Umrah Kise Kahte Hain?
Umrah ke maye ziyarat karne ke hain, us ka matlab yah hai ki allah ke ghar ki ziyarat karna umrah ki niyat se, hajj farz aur zaruri hota hai aur umrah sunnat hai.
Umrah Ki Fazilat
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «العُمْرَةُ إِلَى العُمْرَةِ كَفَّارَةٌ لِمَا بَيْنَهُمَا، وَالحَجُّ المَبْرُورُ لَيْسَ لَهُ جَزَاءٌ إِلَّا الجَنَّةُ» رواه البخاري (1773) ومسلم (1349)
Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Ek umarah dosre umrah tak hone wale tamam gunahon ko khatam kar deta hai, aur maqbool hajj ka badla sirf jannat hai”. (Bukhari: 1773, Muslim: 1349).
Malab: Hadees ka matlab ya nahi ki umrah karne ke baad aadmi gunaah karta rahe aur wah sab maaf ho jayen ge, balki matlab yah hai ki umrah ya hajj karne aur allah ke ghar ki ziyarat karne ke baad ab aadmi ko aur zada gunahon se bachna chahiye, han agar bhool se gunaah ho jaye to toba karne ke baad allah use maaf kar deta hai.
عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: تَابِعُوا بَيْنَ الحَجِّ وَالعُمْرَةِ، فَإِنَّهُمَا يَنْفِيَانِ الفَقْرَ وَالذُّنُوبَ كَمَا يَنْفِي الكِيرُ خَبَثَ الحَدِيدِ، وَالذَّهَبِ، وَالفِضَّةِ، وَلَيْسَ لِلْحَجَّةِ الْمَبْرُورَةِ ثَوَابٌ إِلاَّ الجَنَّةُ. رواه الترمذي (810)، والنسائي (2630)، وابن ماجه (2887).
Translation: Hazrat Abdullah Bin Masuood (R Z) se riwayat hai ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Hajj aur umrah bar bar karo, kyon ki yah dono garibi aur gunahon ko is tarah khatam kar dete hain jis tarah lohaar ki bhatti silver aur gold ke germ ko khatam kar deti hai”. (Tirmizi: 810, Nasayi: 2630, Ibn e Majah: 2887).
عن ابن عباس قال في رواية فيه: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “فَإِنَّ عُمْرَةً فِي رَمَضَانَ تَعْدِلُ حَجَّةً” رواه البخاري (1782)، ومسلم (1256).
Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas ek lambi riwayat me kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Ramazan me umrah ka sawab hajj ke brabar hai”. (Bukhari: 1782, Muslim: 1256).
Isi tarah Muslim Shareef ki dosri riwayat me hai ki: “Ramazan me umrah karna mere sath hajj karne ke brabar sawab hai”.
In riwayaton ke elawah umrah ke bare me aur bahut si riwayaten hain jin se umre ki fazeelat maloom hoti hai, agar aadmi ke pass us ki zarurat se zada maal ya paisa hai to us ko zarur umrah karna chahiye.
Ab aage umrah ke arkaan ke bare me bataya ja raha hai:
Umrah me 4 Kam Zaruri Hote Hain
- Miqaat se umrah ke ehraam bandhna. India ke logon ke liye ehraam bandhne ki jagah “Yalamlam” hai jo Makkah 108 Km hai is ka root dosra hai aksar log flight se Jedda ya Madina jate hain to aasani ke liye log flight hi me ehram bandh lete hain, phir hadison me miqaat ke bare jo aaya hai, us ka matlab currently wahi jagah nahi us ke aas pass ke shahar ya cities bhi us me aa jate hain.
- Masjid e Haram Khana kaba me pahonch kar us ka tawaf karna.
- Safa Marwa ki Sayi karna, yah 7 chakkar me hoti, yah hazrat hajra (A S) ki sunnat hai, unhon ne apne dodh pite bachche Hazrat Ismayeel ke liye pani ki talash me safa se marwa ka 7 chkkar lagaya tha.
- Sar ka baal nudana ya katana.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
Good knowledge
Mashallah