Aadmi ko apne allah ko kabhi nahi bhoolna chahiye, chahe wah khushi ka mauqa ho ya gami ka, har waqt us ko yaad karna chahiye, chahe tasbeeh padh kar ho ya Namaz padh kar, aur allah tala bhi yahi chahte hain ki us ke bande har waqt us ko yaad Karen, warna aksar aisa hota hai ki aham aur zaruri kaam ke waqt log allah tala ko bhool jate hain, lekin allah tala ne aisae aham aur zaruri mauqun par bhi apne bandon ke liye ek Nafal Namaz padhne ka order kia hai taki bande namaz padh kar us ko yaad Karen, aur aham aur zaruri kaam me bhi allah hi se help maangen, aur wah namaz hai Salatul Hajat ya Namaz e Hajat, jis ke bare me hum aap ko is article me batane wale hain, to aayen hum start karte hain:
Salatu Hajat Kya Hai? Aur Kab Padhi Jati Hai?
Hajat Arabic word hai, jis ki meaning: Zarurat ya aham kaam, jab aadmi ko koyi aham aur important kaam pesh aa jaye, jis ke poora hone aur na hone me us ke dil me dar aur khauf paida ho ki pata nahi yah poori hogi ki nahi to us ko chahiye ki 2 rakat Salatul Hajat padhe, aur allah tala se apne kaam ko karne ke liye dua maange.
Salatul Hajat Ki Fazilat
Salatul hajat me jo dua hai wah hadees ki aksar books me maujood hai, is Namaz ko dil se padhne ke baad allah tala padhne wale ki zarurat aur us ke kaam ko aasan kar dete hain, aur us ke gunaahon ko bhi maaf kar dete hain, jaisa ki dua ke words se bhi maloom hota hai, aur hamare hazrat Mohammad (S A W) ne bhi farmaya hai ki jis ko koyi important zarurat ya kaam aa jaye jaye us ko Salatul Hajat padh kar allah se dua maangni chahiye. [Tirmizi: 479]
Salatul Hajat Ka Tarika
Tirmizi Shareef Hadees no: 479,aur Sunan e Ibne majah hadees no: 1384, aur Shuabul Imaan Hadees no: 2995 ki roshni salatul Hajat ka tarika is tarah hai ki:
Pahle achchi tarah Wazu Kare.
Us ke baad 2 rakat Namaz Nafil ki niyat se padhe,
bilkul usi tarah jis tarah 2 rakat wali namaz padhi jati hai,
yani pahli rakat me Sana Tawwuz, Tasmiyah, Alhamdu aur koyi bhi soorat,
aur dosri rakat me Alhamdu aur soorat padh kar Qada kare, Qada Tashauhud, Darud Shareef, Duaaye Masoorah padh kar salam pher de.
Us ke baad puri tawjjuh aur lagan se yah dua padhe:
Salatul Hajat Dua In Arabic
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ الحَلِيمُ الكَرِيمُ، سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ العَرْشِ العَظِيمِ، الحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِينَ، أَسْأَلُكَ مُوجِبَاتِ رَحْمَتِكَ، وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِكَ، وَالغَنِيمَةَ مِنْ كُلِّ بِرٍّ، وَالسَّلَامَةَ مِنْ كُلِّ إِثْمٍ، لَا تَدَعْ لِي ذَنْبًا إِلَّا غَفَرْتَهُ، وَلَا هَمًّا إِلَّا فَرَّجْتَهُ، وَلَا حَاجَةً هِيَ لَكَ رِضًا إِلَّا قَضَيْتَهَا يَا أَرْحَمَ الرَّاحِمِينَ “. (سنن الترمذي: 479، سنن ابن ماجه: 1384)
Salatul Hajat Dua In English
“LA ILAHA ILLALLAHUL HALEEMUL KAREEM, SUBHANALLAHI RABBIL ARSHIL AZEEM, ALHAMDU LILAHI RABBIL AALMEEN, ASALUKA MUJIBAATI RAHMATIKA, W AZAYIMA MAGHFIRATIKA, WAL GHANIMATA MIN KULLI BIRR, WASSLAMATA MIN KULLI ISM, LA TADA LI ZAMBAN ILLA GHAFARTAHU, WLA HAMMAN ILLA FARRAJTAHU, WLA HAJATAN HIA LAKA RIZAN ILLA QAZAITAHU YA ARHAMAR RAHIMEEN” [Sunanut Tirmizi Hadees no:479, Sunan e Ibne Majah Hadees no: 1384]
Dua Translation In Roman Hindi Urdu
Allah ke elawa koyi hakim aur malik nahi, jo bahut hi meharnbani aur karam karne wala hai, mai allah ki paki aur badayi bayan karta hun, wah allah jo arshe azeem ka malik hai, aur tamam tareefen allah ke liye hain jo dono jahan ka palanhaar hai, ai allah mai aap se aap ki rahmat ke mujibaat aur aap ki maghfirat ke mazboot asbaab aur har neki me hissa lene aur har burayi se safety aur salamati ka sawal karta hun, ai allah mere har gunaah ko maaf kar de, aur har gam ko door kar de, aur meri koyi bhi zarurat jis se tu razi ho us ko pura kar de, ai maharbanon ke maharbaan.
Is dua ko maangne ke baad bad apne kam ko start kar de in shaallah wah kaam pura hoga aur us me barkat bhi hogi.
Salatul Hajat Ka Dosra Tarika
وَأَمَّا فِي التَّجْنِيسِ وَغَيْرِهِ، فَذَكَر أَنَّهَا أَرْبَعُ رَكَعَاتٍ بَعْدَ الْعِشَاءِ وَأَنَّ فِي الْحَدِيثِ الْمَرْفُوعِ يَقْرَأُ فِي الْأُولَى الْفَاتِحَةَ مَرَّةً وَآيَةَ الْكُرْسِيِّ ثَلَاثًا، وَفِي كُلٍّ مِنْ الثَّلَاثَةِ الْبَاقِيَةِ يَقْرَأُ الْفَاتِحَةَ وَالْإِخْلَاصَ وَالْمُعَوِّذَتَيْنِ مَرَّةً مَرَّةً كُنَّ لَهُ مِثْلَهُنَّ مِنْ لَيْلَةِ الْقَدْرِ. قَالَ مَشَايِخُنَا: صَلَّيْنَا هَذِهِ الصَّلَاةَ فَقُضِيَتْ حَوَائِجُنَا. الدر المختار (2/ 28)
Arabic Text Ka Matlab, Salatul Hajat Ka ek Aur Tarika
Salatul Hajat ka dosra tarika yah hai ki Isha Ki Namaz padhne ke baad 4 rakat salatul hajat ki niyat kare:
Pahli rakat me Sure Fatiha ke baad 3 bar Aaytul Kursi padh ke ruku sajda kare.
Dosri rakat me sure fatiha ke baad Sure Ikhlaas (Qul Huwallahu Ahad) padh kar Qada Ula kar ke khada ho jaye.
Tisri rakat me Sure Fatiha ke baad Sure Falaq padh ke ruku sajda ke baad chauthi rakat ke liye khada ho jaye.
Chauthi rakat me sure fatiha ke baad ke Sure Naas padh kar ruku sajda kar ne ke baad Qada Akhira kar ke salam pher de.
Us ke baad wah dua padhe jis ko uper bataya gaya hai.
Bade buzurgon se yah baat sabit hai ki unhon ne salatul hajat padhi, aur allah ne un ki zarurton ko pura kia, aur un ke kaam ko aasan kar dia. [Duur e Mukhtar: 2/28]
Summary Of This Article (Mazmoon Ka Khulasa)
Apne aham aur zaruri kaam ke liye salatul hajat padhni chahiye.
Salatul Hajat Mustahab hai.
Salatul hajat 2 ya 4 rakat hai.
Salatul hajat ki 2 rakats waise hi hain jaise har 2 rakats wali namaz hoti hai.
4 rakat wali ka tarika thoda alag hai, jis ko bataya gaya.
2 ya 4 rakats ke baad wah dua padhna hai jis ko uper likha gaya hai.
Us ke baad allah ka naam lekar apna kaam start kar de, wah kaam zarur pura hoga.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.