Tayammum Arabic word hai jis ki meaning: Intention and will yani erada aur niyyat karna, matlab paki hasil karne ke liye paak mitti ka erada karna.
Tayammum Kab jayez hai?
Jab wazu ya ghusl ke liye pani na mile, ya pani use se bimari ke badhne ka khatra ho to tayammum jayez hai jaisa ki Quran me aaya hai:
{وَإِنْ كُنْتُمْ مَرْضَى أَوْ عَلَى سَفَرٍ أَوْ جَاءَ أَحَدٌ مِنْكُمْ مِنَ الْغَائِطِ أَوْ لَامَسْتُمُ النِّسَاءَ فَلَمْ تَجِدُوا مَاءً فَتَيَمَّمُوا صَعِيدًا طَيِّبًا فَامْسَحُوا بِوُجُوهِكُمْ وَأَيْدِيكُمْ مِنْهُ مَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيَجْعَلَ عَلَيْكُمْ مِنْ حَرَجٍ وَلَكِنْ يُرِيدُ لِيُطَهِّرَكُمْ وَلِيُتِمَّ نِعْمَتَهُ عَلَيْكُمْ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ} [المائدة: 6]
Aayat Ka Matlab
Jab tum bimar ho jaoo, ya journey kar rahe ho, ya toilet use ke baad (qazay e hajat) ya intercourse kar ke aaoo aur pani na mile to pak mitti se tayammum kar liya karo, (aur wah is tarah ki) face aur hathon par mitti ko malo, allah tala tum ko harj aur pareshani me nahi daalna chahta balki wah tum ko pak karna chahta hai, aur us se zada wah apni nemat ko tumhare liye complete karna chahta hai. [sure maayida: 6]
Tayammum Ke Farayez
Tayammum me 2 farz hain: (1) Niyyat. (2) Pak Mitti.
Agar yah dono cheezen na payi jayen to tayammum nahi ho sakta.
Tayammum Ka Tarika
Sab se pahle tayammum ki niyyat kare, us ke baad dono hathon ko mitti par mar kar unhen jhaar de, aur dono hatho ko face par is tarah phere ki koyi jagah baqi na rah jaye,.
phir dosri baar mitti par hath maar kar apne dono hathon ko kuhniyon samet male, pahle left hand ko right hand par phere, phir right hand ko left hand par, us ke baad apne hathon ki ungliyon ka khilal kare (yani dono hathon ki ungliyon ko aapas me mila kar male.
Agar anguthi pahni ho to us ke niche bhi hath pherna zaruri hai.
Note: Agar baal brabar bhi koyi jagah chhoot gayi jis par hath na pahoncha ho to tayammum sahi na hoga.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
Agar ui huyi raqam se kam, mal hai , to kya Qurbani ham log par Zayaj hai , aap