Wazu Ka Tarika

Wazu Ka Tarika in Hindi Urdu/ Hadison Ki Roshni Me

Islam me namaz ki badi ahmiyat hai, namaz se pahle jis cheez ki zarurat hoti hai us ko wazu kahte hain, wazu ke begair namaz qabool nahi hoti, jaisa ki hadees me aaya hai ki:

عَنْ مُصْعَبِ بْنِ سَعْدٍ فِي حَدِيْثٍ… وَفِيْه: “إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «لَا تُقْبَلُ صَلَاةٌ بِغَيْرِ طُهُورٍ”. (صحيح مسلم: 224)

Translation: Musab Bin Sad Rasulullah (S A W) se riwayat karte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Begair taharat yani wazu ke namaz qabool nahi hoti”. (Sahih Muslim: 224)

Wazu Ki Fazilat

Wazu ki fazilat ke liye itna kahna kafi hai ki namazi ke wazu ke parts qayamat ke din chamak rahe  hon ge, ek hadees me aaya hai ki:

عَنْ نُعَيْمٍ المُجْمِرِ، قَالَ: رَقِيتُ مَعَ أَبِي هُرَيْرَةَ عَلَى ظَهْرِ المَسْجِدِ، فَتَوَضَّأَ، فَقَالَ: إِنِّي سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ «إِنَّ أُمَّتِي يُدْعَوْنَ يَوْمَ القِيَامَةِ غُرًّا مُحَجَّلِينَ مِنْ آثَارِ الوُضُوءِ، فَمَنِ اسْتَطَاعَ مِنْكُمْ أَنْ يُطِيلَ غُرَّتَهُ فَلْيَفْعَلْ». (صحيح البخاري: 136، صحيح مسلم: 246)

Translation: Nuaim Mujmir kahte hain ki mai hazrat abu hurairah ke sath masjid ke chhat par gaya, unhon ne wazu kia aur kaha ki: mai ne rasulullah (S A W) ko farmate huye suna hai ki: “Meri ummat ko jab qayamat ke din bulaya jaye ga to un ke wazu ke parts chamak rake hon ge, lehaza tum me se jo koyi apni chamakdar jagah ko lamba karna chahe kar le”. (Sahih Bukhari: 136, Sahih Muslim: 246)

Wazu Ke Farayez

Wazu me 4 farz hain: (1) pura face dhona (yani peshani se lekar thodi ke niche tak, aur ek kaan se dosre kaan tak)  (2) Dono hathon ko kohniyon samet dhona. (3) Sar ka masah karna. (4) Dono pair ko takhno samet dhona.

Note: in 4 me se agar koyi part chhoot jaye to wazu nahi hoga.  in hi 4 parts ke bare me Quran me bhi aaya hai:

{يَاأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلَاةِ فَاغْسِلُوا وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ إِلَى الْمَرَافِقِ وَامْسَحُوا بِرُءُوسِكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ إِلَى الْكَعْبَيْن} [المائدة: 6]

Aayat me bhi yahi bataya gaya hai ki wazu me 4 farz hain.

Wazu Karne Ka Sunnat Tarika

Wazu start karne se pahle “BISMIL LAHIRRAH MANIR RAHEEM” padhe, us ke baad 3 barr dono hath Gatton tak dhoye, phir 3 baar kulli kare, phir 3 baar naak me apni pani dale, phir left hand se naak saaf kare, phir 3, 3 baar pura face, aur hath  kohniyon samet dhoye, pahle right hand phir left hand, phir pure sar ka masah kare:

Masah Ka Tarika

Naya pani lekar  dono hathon ki ungliyon ko sar ke aage hisse ki taraf rakh kar ungliyon ko aage se  pichhe ki taraf le jaye,  us ke baad hatheli andar wale hisse ko sar par rakh kar pichhe  aage ki taraf laye.

Aur sab aakhir me pair 3 baar dhoye pahle right ko phir left ko.

Wazu Ke Baad Ki Dua

Wazu ke baad ki wahi dua hai jo ghusl ke baad padhte hain .

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply