Hadees About Namaz

Namaz Parhne Ka Tarika in Roman Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:42 Comments
  • Post last modified:September 27, 2021
  • Reading time:9 mins read



Musalman Hone ke baad ek muslim aadmi ke liye namaz bahut zaruri hai, Namaz kisi bhi halat me maaf nahi hai, aadmi khare ho kar namaz nahi parh sakta to baith kar parhe, agar bimari ki wajah baith nahi sakta to lete lete parhe, agar let kar bhi nai parh sakta to sar aur aankh ke ishaare se parhe, Quran shareef me jagah jagah allah tala ne namaz ka order diya hai, namaz hamare Nabi salallahu alaihi wasallm ki sab se achhi cheez thi, yeh aap ke aankhon ki thandak thi, namaz behayaayi aur buri baaton se rokti bhi hai, namaz parhne wala aadmi saaf suthra rahta hai.

Namaz Start Karne Se Pahle:

  1. Namaz se pahle aadmi ka paak saaf hona zaruri hai.
  2. Us ke baad khoob achhi tarah se wazu kare.
  3. Phir “Qibla” ki taraf rukh kar ke khara ho jaye.
  4. Phir jo namaz parhni hai dil se us ki niyyat kare ki: “mai fajr ki namaz parh raha hun ya zuhr ki”.

Takbee r Tahreema Aur pahli Rakat:

Takbir-e-Tahrima

  1. Us ke baad dono hath kaanon tak uthaye, aur “Allahu Akbar”  kahte huye donon hath naff ke niche bandh le, isi ko “Takbir e tahrima” kahte hain.

 

  1. Right hand left hand ke upar, aur nigaah “Sajda” ki jagah par rakhhe,  isi ko “Qayam” kahte hain.
  2. Aurat apne hath ko kanon tak uthane ke bajay apne kandhon tak uthaye aur apne seene par bandh le.

Qayam:Qayam

 Qirat:

  1. Us ke badd aahista aahisa “Sana” parhe:

.سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، تَبَارَكَ اسْمُكَ، وَتَعَالَى جَدُّكَ، وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ

“SUBHANAKA ALLA HUMMA W BIHAMDIKA, W TABARAKA ISMUKA, W TAALA JADDUKA, W LA ILAHA GHIRURUK”

 

  1. Us ke baad “Taauuz, Tasmiyah” أٌعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيطَانِ الرَّجِيمِ بسم الله الرحمنِ الرَّحِيمِ

AAUZU BILLAHI MINASHSHITANIR RAJEEM, BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM.

  1. parh kar “Soore Fatiha” yani “Alhamdu” parhe:

 

sure-fatiha

Sure Fatiha Roman Hindi, Urdu, English Me:

“ALHAMDU LIIAHI RABBIL AALMEEN. ARRAHMAANIR RAHEEM. MALIKI YAWMIDDIN. IYYAKA NAABUDU WAIYYAAKA NASATYEEN. IHDINASSIRAATAL MUSATQEEM. SIRATAL LAZEENA ANAMTA ALAIHIM, GHAIRIL MAGHZOOBI ALAIHIM WALAZZUAALEEN.”

सुरे फफिहा हिन्दी में:

अलहम्दु लिल्लाहि रब्बिल आलमीन, अर्रहमामिर्रहीम, मालिकी यौमिद्दीन, इय्याका नाबुदु, व इय्याका नास्ताईन, इह्दिनस्सिरातल मुस्तक़ीम, सिरातल लज़ीना अनअमता अलैहिम गैरिल मग्जूबी अलिहीम व लज्ज्वाल्ल्लीन।

 

  1. parh kar aahista se “Aameen” kahe,
  2. us ke baad koyi surat parhe jaise:

sure-ikhlaas

Sure Ikhlas Roman Hindi, Urdu, English Me:

“QUL HUWAL LAHU AHAD. ALLAHUS SAMAD. LAM YALID WA LAM YULAD. WALAM YAKUL LAHU KUFUWAN AHAD.”

सुरे इख्लास हिन्दी में:

क़ुल हुवल्लाहु अहद। अल्लाहुस समद। लम यलिद वलम यूलद। वलम यकुल्लहु कुफुवन अहद।

 

  1. Aur agar  imam ke peechhe ho to “Subhanaka allahuma” parh kar khamosh ho jaye.

kyon ki “Alhamdu” aur soorat imam parhe ga.

 

Ruku:

 

  1. phir “Allahu Akbar” kahte huye “Ruku” kare.
  2. ruku me peeth ko seedha rakhhe aur ungliyon se ghutnon ko pakar le aur 3 bar ya 5 bar ya 7 bar سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ SUBHANA RABBIYL AZEEM 
  3. phirسَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ  SAMIA LLAHU LIMAN HAMIDAH, RABBANA LAKAL HAMD kahte huye sidha khara ho jaye,
  4. agar jamat ke sath namaz ho to سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ sirf iman parhe ga.
  5. Imam ke pichhe sare log sirf “Rabbana lakal hamdu” kahen ge,
  6. Us ke baad “Allahu akbar” kahte huye “Sajda” me jaye.

Sajda

Sajda

  1. Sajde me jate waqt pahle dono ghutne phir dono hath, phir naak, phir peshaani zameen par rakhhe.
  2. Hathon ki ungliyan Qibla ki taraf rahni chahiye.
  3. aur kuhniyan pisliyoun se aur pet ko ranon se alag rahi chahiye.
  4. kuhniyan zameen par na bichhaaye.
  5. us ke baad 3 bar ya 5 bar ya 7 bar سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى SUBHANA RABBIYAL AALA
  6. Phir sajda se pahle peshaani, phir naak, phir haath utha kar “Allahu akbar” kahte huye baith jaaye.
  7. phir “Allahu akbar” kahte huye dosra sajda kare.
  8. Phir “Allahu akbar” kahte huye uthe.
  9. uthne me pahle peshaani, phir naak, phir ghutne utha kar panjon ke bal sidhe khare ho jaye.

aur khare ho kar hath bandh le, ab yek rakat puri ho gayi.

Dosri Rakat:

dosri rakaat me “Sana” aur “Taauwz o Tasmiyah” na parhe, balki “Alhamdu” aur koyi soorat parhe. jaise:

Sure Falaq

sure-falaq
Sure Falaq

Sure Falaq Roman Hindi, Urdu English Me:

“QUL AUOOZU BIRABBIL FALAQ. MIN SHARRI MA KHALAQ. WAMIN SHARRI GHASIQIN IZA WAQAB. WAMIN SHARRIN NAFFASAATI FIL UQAD. WAMIN SHARRI HASIDIN IZA HASAD.”

सूरे फ़लक़ हिंदी में:

क़ुल अऊज़ु बिरब्बिल फ़लक। मिन शर्री मा ख़लक़। व मिन शर्री ग़ासिकिन इज़ा वक़ब। व मिन शर्रीन नफ्फासातिफिल उक़द। व मिन शर्री हासिदिन इज़ा हसद।

 

Agar imam ke peechhe ho to khamoosh khara rahe, phir isi tarah “Ruku”, “Sajda”, “Jalsa” aur dosra Sajda kare,

Pahle Qada Aur Tashuhud:

Qada

  1. Dosre sajde se uth kar bayan pair bichha kar us par baith jaaye.
  2. Dayan pair khara rakhhe.
  3. Aur hathoon ko ranon par rakh kar “Attahiyyat” parhe.
  4. Jab Attahiyaat padhte padhte “Ashhadu Alla ilaha” par pahonche to dayen haath ki ungliyun ka Halqa bana kar “Shahadat ki ungli” se ishara kare,
  5. Aur “Illalahu” par jhuka le, ungliyon ka yah halqa namaz ke aakhir tak rahe ga. Is puri dua ko “Tashauhud” kahte haien.

Tashauhud (Attahiyyat) Roman Hindi, Urdu, English Me:

“ATTAHIYYATU LILAHI WASSALAWATU WATTAYYIBATU, ASSLAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYYU WARAHMATU LLAHI WABARAKATUH, ASSLAMU ALAINA WAALA IBAADIL LASISALIHEEN, ASHHADU ALLAYILAHA ILLALAHU WAASHHADU ANNA MUMAMMADAN ABDUHU WARASULUH.”

अत्ताहियात हिन्दी में:

अत्तहियातु लिल्लाहि वस्सलवातु वात्तायिबातु अस्सलामु अलैका अय्युहन्नबिय्य वरहमतुल्लाही व बरकतुहू, अस्सलामु अलैना वला इबादिल्ला हिस्सालिहीन अशहदु अल्लायिलाहा इल्लाहू वअश्हदु अन्ना मुहम्मदन अब्दुहु व रसुलुहू।

Dosri Rakaat Ke Baad:

2 Rakat Wali Namaz:

Agar namaz “2 Rakaat” wali hai jaise “Fajr”  to “Tashauhud” khatm kar ke “Darud Shareef” Parhe, phir “Duaaye Masura” parh kar salam phere.

Pahle dayen taraf garden kar ke “Asslamu alikum wa rahmatullah” kahe, phir bayen taraf garden kar ke isi tarah kahe,

Darud Shareef Roman Hindi, Urdu, English Me:

“ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMAD, WA ALA AALI MUHAMMAD, KMA SALLAITA ALA IBRAHEEM, WAALA AALI IBRAHEEM, INNAKA HAMEEDUM MAJEED. ALLAHUMMA BARIK ALA MUHAMMAD, WAALA AALI MUHAMMAD, KMA BARAKTA ALA IBRAHEEM  WAALA AALI IBRAHEEM, INNAKA HAMEEDUM MAJEED.”

दरूद शरीफ हिन्दी में:

अल्लाहुम्मा सल्ले अला मुहम्मादिउय व अला आले मुहम्मद, कमा सल्लैता अला इब्राहीमा व अला आले इब्राहीमा इन्नका हमीदुम मजीद. अल्लाहुम्मा बारीक अला मुहम्मादिउय व अला आले मुहम्मद कमा बारकता अला इब्राहीमा व अला आले इब्राहीमा इन्नका हमीदुम मजीद।

Duaaye Masura Roman Hindi, Urdu, English Me:

“ALLAHUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASEERAUN WALA YAGHFIRUZ ZUNOOBA ILLA ANTA, FAGHFIR LI, MAGHFIRATAM MIN INDIKA WARHAMNI, INNAKA ANTAL GHAFURUR RAHEEM.”

दुआए मसूरा हिन्दी में:

अल्लाहुम्मा इन्नी ज़लमतु नफ्सी ज़ुलमन कासीरों वला यग्फीरुज्ज़ुनूबा इल्ला अंता, फग्फिरली मग्फिरतन मिन इन्डिका वरहम्नी, इन्नका अन्तल गफुरुर्रहीम।

3 Ya 4 Rakat Wali Namaz:

  1. Aur agar 3 ya 4 rakaat wali namaz ho Jaise: “Maghrib” “Isha” to “Attahiyyat” parhne ke baad “Darud Shareef” na parhe.
  2. “Allahu Akbar” kahte huye seedha khara ho jaaye.
  3. Aur teesri aur chauthi rakaat puri kare.
  4. Phir “Attahiyyat” “Darud” aur “Duaaye Masura” parh kar salam pher de.
  5. isi tarah tisri aur chauthi rakat me only alhamdu parhe ga surat nahi milaye ga.

Note: Teen rakaat aur Char rakaat wali Farz Namaz: jaise “Zuhr” “Asar” “Maghrib” aur “Isha” ki teesri  aur chauthi rakaat me “Alhamdu” ke baad koyi soorat parna zaruri nahi hai.

 Bas “Alhamdu” parh kar “Ruku” kar le.

lekin “Sunnat” aur “Nafal”  ki teesri  aur chauthi rakaat me “”Alhamdu” ke baad kisi surat ka parhna zaruri hai.

Farz Namzon Me Qirat Ka Masla:

Farz Namaz agar 2 rakat wali ho for example: Fajr ki namaz to is ki dono rakat me qirat zaruri hai yani Alhamdu ke baad koyi surat padhna hai.

Agar farz namaz 3 rakat wali for example: Magrib, to is ki pahli 2 rakat me qirat zaruri hai, aur tisri rakat me sirf Alhamdu padh kar ruku karen.

Agar farz namaz 4 rakat wali ho jaise: Zohar, Asar aur Isha to in namazon ki pahli 2 rakats me qirat karna hai, aur aakhir ki 2 rakaton sirf alhamdu padh kar ruku karen ge.

Ab in namazon me Qirat yani surrat kis tarah padhe? aur us ka tarika kya hai? us ko Jaan ne ke liye please is link par click karen:



4 Rakat Sunnat Namaz Padhne Ka Tarika:

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 42 Comments

  1. S A khan

    Allah aap ki mehnat qubool farmae. aameen

    1. Hashim Bastawi

      Thanks

    2. dilshad

      Mashallah bhai

  2. Shirin

    Thank u so much ALLAH aapki har dua qabool kare

  3. Online Islam

    Thanks Shirin same to you

    1. Mohammed. Irfan Rasool

      Mashallah Allah Aap ko Kush Rakha Aameen

    2. Tahmeena shah

      Thanks a lot.

  4. ADNAN

    allah tala aap ko jannat nasib aata farmae aameen

    1. Online Islam

      Aameen

  5. Shifa Imran Shaikh

    MashaALLAH ♡ bahut khoob samjhaya hai aapne…!!

  6. Mohammed. Irfan Rasool

    Namaz Ka Profits

  7. Saddam ansari

    Masha allah bahut accha samjhaya
    Aapne allah aap ko jannat nasib aata farmaye

  8. IMRAN KHAN

    Thanku so much itne ache se batane ke liye, Allah apke sb dua kabool kare Ameen …

  9. Imran

    App bohut achhe ho Allah ap Ko Jannat ATA farmia

  10. Tousif khan

    Masha allah allah apki din dugni raat chaugni tarakki ata farmaye

    1. Online Islam

      Aameen

  11. Hamza khan

    Very nice masallah

  12. Junaid Iqbal

    Jaazak Allah Allah Ap Ki Aur Apke Taamaam Ghar Walon Ki Mushkilaat Khatm Farmaaye Aur Unhan Labmi Zindagi Atta Farmae…

  13. Abuzar

    Mashallah aapne bht acha kaam kiya h Allah ap ki dua kabool kre ☺️

  14. Tanzil

    Allah apko jazzaa e khair aata kaare

  15. mohd salman

    Mashallah aapne bahut achcha kaam kiya hai

  16. sabbir husain

    masha allah

    1. Online Islam

      Aameen

  17. Mohd Danish

    allah apko jaza e khair ata kre

  18. Adeel

    Niyyat namaz ki du hai wo b batain aur dekhain
    Inni wajahto wajhiya lillazi fatras samawaaati walaraza haneefan wama aana minanal mushrikeen

  19. Md. Irshad Alam

    Thank you

  20. Sajid Khan

    Allah aapko salamat rakhe or logo ko zada se zada namaz sikhaye

    1. Online Islam

      Aameen

  21. Munna azij

    Thank you so much allah aap ki har dua kabool kare ameen

    1. Online Islam

      Aameen

  22. Shaikh sahabuddin

    Bahot bahot sukriya janab acha laga poora details namaz samjha ne k liye allah ap par rahmat nazil kare ameen

    1. Online Islam

      Aameen

  23. MUSHAHID Raza

    Thanku so much allah aap ko hamesha khush rakhe har mushkil aap ki asaan karde aap ki har duwa qubool farmaye aameen summa aameen

  24. mohd imran

    bahut shukriya janab.
    Allah aapki har pareshaniko asan farmaye.ameen summa ameen.

  25. Sahidul m sheikh

    Salaam Alaikum itne acche tarike se batane ke liye shukriya

  26. Mubarak

    Jazak allahu khair
    Salatul taubah ki namaz traika aur
    Ishraq namaz ka traika bhi hona chahiye.

  27. Shahanwaaz

    Assalam alekum bahut accha tha simple accha tarika tha.

  28. Hassan

    Assalamu alaikum bhai jisne bhi itne assan tareeke me aap ne deen ko sikhane ki koshish Kia, un Ku Allah kubool Kare aameen.

    1. Online Islam

      thanks bhai

  29. SHOYAB khan

    itni achchhi jankari ke liye app ka Shukriya

  30. Mirza awes Baig

    Masha Allah. Allah aapko jazz e khai de.

Leave a Reply