Fajr Ki Namaz

Fajr Namaz Ka Tarika Aur Us Ki Rakaten in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:4 Comments
  • Post last modified:February 10, 2020
  • Reading time:8 mins read

Note: Jin ko Namaz bilkul nahi aati wah is article ko read karen Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu 

Fajar Ki Namaz Ka Time

Din ki sab se pahli namaz fajr ki namaz hai,  is me total 4 rakats hain: 2 rakat Sunnat e Muakkada,  aur 2 rakat farz, is ka waqt Subah Sadiq yani din nikalne ek der hour pahle start hota hai.

Fajar Ki Namaz Ka Last Time

Fajar ki namaz ka last time sunrise hain, yani suraj nikalte hi fajar ki namaz ka time khatam ho jata hai, us ke baad fajar ki namaz nahi padh sakte.

Fajr Ke Time Se Related Hadison Ka Combination

 Fajr ki namaz se related jo hadisen hain un me se kuchh hadison me yah hai ki: Huzur (S A W) fajr ki namaz andhere me padhte the, aur kuchh hadison me yah hai ki: aap (S A W) ujala hone ke baad padhte the, dono tarah ki hadisen sahi hain, to in dono waqton ke combination ke liye  behtar yah hai ki fajr ki namaz ko andhere me start kare aur ujaale me end kar de.

Fajr Ki Sunnat

Sab se pahle 2 rakat Sunnat padhe, aur yah sunnat  bahut hi important  hai, 5 waqt ki namaz me jitni sunnaten hain un me yah sab se badh kar hai, Huzur (S A W) ne is ki bahut takeed ki hai, ek hadees me aaya hai:

عَنْ عَائِشَةَ، «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَمْ يَكُنْ عَلَى شَيْءٍ مِنَ النَّوَافِلِ أَشَدَّ مُعَاهَدَةً مِنْهُ عَلَى رَكْعَتَيْنِ قَبْلَ الصُّبْحِ». [صحيح مسلم: 724، سنن أبي داود: 1254]

 

Translation: Harat Aisha (R Z) se riwayat hai ki: Nabi Kareem (S A W) Fajr ki sunnat ka sab se zada khayaal karte the. [Sahih Muslim: 724, Sunan e Abi daud: 1254]

Ek aur Hadees me aaya hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَا تَدَعُوهُمَا، وَإِنْ طَرَدَتْكُمُ الْخَيْلُ». [سنن أبي داود: 1258، مسند أحمد: 2/405]

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya:”Fajr ki sunnat ko kabhi bhi na chhoro chahe tum ghode raund dalen”. [Sunan e Abi Daud: 1258, Musnad e Ahmad: 2/405]

Note: is hadees ki agar Sanad ki baat karen to yah hadees ki sanad yani us me ek rawi zayieef hai, kyun ki us ki help bahut sari riwayten kar rahi hain, for example: hazrat Aayisha wali hadees jis ko hum ne abhi bataya hai, is riwayat ka maqsad Fajr ki sunnat ki ahmiyat ko batana hai, jo sahi hadison se bhi maloom ro raha hai, is liye is hadees ki sanad ke zayeef hone se koyi farq nahi padta.

Fajar Ki Namaz Me Masjid Me Aane Ke Agar Jamat Khadi Ho To Kya Kare?

Masjid me dakhil hone baad agar jamat khadi ho aur jamat pane  ka thoda bhi chance  ho tab bhi is sunnat ko chhor jamat me shamil nahi hona chahiye, jab ki dosri sunnaton ke bare me yah hai ki agar jamat khadi ho jaye to sunnat chhor kar jamat me shamil ho jaye.

Fajar Ki Sunnat Me Kaun Si Surat Padhe?

Fajr ki sunnat ki pahli rakat me Alhamdu ke baad “Qul Ya Ayyuhal Kafiroon” aur  dosri rakat me Alhamdu ke  baad “Qul Huwallahu Ahad” padhna Masnoon hai, Muslim Shareef ki hadees me aaya hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ” أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَرَأَ فِي رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ: قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ، وَقُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ”. [صحيح مسلم: 726]

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki: Rasulullah (S A W) Fajr ki Sunnat me “Qul Ya Ayyuhal Kafiroon”, aur “Qul Huwallahu Ahad” padhte the. [Shaih Muslim: 726]

Is hadees ko samne rakhte huye better yah hai Fajr ki sunnat me wahi surat adhe jo hadees me aayi hai.

Fajr Ki Namaz Ka Tarika

2 rakat Sunnat padhne ke baad 2 rakat farz ki niyat kare, us ke baad Allahu Akbar kahte huye hath bandh le, phir Sana, Aauzu billah, Bismillah padh kar Sure fatiha aur koyi surat padh kar Ruku, sajda kare,  is tarah ek rakat puri kare.

Dosri rakat me  Alhamdu aur surat padh kar ruku sajda kar ke Qada kare, Fajr ki namaz me 2 rakat hi hoti hain is liye yahi Qada, Qada Ula aur Qada akhira dono ek sath ho jaye ga, us ke baad Tashauhud, Darud, aur Duaaye Masura padh kar salam pher de, fajr ki do rakat puri ho gayi.

Fajr ki Namaz Me Padhi Jane Wali Surten

Fajr me to 2 rakat hi hoti hain, us ke bawajood bhi yah namaz dosri namazon se lambi hoti hai, to is namaz me jitni badi badi surten yaad hon wahi surten padhna chahiye, waise is me best tarika yah hai ki: Sure Hujraat se lekar Sure burooj tak ki Surten padhi jayen. aur in ko Tewal e Mufassal kahte hain agar badi surat yaad na ho to chhoti surat bhi padh sakta hai namaz ho jaye gi.

Kya Fajar Ki Namaz Ke Baad Koyi Namaz Padh Sakte Hain?

Fajr ki namaz padhne ke baad suraj nikalne tak koyi Sunnat ya Nafal namaz nahi hai, suraj nikalne ke baad sunnat ya nafal namaz padh sakte hain, jaisa ki ek hadees me aaya hai:

عَنْ ابْنِ عُمَرَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «لَا صَلَاةَ بَعْدَ الفَجْرِ إِلَّا سَجْدَتَيْنِ».[سنن الترمذي: 419]

 

Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Fajr ki namaz ke baad koyi namaz nahi hai (yani suraj nikalne se pahle)”. [Sunan e Tirmizi: 419]

Hadees Ka Matlab

Is Hadees ko bayan karne ke baad imam tirmizi aage yah kahte hain:

وَهُوَ مَا اجْتَمَعَ عَلَيْهِ أَهْلُ العِلْمِ: كَرِهُوا أَنْ يُصَلِّيَ الرَّجُلُ بَعْدَ طُلُوعِ الفَجْرِ إِلَّا رَكْعَتَيِ الفَجْرِ، وَمَعْنَى هَذَا الحَدِيثِ: إِنَّمَا يَقُولُ: لَا صَلَاةَ بَعْدَ طُلُوعِ الفَجْرِ، إِلَّا رَكْعَتَيِ الفَجْرِ. [سنن الترمذي: 2/278]

Translation: Ulma aur ahle ilm ka is baat par iffifaaq aur ijma hai ki Fajr Farz Namaz ke baad koyi namaz padhna makrooh hai, aur hadees ka matlab yah hai ki subah sadiq ke baad sifr fajr ki namaz padhna chahiye. [Sunan e Tirmizi: 2/278]

Han Fajr ki namaz ke baad sunrise se pahle Qaza yani Chhooti huyi namaz  padh sakte hain.

Fajar Ki Qaza Namaz Ka Time

Agar fajar ki namaz fauran qaza padhna chahta ho to  sunrise ke 20 Minuit ke baad padh sakta hai, ya jab us ka dil chahe padh sakta hain us me koyi masla nahi hai.

Summary Of This Article

  • Fajar ki namaz sab se important namaz hai.
  • Fajar ka starting time sunrise se 1 hour pahle hai.
  • Fajar ka ending time sunrise hai.
  • Fajar me total 4 rakats hain: 2 rakat Sunnat, 2 rakat Farz.
  • Sunnaton me fajar ki sunnat sab se important hai.
  • Fajar ki namaz ke baad suraj nikalne tak koyi sunnat ya nafal namaz padhna sahi nahi hai.
  • Fajar ki namaz ke baad Qaza namaz padh sakte hain.

 

Masla: Fajr ki namaz ke baad Tasbeeh e Fatimi padhna chahiye hadees me is ke bahut fayde bataye gaye hain.

Masla: Fajr Namaz ki farz se pahle Sunnat aur Nafal jitni chayen padh sakte hain.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 4 Comments

  1. Syed Abid Quadri

    Mashaallah,bahut achchha,Jazakallah

  2. Sahar waseem shah

    Masha Allah bht zabardst tareeka apne sikhaya hai, bhai aur bahut hi achchi tarha sikhaya hai Allah apko tarakki dey Ameen Jazak Allah Wa Khaira.

  3. Rafeek khan Kayamkhani

    Massallha, allha appko sehat mand banaye, or aap ki rozi me Barkat de, appne bhot acha nek kaam kia, aur achche Traika se shikaya.

Leave a Reply