Aadmi ke paas 2 tarah maal hote hain 1 jo real aur asal me maal hote hain for example: Gold, silver , ya kisi bhi country ki currency, 2 aisi cheezen jin ki wajah se wah maal kamata hai: for example: business, shops, online shops, factories jobs, wagairah.
Jo pahli wali cheez hai wah agar zakat ke nesab tak ho jaye to us me zakat farz ho jaye ho jaye gi, us ke liye kisi condition ki zarurat nahi hai.
Aur dosre number par jo cheezen hain un me asal cheez par zakat farz nahi hoti balki us se jo fayda hota hai wah fayda ya paisa nesab tak pahunch jaye, aur pura saal guzar jaye tab us par zakat farz hogi,for example: kisi ke paas factory hai us me koyi product tayyar kar ke sell karta hai, to zakat us factory ya us ki machines par nahi hoyi balki factory me products ki cost ke hisab se us par zakat wajib hogi.
Zakat Kin Cheezon Par Farz Nahi Hai?
Kuchh cheezen aisi hain ki un par zakat nahi hai chahe unki queemat kitni ho:
(1) Rahne ke makan ya ghar.
(2) Rent par diye gaye houses ya shops, han in ki aamdani par zakat par zakat hai.
(3) House ke saman: refrigerator, cooler, washing machine wagairah.
(4) Use karne wale kapde, chadren, farsh wgairah.
(5) Vans, cars, motorcycle otherwise.
(6) Gulam bandiyan, jo khidmat karne wali hon.
(7) Apni hifazat ke liye rakhkhe gaye hathiyar.
(8) Ghar ya house me rakhkha hua khane pine ka zakhira.
(9) sajawat ke liye rakhkhe huye brtan.
(10) Hire jawahiraat jo use ke liye hon, business na hon, agar wah business ke hon to us par zakat wajib hogi.
(11) study ke liye books.
(12) Hand workers ke auzaar, machines, kaarkhane, factories, keraye par chalne wali buses aur trucks, kheti bari karne walon ke tractors, aalate zaraat wgairah.
Isi tarah se wah sara saman jo tijarat ya business ki niyat se kharida ho us par zakat nahi hai, tijarat ke saman par jo nafa ya fayda hoga us par zakat hogi.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.