Sadqa aisi cheez hai jis ki wajah se aadmi ki pareshani door hoti hai, musibat khatam hoti hai, sab se behtar sadqa maal ka sadqa hai.
Sadqa Kis ko Kahte hain?
Allah ki khushi aur allah se qareeb hone ke liye koyi nek aur achchha kaam karne ka naam sadqa hai, lekin sadqe ka matlab aam taur par yah hai allah ki raah me mangne walon, gharibon, aur faqiron par apne maal o daulat ko kharch karne ka naam sadqa hai.
Quran Me Sadqa ki Fazeelat
{مَثَلُ الَّذِينَ يُنْفِقُونَ أَمْوَالَهُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ كَمَثَلِ حَبَّةٍ أَنْبَتَتْ سَبْعَ سَنَابِلَ فِي كُلِّ سُنْبُلَةٍ مِائَةُ حَبَّةٍ وَاللَّهُ يُضَاعِفُ لِمَنْ يَشَاءُ وَاللَّهُ وَاسِعٌ عَلِيمٌ (261) الَّذِينَ يُنْفِقُونَ أَمْوَالَهُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ثُمَّ لَا يُتْبِعُونَ مَا أَنْفَقُوا مَنًّا وَلَا أَذًى لَهُمْ أَجْرُهُمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ وَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ} [البقرة: 261، 262]
Quran Ki Aayat ka Matlab
Jo log Allah ke raaste me apna maal kharch karte hain us ki misaal us dane ya seed ki tarah hai jis me 7 baliyan hon aur har bali me 100 dane hon, is se andaza lagana koyi mushkil nahi ki thore se kharch se kitna fayda hai, lekin yah fayda dunya me kam aur qayamat me zada milega is liye hum ko us ka feel aur ehsaas nahi hota, is 700 guna fayde par bas nahi allah tala us ko aur bhi badha sakte hain.
Aayat No 262 me allah tala kahte hain ki: jo log apne maal o daulat ko allha ke raaste me kharch karne ke ehsaan nahi jatate hain uk ke liye allah tala ke nazdeek bahut bada ajr o sawaab hai, aur kal qayamat ke din un logon par koyi khauf nahi hoga aur na hi wah log pareshan hon ge.
قال تعالى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آَمَنُوا أَنْفِقُوا مِمَّا رَزَقْنَاكُمْ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَ يَوْمٌ لا بَيْعٌ فِيهِ وَلا خُلَّةٌ وَلا شَفَاعَةٌ وَالْكَافِرُونَ هُمُ الظَّالِمُونَ } البقرة : 254
Aayat Ka Matlab
Allah tala kahte hain ki: ai yimaan walo! hum ne jo maal o daulat tum ko diya hai us me se allah ke raaste me kharch karo kyun ki yahi kharch qayamat ke din tumhare kaam aaye ga, aur us din kisi cheez ke badle na koyi cheez kharidi ja sakti hai, aur na koyi sifarish karne wala ho ga.
Hadees Me Sadqa Ki Fazilat
عن أبي هريرة رضي الله عنه قال : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: “من تصدق بعدل تمرة من كسب طيب – ولا يقبل الله إلا الطيب – وإن الله يتقبلها بيمينه ، ثم يربيها لصاحبه كما يربي أحدكم فَلوَّه حتى تكون مثل الجبل” . رواه البخاري: (1344)، ومسلم: (1014).
Hadees Ka Matlab
Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Jis ne apni halal kamayi se ek khujoor ke brabar yani thoda sa bhi sadqa kiya to allah tala us ke maal me barkat deta rahta hai, aur us ka maal bahut zada ho jata hai” to pata chala ki sadqa krne ki wajah se maal aur paisa kam nahi hota balki zada hota rahta hai. (Bukhari Shareef hadees No: 1344, Muslim Shareef Hadees No: 1014)
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ” قَالَ اللَّهُ: أَنْفِقْ يَا ابْنَ آدَمَ أُنْفِقْ عَلَيْكَ ” رواه البخاري (5352)، ومسلم (993).
Matlab
Hazrat abu huraira (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya ki Allah tala kahte hain ki: ai insaan tu meri raah faqiron aur muhtajon par par kharch kar mai tere maal me barkat deta rahon ga, aur tera maal khatam nahi hoga badhta rahe ga. (Bukhari Shareef Hadees No: 5253, Muslim Shareef Hadees No: 993).
Sadqa Kis Ko Dena Chahiye
Waise to har mangne wale ko sadqa khairaat de dena chahiye, ya jis ke bare me hamare dil me khayaal aaye ki yah aadmi gareeb hai, us se sadqa ada ho jata hai, lekin sadqa khaas taur par aise logon ko dene me zada sawaab hai jo gareeb hone bawjood apni zarurat dosron se bayan nahi karte, bhuke so jaate hain lekin dosron se kuchh nahi mangte, Quran ne aise logon par sadqa karne ki bahut takeed ki hai.
Sadqa Karne Ka Tarika
Sadqa ka sahi tarika yah hai ki jis ko sadqa diya ja raha hai us ko bina bataye hoye chupke se us ke hath me thama diya jaye, ya us ko jis cheez ki zarurat ho use wah samaan khareed de dia jaye.
Sadqa dene wale ko yah baat apne mind me baitha leni chahiye ki sadqa de kar yah na samjhe ki saamne wale par koyi ehsaan kar raha hun, aur na hi wah ehsaan chukane ki ummid rakhkhe, sadqa kar ke ehsaan jatane se saqda ka fayda khatam ho jata hai, uper se yah bahut bada gunaah bhi hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.