Ramzan Ki Fazilat

Ramzan Ki Fazilat In Roman Hindi/Urdu

Dear friends! Ramzan ka month bahut hi barkat wala hai, is month ke bare me Quran aur hadees me bahut si fazilaten aayi hain, aur roza rakhne walon ke liye allah tala ki taraf se bahut zada ajr o sawaab milta hai, is article me hum aap ko ramzan ke month ki fazilat ke bare me batane wale hain, aur is mahine me allah ki taraf se us ke bandon ko kya rewards mile ga? us ke related bhi hum aap ko batayen ge, to aayen sab se pahle Ramzan Ki Fazilat se is article ko start karte hain:

Ramzan Ki Fazilat In Quran

﴿شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنْزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ هُدًى لِلنَّاسِ وَبَيِّنَاتٍ مِنَ الْهُدَى وَالْفُرْقَانِ فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ وَمَنْ كَانَ مَرِيضًا أَوْ عَلَى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ أُخَرَ يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ﴾ [البقرة: 185]

 

Translation: Ramzan ke month me Quran nazil kia gaya, jo logon ki hidayat ke liye hai, aur is me hidayat aur furqan ki roshan dalilen hain, jab yah month aa jaye to tum is me roza rakhkho, aur jo aadmi bimaar ho ya safar me ho (wah apna roza iftar kar sakta hai) to baad me us ki qaza kare, allah tala tumhare sath aasani ka mamla karna chahte hain na ki pareshani ka. [Sure Baqrah: 185]

Aayet Ka Matlab

Quran Pak jo Allah Tala ki  sab se muqaddas book hai, jo logon ko sahi rasta batane ke liye hai, yah holy Quran bhi Ramzan ke ba barkat month me nazil hua hai, isi se maloom hota hai ki yah month bahut hi barkat wala hai, warna quran ko kisi aur month me nazil karte.

Ramzan Ki Fazilat In Hadees

عَنْ سَلْمَانَ قَالَ: خَطَبَنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي آخِرِ يَوْمٍ مِنْ شَعْبَانَ فَقَالَ: «أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ أَظَلَّكُمْ شَهْرٌ عَظِيمٌ، شَهْرٌ مُبَارَكٌ، شَهْرٌ فِيهِ لَيْلَةٌ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ، جَعَلَ اللَّهُ صِيَامَهُ فَرِيضَةً، وَقِيَامَ لَيْلِهِ تَطَوُّعًا، مَنْ تَقَرَّبَ فِيهِ بِخَصْلَةٍ مِنَ الْخَيْرِ، كَانَ كَمَنْ أَدَّى فَرِيضَةً فِيمَا سِوَاهُ، وَمَنْ أَدَّى فِيهِ فَرِيضَةً كَانَ كَمَنْ أَدَّى سَبْعِينَ فَرِيضَةً فِيمَا سِوَاهُ، وَهُوَ شَهْرُ الصَّبْرِ، وَالصَّبْرُ ثَوَابُهُ الْجَنَّةُ، وَشَهْرُ الْمُوَاسَاةِ، وَشَهْرٌ يَزْدَادُ فِيهِ رِزْقُ الْمُؤْمِنِ، مَنْ فَطَّرَ فِيهِ صَائِمًا كَانَ مَغْفِرَةً لِذُنُوبِهِ وَعِتْقَ رَقَبَتِهِ مِنَ النَّارِ، وَكَانَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِهِ مِنْ غَيْرِ أَنْ يَنْتَقِصَ مِنْ أَجْرِهِ شَيْءٌ» ، قَالُوا: لَيْسَ كُلُّنَا نَجِدُ مَا يُفَطِّرُ الصَّائِمَ، فَقَالَ: ” يُعْطِي اللَّهُ هَذَا الثَّوَابَ مَنْ فَطَّرَ صَائِمًا عَلَى تَمْرَةٍ، أَوْ شَرْبَةِ مَاءٍ، أَوْ مَذْقَةِ لَبَنٍ، وَهُوَ شَهْرٌ أَوَّلُهُ رَحْمَةٌ، وَأَوْسَطُهُ مَغْفِرَةٌ، وَآخِرُهُ عِتْقٌ مِنَ النَّارِ، مَنْ خَفَّفَ عَنْ مَمْلُوكِهِ غَفَرَ اللَّهُ لَهُ، وَأَعْتَقَهُ مِنَ النَّارِ، وَاسْتَكْثِرُوا فِيهِ مِنْ أَرْبَعِ خِصَالٍ: خَصْلَتَيْنِ تُرْضُونَ بِهِمَا رَبَّكُمْ، وَخَصْلَتَيْنِ لَا غِنًى بِكُمْ عَنْهُمَا، فَأَمَّا الْخَصْلَتَانِ اللَّتَانِ تُرْضُونَ بِهِمَا رَبَّكُمْ: فَشَهَادَةُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَتَسْتَغْفِرُونَهُ، وَأَمَّا اللَّتَانِ لَا غِنًى بِكُمْ عَنْهمَا: فَتُسْأَلُونَ اللَّهَ الْجَنَّةَ، وَتَعُوذُونَ بِهِ مِنَ النَّارِ، وَمَنْ أَشْبَعَ فِيهِ صَائِمًا سَقَاهُ اللَّهُ مِنْ حَوْضِي شَرْبَةً لَا يَظْمَأُ حَتَّى يَدْخُلَ الْجَنَّةَ “. (صحيح ابن خزيمة: 1887)

Translation In Roman Hindi/Urdu

Hazrat Salman Farsi (R Z) se riwayat hai ki Nabi Kareem (S A W) ne Shaban ki aakhiri date ko hum speech dia ki: “Ai logo! Tumhare paas ek azeem aur barkat wala month (Yani ramza ka maheena) aa gaya hai, is mahine ki fazilat bahut zada hai:

  1. Is month ek aisi night hai, jo hazar month ki nights se better hai, yani Shab e Qadr.

  2. Is month ke roze ko allah ne farz kia hai, aur us ki nights me jagne ko nafal Ibadat ka darja dia hai.

  3. Is month me ek nek kaam karne ka sawab ek farz ke barabar milta hai.

  4. Aur ek farz ka sawab 70 farz ke barabar milta hai,

  5. Yah sabr ka maheena hai, aur sabr ka badla Jannat hai.

  6. Yah bhai chare ka month hai.

  7. Is Mubarak maheene me momin bande ki rozi ko badha dia jata hai.

  8. Jo is month me kisi rozedar ko iftar karaye ga, allah tala us ke gunaahon ko maaf kar dete hain, aur wah Jahannam ki aag nijat pa jata hai, aur iftar karne wale rozedar ke ajar o sawab me bhi koyi kami nahi hoti hai.”

Sahaba ne Huzoor (S A W) se poochha: Ai allah ke rasool hum se aksar logon ke paas itna paisa nahi hota hai jis se wah kisi rozedar ko iftar kara sake, to us ko yah sawab kaise mile ga?

Aap (S A W) ne jawab dia: “ Iftar ka sawab us aadmi ko bhi mil jaye ga jis ne kisi rozedar ko ek khujoor khila dia, ya paani ya milk  ka ek glass pila dia.

Yah aisa month hai hai jis ka first part Rahmat hai, aur second part maghfirat hai, ending part Jahannam se aazadi hai,

Jo koyi apne worker rozedaron ko roze ki wajah kaam me chhoot aur aasani dega allah tala us ko bakhsh den ge, jahannam se us ko aazadi ka parwana de den ge.”

Aap (S A W) yah bhi farmaya hai ki: “is month me 4 kaam zada karo.

 

  • Kalma Shahada zada padho.

  • Aur ASTAGHFIRULLAH RABBI MIN KULLI ZAMNIB AZNABTUHU W ATUBU ILAIHI zada padho, allah tala tum se razi ho jayen ge,

  • Allah tala se jannat ka sawal karo.

  • Aur allah se Jahannam se panah mango.”

[Sahih Ibn e Khuzaimah Hadees No: 1887]

Hadees Ka Matlab

Is hadees me ramzan ke month ki jitni bhi fazilat hai wah sab ki sab maujood hai, is me ramzan me ibadat ka sawab, aur ramzan kya karna chahiye? aur ramzan ka badla allah ke bandon ko kya mile ga? sab kuchh is hadees me bataya gaya hai.

 

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” كُلُّ عَمَلِ ابْنِ آدَمَ يُضَاعَفُ، الْحَسَنَةُ عَشْرُ أَمْثَالِهَا إِلَى سَبْعمِائَة ضِعْفٍ، قَالَ اللهُ عَزَّ وَجَلَّ: إِلَّا الصَّوْمَ، فَإِنَّهُ لِي وَأَنَا أَجْزِي بِهِ، يَدَعُ شَهْوَتَهُ وَطَعَامَهُ مِنْ أَجْلِي”. ” لِلصَّائِمِ فَرْحَتَانِ: فَرْحَةٌ عِنْدَ فِطْرِهِ، وَفَرْحَةٌ عِنْدَ لِقَاءِ رَبِّهِ”. (صحيح مسلم: 1151)

 

Translation In Roman: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Ramzan ke month me aadmi ki ibadat ka sawaab 10 guna se 700 guna tak badha diya jata hai, mgar roze ke bare me allah tala fermata hai ki: Roza mere liye hai aur mai hi apne bande ko us ka badla dun ga, mere bande ne mere liye apne khane peene ko chhod dia hai,”.

Huzoor (S A W) ne us ke baad farmaya: “rozedar ke liye 2 khushi ki cheez hai: 1 Iftar ke waqt ki khushi, 2 allah tala se mulaqaat ki khushi”. [Sahih Muslim: Hadees no: 1551]

Hadees Ka Matlab

Roze Ka Sawaab Aur Badla Allah Tala Den Ge

Hadeeson me aata hai ki bandon ki nekiyan aur burayiyan likhne ke liye allah tala ne farishton ko laga rakhkha hai, jo aadmi ki neki aur burayi likhte rahte hain, aur ramzan ke ramzan ke mahine me bhi aisa hi hota hai, magar ramzan ke mahine me ibadat ka sawab 10 guna se 700 guna tak badh jata hai, jis ko farishte band eke nama aamaal me likh dete hain, magar roze ke sawaab ka zimma allah tala ne khud le rakhkha hai, allah tala kitne bade aur kitne meharbaan hain is ke bare me hum aap sooch nahi sakte, phir jab wah hum ko roze ka sawaab den ge to wah sawaab kitna bada hoga us ka hisaab dunya ko koyi bhi calculator nahi  kar sakta.

Rozedar Ki 2 Khushiyan

(1) Rozedaron ki iftar ke waqt ki khushi aisi hoti hai jis ho har rozedar everyday Ramazam me feel karta hai, aur koyi bhi is khushi se boor nahi hota, balki us ko har din iftar ki ek nayi khushi aur maza milta hai, dunya ka koyi bhi kaam 2, 4 baar karne se hum ukta jate hain, us kaam me pahle jaisa maza nahi aata, magar iftar ki aisi khushi hoti hai jis se dunya ka koyi bhi rozedar kabhi bhi boor nahi hota,

Qayamat Ke Din Rozedaron Ko Allah Ka Didar (Allah Ko Dekhna)

(2) Qayamat ke din Imaan walon ki sab se badi khushi allah tala ko dekhne me mile gi, aur dunya me roza rakhne walon ko qayamat me allah ke didar se usi tarah khushi ho gi jis tarah un ko roza iftar ke watq khush hote hain, jab is dunya ki khushi hum iftar me feel karte hain to in shaallah hum ko allah ke didar ki khushi bhizarur mile gi.

Ramzan Me Jannat Ke Door Open Kar Diye Jate Hain

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا دَخَلَ شَهْرُ رَمَضَانَ فُتِّحَتْ أَبْوَابُ السَّمَاءِ، وَغُلِّقَتْ أَبْوَابُ جَهَنَّمَ، وَسُلْسِلَتِ الشَّيَاطِينُ». (صحيح البخاري: 1899، صحيح مسلم: 1079)

 

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jab ramzan ka month strat hota hai to Jannat ke doors ko khol dia jata hai, aur Jahannam ke darwazon ko band kar dia jata hai, aur shaitano ko zanjeeron me jakad dia jata hai”. [Shahi Bukhari Hadees no: 1899, Sahih Muslim Hadees no: 1079]

Hadees Ka Matlab

Aisa Razman ke month ko izzat dene aur us ke ekraam me kia jata hai, taki allah ke bande shaitani chalon se mahfooz ho kar allah ki ibadat Karen.

Ek Important Question

Yahan par ek aham aur zaruri question yah hai ki jab tamam shaitano ko allah tala band kar dete hain to ramzan me kisi bhi aadmi ko gunaah nahi karna chahiye? Jab ki hum dekhte hain ki gunaah karne wale ramzan ke month me bhi gunaah karte rahte hain, to phir shaitano ko band karne se kya fayda?

Answer This Question

Is ka answer yah hai ki jo log gunahon ke rasiya aur aadi ho jate hain, un ka dil black aur kala ho jata hai un ka dil kisi achchi baat ko bhi qabool nahi karta, aur na un ka ear kisi achchi cheez ko nahi sunta hai, aur na hi un ki eyes kisi achchi cheez ko dekhti hai, aise logon ke leye ramzan and an other ramzan sab barabar kota hai, shaitan ke band hone aur open hone se un par koyi farq nahi padta, keyun ki ab yah khud hi shaitan ban chukae hain, is liye aise bahut sare log ramzan ke muqaddas mahine me bhi gunaah karne se baaz nahi aate.

Ramzan Ki Barkat Aur Hmara Haal

Ramzan ke month ke bare me abhi hum ne jo kuchh bataya us se yah saaf maloom ho gaya ki ramzan ka pure month me barkat hi barkat rahti hai, is ka andaza har koyi iftari aur khane se aasani se lagaya ja sakta hai, aadmi gareeb ho ya ameer, har ek ke dastarkhan par zada se items hote hote hain, bahut sare logon ka yah kahna hai ki: ramzan ki wajah se allah hame aisi aisi cheezen khila deta hai jin ko khane ke liye hum dosre months me sooch bhi nahi sakte, realy yah sab ramzan hi ki barkat, aur hamesha ramzan me rahti hai.

Is barkat aur rahmat aur fazilat ke bawajood bhi bahut sare hamare bhai aise bhi hote hain jo ramzan ki barkat aur allah ki rahmat se mahroom rahte hain, kyon ki is season, aur roze ke is mahaul me bhi un ko roza rakhne ki taufeeq nahi hoti, us se zada afsos hamari yang generation par survey se yah baat saamne aayi hai ki aaj kal 80% naujawan roza nahi rakhte, jo musalmano ke future ke liye bahut buri khabar hai, kyun ki agar silsila aise hi chalta raha to ek din aisa aaye ga ki ramzan me koyi roza rakhne wala na hoga.

Friends Se Appeal

Article padne wale friends meri appeal hai ki wah khud bhi bhi roza rakhkhen aur apne friend ko bhi ramzan ki fazilat ke bare me bataye, taki wah log bhi roza rakhkhen.

 Allah hum sab ko ramzan ki barkaton se fayda uthane, aur ramzan ke month ka roza rakhne ki taufeeq de. aameem.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 2 Comments

  1. Sher Ali

    A. Salam kese hai ap thek thak khairiyat mera sawal yeah hai ke ramzan ka baat pehlana sadqa hai but yeah kia yeah such hai ke Nabi Kareem SAW ne kia yeah durrast farmaya jo bhi ramzan ki khabar sub se phele dey to uske liyeah jahanum ki aag haram hai yeah mujhe hadees related ya kitab se related bataye plzz.

    1. Online Islam

      walikum assalam
      Mere bhai! hadees ki kisi bhi book me is tarah ki koyi hadees nahi hai, yah baat mauzu hai, aur gadhi hiyi hai.

Leave a Reply