Namaz e Istikhara

Istikhara Ki Namaz Ka Tarika In Hndi, Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:6 Comments
  • Post last modified:March 30, 2020
  • Reading time:7 mins read

Note:  Namaz Ki Starting ke liye please likn par click karenNamaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu

What Is Istikhara?

Istikhara ke meaning hain khair talab karna, yani apne  kisi kaam ya mamla me allah tala se khair aur bhalayi ki dua karna ki ai allah mera yah kaam theek theek ho jaye.

Istikhara Kab kare?

Jab koyi important aur aham kaam karne ka irada ho, for example: Shadi vivaah, business ki strating, ya kisi anjani jagah par karobar shuru karna ogairah ogaurah, lekin dil me yah khayal bar bar aa raha ho ki yah kaam mere liye theek hai ki nahi to us waqt istikhara karna chahiye.

Keya Istikhara Dosron Se Kara Sakte Hain?

Istikhara bahut important aur zaruri kaam start karne se pahle hota hai, for example: Shadi wiwah, business wgairah, aap kaam start karne se pahle apne best friends se advice le sakte hain ki mai yah kaam start karun ki nahi? lekin us kaam ko start aap hi karen ge to aap ke dil ka us kaam ke liye tayyar hona zaruri hai,  aur istikhara isi liye hota hai ki aap ka dil keya kahta hai, aap ka dil us kaam ke liye razi hai ki nahi, aur is ko sirf aap hi jaan sakte hain dosra nahi, to  dosre se istikhara kaise ho sakta hai? istikhara khud hi karna pade ga.

How To Pray Salatul Istikhara?

Yah namaz kisi bhi munasib waqt padhi ja sakti hai,  Huzur  (S A W) Sahaba ko istikhara ke bare me bahut zor dete the, lekin raat ko sone se pahle yah namaz zada munasib hai.

Sab se pahle 2 rakat nafal padhe, bilkul usi tarah jaise dosri nafilen padhi jati hain, us ke baad puri tawajjuh aur dil laga kar yah dua padhe jis ke Arabic text yah hain:

Namaz Istikhara Dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ العَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ، وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ، وَأَنْتَ عَلَّامُ الغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي، ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الخَيْرَ حَيْثُ كَانَ، ثُمَّ أَرْضِنِي”.  رواه البخاري في صحيحه. (6282).

Istikhara Dua Roman English

ALLAMUMMA INNI ASTAKHIRUKA BIILMIKA W ASTAQDIRUKA BIQUDRATIKA, W ASALUKA MIN FAZLIKAL AZEEM, FINNAKA TAQDIRU W LA AQDIRU, W TALAMU W LA AALAMU, W ANTA ALLAMUL GHUYUBI, ALLAHUMMA IN KUNTA TALAMU ANNA HAZAL AMRA KHAIRUN LI FI DINI W MAASHI W AAQIBATI AMRI (AW QALA AAJILI AMRI) FAQDURHU LI W YASSIRHU LI, SUMMA BARIK LI FIHI, WIN KUNTA TALAMU ANNA HAZAL AMRA SHRRUN LI FI DINI W MAASHI W AAQIBATI AMRI (AWU QALA FI AAJILI W AAJILIHI ) FASRIFHU ANNI WASIFNI  ANHU, WQDUR LI ALKHAIRA HAISU KANA SUMMA ARZINI. (Bukhari Shareef Hadees No: 6282)

Istikhara Dua Translation In Urdu

Ai allah!  mai tere ilm ki behtari aur bhalayi chahta hun, aur  tere qudrat ke sahare is kaam ko karne ki taqat mangta hun, aur tere fazle azaim ka sawali hun,  be shak aap qadir aur mai qudrat nahi rakhta, aur  aap ko ilm hai aur mai nahi jaanta, aap to chhupi huyi cheezon ko bhi achhi tarah jante hain,  ai allah! agar aap ke ilm me yah kaam (yahan us kaam ko apne dil me soche jis  ka istikhara karna hai)  mere haq me mere din dunya aur aakhirat ke etbar se behtar ho to us ko mere liye mqaddar kr di jiye aur use mere haq me aasani kar ke us me mujhe barkat de, aur agar aap ko ilm hai ki yah kaam (yahan bhi us kaam ko dil se soche) meri dunya aur aakhirat ke aitbaar se achchha nahi hai, to us kaam ko mere dil se door kar de. aur jis janib khair aur bhalayi ho wahi mere liye muqaddar kar de, aur mujhe us kaam se razi kar de.

Explaination:  yah istikhara ki dua hai, is dua ke starting aur ending me Hamd o Sana aur Darud Shareef  bhi parh le. aur agar Arabic me yah dua na padhi ja sake to to apni madri language me us ka translation bhi padh sakta hai.

istikhara image

Istkhara Ki Namaz me kaun si Surten Parhe?

Behtar yah hai ki pahle rakat me Alhamdu ke baad “Qul ya Ayyuhal Kafiroon” aur dosri rakat me “Qul huwallahu Ahad” padhe.

Namaz e Istikhara Kitni baar padhi jaye?

Munasib yah hai ki istekhara 7 days tak kiya jaye, agar 7 days me bhi kisi ek taraf kaam ka rujhaan na ho to continue istikhara karta rahe.

Istikhara Ke Baad Kaam ka Rujhaan Kaise Pata Chale?

Buzurg logon ki zabani yah suna gaya hai ki: namaz e Istikhara padh kar Qibla ki taraf Ba wazu so jaye, agar khwaab me white ya green cheez dekhe to samajh le ki is kaam me khair aur bhalayi hai, aur agar black ya red cheez dekhe to samajh le ki yah kaam  theek nahi hai.

Explaination: yah ek andaza hai, isse zaruri nahi ki yah theek ho, bas asal rujhaan dil ka hota hai, dil agar us ko karne  ke liye kahe  to kare wana na kare, in shaallah usi me khair hogi.

Kya Istikhara Ke Baad dili Rujhaan Par Amal Zaruri Hai?

Istikhara ke baad dili rujhaan par amal behtar hai, lekin agar koyi aadmi kisi wajah se us ke khilaf amal kar le to us par koyi gunaah nahi, kyon ki dili rujhaan koyi dalil ya hujjat nahi.

Nikah Ya Shadi Ke Liye Istekhara Kaise Kare?

Bahut sare friends ne mujh se yah baat poochha tha ki: “Nikah ke liye istekhata kaise karte hain?” to mai aap ko bata dun ki nikah ya shadi ke liye koyi alag istekhara nahi hai, is ke liye bhi wahi istekhara hai jis ko hum uper bata chuke hain, yani agar aap kisi ladki ya ladke se shadi karna chahte hon aur soch rahe hon ki yah mere liye achchha jeevan sathi hoga ki nahi to aap 2 rakat namaz padh ke aap istekhara ki dua padhen, us ke baad aap ka dil jo faisla kare us par amal karen inshallah aap ko ek best jeevan sathi mil jaye ga, bas aap ki niyat sahi honi chahiye.

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 6 Comments

  1. Abdul qadir

    Allah is nek kaam ke bdle koi achha bdla de aameen

  2. Salman Shaikh

    ISTIKHARA KI DUA KO KAB PADHNA HAI? NAMAZ PADHNE KE BAAD?

    1. Online Islam

      Ji bilkul, lekin yaad karne ki koshish zaruri hai.

    2. Online Islam

      Namaz Ke baad padhna hai, aap article ko achchhi tarah padhen, us me tarika bataya gaya hai.

  3. Princess

    Maine istekhara kiya tha kch months pehle shaadi k liye toh bht khubsurat Khwab aaye the…, Kal maine phir se kiya wahi ladke k liye ajeeeb hi khwab aaya tha
    Jab kch months pehle istekhara kiya tha toh bht khubsurat aaye the khwab jaise hum dono namaz aada kar rahe hai saat

    1. Online Islam

      shadi ke masle me hamare maa baap ki advise bahut important hoti hai, istikhara ka matlab dili rujhaan hota hai, us amal zaruri nahi hai, aap ke sawal ke jawab me mujhe aap se kuchh baten personally poochhna hai jis ko comment section me discuss karna munasib nahi hai, aap hamare blog ke live chat par aayen wahan inshallah aap ke sawal ka jawab dene ki koshish ki jaye gi.

Leave a Reply