Islam Me Zakat Ki Ahmiyat
Islam ka tisra aham Rukn Zakat hai, Quran me 70 se zada jaghon par Namaz ke sath zakat ka zikr aaya hai, in dono ka maqam o darja qareeb qareeb ek hai, yahi wajah hai ki rasulullah (S A W) ki wafat ke baad jab bahut se elaqe ke logon ne jo islam qabool kar chuke the, aur Tauheed o Risalat ka Iqrar karne ke baad Namaz bhi padhte the lekin un logon ne jab zakat dene se inkar kia, to Hazrat Abu Bakr Siddiq ne unke khelaf jihaad ka elan kia jaisa ki Bukhari aur muslim ki Hadees me aaya hai:
عَنْ هُرَيْرَة رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: لَمَّا تُوُفِّيَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَكَانَ أَبُو بَكْرٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، وَكَفَرَ مَنْ كَفَرَ مِنَ العَرَبِ، فَقَالَ عُمَرُ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: كَيْفَ تُقَاتِلُ النَّاسَ؟ وَقَدْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” أُمِرْتُ أَنْ أُقَاتِلَ النَّاسَ حَتَّى يَقُولُوا: لاَ إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، فَمَنْ قَالَهَا فَقَدْ عَصَمَ مِنِّي مَالَهُ وَنَفْسَهُ إِلَّا بِحَقِّهِ، وَحِسَابُهُ عَلَى اللَّهِ فَقَالَ: وَاللَّهِ لَأُقَاتِلَنَّ مَنْ فَرَّقَ بَيْنَ الصَّلاَةِ وَالزَّكَاةِ، فَإِنَّ الزَّكَاةَ حَقُّ المَالِ، وَاللَّهِ لَوْ مَنَعُونِي عَنَاقًا كَانُوا يُؤَدُّونَهَا إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَقَاتَلْتُهُمْ. (صحيح البخاري: 1399، صحيح مسلم: 20)
Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki: Jab Rasulullah (S A W) ki wafat ho gayi, aur hazrat Abu Bakr khalifa ho huye, to us waqt Arab ke kuchh log murtad ho gaye yani un logon ne zakat dene se inkar kar dia, aur Hazrat Abu Bakr ne un ke khelaf jehaad karne ka irada kia to us waqt Hazrat Umar ne kaha ki: aap un ke khilaf jihaad kaise karen ge jab ki wah log Tauheed o Tisalat ka Iqrar karte hain? aur jo aisa karta hai us ke bare me aap (S A W) ne farmaya hai ki: “un se jihaad nahi kia jaye ga” Hazrat Umar ke is sawal ke jawab me Hazrat Abu Bakr ne farmaya: Khuda ki qasam mai us aadmi ke khilaf jihaad karon ga jo Namaz aur Zakat ke darmiyan farq kare, yani namaz padhe aur zakat dene se inkar kare, kyun ki har maaldar ke maal me zakat ka haq hai, jo us ko ada nahi kare ga mai us ke khilaf jihaad karon ga. (Sahih Bukhari: 1399, 1400, Sahih Mislim: 20)
Hadees Ka Matlab: Is hadees se yah maloom hota hai Namaz ki tarah zakat bhi islam me bahut aham cheez hai, yahi wajah hai ki Hazrat Abu Bakr ki is baat ko us waqt sare sahaba ne mana, aur zakat na dene walon ke khaelaf jihaad karne ke silsile me sab ki raay ek ho gayi.
Isi tarah zakat ki ahmiyat me Bukhari Muslim ki ek dosri riwayat bhi hai jis me aap ( S A W) ne hazrat Moaz Bin Jabal se us waqt farmaya jab un ko Yaman ka hakim bana kar bhej rahe the:
“فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ، فَأَعْلِمْهُمْ أَنَّ اللَّهَ افْتَرَضَ عَلَيْهِمْ صَدَقَةً فِي أَمْوَالِهِمْ تُؤْخَذُ مِنْ أَغْنِيَائِهِمْ وَتُرَدُّ عَلَى فُقَرَائِهِمْ” (صحيح البخاري: 1395، صحيح مسلم: 19)
Translation: Jab Yaman ke log Tauheed o Risalat ka Iqrar karne ke baad namaz bhi padhne lagen, tab tum unko bataao ki allah ne tumhare maal par Zakat bhi farz kia hai jo maaldaron se lekar faqiron ko di jati hai. (Sahih Bukhari: 1395, Sahih Muslim: 19)
In dono hadison ke elawa aur bhi bahut sari hadisen hain jin se zakat ki ahmiya aur fazilat maloom hoti hai, un sab ka khulasa yah hai ki zakat bahut aham aur zaruri hai, Zakat farz hone ke bawajood agar koyi Zakat na de to us ke liye bahut sakht azab hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.