Kin-Cheezon-Se-Wazu-Toot-Tata-Hai

Kin Cheezon Se Wazu Toot Jata Hai?

Wazu karne ke tarike me hum wazu ahmiyat aur us ki fazilat bata chuke hain, ab is article me hum wazu ko break ya todne wali cheezon ke bare me batayen ge:

8 Tarah Ki Cheezen Aisi Hain Jin Se Wazu Toot Jata Hai:

(1) Agle aur pichhle private part se natural way me kisi cheez ka exit hona, for example: Peshaab, Pakhana, Hawa, Mani, Mazi, Wadi otherwise.

Mazi ke bare hum wazu ke tarike me hum bata chuke hain.

Wadi: Peshaab ke baad agle private part se nikalne wali white cheez ko kahte hain.

hawa ke about Bhukari Shareef ki ek riwayat me is tarah aaya hai ki:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ يَزَالُ العَبْدُ فِي صَلاَةٍ مَا كَانَ فِي المَسْجِدِ يَنْتَظِرُ الصَّلاَةَ مَا لَمْ يُحْدِثْ» فَقَالَ رَجُلٌ أَعْجَمِيٌّ: مَا الحَدَثُ يَا أَبَا هُرَيْرَةَ؟ قَالَ: الصَّوْتُ يَعْنِي الضَّرْطَةَ (صحيح البخاري: 176)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S  A W) ne farmaya ki: “Masjid me namaz ka wait karne wale ko namaz ka sawaab milta rahta hai, jab tak us ko “Hadas” na jo jaye, yani us ka wazu toot na jaye”, ek baahar ke aadmi ne Abu Hurairah se poochha ki yah “Hadas”  kya hai? unhono ne bataya hawa ka niklna. (Sahih Bukhari: 176)

(2) unnatural way me agle ya pichhle private part se kisi cheez ka nikalna, for example: aurat ko period ke otherwise bleeding hona, keeda, kankar  wgairah ka niklna.

(3) Body ke kisi part se nijasat ya napaki ka niklna, for example: khoon, peep, mawaad, ya bimari ki wajah se napak pani.

(4) Muh bhar ke “Qai” karna.

عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ: أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَاءَ، فَتَوَضَّأَ. (سنن الترمذي: 87).

Hadees Ka Matlab: Rasulullah (S A W) ko qai ya ulti huyi jis ki wajah se aap ne wazu kia, pata chala ki qai ya ulti se wazu toot jata hai. (Sunanut Tirmizi: 87)

(5) Sahara ya tek laga kar sona.

(6) Behoshi, Pagalpan, aur Nasha.

(7) Ruku Sajda wali Namaz me zor zor se hansna.

(8) Mubasharte Fahisha, yani bila kisi parde ya rukawat ke private part ka private se milana, chahe mard ka aurat se ho, ya mard ka mard se, ya aurat ka aurat se.

किन चीज़ों वजू टूट जाता है?

आठ चीज़ों से वजू टूट जाता है:

  1. अगले और पिछले प्राइवेट पार्ट से नेचुरल वय में किसी चीज़ का निकलना,जैसे: पेशाब, पाखाना, हवा, मणि, मज़ी, आदि।
  2. अप्राकृतिक तरीके से अगले या पिछले प्राइवेट पार्ट से किसी चीज़ का निकलना जैसे: औरत को पीरियड के इलावा ब्लीडिंग होना, कीड़ा कंकर आदि का निकलना।
  3. बॉडी के किसी पार्ट से निजासत या नापाकी का निकलना, फॉर एक्साम्प्ले: खून, पीप, मवाद, या बीमारी की वजह से नापाक पानी.
  4. मुंह भरके कै करना।
  5. सहारा या टेक लगा कर सोना।
  6. बेहोशी, पागलपन, और नशा।
  7. रुकू सज्दा वाली नमाज़ में ज़ोर ज़ोर से हँसना।
  8. मुबशारते फाहिशा, यानि बिला किसी परदे या रुकावट के प्राइवेट पार्ट का प्राइवेट से मिलाना, चाहे मर्द का औरत से हो, या मर्द का मर्द से, या औरत का औरत से।

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 4 Comments

  1. Essa

    Assalamu alekum.
    Marad ka satar kha tak ha jis se namaz pari gye??

    1. Online Islam

      naaf se lekar ghutne tak

  2. Umar shah

    Nimaz mai hath bandhny k bary mai thora bta dijiye k kahan bandhny chahye seenay pa jaisa ehal e hadees krty hain kuch. zair e naff or kuch loog naaf k uper to in may say kon sa sahi treeka hai ..or ya koi b kr lain bs niat thk to …kia nimaz ho jaye gi
    Reply lazmi kijiye ga bht Muslims ka faida hoga is say InshaAllah

    1. Online Islam

      seene ke uper aur naaf ke neeche hath bandhna: in dono ke bare bare ke hadisen maujood hain, mai hanfi hun aur hanfi naaf ke neeche hath bandhne wali hadees par amal karte hain, aur mera bhi yahi kahna hai ki naaf ke neeche hath bandhna behtar hai

Leave a Reply