hota hai jo Mizaj ke khilaf ho . Ab Islam Per Etraaz Karne wale Hazraat Ko Pehle is baat ki Tahqeeq Kar leni Chahiye ke jo parda Islam ne Ham per Farz kiya hai Wo Hamara Parda Hamara Hijab Hamari Tabiyat ke Mutabiq Hai ya Khilaf , Muslim Ladkiyan Hamesha Yahi Jawab Dengin ke Hamara Hijab Hamara Parda Hamari Tabiyat ke Muwafiq Hai Khilaf nahi hai Lekin Shart Ye he ke Wo Ladki wo Ourat Jisse Ap log Poochhen Ek Izzat Daar Shareef Or Nek Khaandaan ki ho Na Ke Kiraye ki Gandi Or Na paak Machhli jisko koi bhi insan Chand peson per Khareed Ker Or Pese dekar jo Chaahe Kehel wale Or Jo chaahe usse kara le.
Mard Or Ourat ke Aazaadana Milaap Se Paida hone Wali kharabiyan
Jo Ourten Mardon ke Kaandhe Se Kaandhaa Mila Kar Aazaad Ghoomti hen Inke Sathh Dostiyan Rakhti hen Inke Sathh Nokriyan Karti hai wo Ourten Baichari Sirf Or Sirf Mardon ke Dilon ka khilona Ban kar Reh jati hen . Na inki izzat Mahfooz Na inka Waqaar Mahfooz…Or Her Baat per Sar Jhuka kar apni Sureeli Awaz mai Yes Babu Yes Jaanu Yes Sir ki Ghutti Ghol Kar Mardon ko pilati hen Inhe Lagta hai ke Ye Mard Jiske liye mai Itna kuchh karti hu mai iski Laadli hu iski Be Shumar Chaahaton ki Akeli Waaris Hu ye mujhe Apnayga Mera Sathh Dega Mera Life Partner Banega lekin Is Baichari Maasoom Or Naadaan ko Ye pata Nahi Hota ke Mai iski Nazar Mai ek Teeshu Paper ki Tarah Hu ye Apna Dil Bharte hi Mujhe Be yaaro Madad Gaar Kachre Ke Dabbe (Dustbin) Mai Phenk Dega Or Yahi Hota Hai Ke Mard Inki izzat se Khelte hen inke Sathh Khoob Enjoy Karte hen Apna Time pass Karte hen Be parda hoker Mardon ke Kaandhe Se kaandhaa Mila ker Chalne wali inse Dosti Rakhne wali Ladki ko Aakhri inaam Yahi Milta hai ke Khud ye Mard bhi Or inke Mu Aashre ke Log inhe Dhakka Dekar Bhagaa dete hen:
Ourat ne Janam Diya Mardon ko Mardon ne use Bazar Diya
Jab jee Chaha Masla Kuchla Dhutkaar Diya
Tulti hai Kahin Deenaron mai Bikti hai kahin Bazaron mai
Nangi Nuchwaayi jati hai Ayyaashon ke Darbaron mai
Ye wo Be Izzat Cheez Hai Jo But jaati hai Izzat Daaron mai
Ourat ne Janam Diya Mardon ko Mardon ne Use Bazar Diya
Ourat Jab Teyar Hoker or Be parda Hoker Shadi Biyaah mai ,Party mai, Restorent Mai, Hotel park wagherah Mai jaati Hai To Allah Rabbul izzat Isse Naraz Hote hen Allah Rabbul izzat ke Farishte is per Laanat karte hen Or Luchche Lafange or Aawarah Qism ke Mard Isko Hos Bhari Nigahon se Dekhte hen Chhed khaani karte hen Or kabhi to Iski izzat tak Se khel Jaate hen Ouraton ke is Tarah Be parda hoker Awara Gardi karne se Poori Muslim Socitey ki izzat to Neelaam hoti hi hai Saathh mai Gher muslim Or Mazhab ke log Islam per Etraaz uthhate hen Or Taane Dete hen . Ourton ke is Tarah Awara Gardi Karne se Zinaa ,Be Hayaayi, Bad Nazri Or Bahut se Gunah Paida hote hen jinki Zimmedaar Sirf Or Sirf Ye Be Parda Ourten Hoti hen.
Mard Hazraat Se Guzaarish
Wese To Hamne ye Article Parde ke Topic per Teyar kiya hai Lekin Ham Apne Muslim Mardon Se Bhi Kuchh Sawaal Or Kuchh Guzaarish Karna Chahti hen……..
Ap Sabhi Mard Hazraat Ka bhi Kisi Na Kisi Tarah Her Ourat se Rishta hota hai Ap Kisi Beti Ke Baap Hote hen kisi Behen Ke Bhai Hote hen Kisi Maa ke Bete Hote hen Kisi Biwi ke Shoher Hote hen . Ap Kisi Bhi Rishte Mai Bandhe Hue hon Ham Apse Ek Sawaal Karti hen Ke Ap Apni Behen ,Beti , Bahu , Biwi , Maa Se Parda Q Nahi karate ? Ap Kiu Unhe Parda Karne ko Nahi kehte ? Ap Agar Baap hen to kiya apki Beti apka Kehna Nahi Maanti ? Agar Ap Bhai hen To kiya Apki Behen Apka Kehna nahi Maanti ? Ap Agar Shoher hen To kiya Apki Biwi Apka Kehna Nahi Maanti ? Ap Agar Sasur Hen to kiya Apki Bahu Apka Kehna Nahi Maanti ? Hamare Muslim Bhayyo Beti Baap ka Her Hukm maanti hai Biwi Shoher ka Her Hukm Maanti hai Maa apne Bete ka Her Hukm Maanti hai Behen apne Bhai ka Her Hukm Maanti hai . Ap jante hen ek Be Parda Ourat 4 Mardon ko Jahannam mai lekar jaygi 1 Baap 2 Bhai 3 Shoher 4 Beta . Ye Dengin Allah Rabbul izzat se Ke Ey Allah Hamne apne Mardon ka Her Hukm mana Inki Khidmat ki inka Her Kaam karke Diya Ye Agar Hamse Parda karne ko kehte to ham parda nhi Kartin Hamare Sathh Hamare Baap Bhai Bete Or Shoher Ko bhi Jahannam Mai Bhejen .Allah….. Ap Sabhi Se Ham Dil ki Gehraayyon Se Ye Guzaarish Karti hen Ke Ap Apni Maa, Behen , Beti ,Biwi ko Parda karayen ye apki Zimmedari he apka Farz Banta hai .Ap inhe pyar Mohabbat se Manayen Parda karne ke liye Inke Dil mai parde se Mohabbat Bhar den In sha Allah ye Khud Parda karne lagengin.
Summary Of This Article
Quran Or Hadees Ki Roshni Mai Ye Baat Bilkul Saaf Tarah Se Maloom Ho Gayi hai Ke Ourton Ki Bhalayi Unki izzat ki Hifazat Sirf Or Sirf Parda Karne mai Hai . Be Pardgi Be Hijabi inke Liye Wabaale Jaan Hai Duniya mai Bhi Or Aakhirat Mai Bhi Lekin Hamari Muslim Behno ki Aqal per Parda Pad Gaya hai wo Is Baat Ko Samajhti Hi nahi hen ke Parda unke Liye Kitna Zaruri Hai . Wo Ye Sochti hen Ke Baa Parda Rahenge to Koi kese Dekhega Or Jab Koi Dekhega Nahi To Rishte Kese Aayenge ? Shadi Kese Hogi ? Mery Behno Ye Baat Bahut Achchhi Tarah Se Samajh lejiye Ke Agar Ba Parda Rahogi To Nek Or Gherat Mand Ladko ke Rishte Ayenge , Or Agar Be Parda Rahogi To Awara Luchche Lafange Or ese Bhedya Numaa Ladko ke Rishte Aynge Jo apse Pehle Naa Jaane kitni Ladkiyon ko Girl Friend Ke Name per Istemaal Kar Chuke Honge.. Ab Ye ap Ki Marzi hai Ap kese Rishte Pana Chaahti hen kisi Bhedye Numa Insan ko apna Shoher Banana Chahti hen ya Phir kisi Nek or Gherat Mand Ladke Ko apna Shoher Banana Chahti hen Ye Baat mery Behno Ham apne pas se Nahi keh rhi hen Balke Quran Shareef Mai Allah Rabbul izzat ne Bata Diya hai Sureh Noor Aayat No 26 Mai Farmaya hai ….Buri Badkaar Ourten Badkaar Mardon ke liye hen Or Badkaar Mard Badkaar Ourton ke liye hen Or Nek Ourten Nek Mardon ke liye hen Or Nek Mard Nek Ourton ke Liye hen
Nek Mardon ki Soch is Sher ki Tarah Hoti hai …
Jisse Aanchal Bhi Nahi Sar Ka Sambhala Jata
Usse Kiya Khaak Tere Ghar ki Hifazt Hogi
Mery Behno! ye Baat Hamesha Yaad Rakho Ke Her Mard Chaahen Wo kesa bhi ho koi bhi ho apni Ourton ke Maamle mai Bahut Gherat Mand hota hai Wo Kabhi Bhi Ye Baat Gawara Nahi kar Sakta ke uski Behen Beti Biwi ko Koi Ghalat Nigaah se Dekhe Ye Bazar Ki Zeenat Or Mardo ki Dil Lagi Or Time Passing Ka Zariya Banen .Nek Mard Rishte Se Pehle Mery Behno Ourat mai Neki hi Dekhte hen Kiu ki Us Ourat se Unka Khaandaan Chalta hai Unki Aane wali Naslon Ki Zimmedaar Ye Ourat hi Hoti hai . Apko Lagta Hai Ke Ap Be Parda Hoker Saj Sanwar kar Fashion me Ghoomengin To Apke Achche Rishte Ayenge Apko Achcha Ladka pasand Karega ? Mery Behno Ye Baat Hamesha Yaad Rakho Ke apke Be parda Or Saj Sanwar kar Mardon ke Samne Aane se Apko Mardon ki Tawajjo to Mil Sakti hai lekin Izzat Or Mohabbat Kabhi nahi Mil Sakti Is Haal Mai Ladke apko Girl Friend to Bana Sakte Hen Lekin Biwi kabhi nahi Banayenge Kiu ki Her Ladka 7 Pardon mai Chhupi Ladki Se Shadi Karna Chahta hai . islye Behno ab bhi Waqt hai Khud Ko Badlo Or Parda kar lo Parda kar lo. Or Parde ke Name per Aj kal Market Mai Jo Abaya Burqe A rhe hn Ye Fashion hai Parda nahi Ye Parda nahi lagte Balke Dulhan ka Joda Lagte hen ESY ourton se Nek Mard Khud hi Nazren Bachaa ker Nikal jaate hen .
islye Saadaa Simple Burqe Chaader Wagherah se Parda karen.
Be parda Nazar Aayin kal Chand Ladkiyan
Akbar Zamin Mai Ghairate Qoumi se Gad Gayaa
Poochha jo inse Betiyon Parda wo Kiya hua ?
Kehne Lagin ke Aqal pe Mardon ki Pad Gayaa
Mery Behno Parde ko Laazim Pakad lo isi mai Tumhari Izzat hai Ye Hi Tumhari Hayaa Or Pakeezgi Ka Zariya hai Be Parda Rehne mai Koi izzat Nahi hai mery Behno koi Izzat Nahi hai . Mery Behno khud ko Parde ke Zewar Se Sajaalo Hayaa ko Apne uper Farz kar lo. Be Parda Rahogi To koi Izzat Nahi Paogi koi Izzat Nahi.
Muhammadﷺ Ke Tareeqe Se Qadam Jo Bhi Hatayga
Kabhi Rasta na payga Kabhi Manzil Na payga
Aakhir Mai Muslim Behno ke liye Kuchh Naseehat
Mery Pyari Islami Behno!
Ap Bahut Anmol Hen .
Ap Apne Parents Ke liye Fakhar (Proud) Ka Sabab Hen.
Ap Bhaayyon ke liye izzat Hen.
Ap Shoher ke liye Duniya ka Bahut Anmol Or Qeemti Saman Hen.
Ap Oulaad ke Liye Umdaa Namoona Or unki poori Kaaynaat hen.
Ap wo Aasmani Noor hen Jiski Wajah Se poori Kaaynaat Roshan hai .
Ap Wo Mubarak Hasti Hen Jiske Dam Se Barkaten Hen .
Ap Apni Qadar Or apni Ehmiyat ko Samjhen Or ek Esy Khaatoon Banen…..Ke apko Dekhne ke liye ek Khaas Quwwat Darkaar ho (Khaas Taaqat ki Zarurat ho ).
Ap Sharm Or Hayaa ki Esy Taabdaar hon ke Shaitaan Numa Insan apko Dekhne ke liye jab Aankh uthhaye To Uski Aankhen Chundhya jayen.
Nigaahen Hazaar Baar Jhuken .
Ap Jab Bolen to Lehje ki Tapish (Bolne ke Andaaz ki Garmi ) Bardaasht Na ho .
Ap Garjen To Mazboot Hawelyaan Dehel Jaayen.
Ap Barsen To Sara Malba Bahaa le jayen.
Apki Nigaah Taabishe Aaftaab (Suraj ki Garmi ) Ki Tarah ho Jiski Shaitaan Numaa Insan Taab Na laa Sake (Bardaasht Na kar Sake) .
Mery Behno ap esy Ladki Esy Ourat Banen Jise paane ke liye Mard ko apna Taalluq Allah Rabbul Izzat Se Jodna pade (Contect karna pade ).
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.