zakat kis par wajib hai

Zakat Kis Par Wajib Hai? in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Zakat
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 13, 2019
  • Reading time:5 mins read

Zakat Kya Hai?

Zakat Arabic word hai jis ki meaning pak saf karna, yah word zada tar maal ke liye use hota hai, to us ka matlab yah hoga ki maal ki zakat nikaal kar apne baqi maal ko pak saf karna, kyun ki aadmi ke maal me faqiron aur muhtajon ka bhi haq hota hai, jab maal ki zakat de di gayi to wah maal pak saf ho gaya.

Zakat Kab Farz Hui?

Islam ke starting me jo cheezen musalmano par far ki gayi un me ek zakat bhi hai, yah Huzoor (S A W) ki hijrat ke dosre year madina monauwwrah me farz huyi.

Zakat Na Dene Ki Saza

Quran aur hadees me jagah jagah Namaz ke sath sath zakat ki bhi badi takeed aayi hai, aur zakat na dene wale ko allah tala ki taraf badi sakht phatkaar hai Quran me ek jagah aaya hai:

وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلَا يُنْفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَبَشِّرْهُمْ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ ( التوبة: 34)

Translation: Jo log gold aur silver ko jama kar ke rakhte hain aur unko allah ki raah me kharch nahi karte, ai nabi aap un ko sakht azaab ki khushkhabri suna dijiye. [Sure Taubah: 34]

 

Ek Hadees me aaya hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” مَنْ آتَاهُ اللَّهُ مَالًا، فَلَمْ يُؤَدِّ زَكَاتَهُ مُثِّلَ لَهُ مَالُهُ يَوْمَ القِيَامَةِ شُجَاعًا أَقْرَعَ لَهُ زَبِيبَتَانِ يُطَوَّقُهُ يَوْمَ القِيَامَةِ، ثُمَّ يَأْخُذُ بِلِهْزِمَتَيْهِ – يَعْنِي بِشِدْقَيْهِ – ثُمَّ يَقُولُ أَنَا مَالُكَ أَنَا كَنْزُكَ. (صحيح البخاري: 1403)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jis aadmi ko allah ne maal o daulat dia lekin us ne us ki zakat nahi di to wah maal o daulat qayamat ke din us aadmi ke saamne zahriley sanp ki shakal me aaye gi, jis ke bahut zada zahriley pan ki wajah se us ke sar ke baal jhar gaye hon ge, yani ganja hoga (jis sanp yah dono cheezen payi jayen wah bahut zahrila hota hai) phir wah sanp us aadmi ke gale ka tauq bana dia jaye ga, (yani us ke gale se lipat jaye ga) phir us ki dono banchhen ya jabde pakde ga, aur kahe ga: mai hi teri daulat hun mai hi tera khazana hun ”. (Sahih Bukhari: 1403)

                                                    ?Zakat Kis Par Wajib Hai

Kisi bhi aadmi par zakat wajib hone ki kuchh conditions aur qualification hain jab wah payi jayen gi tab us par zakat wajib hogi otherwise chahe us ke paas kitna hi paisa ho uspar zakat wajib nahi hoi, un conditions ko number wise bata rahe hain:

(1) Wah aadmi aazad ho ghulam ya bandi par zakat farz nahi.

(2) Musalman ho, gair muslim se zakat nahi li jaye gi.

(3) Intelligent  ya samajhdar ho pagal par zakat wajib nahi.

(4) Adult  ya baligh ho, bachche par zakat farz nahi.

(5) Zakat ke farz ya wajib hone ke bare me use pata ho.

Agar kisi aadmi me yah sari qualifications na payi jayen to us par zakat wajib nahi hogi, us ke paas paisa kam ya zada hone se koyi matlab nahi.

Maal Se Related Zakat Wabib Hone Ki Conditions (Sharten)

Jo conditions aur qualifications hum ne upper bataya hai agar koyi aadmi unko follow kar raha hai to uske maal me zakat wajib hone ki conditions number wise yah hai:

 

(1) Uska maal zakat ke nesab tak pahonch raha ho for example: us ke paas 87 gram 480 mile gram gold, ya 612 gram 360 mile gram silver, ya itni hi qimat ka rupya ya paisa ya maal ho.

(2) Aadmi ka jo maal hai wah khud usi ke paas ho aur us ke qabze me ho, jo maal aadmi  ke qabze me na ho uspar zakat nahi hai.

(3) Maal ka nesaab uski asli zarurat se zada ho, use hone wale saman par zakat nahi hai.

(4) Jo maal zakat ke nesaab ko pahonch raha ho wah qarz se khali ho, yani qarz ki raqam ya paise ko alag kar ke zakat ka nesaab pura ho jaye.

(5) Wah maal naami ho, yani aisa maal jis me badhne ya zada hone ki qualification ya salahiyat ho, for example: gold, silver, business ka maal, paaltu janwar otherwise.

 

Yah sari cheezen agar kisi ke maal me payi jayen to us maal par zakat wajib hogi.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply