Tahajjud-ki-Namaz

How To Perform Tahajjud Prayer in Roman Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:1 Comment
  • Post last modified:March 4, 2018
  • Reading time:5 mins read

What Is Tahajjud Prayer?

Raat ke aakhri hisse me uth kar namaz padhne ko Tahajjud kahte hain. Yah  namaz sunnat hai, yah aisi nafal namaz hai jo tamam nafal namazon se badh kar hai, Quran o hadees me is namaz ka bada sawab hai.

Quran  Me Tahajjud Ki Fazilat

Quran Shareef me ek jagah aaya hai ki:

{وَعِبَادُ الرَّحْمَنِ الَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى الْأَرْضِ هَوْنًا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ الْجَاهِلُونَ قَالُوا سَلَامًا وَالَّذِينَ يَبِيتُونَ لِرَبِّهِمْ سُجَّدًا وَقِيَامًا} [الفرقان: 63، 64]

Translation:  Aur  rahman ke khas bande wah wah hain jo zameen par tawazo o inkisari ke sath chalte hain (akad aur gurur aur ghamand se nahi chalte) aur jab jahil log un se baat cheet karte hain to wah kah dete hain: khair.  (un ki baton ko care nahi karte) Aur raton ko apne allah ke samne sajda aur qayam me lage rahte hain (yani namaz padhte hain). (AL Furqan: 63, 64).

Ek dosri jagah Allah tala farmate hain:

{وَمِنَ اللَّيْلِ فَتَهَجَّدْ بِهِ نَافِلَةً لَكَ عَسَى أَنْ يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَحْمُودًا} [الإسراء: 79]

 Translation: Ai Nabi aap raat me tahajjud padhiye , yah aap ke liye nafal hai (yani fayde ki cheez hai) (AL Isra: 79)

Hadison Me Tahajjud Ki Fazilat

 عَنْ بِلاَل بْنِ رَبَاحٍ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: “عَلَيْكُمْ بِقِيَامِ اللَّيْلِ فَإِنَّهُ دَأَبُ الصَّالِحِينَ قَبْلَكُمْ، وَإِنَّ قِيَامَ اللَّيْلِ قُرْبَةٌ إِلَى اللهِ، وَمَنْهَاةٌ عَنِ الإِثْمِ، وَتَكْفِيرٌ لِلسَّيِّئَاتِ، وَمَطْرَدَةٌ لِلدَّاءِ عَنِ الجَسَدِ”. رواه الترمذي في سننه (3549)، والبيهقي في شعب الإيمان(2823)

Translation: Hazrat Blilal bin Rabah se riwayet hai ki Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Tahjjud padh karo yah salf e salihee (yani achhe logon ) ka tarika hai, aur tahjjud ki namaz allah ke Qareeb hone ka zaria hai, aur tahajjud gunah se rokne wali hain, aur khataaon aur galtiyon ko mitane wali hai, aur jismani bimari ko door karne wali hai.” (Tirmizi Shareef Hadees No: 3549, Shuabul imaan Hadees No: 2823).

Isi fazilat ki wajah se aap (S A W) tahajjud ya raat me namaz bahut badhte the jaisa ki Bukhari ki ek riwayet se maloom hota hai:

عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا: أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَقُومُ مِنَ اللَّيْلِ حَتَّى تَتَفَطَّرَ قَدَمَاهُ، فَقَالَتْ عَائِشَةُ: لِمَ تَصْنَعُ هَذَا يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَقَدْ غَفَرَ اللَّهُ لَكَ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِكَ وَمَا تَأَخَّرَ؟ قَالَ: “أَفَلاَ أُحِبُّ أَنْ أَكُونَ عَبْدًا شَكُورًا”.  رواه البخاري في صحيحه (4837).  

Translation: Hazrat Aisha (R Z A) farmati hain ki: Nabi kareem (S A W) raat ko namaz me bahut der tak khade rahte the, jis ki wajah se aap ke qadam sooj jate the, hazrat Aisha ne kaha ki: ai allah ke rasool aap itni der namaz kyon padhte hain, jab ki allah ne aap ke agle pichhle tamam gunahon ko bakhsh diya hai? Is ke jawab me aap ne farmaya: “ai Aisha kya mai shukr guzar banda banna pasand na karun”. (Sahih Bukhari Hadees No: 4837).

Tahajjud time

Tahjjud ki namaz ka sab se behtar waqt raat ka aakhiri hissa hai, kyon ki usi waqt har roz allah tala duniya ke aasman par aate hain aur dua mangne wale ki dua ko qubool karte hain. Yah bilkul sahih hadees se sabit hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ” يَنْزِلُ رَبُّنَا تَبَارَكَ وَتَعَالَى كُلَّ لَيْلَةٍ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا حِينَ يَبْقَى ثُلُثُ اللَّيْلِ الآخِرُ يَقُولُ: مَنْ يَدْعُونِي، فَأَسْتَجِيبَ لَهُ مَنْ يَسْأَلُنِي فَأُعْطِيَهُ، مَنْ يَسْتَغْفِرُنِي فَأَغْفِرَ لَهُ “.  متفق عليه.  ( صحيح البخاري: 1145، صحيح مسلم: 758).

Translation: Hazrat Abu Huraira se riwayat hai ki Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “hamara parwardigar har raat ke aakhiri tihayai hisse me Duniya ke aasman par aata hai aur farmata hai ki: hai koyi dua karne wala mai us ki dua ko qubool karun? Hai koyi mangne wala mai us ko dun? Bakhshish aur magfirat ko talab karne wala kaun hai jis ki mai maghfirat karun. Aur yah silsila subah sadiq tak rahta hai”. (Bukhari Shareef Hadees No: 1145, Muslim shareef Hadees No: 758).

Tahajjud Prayer Rakats aur Padhne ka tarika

Tahajjud ki rakats 4 se lekar 12 tak hain, in me se jitna padh sake padhe. Do(2)  do(2) rakat ki niyat bandhe, taki us hadees par amal ho jaye jis aaya hai ki: “Raat ki namaz 2, 2 rakats hai: “صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى  (Bukhari : 990, Muslim: 749). Agar Quran Shareef Zabani zada yaad ho to behtar yah hai ki  rakats lambi hon. Kyon ki hadison me app (S A W) ke bare aisa hi aaya hai:

عَن عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ عَنها قَالَتْ: مَا كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلَا فِي غَيْرِهِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً، يُصَلِّي أَرْبَعًا، فَلَا تَسْأَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا، فَلَا تَسْأَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلَاثًا،… إلى آخر الحديث. متفق عليه. (صحيح البخاري: 3569، صحيح مسلم: 738).

Translation: Hazrat Aisha (R Z A) farmati hain ki Rasulullah (S A W) Ramazan aur dusre month me 11 rakats se zada na padhte the, aap 4 rakats padhte jin ke husn o tool ka kya kahna (yani  khoob acchhi tarah se aur lambi padhte) us ke baad 4 rakats isi tarah padhte, phir 3 rakats witr padhte……(Bukhari Hadees No: 3569, Muslim: Hadees No: 738).

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has One Comment

  1. Mufti jawed qasmi

    ماشاءاللہ، بہت خوب۔ اللہ تعالیٰ قبول عام عطا فرمائے۔

Leave a Reply