namaz ki fazilat

Namaz Ki Fazilat, Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf, Namaz Ki Ahmiyat

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:September 30, 2021
  • Reading time:14 mins read

Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Author: Mantasha Arif Ghazi Aligarh

Eaman ke baad islam ka ahem tareen rukn namaz he. Quran kareem or ahaadeese shareefa me namaz ke fazail aur iski ahmiyat ko kasrat se bayan kiya gya he. Namaz ko qaym karne per bhut bade bade wade or namaz ko chhodne per sakht se sakht wa eeden warid hui hen.

 Nabi sallallahu alayhi wasallam paanch namazo ke alawa  Namaze Tahajjud Namaze Ishraq Namaze Chaasht Tahayyatul Wuzoo or Tahayyatul Masjid ka bhi ehtmam karte thhe.

Aur phir khas khas mawaqe per apne rab ke huzoor toba w istaghfar ke liye namaz hi ko zariya banate the.

Suraj Garhan ya Chaand Garhan hota to ap sallallahu alayhi wasallam masjid tashreef le jate thhe.

Zalzala aandhi ya toofan yahan tak ke tez hawa bhi chalti to masjid tashreef le ja ker namaz me mashghool ho jate thhe.

Faaqe ki nobat ati ya doosri koi takleef ya pareshani pahunchti to ap masjid tashreef le jate. Jab safar se apki wapsi hoti to masjid tashreef le ja ker namaz adaa karte.

Isliye hame bhi chahiye ke ham namaz ka khas ehtmam karen. Neeche Namaz ki ehmiyat iski fazeelat or manafe(fayde) se mutalliq kuchh aayate kareemah or ahadeese shareefa zikr ki ja rhi hen:

Namaz Ki Fazail Quran Kareem Ki Aayat Ki Roshni Me

Ey eaman walo! Sabr or namaz ke zariye madad chaho, beshak allah rabbul izzat sabr karne walo ke sathh hn.(sureh baqra: 153)

Jo kitab ap per wahi ki gyi he use padhiye or namaz qaym kejiye, yaqeenan namaz burayi or be hayayi se rokti he.(sureh al ankaboot: 45)

Allah rabbul izzat ne farma diya ke me tumhare sathh hu agar tum namaz qaym rakhoge or zakaat dete rahoge.(sureh Al maaydah: 12)

Aur agar koi pareshani ya museebat aye to namazo ki adaygi or sabr ke zariye se allah rabbul izzat se madad mangen, ye cheez mushkil or bhari he magar allah rabbul izzat se darne walo ke liye nahi.(sureh al baqra: 45)

yaqeenan in eaman walo ne falaah(kamyabi) payi jo apni namaz me khushoo karte hen…..or jo apni namazon  ki khabar rakhte hen yahi wo waris hen jo (jannat) al firdos ke waris honge jahan wo hamesha rahenge.(sureh al mominoon 1-11)

 haqeeqat ye he ke insan bhut kam hosla peda kiya gya he.jab use takleef pahunchti he to khoob ghabraahat zahir karta he, or jab iske pas khush haali ati he to bhut bakheel(kanjoos) ban jata he.magar wo namazi ese nhi hen. Jo apni namaz ki hamesha paabandi karte hen.or jo apni namaz ki poori poori hifazat karne wale hen. Yahi log jannaton me izzat wale honge.(sureh al ma aarij 19…35).

Namaz Ki Fazilat Ahaadees Ki Roshni Me

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he, rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: qayamat ke din Aadmi ke aamal me sabse pehle farz namaz ka hisab liya jayga. Agar namaz durust hui to wo kamyab hoga or agar namaz durust na hui to wo nakam or khasare(nuqsan)me hoga.( sunane tirmizi :413, sunane nisayi: 465, sunane ibne maja: 1425)

Hazrat Abdullah Bin Masood farmate hen ke mene rasool sallallahu alayhi wasallam se poochha ke Allah ko konsa amal zyada mehboob he? apne farmaya: namaz ko uske waqt pe adaa karna.mene kaha ke iske baad allah ko konsa amal zyada pasand he? to apne farmaya: waleden ki farma bardari.mene kaha ke iske baad konsa amal allah ko zyada mehboob he? to apne farmaya: allah ke raste me jihad karna.( saheeh bukhari: 2782. saheeh muslim: 85)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya” agar tumhare ghar ke samne koi neher behti ho to tum me se koi her roz 5 bar isme ghusul kare to kiya iske badan per koi mail kuchail baqi bachega? Sahaba kiram ne kaha: nahi iske badan per koi mail nahi hoga.ap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya yahi misal 5 namazo ki he, allah rabbul izzat inke zariye gunaho ko mita deta he.( saheeh bukhari: 528 saheeh muslim:667)

Hazrat Anas se riwayat he rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya jo shakhs musalsal( lagataar) 40 roz tak takbeer oola ke sathh namaz padhta raha to allah ta aala iske liye 2 azadiyan likh deta he 1 jahannam se azadi 2 munafiqat se azadi.(sunane tirmizi: 241, shu abul eeman: 2615)

Hazrat Abu Malik ash ari se riwayat he rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: namaz noor he sadqa daleel he sabr karna roshni he or quran tumhare haq me daleel he ya tumhare khilaf daleel he( yaani agar iski tilaawat ki or is per amal kiya to ye tumhari nijat(bachao) ka zariya hoga warna tumhari pakad ka zariya hoga) ( saheeh muslim: 223 sunane nisayi: 2437 sunan ibne maja: 280)

Hazrat Abu hurairah se riwayat he rasool sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: saat 7 tarah ke aadmi hen jinko allah ta aala apni(rehmat ke) saye me ese din jagah denge jis din inke saye ke siwa koi saya na hoga.un saat logo me se ek wo shakhs bhi he jiska dil masjid me atka hua ho(yaani waqt per namaz adaa karta ho) (saheeh bukhari: 660 saheeh muslim:1031)

Hazrat muaaz bin jabl farmate hen ke me ek safar me nabi sallallahu alayhi wasallam ke sathh thha.ek din me apke qareeb thha ham sab chal rhe thhe.mene kaha: ey allah ke peghambar ap mujhe esa amal bata dejiye jiski badolat me jannat me dakhil ho jaun or jahannam se door ho jaun.apne farmaya tumne badi baat poochhi he.lekin ye allah jiske liye asan karde usi ke liye asan he.allah ki ibaadat karo uske sathh kisi ko shareek na kro namaz qaym karo zakaat do ramzan ke roze rakho or allah ke ghar ka haj karo.phir apne farmaya ke me tumhe is maamle ki asal iska sutoon iski azmat na bata du? Mene kaha zrur bata den ya rasoolullah. apne farmaya: maamle ki asal islam  he iska sutoon namaz he or iski azmat(bulandi) allah ke raste me jihad karna he.( sunane tirmizi: 2616, sunan ibne maja: 3973 shu abul eeman:2549)

Hazrat ouf bin malik ashjaee farmate hen ke ham rasool sallallahu alayhi wasallam ke pas bethhe hue thhe apne farmaya allah ke rasool se be at nahi karte? apne teen martaba is baat ko kaha to hamne apne haathh be at ke liye badha diye or be at ki.hamne kaha: ey allah ke rasool ! hamne kis cheez per be at ki? to apne farmaya: sirf allah ki ibadat karo uske sathh kisi ko shareek na karo or namazo ki pabandi karo. Iske baad dheere se kaha :logo se kisi cheez ka sawal na karo(mango) (saheeh muslim:1043, sunane nisayi: 460, sunan ibne maja:2867)

Hazrat abdullah bin amar bin aas se riwayat he ke ek din nabi sallallahu alayhi wasallam ne namaz ka zikr farmate hue irshad farmaya:jo shakhs namaz ki paabandi karta he to namaz uske liye qayamat ke din noor hogi is(poore imaandar hone ki)ki daleel hogi or qayamat ke din azab se bachne ka zariya hogi. Or jo shakhs namaz ka ehtmam nahi karta iske liye qayamat ke din na koi noor hoga na is(poore imaandar hone ki)ki koi daleel hogi na azab se bachne ka koi zariya hoga. Or wo qayamat ke din firon haman qaroon or ubayi bin khalf ke sathh hoga.(sunane darmi: 2763 musand e ahmad: 6573, saheeh ibne hibban: 1467)

Hazrat Obada bin saamit se riwayat he ke nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: Allah ta aala ne apne bando per 5 namazen farz farmayi hen jo in namazo ko (qayamat ke din)is tarah lekar aye ke inme laa parwahi se kisi qism ki koi kotahi na ki ho to allah ta aala qayamat ke din is bande se ehed karke isko jannat me dakhil farmaynge or jo shakhs in namazo ko is tarah lekar aye ke inme laaparwahiyon se kotahiyan ki hon to allah ka isse koi ehed nahi chahe isko azab den chahe maaf farma den.(mota imam malik:14. sunane abu daud: 425, Sunan nisayi: 461)

Hazrat Anas bin Malik farmate hen ke Allah ke nabi per meraj me 50 namazen farz huin fir kam hote hote 5 reh gayin.Akhir me (Allah ta aala ki taraf se) elaan kiya gaya ke ey muhammad mere yahan baat badli nahi jati lihaza 5 namazo ka sawab 50 namazo ke barabar hi milega.(sunane tirmizi: 213, sunane nisayi: 449, sunane ibne maja:1399)

Hazrat Robayy bin kaab aslami farmate hen ke me huzoor sallallahu alayhi wasallam ke pas (apki khidmat ke liye) raat guzarta thha ek din mene wuzoo ka pani or zarurat ki cheezen pesh kin.apne farmaya kuchh sawal karna chahte ho to karo.mene kaha: me chahta hu ke jannat me apke sathh rahun.apne farmaya iske alawa kuchh or mene kaha nahi bas yahi.apne farmaya ke apni khahish ki takmeel ke liye zyada se zyada sajde karke mery madad karo.(yaani namaz ki pabandi se hi  ye khahish poori hogi).(saheeh muslim: 489, sunane abi daud: 1320, sunane nisayi:1138)

Note: Allah ke wo bande khush naseeb hen jo is duniyawi zindgi me namaz ki pabandi karke jannatul firdos me tamam nabiyon ke sardaar Hazrat muhammad sallallahu alayhi wasallam ki muwafqat hasil karenge.

Hazrat Amar apne walid or wo apne dada (hazrat abdullah bin amar bin aas) se riwayat karte hen ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya.apne bachcho ko 7 saal ki umar me namaz ka hukm do.or 10 saal ki umar me namaz na padhne per inhe maro ,or is umar me inhe aledah aledah bistaro per sulao.(sunan abu daud:495.sunan dar qutni: 887.musand  e ahmad: 6689.)

Note waliden(parents) ki zimmedari he ke jab bachcha 7 saaal ka ho jaye to uski namaz ki hifazat karen or 10 saal ki umar me namaz na padhne per pitayi bhi karen taake baaligh hone se pehle pehle namaz ka paband ho jaye or baaligh hone ke baad iski 1 namaz bhi na chhoote kiu ki 1 time ki namaz jaan boojh ker chhodne per Ahaadees me sakht sakht waeeden warid hui hen.balke kuchh ulama ki raay se to wo islam se nikal jata he.

Hazrat Umar Bin Khattab ne apne governors ko ye  hukm jaari kiya ke mere nazdeek tumhare umoor me sabse zyada ehmiyat namaz ki he .jisne namazo ki pabandi karke inki hifazat ki usne poore deen ki Hifazat ki or jisne nanaz ko zaya(chhoda) kiya to wo deen ke dusre arkaan ko or zyada chhodne wala hoga.(moatta imam malik: 6)

Note: Hazrat Umar Farooq ke is farman se saaf maloom hota he ke jo shakhs namaz me kotahi karta h wo yaqeenan deen ke dusre kamo me bhi susti karne wala hoga.or jisne waqt per khushoo or khuzoo ke saathh namaz ka ehtmam kar liya wo yaqeenan poore deen ki Hifazat karne wala hoga.

Hazrat Muaaz Bin Jabal farmate hen ki: rasool sallallahu alayhi wasallam ne mujhe yaman bheja to irshad farmaya: tum ese logo ke pas ja rhe ho jo ehle kitab (toret/zaboor ko manne wale) hen. lihaza sabse pehle inko is baat ki dawat dena ke allah ke siwa koi mabood nhi or me allah ka rasool hu. Jab is baat ko manlen to inhe batao ke allah ta aala ne in per (musalmano)per rozana 5 namazen farz ki hen .(saheeh bukhari: 1395. Saheeh muslim: 19)

Hazrat Hanzala se riwayat he. Rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke jo shakhs paancho namazo ki is tarah pabandi kare ke wuzoo or times ka ehtmam kare.rukoo or sajda achchhi tarah se kare or is tarah namaz padhne ko allah ta aala ki taraf se apne zimme zruri samjhe  to is aadmi per jannat wajib ho jaygi.(musand e ahmad: 267/4)

Hazrat Umme Salma farmati hen ke nabi sallallahu alayhi wasallam ne akhri wasiyat ye farmayi. Namaz Namaz apne ghulamo(ma tahat jin per tumhe qudrat hasil ho)ke bare me allah se daro yaani inke huqooq adaa karo.jis waqt apne ye wasiyat farmayi apki zaban mubarak se poore Alfaaz nahi nikal rahe thhe.(musand e ahmad: 311/6)

Hazrat Jabir Bin Abdullah se riwayat he farmate hen. Nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: jannat ki kunji(key) Namaz he or namaz ki kunji paaki(wuzoo) he. (sunane tirmizi: 4, Musand e  ahmad:14662, shu abul eeman: 2455)

Hazrat Anas Bin Malik se riwayat he ke Nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: mery Aankhon ki thhandak Namaz me rakhi gayi he.(sunane nisayi: 3939, musand e ahmad:12293, Mustakhraj abee awaana: 420)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: jab tak tum apne musalle per ho is wqt tak farishte rehmat ki Duayn karte rehte hen.jab tk ke wo namazi be wuzoo na ho jaye.(saheeh Bukhari: 3229, saheeh muslim:649)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he ke nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ke jo namazo ki hifazat kare to paancho namazen or jume ke baad dusra juma padhna gunaho ka kaffaarah ban jata he bashar teka(shart ye he) kabeerah gunaho ka irtikaab na kare. (saheeh muslim:233, Sunanut tirmizi: 214)

Hazrat Abu Moosa ashari se riwayat he nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo shakhs 2 thhandi namazen padhe to Allah rabbul izzat use jannat me dakhil farmaynge.(fajar or asar) (saheeh bukhari: 574, saheeh muslim: 635)

Hazrat Usman bin Affaan se riwayat he Nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo shakhs ishaa ki namaz ba jamat adaa kare to goya wo  aadhi raat qayam karta raha. or jo shakhs fajar ki Namaz ba jamat padhta he to goya usne sari raat qayaam kiya he. (saheeh muslim: 656, sunane abi daud: 555, sunane tirmizi: 221)

Hazrat Aysha se riwayat he nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: fajar ki 2 rakaat(sunnaten) duniya wa maa feeha (yaani ke duniya me jo kuchh bhi he sabse) behtar hen.(saheeh muslim: 725, Sunane tirmizi: 416)

Hazrat Abu Umama se riwayat he nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo shakhs fajar ki namaz ba jamat hoker padhta he  phir bethh ker zikre ilaahi(Allah rabbul izzat ka zikr ) karta he yahan tak ke suraj tuloo ho jaye(nikal aye) phir 2 rakat nifil padhta he to iske liye haj w umre ka sawab likh diya jata he.ap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya mukammal mukammal yaani poora poora ajro sawab milega. (mojame kabeer imam tibrani: 7741, targheeb w tarheeb imam munziri: 672)

Hazrat Umme Habeeba se riwayat he nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: ke jo shakhs her roz 12 rakaat nifil  (yaani sunnaten) padhega to Allah rabbul izzat uske liye jannat me ek ghar banaynge.(saheeh muslim:728. Sunan abu daud:1250, sunane tirmizi: 415)

Hazrat Ubada bin Saamit se riwayat he nabi sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo shakhs Allah ke liye ek sajdah karta he to Allah uske liye ek neki likh deta he ek gunah mita deta he or ek darja buland kar deta he so tum kasrat(zyada se zyada) se sajde karo.(sunan ibne maja:1424, musand e baraz: 2705)

Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply