Aulad ke liye dua

Aulad Ke Liye Dua/ Aulad Ke Liye Wazifa In Quran

Aulad Bahut Qimti Cheez Hai

 Shadi ke baad husband and wife ki sab se badi khoahish aur chahat yah hoti hai ki un ke yahan ek peyara sa bachcha paida ho jis se un ke ghar me ujala ho jaye, aur bachche ki chahkaar se pura ghar goonj uthe, yah haqiqat hai ki aulad dunya ki sab se badi nemat hoti hai, isi nemat ki wajah se aaj puri dunya hari bhari hai, aur isi daulat ki wajah se aadmi ki nasal aage ko chalti hai, wah log khush naseeb hain jin ko allah ne aulad ki daulat se malamaal kar rakhkha hai, lekin har kisi ko yah daulat nahi milti, isi dunya me bahut sare log aise hain jo bechare aulad ke liye taras rahe hain, magar un ke yahan koyi aulad nahi hai.

Aulad Ke Liye Dua In Quran

 Agar kisi ke paas aulad na ho to us ko mayooos nahi hona chahiye, Quran Pak me us ke liye bahut sari duaayen hain jin ko hum is article me aap se share karen ge, aur aulad ke liye dosre wazife bhi batayen ge.

To friends! aulad ke liye quran me sab se best wazifa yah hai:

Aulad Ke Liye Best Dua

 

{رَبِّ هَبْ لِي مِنْ لَدُنْكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ } [آل عمران: 38]

 

This Dua In English word: RABBI HAB LI MIL LADUNKA ZURRIYATAN TAYYIBATAN, INNAKA SAMIUDDUA. [Sure Aale Imran: 38]

Translation In Hindi Urdu: Ai allah mujhe nek aur saleh aulad ata farma, beshak tu dua ko qabool karne wala hai.

Is Dua Ki Details Aur Us Ke fayde

Dear friends! yah bahut hi important dua hai, yah dua allah ke nabi Hazrat Zakaria (A S) ki hai, wah old age ko pahonch gaye the un ko koyi aulad nahi huyi thi, wah bahut chahte the ki mere bhi koyi aulad ho jaye, lekin old age hone ki wajah se wah mayuoos ho gaye the.

 

Ek bar ka kissah hai ki Hazrat Zakaria (A S) ne Hazrat Maryam (A S) ko dekha ki unke paas bina mausam ke phal aur fruits har waqt available rahte hain, jin ko wah maze se khati hain, Hazrat Zakaria (A S) ko bada Taajjub hua, ek baar unhon ne Hazrat maryam se poochh lia: Maryam! yah fruits jo tumhare paas rakhke huye hain kahan se aate hain? aaj kal to inka mausam bhi nahi hai? Hazrat Maryam ne jawab dia: yah sab allah ki taraf se hai, mera dil jo bhi khane ko karta hai mai allah tala se maang leti hun aur wah mujhe de dete hain, allah tala ke phal ko kisi mausam  ki zarurat nahi, wah jis ko jo chahe jab chahe de sakta hai, wah har cheez par qadir hai.

 

Hazrat Maryam ke is jawab se Hazrat Zakaria  ke dil me phir se aulad ki ummid jagi, unhon ne apne dil me socha ki jo allah begair mausam ke phal khila sakta hai wah mujhe old age hone ke bawajood aulad ki dulat se malamal kar sakta hai, phir unhon ne wahi dua ki jis ko hum ne uper likha hai.

Allah tala ne hazrat Zakaria ki dua sun kar un ko ek nek beta dia jin ka naam Hazrat Yahya (A S) hai, jo baad me Nabi bhi huye. yah pura kissa Quran Pak ki Sure Aale Imran ki Aayet no: 37 to 40 me maujood hai.

Is Dua Ko kaise Padhen?

Dear friends! ab to aap ko maloom ho gaya hoga ki yah dua kitni important hai, is liye mayoosi ko aap apne dil se nikaal den aur hamare bataye huye tarike ko follow karen in shaallah aap ke yahan aulad zarur paida hogi:

 

(1) Husband and wife Namaz ko Pabandi se padhen.

(2) Har Farz Namaz ke baad aur khaas taur par Fajar aur Asar ki Namaz ke baad is aayet  ko 40, 40 baar padhen.

(3) Monthly period ke fauran baad naha dho kar husband and wife intercourse karen.

in sab cheezon ko follow karen in shaallah aulad zarur paida ho gi.

Aulad Ke Liye Dosra Wazifa In Quran

 Aulad ke liye ek dosri dua bhi quran pak me hai jis ko Hazrat Ibraheem (A S) ne maanga tha. jis ke words is tarah se hain:

 {رَبِّ هَبْ لِي مِنَ الصَّالِحِينَ}. [الصافات: 100]

 

This Dua In English Word: RABBI HAB LI MINAS SALIHEEN. [Sure Assaffaat: 100]

 

Translation In Hindi: Ai allah mujhe nek aur saleh aulad de.

 

 Hazrat Ibraheem (A S) ki bhi dua qabool huyi thi, allah tala ne un ko bhi ek nek aulad dia tha, jin ka naam Hazrat Ismayeel (A S) tha, yah bhi allah ke nabi the, aur in hi ki khandaan se hamare Nabi Hazrat Mohammad (S A W) hain.

Is Dua Ko padhne Ka Tarika

Har Farz Namaz ke baad 21, 21 baar is dua ko pure sukoon ke sath padhe, inshallah murad zarur puri hogi.

Aulad Ke liye Dosre Nuskhe

Mere dosto! aap ko maloom hona chahiye ki Quran Kap ke words me bada asar hoti hai, shaitaan Quran ke words ko sun kar bhaag jata hai, isi quran ki aayet se aulad ke bare me hum aap ko ek dosra nuskha batate hain, jo bahut chhota hai, aur bahut hi power full hai.

 

Jis aadmi ko koyi aulad na huyi ho aur shadi ko bahut din ho gaya hon us ke liye Mujarrab nuskha yah hai:

(1)  Murgi ka 2 anda (two eggs of hen) rozana boil kar ke us ka chhilka utaar len.

(2) Ek egg par yah aayet write kare: WASSAMAA BANAINAHA BIAIDIN W INNA LAMUSIUOON. [Sure zariyaat: 47] {وَالسَّمَاءَ بَنَيْنَاهَا بِأَيْدٍ وَإِنَّا لَمُوسِعُونَ} [الذاريات: 47]

(3) Is egg ko mard ko khilaya jaye.

(4)  dosre ande par yah aayet likhe: WAL ARZA FARASHNAHA FNIMAL MAHIDOON. [Sure Zariyaat: 48] وَالْأَرْضَ فَرَشْنَاهَا فَنِعْمَ الْمَاهِدُونَ

(5) Is egg ko aurat ko khilaya jaye.

(6) Yah kaam 40 days kat kia jaye.

Note 1: yah aayet agar koyi arabic me nahi likh sakta to wah english word ya roman me type kar le.

Note 2: har kaam me niyat ka bahut important role hai, achchha kaam bhi agar sahi niyat se na ho to wah bhi kisi kaam ka nahi hota, uper bataye gaye amal ko karne ke liye zaruri ki karne wale ki niyat sahi ho, yani wah dil se yaqeen kare ki in shallah is kaam se mujhe zarur faida hoga, tab ho sakta ki us dua se faida ho warna koyi faida nahi hoga.

Wazifa For Baby Boy During Pregnancy  (Beta Hone Ki Dua)

Jis aurat ke only girls hi paida hon boyes na hote hon us ke quran ki yah Surat bahut behtareen dua hai:

LA YARAUNA FEEHA SHAMSAUN WLA ZAMHARIRAH. [Sure Insan: 13] لَا يَرَوْنَ فِيهَا شَمْسًا وَلَا زَمْهَرِيرًا

Translation: Jannati Log Jannat me na dhoop dekhen ge na jara (winter) .

Is Dua Ka Tarika

(1) Is ka tarika yah hai ki jab pregnancy ya hamal 3 month ka ho jaye to us waqt yah aayet  ek kagaz par likh len.

(2) Us ko mom jama kar ke (mom batti wali mom, agar pure mil jaye)  aurat  apne pet left side baandh le in shaallah baby boy paida hoga.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply