Introduction: Arkan Arabic word hai, jis ki meaing bahut hi important aur bunyadi cheez, aur arkan e islam ka matlab islam ki aham aur bunyadi cheez, in other words hum yah kah sakte hain ki: aisi chizen jin ki wajah aadmi islam me enter hota hai aur musalman samjha jata hai, aur agar wah na hon to islam se exit ho jata hai ya pure taur par wah musalman nahi hota.
Arkan e Islam Kya hain? Aur kitne hain?
To is question ka answer khud hi Bukhari Muslim ki hadith me aaya hai ki:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ” بُنِيَ الإِسْلاَمُ عَلَى خَمْسٍ: شَهَادَةِ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ، وَإِقَامِ الصَّلاَةِ، وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ، وَالحَجِّ، وَصَوْمِ رَمَضَانَ “. (صحيح البخاري: 8، وصحيح مسلم: 16).
Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar (R Z) se riwayat hai ki Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya ki: “Islam ki bunyad 5 chizon par hai No 1 allah ke ek hone aur Muhammad (S A W) ke allah ke rasool hone ki gawahi dena. No 2 Namaz padhna. No 3 Zakat dena.No 4 hajj karna. No 5 Ramazan ke mahine ka roza rakhna.” (Sahih Buhari Hadith No: 8, Sahih Muslim Hadith No: 16).
1_ First Rukn Kalmah Tauheed
No 1 par jo cheez hai wah islam me sab se important aur zaruri hai, is ko kalmah tauheed bhi kahte hain, is ke begair koi bhi insaan islam me entry nahi kar sakta. is kalmah ka matlab dil se allah ko ek mane aur zaban se us ka eqrar kare, aur yah bhi zauri samjhe ki pooja aur ibadat sirf ek allah ki honi chahiye, agar koyi aadmi allah ko ek nahi maanta, ya allah ke elawah dosri chizon ki pooja ya ibadat karta hai to us ko kafir aur mushrik kahte hain, aur us ke inkar ko kufr aur pooja me dosron ko shareek karne ke kaam ko shirk kahte hain, aur shirk sab se bada gunaah hai jis ko allah tala kabhi bhi maaf nahi karega, Quran Shareef me aaya hai ki: Allah tala agar chahe to dosre gunaahon ko maaf kar sakta hai lekin shirk ko kabhi bhi maaf nahi karega (Sure Nisa: 116).
Shirk Kyun Maaf Nahi Ho Sakta?
For example: Aap ka apna beta jis ko aap ne bachpan se pala posa bada kia, us ko achchi education dilayi, us ke future ke liye aap ne apna tan man dhan laga dia lekin wah beta aap ki respect nahi karta hai, aap ki baat nai manta hai aur kahta hai ki: mere father ne mere liye kuch nahi kia, aaj mai jo kuch hun dosron ki mehnat ki wajah se hun.
Ab zara aap batayen kya aap apne is nafarman bete ko kabhi maaf karen ge? to aap ka answer yahi ho ga ki: kabhi nahi. to keya allah tala jis ne hum ko ek achchi life di, hamari ek khoob surat shakal bana kar maa ke pet se paida kia, hamari body me aisa aisa part (naak, kaan, aankh, hath pair waghirah) banaya jis ko is high technology ke zamane me bhi koyi nahi bana sakta agar hum us ki baat na mane,us ki ebadat na karen, us ki pooja ke sath dosron ki pooja karen to wah hum ko kaise maaf kar sakta hai?
Mohammad (S A W) Ke Allah Ke Nabi Aur Rasool Hain
Kalmah Tauheed ka dosra part Mohamad (S A W) ke alah ke nabi aur rasool hone ka Iqrar hai,
agar koyi aap (S A W) ko nabi aur rasool nahi manta to wah bhi musalman nahi ho sakta. Quran shareef me aaya hai ki: “Ai Nabi aap logon se kah den ki mai all world ke liye Rasool aur nbi hun” (Sure aaraf: 158), is liye aap (S A W) ko nabi aur rasool maan na zaruri hai.
2_ Dosra Rukn Namaz
Islam me entry ke baad dosri important cheez namaz hai, yah total free hai is me koyi cheez invest nahi karna hai, yah kisi bhi halat me maaf nahi hai, yah pure din me 5 time hai, is ke names: Fajr, Zuhr, Asr Maghrib, Aur Isha hain, Quran aur hadith me jagah jagah us ke padhne par zor dia gaya hai, aur na padhne walon ki bahut sakht pakad hai. is ka sab se bada fayda yah hai ki yah behayayi aur buri baton se rokti hai, aur padhne wala always saaf paak rahta hai.
3_ Tisra Rukn Zakat
Islam ka tisra rukn zakat hai, zakat ke meaing hain pak saaf karna, matlab apne maal ki zakat nikaal kar apne baqi maal ko saaf suthra karna. is rukn ka talluq aur connection sirf maldar logon se hai, jin ke paas mal o daulat zada hai un ko apne pure maal ka dhayi% percent nikal kar garibon ko dena farz hai, agar koyi aadmi maldar hote huye bhi zakat nahi nikalta us ki allah ke yahan bahut sakht pakad hai.
4_ Chautha Rukn Hajj Hai
Hajj ka connection bhi maldar logo se hai, hajj ke maye hain: allah ke ghar khana kaba ki ki ziyarat karna, yani kuch important kaam ke sath allah ke ghar ki ziyarat karna, is me sab se zaruri kaam arfat me qayam karna hai jis ko “Waqoof e arfah” kahte hain, yah Arabic month Zil Hijjah ki 9 ko hota hai, hajj ka fayda yah hai ki agar hajj karne baad banda koyi gunaah ya galat kaam na kare to wah us masoom child ya bachche ki tarah ho jata hai jo abhi abhi paida hua hai. (Sahih Bukhari Hadith No: 1521, Sahih Muslim Hadith No: 1350).
5_ Panchwan Rukn Roza
Islam ka panchwan rukn roza hai, is ka connection gareeb maldar sab se hai, roze ke maye hain roze ki niyyat se subah se sham ka bhuke rahna, yah ramazan ke pure mahine me rakhkha jata hai, roze ke bahut fayde hadison me aaye hain, ek hadees me aaya hai: allah tala farmate hain: “ِAadmi ke har kaam ka badla aur us ka sawab fix hai lekin roza mere liye hai aur mai hi us ka badla aur ajar dun ga”. (Bukhari: 1904, Muslim: 1151). pure ramazan me roza rakhne wala kabhi bimar nahi hota, hamari science bhi kahti hai ki saal me kuch din hum ko apne khane pine ke rotation ko change karna chahiye yah hamri health ke liye zaruri hai, islam me yah kami alhamdulillah roze se puri ho jati hai.
Islam ke yah 5 important arkan hai agar koyi in me se kisi ek ko nahi manta to wah islam se exit ho jaye ga, aur agar in ko manta hai lekin taqat o quuat ke bawajood nahi karta to us bahut gunaah milega.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.