poultry farm ki zakat

Zakat In Islam In Urdu Hindi

  • Post author:
  • Post category:Zakat
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 13, 2019
  • Reading time:4 mins read

Islam me zakat ki bahut ahmiyat hai, is se maal ki safayi ho jati hai, jis maal ki shariat ke mutabiq de di gayi ho wah maal kabhi barbaad ya khatam nahi hota, wah dost dushman ki nigaah safe rahta hai, Zakat Ki Fazilat Aur Us Ki Ahmiyat hum bata chuke hain, aur yah bhi bata chuke hain ki Zakat Kis Par Wajib Hai? aur sath hi sath ek article me Masarif e Zakat ko bhi bayan kar chuke hain, Is article me hum kuchh nayi cheezon ki zakat ke bare me batayen ge jo pahle nahi payi jati thi:

Poultry Farm (Murgi Farm) Ki Zakat

Jis jagah par poultry farm hai us jagah aur imarat par zakat nahi hai, poultry farm me jo murgiyan pali jti hain, wah 2 tarah ki hoti hain 1 eggs wali murgiyan, 2 sell ya  bechne wali murgiyan, agar eggs wali murgiyan hon to saal pura hone ke baad sirf eggs par zakat ho gi murgiyon par zakat nahi hogi, aur agar wah murgiyan aur us ke chuze sell ke liye hon to saal ke guzarne par murgiyon par zakat hogi, is surat me murgiyon ko business ka maal samjha jaye ga, aur zakat asal cheez par nahi maal hi par wajib hoti hai, aur pahli surat me murgiyan asal hain aur eggs maal hain lehaza pahli surat me sirf eggs par zakat wajib hogi murgiyon par nahi.

Gas Cylinders Ki Zakat

Agar koyi gas cylinder ka dealer hai yani wah gas companies se  khareed kar customers ko supply karta ho to is surat me gas ki price ya gas ki jo bhi queemat banti ho usi hisaab se us  me zakat hogi, gas ke cylinders me zakat wajib nahi hogi,  han agar wah gas ke sath sath gas ke cylinders bhi sell karta ho to saal pura hone ke baad gas ke cylinders aur gas dono me zakat wajib hogi.

Tent House Ke Saman Me Zakat Ka Masla

Tent house wagairah me jo bartan aur saman rent ya keraye par diye jate hain un bartanon aur samanon par zakat nahi hai, lekin in se jo kamayi ya aamdani hoti hai us aamdani par saal ke pura hone ke baad zakat wajib hogi.

Shops Ya House Wagairah Ke Kiraye Me Deposit Ki Raqam Par Zakat Ka Masla

Aaj kal big cities me shops ya house ke kerayedari me shop ya house ka malik deposit ke naam par bahut zada paisa leta hai, jin ko wah kerayedar ko house ya shop ko khali karne ke waqt return karta hai, ab masla yah hai ki is deposit ki raqam ki zakat kaun ada kare? kerayedar ya malik? to is raqam ki haisiyat Mortgage  (Rehan ya Girwi) ki hai is wajah us ki zakat  mortgaged thing (rehan ke rakhkhi huyi cheez) ke etbaar na malik par hogi na kerayedar par.

 

Masla: Deposit ki raqam ko rehan mortgage maan lene ki surat me us ka sharai hukm yah hoga ki deposit ki raqam me malik kuchh bhi interfere na kare, aur na hi us ko apne kaam me laaye, balki amanat samajh kar apne paas save kare, lekin aaj kal amal us ke ulta hai koyi bhi malik kerayedar se us raqam ko lekar apnne paas save nahi rakhta, balki apne kaam me use karta hai, lehaza munasib yah hai ki mortgaged thing me interfere karne ki wajah se us ko rehan na mane, balki usko qarz mane, yani deposit ki raqam makan malik par qarz hai jis ko wah kerayedar ko makan khali karne ke waqt return kare ga, aisi surat me uski zakat makan maalik par nahi kerayedar par wajib hogi kyun ki kerayedar hi us raqam ka asli malik hai, jab kerayedar ko raqam mil jaye to usko pichhle years aur present year ke sath zakat ada kara hogi.

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply