Dear friends! is article me hum aap ko islam ke kalmon ke bare me batane wale hain, in kalmon ko jaan na har musalman ke liye zaruri hai, in kalmon ka roman Urdu, Hindi, English me batayen ge, aur unka translation bhi karen ge
First kalma In Arabic
لا اله إلا اللهُ محمدُ رسولُ اللهِ.
Pehla Kalma Tayyab In English
“LA ILAHA ILLALLAHU MUHAMMADUR RASULULLAH”.
First Kalma Translation In Urdu
Allah ke elawah koyi ibadat ke layeq nahi, aur Mohammad (S A W) allah ke rasool hain.
Second Kalma Shahadat
أَشْهدُ أنْ لا اله إلا اللهُ، وأشهدُ أنّ! محمدًا عبدُه ورَسُولُهُ.
Dosra Kalma In English
“ASHHADU ALLAYILAHA ILLALLAHU, W ASHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU W RASULUHU”.
Dosra Kalma Translation In English
Mai gawahi deta hun ki allah ke siwa koyi mabood nahi, aur gawahi deta hun ki Mohamad (S A W) allah ke bande aur us ke rasool hain.
3th Kalma Tamjeed
سُبْحَانَ اللهِ، والْحَمْدُ للهِ، ولا إلهَ إلًّا اللهُ، والله أكبرُ، ولا حَولَ ولاَ قُوَّةَ إلاّ بِالله الْعَلِيِّ العَظِيمِ.
Teesra Kalma In English
“SUBHANALLAHI, WALHAMDU LILLAHI, W LAYILAHA ILLALLAHU, WALLAHU AKBAR, WLA HAULA WAL QUWWATA, ILLAH BILLAHIL ALIYYIL AZAEEM”.
Translation: Allah ki zaat pak hai, aur sab tarifen allah ke liye hain, aur allah ke siwa koyi mabood nahi, aur allah sab se bada hai, aur allah ke begair koyi koshish aur taqat kuchh bhi kaam nahi aati.
4th Kalma Tauheed
لا إلهُ إلا اللهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ، له المُلْكُ، وله الحمدُ، يُحْيِ ويُميتُ، وهو الحيُّ لا يَموتُ أبداً أبداً، ذُو الجَلاَلِِ والإكرامِ، بيده الخيرُ، وهُوَ عَلىَ كُلِّ شَيءٍ قَدِيرٍ.
Chautha Kalma In English
“LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU, LA SHARIKA LAHU, LAHUL MULKU, WLAHUL HAMDU, UHYI W UMEETU, WAHUA HAYYUL LA YAMOOTU, ABADAN ADABAN, ZUL JALALI WAL IKRAAM BIYADIHIL KHAIRU, WAHUA ALA KULLI SHAIYIN QADEER”.
Translation: Allah ke elawa koyi mabood nahi, wah akela hai, us ka koyi shareek nahi, usi ke liye badshahat hai, usi ke liye sab tarifen hain, wahi marta hai, wahi jilata hai, wah zinada hai, kabhi mar nahi sakta, hamesha hamesh, wah badayi aur buzurgi wala hai, usi ke hath me sari bhalayi hai, wah har cheez par qadir hai.
5th Kalma Istigfaar
أستغفرُ اللهَ رَبيِّ مِنْ كُلِّ ذَنْبٍ أَذْنَبْتُهُ، عَمَداً أو خَطَأً، سِرّاً أو عَلَانيةً، وأَتُوبُ إِلَيْهِ مِنَ الذَنْبِ الّذِي أَعْلَمُ، وَمِنَ الذَنْبِ الذَي لَا أَعْلَمُ، إنَّكَ أَنْتَ عَلَّامُ الغُيُوبِ، وَسَتَّارُ الْعُيُوبِ، وَغَفَّارُ الذُّنُوبِ، وَلاَ حَولَ ولَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ العَلِيِّ العَظِيمِ.
Panchwan Kalma In English
“ASTAGFIRULLAHA RABBI MIN KULLI ZAMBIN AZNABTUHU, AMADAN AU KHATAAN, SIRRAN AU ALANIYYATAN, W ATUBU ILAIHI NIMAZZAMBIL LAZI AALAMU, W MIZZAMBIL LAZI LA AALAMU, INNAKA ANTA ALLAMUL GHUYUOOBI WSATTARUL UYUOOBI W GAHAFFARUZZUNOOBI, WALA HAULA WALA QUWWATA ILLAH BILLAHIL ALIYYIL AZEEM”.
Translation: Mai allah tala se apne sare gunaahon se mafi maangta hun: chahe wah gunaah mai ne jaan boojh kar kia ho, ya galti se, chhup kar kia ho ya sab ke samne kia ho, main un gunaahon se maafi mangta hun jik ko mai janta hun, aur un gunaahon se bhi jin ko mai nahi janta, beshak allah tala gaib ki baton ko jaan ne wala hai, aur aibon aur burayiuon ko chhupane wala hai, aur gunaahon ko maaf karne wala hai, aur allah tala ke begair koyi taqat aur koshish kaam nahi karti.
6th Kalma Radd e Kufr
أللهم إني أعوذ بك من أن أشرك بك شيئاً وأنا أعلم به، وأستغفرك لما لا أعلم به، تبتُ عنه، وتبرّأتُ من الكفر والشركِ، والكذبِ، والغِيبةِ، والبدعةِ، والنّميمَةِ، والفواحشِ، والبُهْتَانِ، والمَعاصي كلها، أسلمتُ وآمنتُ وأقول: لا إله إلا الله، محمد رسول الله.
6th Kalma In English
“ALLAHUMMA INNI AAUZU BIKA MIN AN USHRIKA BIKA SHIAN, W ANA AALAMU BIHI, W ASTAGFIRUKA LIMA LAA AALAMU BHI, TUBTU ANHU W TABARRATU MINAL KUFRI, WASHSHIRKI, WLA KIZBI, WAL GHEEBATI, WAL BIDATI, WANNAMIMATI, WAL FAWAHISHI, WALBUHTAAN, WAL MAASI KULLIHA, ASLAMTU W AAMANTU, W AQOOLU: LA ILAHA ILLALLAHU, MUHAMMADUR RARULULLAH”.
Translation: Ai allah mai teri panaah chahta hun is baat se ki jaan boojh kar tere sath kisi ko shareek karun, (yani tere sath aur kisi ko mabood manu) aur mai tujh se maafi maangta hun un gunaahon se jin ko mai nahi jaanta, mai un se toba katra hun, aur mai Kufr, aur Shirk se, Jhoot aur geebat se, aur bidaat, chugul khori aur buhtan se, behayi se, aur tamam gunaahon se mai baraat zahir karta hun, mai msalman ho gaya, mai monin ho gaya, aur mai khahta hun: allah ke siwa koyi mabood nahi, aur Mohammad (S A W) allah ke rasool hain.
Imaan Mufassal
آمنتُ بالله وملائكته وكتبه ورُسُلهِ، واليوم الآخِرِ، والقدرِ خيره وشره من الله تعالى والبعثِ بعد الموت.
Imaan Mufassal In English
AAMANTU BILLAHI W MALAYIKATIHI, W KUTUBIHI, W RUSULIHI, WAL YAUMIL AAKHIRI, WAL QADRI KHAIRIHI W SHARRIHI, MINALLAHI TAALA WAL BAASI BAADAL MAUT.
Translation: Mai imaan laya allah par, us ke sare farishton par, aur qayamat ke din par, aur is baat par ki achchhi aur buri taqdeer allah ki taraf se hoti hai, aur marne ke baad dobara zinda hone par.
Imaan Mujmal
آمنتُ بالله كما هو بأسمائه وصفاته وقبلتُ جميعَ أحكامه.
Imaan Mujmal In English
AAMANTU BILLAHI KAMA HUA BIASMAYIHI, W SIFATIHI W QABILTU JAMEEA AHKAMIHI.
Translation: Mai Imaan laya allah par us ke tamam naamon aur sifaton ke sath, aur mai ne us ke tamam hukmon ko qabool kia.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
SUBHANALLAH BAHUT HI KHUBSOORATI KALME K TARJUMA K SAATH BATAYA HAIN BACHCHU KU ACHCHE SE SMJHNE K LIYE ALLAH PAK HUM SAB KU KEHNE SUNNE SE ZYADA AMAL KRNE KI TUFIK DE OR AP ISEHE HI USEFUL B
TOPIC BATATE RAHE JAZAKALLAH KHAIR
Salam Alikum,
Team Islam online please make correction in First Kalma. its written wrong in Arabic. please be careful
Thank for correction
Ya allah
Allah hu akbar
mashaallah aap ne kalma e tauheed ke baare me achi jankari dee hain allah aap ko barkat de jab tak ye comment rahe hamara.
Alhamdulillah Aapne bahut achche se sare kalme ki tarteeb di hai khusoosan aapne English aur Urdu me translate karke bahut asani kar diya hai. Allah taala se dua hai ki aapki koshish aur mahnat ko qubool farmaye ameen.