Qurbani ka tarika

Qurbani ka Tarika Aur Us Ki Dua In Hindi (UPDATED)

Qurbani Keya Hai? Aur Keyu Ki Jati Hai?

Qurbani Allah ke nabi Hazrat Ibraheem Alaihisslam ki Sunnat hai, Quran Shareef me aaya hai ki: jab Ibraheem allaihisslam ne khoaab me dekha ki wah apne eklaute bete hazrat Ismayeel alihisslam ki Qurbani kar rahe hain, aur yah khoaab baar baar dekha to unhon ne is ke bare me apne bete se bataya, to beta khushi khushi allah ki raah me qurban hone ke liye tayyar ho gaya.

Ab jaise hi Ibraheem (A S) ne bete zabah karne ke liye us ke garden par chhuri pheri Allah tala ne aasman se ek dumba bheja, aur kaha ki: “ai ibraheem is ko zabah karo hum tumhara exam lena chahte the bachche zabah karane ka maqsad hamara nahi tha tum exam me kamyab ho gaye”. Allah tala ko Ibraheem alihisslam ka yah shauq aur jazba itna pasand aaya ki qayamat tak ke liye aap ki is is sunnat ko jari kar diya, isi liye puri dunya ke musalman har saal Ibraheem (A S) ki yaad me Qurbani karte hain aur un ki sunnat ko zinda karte hain.

Rasulullah (S A W) madina monauwwara me 10 saal tak rahe aur har saal brabar Qurbani karte rahe, aur Sahaba ko qurbani karne par zoor bhi dete the.

Qurbani Ki Fazeelat Aur Ahmiyat

عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ، قَالَ: قَالَ أَصْحَابُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا هَذِهِ الْأَضَاحِيُّ؟ قَالَ: «سُنَّةُ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ» قَالُوا: فَمَا لَنَا فِيهَا يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ: «بِكُلِّ شَعَرَةٍ، حَسَنَةٌ» قَالُوا: ” فَالصُّوفُ؟ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ: «بِكُلِّ شَعَرَةٍ مِنَ الصُّوفِ، حَسَنَةٌ». رواه ابن ماجه (3127)، والبيهقي في السنن الكبرى (19017).

Translation: Hazrat Zaid bin Arqam (R Z) se riwayat hai ki Sahaba ne Rasuluuah (S A W) se sawal kiya ki: ai allah ke rasool! Qurbani keya hai? Aap ne jawab diya ki: “yah Hazrat Ibraheem (A S) ki Sunnat hai”, phir Sahaba ne poochha hamara is me keya fayda hai? Aap ne farmaya: “Qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki mile gi” (Sunan e Ibn e Majah: Hadees No: 3127, Sunan e Baihaqi Hadees No: 19017).

عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَا عَمِلَ آدَمِيٌّ مِنْ عَمَلٍ يَوْمَ النَّحْرِ أَحَبَّ إِلَى اللهِ مِنْ إِهْرَاقِ الدَّمِ، إِنَّهُ لَيَأْتِي يَوْمَ القِيَامَةِ بِقُرُونِهَا وَأَشْعَارِهَا وَأَظْلاَفِهَا، وَأَنَّ الدَّمَ لَيَقَعُ مِنَ اللهِ بِمَكَانٍ قَبْلَ أَنْ يَقَعَ مِنَ الأَرْضِ، فَطِيبُوا بِهَا نَفْسًا. رواه الترمذي في سننه (1493).

Translation: Hazrat Aisha (R Z) se riwayat hai ki Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Bakra eid ke din insaan ka koyi bhi kaam allah ke nazdeek khoon bahane (yani qurbani karne) se zada behtar aur achchha nahi hai, wah Qurbani qayamat ke din apne singhon khuron, aur balon samet aaye gi, Qurbani ka khoon zameen par girne se pahle hi allah ke yahan qabool ho jata hai, to us qurbani ke sath apne dil ko khush karo ”. (Tirmizi Shareef Hadees No: 1493).

Qurbani Kis Par Wajib Hai?

Har musalman jis par Zakat farz hai yani wah har saal zakat deta hai us par qurbani zaruri hai, aur zakat us aadmi par zaruri hoti hai jo sare 52 tola silver ya sare 7 tola gold ya itni hi saman ki qimat ka malik ho us par qurbani karna zaruri hai.

Qurbani ke mamle aadmi ke paas jo maal hai us par saal ka guzarna zaruri nahi, qurabani ke do teen month pahle gareeb tha aur qurbani k ek week pahle wah maaldar ho gaya tab bhi us par qurbani zaruri hai.

Qurbani Kis Ke Naam Honi Chahiye?

Bahut sare elaqe me yah mashoor hai ki kisi ghar me agar pahli baar qurbani ho to huzoor (S A W) ke Naam se honi chahiye jab ki aisa Kuchh nahi hai agar kisi ke uper qurbani farz hai to sab se pahle us ke Naam se zaruri hai. Han agar kisi ke uper qurbani farz nahi hai to wah huzoor S A W ke naam se kara sakta hai, aur wah jis ke naam se chahe kara sakte hai, isi tarah jis par qurbani qurbani farz hai wah apne naam ke sath sath huzoor (S A W) ke naam se bhi kara sakta hai.

Qurbani Ka Time

Jin cities ya villages me Eid Bakra Eid ki namaz hoti hai wahan par bakra eid ki namaz se pahle qurbani jayez nahi hai, aur jahan par bakra eid ki namaz nahi hoti wahan bakra eid ki subah se qurbani kar sakte hai.

Qurbani ka time 10 Zilhijjah (bakra eid ke din) se start ho kar tisre din asar ki namaz tak rahta hai.

Qurabani Ke Janwar

Dumba, Bakra, bher ki Qurbani only ek aadmi ki taraf se ki ja sakti hai,  aur cow, bail, bhains, aur camel ki Qurbani 7 logon ki taraf se ki jasakti hai.

Masla: Bakra, bakri ke liye 1 year ka hona zaruri hai, aur bher aur dumba agar mota aur tayyar ho, dekhne me 1 year ka maloom ho to us ki qurbani kar sakte hain.

Masla: Jis janwar ka seengh jar se ukhad ya toot gaya ho us ki qurbani nahi kar sakte.

Masla: andhe, kane, langde janwar ki qurbani sahi nahi hai.

Masla: jis janwar ka kaan zada kata ho us ki bhi qurbani sahi nahi.

Masla: janwar kharidne ke baad us me koyi aib nikal gaya to agar aadmi Sahb e Nisab yani maaldar hai to us ki qurbani sahi nahi, aur agar gareeb ho to wah us ki qurbani kar sakta hai.

Langde Bakre Ki Qurbani Ka Hukm

Agar Qurbani ke bakre ke pair me maar lag jaye, aur wah langda kar chale, aur us ka langda pan itna kam ho ki wah ek jagah se dosri jagah khud chal kar jata ho, aur chalne me maar wale pair ka sahara bhi leta ho to us ki Qurbani sahi hai, aur agar maar wale pair ko bilkul zameen par na rakhta ho to us ki qurbani sahi nahi hai.

Gareeb Aadmi Ka Janwar Qurbani Se Pahle Mar Jaye Ya Gayab Ho Jaye

Gareeb aadmi ka qurbani ka janwar agar qurbani se pahle mar jaye ya gayeb ho jaye to us par dosre janwar ki qurbani zaruri nahi hai.

Agar gayab none wala janwar qurbani se pahle mil gaya to us ki qurbani zaruri hogi.

Masla: Gareeb aadmi qurbani ki niyat se ek janwar kharida lekin qurbani se pahle wah gayab ho gaya, phir us gareeb aadmi ne ek dosra janwar kharid liya, uske baad gayab hone wala janwar bhi mil gaya to ab us gareeb par dono janwaron ki qurbani zaruri hai.

Maaldar Aadmi Ke Qurbani Ke Janwar ke Mar Jane Ya Gayab Hone Ka Masla

Maaldar aadmi ka qurbani ka janwar agar qurbani se pahle mar jaye ya gayab ho jaye to us par dosre janwar ki qurbani zaruri hai.

Masla: Agar maaldar aadmi ka gayab hone wala janwar qurbani se pahle mil jaye aur us ke milne se pahle wah aadmi dosra janwar khareed chuka tha to ab usko ko ikhtiyaar hai chahe gayab hone wale janwar ki qurbani kare ya baad me jis ko kharida hai us ki kare, gareeb aadmi ki tarah us par dono janwaron ki qurbani zaruri nahi.

Qurbani Ka Sunnat Tarika

Apni qurbani ko khud apne hath se karna sab se achchha hai, keyu ki Huzoor (S A W) apne hath se qurbani karte the, agar aadmi khud achchhi tarah se zabah nahi kar sakta to dosre se zabah kra sakta hai magar zabah ke waqt qurbani ke janwar ke paas rahna afzal aur bahtar hai.

Qurbani se pahle janwar ko khoob achchhi tarah bandh de, aur us ko Qibla yani khana kaba ki taraf kar de, aur zabah karne wala khud bhi qibla ki taraf ho jaye, aur chhuri ko bhi tez kar le.

Qurbani Ki Dua Aur Us Ki Niyyat

Qurbani ki niyyat dil se kar lena kafi hai, zaban se kahne ki zarurat nahi, lekin zabah karte waqt

”BIS MILLAH ALLAHU AKBAR” kahna zaruri hai.

Sunnat yah hai ki janwar qibla ki taraf lita kar yah dua padhe:

إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ  لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ، بِسْمِ الله الله أَكْبَرُ.

Qurbani ki dua

Qurbani Ki Dua In Hindi

INNI WAJJAHTU WAJHIA LILLAZI FATARAS SAMAWAATI WL ARZ HANEEFA W MA ANA MINAL MUSHRIKEEN, INNA SALATI W NUSUKI W MAHYAYA W MAMATI LILLAHI RABBIL AALMEEN, LA SHARIKA LAHU, W BIZALIKA UMIRTU, W ANA AWWALUL MUSLIMEEN, BIS MILLAH ALLAHU AKBAR.

इन्नी वाज्जहतू वाजहिया लिल्लज़ी फतस्समावाती वलअर्ज़ी हनीफ़ाओं वमा अना मिनल मुशरिकीन इन्ना सालाती वनुसुकि वमहआया वममाती लिल्लाहि रब्बिल आलमीन लशरीका लहू वबिजालिका उमिरतु वअना अव्वलुल मुसलिमीन

yah padh kar janwar ko zabah kare, zabah karne ke baad yah dua padhe

اللهم تقبله مني كما تقبلت من حبيبك محمد وخليلك إبراهيم عليه السلام

“ALLAHUMMA TAQABBALHU MINNI KAMA TAQBALLTA MIN HABIBIKA MUHAMMAD, W KHALILIKA IBRAHEEM ALIHISSLAM”

अल्लाहुम्मा तकब्बलहु मिन्नी कमा तकब्बलहु मिन हबीबिका मुहम्मदिन व ख़लीलिका इब्राहीम अलैहिस्सलाम

Note: Dua me “Minni” us waqt kahte hain jab khud apni qurbani kar raha ho, aur dosre ki qurbani ho to “Min” ke baad us admi ka naam le, for example: “MIN HAMID”, ya “MIN RASHID” wgaira.

Qurbani Ka Gosht

Jis janwar ek se zada hisse dar hon to gosht ko weight ya wazan kar ke banta jaye, andaze se nahi, us ke baad apni qurbani ke gosht ka 3 hissa kare, ek hissa apne ghar walon ke liye, dosra apne friends ke liye, aur tisra hissa garibon me bant de. lekin yah division mustahab hai zaruri nahi hai, agar chahe to qurbani ka sara gosht khud bhi kha sakta hai.

Aaj kal bahut sari jaghon par yah dekha jata hai ki bade ki qurbani nahi ki jati hai, aur chhote ki qurbani ka gosht log divide nani karte hain, to aisi jghon par gareeb logon ke ghar gosh nahi pahonchta, aur wah log qurbani ke period me bhi aam dino jaisa khana khate hain, mere hisaab se aisi jaghon par gosht ka division kar ke garibon ke ghar gosht pahochana zaruri hai.

Masla: Qurbani ka gosht bechna haram hai.

Masla: Zabah karne wale ya qasayi ki mazdoori me gosh ya qurbani ki khaal dena sahi nahi hai.

Kya Qurbani Ka Gosht Gair Muslim Ko De Sakte hain?

Ji han qurbani ka gosht kisi gair muslim ko bhi de sakte hain is me koyi haraj nahi hai, Quran pak me Sure Hajj: 28 me allah tala farmate hain: “Qurbani ke gosht ko muhtaj aur garibon ko khilaao”. Is aayet me Muslim ya non Muslim ka koyi zikr nahi hai, jo bhi gareeb muhtaj ho us ko qurbani ka gosht khila sakte hain.

Qurbani Ki Khaal

Qurbani ki khal ko apne kaam me lana sahi hai, agar khaal ko bech dia to us paise ka Sadqa karna zaruri hai, Qurbani ki khaal ko dini madarson me dena sab se achchha hai, ya aisi N G O ko bhi de sakte hai jo us paise se garibon ki help karti ho.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 2 Comments

  1. محمد احمد

    ذبح کرنے کے بعد جو دعاء پڑھی جاتی ہے
    اللهم تقبل مني كما تقبلت من حبيبك محمد وخليلك ابراهيم عليه السلام

    یہ دعاء کس کتاب سے اخذ کیا گیا ہے؟

    رہنمائی فرمائیں نوازش ہوگی

    1. Online Islam

      Sir! Dua ka pahla part yani اللهم تقبل مني yah to bahut sari riwayton aaya hai for example: Muslim shareef me aaya hai:

      عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَمَرَ بِكَبْشٍ أَقْرَنَ يَطَأُ فِي سَوَادٍ، وَيَبْرُكُ فِي سَوَادٍ، وَيَنْظُرُ فِي سَوَادٍ، فَأُتِيَ بِهِ لِيُضَحِّيَ بِهِ، فَقَالَ لَهَا: «يَا عَائِشَةُ، هَلُمِّي الْمُدْيَةَ»، ثُمَّ قَالَ: «اشْحَذِيهَا بِحَجَرٍ»، فَفَعَلَتْ: ثُمَّ أَخَذَهَا، وَأَخَذَ الْكَبْشَ فَأَضْجَعَهُ، ثُمَّ ذَبَحَهُ، ثُمَّ قَالَ: «بِاسْمِ اللهِ، اللهُمَّ تَقَبَّلْ مِنْ مُحَمَّدٍ، وَآلِ مُحَمَّدٍ، وَمِنْ أُمَّةِ مُحَمَّدٍ، ثُمَّ ضَحَّى بِهِ» رواه مسلم 1967
      aur dosra part yani …..كما تقبلت من حبيبك محمد yah words agarche qurbani ke bare me riwayton me nahi aaya hai, lekin unki asal maujood hai,aur bahut si duaoon me aap (S A W) ne Hazrat Ibraheem (A S) ka naam lia hai jaisa ki Darud shareef me, to qurbani me barkat aur qabuliyat ke liye yahan in dono nabiyon ka naam liya jata hai.

Leave a Reply