Masarif e Zakat

Masarif e Zakat in Urdu Hindi

  • Post author:
  • Post category:Zakat
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 13, 2019
  • Reading time:4 mins read

Zakat Ki Fazeelat Aur Ahmiyat hum pichhle article me jaan chuke hain, aur yah bhi jaan chuke hain ki Zakat Kis Par Wajib Hai? ab agar kisi aadmi par zakat farz ho gayi ho to uske mind me yah sawal paida hoga ki mai zakat kis ko dun? to hamara yah article isi se related hai ki zakat kis ko dena chahiye, ya masarif e zakat kya hai? to aayen sab se pahle hum masarif e zakat ki meaning maloom karen:

yah bhi Arabic word hai is ki meaning yah hai ki hum zakat kis kis ko den, ya wah kaun kaun log hain jin zakat dena sahi hai?

Zakat In Quran

To is ke bare me hame zada sochne ki zarurat nahi hai allah tala ne us ke bare me Sure toba ki ek aayat me puri details bata dia hai, wah aayat aap ke samne hai:

 

{ إِنَّمَا الصَّدَقَاتُ لِلْفُقَرَاءِ وَالْمَسَاكِينِ وَالْعَامِلِينَ عَلَيْهَا وَالْمُؤَلَّفَةِ قُلُوبُهُمْ وَفِي الرِّقَابِ وَالْغَارِمِينَ وَفِي سَبِيلِ اللَّهِ وَابْنِ السَّبِيلِ فَرِيضَةً مِنَ اللَّهِ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ} [التوبة: 60]

Is aayat me 8 tarah ke logon ko zakat dene bare me bataya gaya hai, jin ko hum number wise bayan kar rahe hain:

 

(1) Fuqara: yani aam gareeb log jin ke paas itna maal o daulat nahi jis par zakat wajib hoti hai.

(2) Masakeen: Wah gareeb log jin ke paas apni zarurat puri karne ke liye kuchh na ho, wah bechare bilkul khali hath hon.

(3) Aamileen: Yani islami hukumat ke aise karinde ya kam karne wale jin ko Sadqa, Zakat ki wasooli ke liye bheja jata hai, aise log agarche maaldar hon lekin un ki mehnat aur apna qimti waqt lagane ka muaauza zakat ke paise se dia ja sakta hai, Rusulullah (S A W) ke zamane me yahi dastoor tha.

(4) Riqaab: Yani gulamon aur bandiyon ki aazadi, unko ko gulami se chhutkara dilane ke liye unko zakat di ja sakti hai.

(5) Garimeen: Yani aise Qarazdar ko zakat di jaye jin ke paas apna qarz chukane ke liye paisa na ho.

(6) Fi Sabilillah: yani allah ke raaste me, zada tar ulma yah kahte hain ki: is se murad din ki madad, aur us ki hifazat, aur allah ke kalime ko buland karne wali zaruruyaat hain, jo log is mission me lage huye hain unko bhi zakat di ja sakti hai.

(7) Ibnus Sabeel: Is se murad wah musafir hai jis ko safar ki wajah se madad ki zaurat ho, agarche apne watan me us ke paas maal o daulat ho, aur ghar se Immediately paisa mangana mushkil ho.

(8) Muallafatul Quloob: Yani aise log jin ko Huzoor (S A W) ke zamane me islam ki taraf maayel karne , ya New Muslims ko islam par jamane ke liye unki dil joyi ke liye zakat di jati thi, lekin baad me yah hukm khatm ho chuka hai, sirf new muslim hone hone ki wajah se unko zakat nahi ji jaye di, yan agar yah log faqueer ya miskeen hon to unko zakat di jaye gi.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply