namaz ki dua

Namaz Ki Dua, Farz Namaz Ki Dua, Namaz Ki Duaayen

  • Post author:
  • Post category:Duas
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:September 30, 2021
  • Reading time:7 mins read

Doaaon Ke Fayde

kahte hain ki agar koyi cheez taqdeer ko badal sakti hai to wah dua hai, duaaon ki badi importance hai, allah tala ko bande ka dua mangna bahut pasand hai, allah tala chahte hain ki uske bande us se dua mange. Musibat me usi ko bulayen.

Doaaon Ke Faydy Quran Me

﴿وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِي عَنِّي فَإِنِّي قَرِيبٌ أُجِيبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ إِذَا دَعَانِ فَلْيَسْتَجِيبُوا لِي وَلْيُؤْمِنُوا بِي لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ﴾ [البقرة: 186]

Translation: Allah tala quran majeed me farmate hain ki: ai nabi jab mere bande aap  se mere bare me poochhen to aap un ko bata den ki mai unke qareeb hun, dua mangne walon ki dua qabool karta hun, to unko chhiye ki wah mujh se dua mangen, aur mujh par eeman layen, shayed wah log raah pa jayen. (Al baqarah: 186)

Allah tala ek dosri jagah farmate hain:

﴿ أَمَّنْ يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَاءَ الْأَرْضِ أَإِلَهٌ مَعَ اللَّهِ قَلِيلًا مَا تَذَكَّرُونَ﴾ [النمل: 62]

Translation: bhala wah kaun hai jo preshan haal ki dua qabool karta hai, aur takleef door karta hai? aur  jo tumko zameen ka khalifa banata hai? (phir bhi tum kate ho ki) allah ke sath koyi aur khuda hai? Nahi! But tum bahut kam naseehat qabool karte ho. [Al Namal: 62]

Surah ghafir me allah tala farmate hain:

﴿وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ إِنَّ الَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِي سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ﴾ [غافر: 60]

Translation: aur tumhare rab ne kaha ki: mujhe pukaro mai tumhari duaayen qabool karun ga, beshk jo log takbbur ki wajah se meri ibadat se munh moodte hain wah zaleel ho kar jahnnam enter hon ge. [Surah: Ghafir: 60 ]

Surah aaraf me allah tala farmate hain:

﴿ادْعُوا رَبَّكُمْ تَضَرُّعًا وَخُفْيَةً إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُعْتَدِينَ * وَلَا تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ بَعْدَ إِصْلَاحِهَا وَادْعُوهُ خَوْفًا وَطَمَعًا إِنَّ رَحْمَتَ اللَّهِ قَرِيبٌ مِنَ الْمُحْسِنِينَ﴾ [الأعراف: 55، 56]

Translation: tum apne parwardigar ko aajizi ke sath chupke chupke pukara karo, beshak wah had se guzarne walon ko pasand nahi karta, aur zameen me uski islah ke baad fasaad na machaaoo, aur uski ibadat is tarah karo ki dil me khauf bhi ho aur ummid bhi, beshak allah ki rahmat nek logon se qareeb hai. [Surah Aaraf: 55, 56]

Doaaon Ke Faydy Hadison Me

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: الدُّعَاءُ مُخُّ العِبَادَةِ. (سنن الترمذي: 3371)

Translation: hazrat anas se riwayet hai kahte hain: rasulullah salallahu alaihi wasslam ne farmaya: “dua ibadat ki jad aur asal hai”. [Sunan Tirmizi: 3371]

عَنْ سَلْمَانَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “إِنَّ رَبَّكُمْ تَبَارَكَ وَتَعَالَى حَيِيٌّ كَرِيمٌ، يَسْتَحْيِي مِنْ عَبْدِهِ إِذَا رَفَعَ يَدَيْهِ إِلَيْهِ، أَنْ يَرُدَّهُمَا صِفْرًا”. (سنن أبي داود: 1488)

Translation: hazrat salman se riwayet hai kahte hain: rasulullah salallahu alaihi wasslam ne farmaya: “beshak aap ka rab haya karne wala aur karam karne wala hai, is baat se usko sharm aati hai ki banda us se mange aur wah us ke hath khali lauta de”. [Sunan e Abi Daud: 1488]

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “مَنْ سَرَّهُ أَنْ يَسْتَجِيبَ اللَّهُ لَهُ عِنْدَ الشَّدَائِدِ وَالكَرْبِ فَلْيُكْثِرِ الدُّعَاءَ فِي الرَّخَاءِ”. (سنن الترمذي: 3382)

Translation: hazrat abu hurairah se riwayet hai kahte hain ki: rasulullah salallahu alaihi wasslam ne farmaya: jis ko is baat se khushi ho ki allah tala uski dua ko pareshani aur musibat ke waqt qabool Karen usko chahiye ki khushhali me zyada se zyada dua kare. [Sunan Tirmizi: 3382]

Is leye hum sab ko allah tala se hamesha dua mangni chahiye.

liken is article me hum un doaayon ke bare me baat karenge jo namaz ke andar hain,

Namaz Ke Andar Padhi Jane Wali Duaayen

Hades ki kitabon me Namaz me padhi jane wali doaayen bahut zada hain hum unme se khaas duaaon ko batate hain:

Takbeer Tahreema Ke Bad Aur Qirat Se Pahle Ki Dua

Hazrat abu hurairah se riwayat hai, kahte hain ki: mai ne rasulullah salallahu alaihi wasslam se poochha ki: ai allah ke rasool mere maa baap aap par qurban hon aap Takbeer Tahreema aur Qirat ke beech me khamoosh rahte hain us me aap kya padhte hain? Aap ne wah dua batayi jo neeche hai:

Takbeer Tahreema Ke Baad Ki Dua In Arabic

اللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَايَ، كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ المَشْرِقِ وَالمَغْرِبِ، اللَّهُمَّ نَقِّنِي مِنَ الخَطَايَا كَمَا يُنَقَّى الثَّوْبُ الأَبْيَضُ مِنَ الدَّنَسِ، اللَّهُمَّ اغْسِلْ خَطَايَايَ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالبَرَدِ. (صحيح البخاري: 744، صحيح مسلم: 598)

Takbeer Tahreema Ke Baad Ki Dua In Roman

Allahumma baa id bayni wa bayna khataya, kamaa ba adta baynal mashriqi wal maghribi, Allahumma naqqinee minal khataayaa kamaa yunaqqis saubul abyazu minad danasi,Allahummaghsil khataayaaya bil maa ee was saljil baradi

(Saheeh Bukhari: 744 .Saheeh Muslim: 598)

Translation: ai allah mere aur mere gunaahon ke beech me doori kar de, jaisa ki to ne east aur west me doori ki hai, ai allah mujh ko gunahon is tarah dho de jaisa ki  white kapda mail kuchail se dhoya jata hai, ai allah mere gunahon ko water se, ice se aur thande water se dho de.

Ruku Ki Dua

Ruku me mashhoor dua yani: SUBHANA RABBIYAL AZEEM , aur Samee allahu liman hamidaa, RABBNA LAKAL HAMD, yah dua to padhi jaye gi us ke elawa ek dua aur hai jo neeche ki riwayat me hai:

Hazrat aayisha se riwayat hai, kahti hain ki rasulullah salallahu alaihi wasslam ruku me aksar yah dua padhte the:

Ruku Ki Dua In Arabic

عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ: كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُكْثِرُ أَنْ يَقُولَ فِي رُكُوعِهِ وَسُجُودِهِ: سُبْحَانَكَ اللهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ، اللهُمَّ اغْفِرْ لِي”. (صحيح البخاري: 794، صحيح مسلم: 484)

Ruku Ki Dua In Roman

Sub hana kalla humma rabbana wabi hamdika Allahummagh firlee. (Saheeh Bukhari: 794, Saheeh Muslim: 484)

Translation: ai hamare allah teri zaat paak hai, ai allah tu hamara rab hai, tamam tariten aap ke liye hain, ai allah mujh ko bakhsh de.

Dono Sajdon Ke Beech Ki Dua

Hazrat Ibne abbas se riwayat hai ki: Nabi kareem salallahu alaihi wasslam dono sajdon ke beech me yah dua padhte the:

Dono Sajdon Ke Beech Ki Dua In Arabic

عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَقُولُ بَيْنَ السَّجْدَتَيْنِ: اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي، وَارْحَمْنِي، وَاجْبُرْنِي، وَاهْدِنِي، وَارْزُقْنِي. (سنن الترمذي: 284، سنن ابن ماجه: 898، مسند أحمد: 1/371).

Dono Sajdon Ke Beech Ki Dua In Roman

Allahumma Ighfirli, Wrhamni, Wajburni, Wahdini, Wrzuqni.

(sunanut tirmizi: 284, sunan ibn e maja: 898, musnad e ahmad: 1/371)

Translation:  ai alllah mujhe bakhsh de, mujh par raham farma, mujh se musibat aur pareshani ko door kar de, mujh ko hidayet de, aur mujhe rizq de.

Qada Akhirah Me Durood Ke Baad Ki Dua

Hazrat abu bakr siddeeq se riwayat hai kahte hain mai ne rasulullah salallahu alaihi wasslam se kaha ai allah ke rasool mujh ko koyi aisi dua sikhla dijiye jis ko mai namaz me padhun. Aap salallahu alaihi wasslam ne kaha yah dua padho :

عَنْ أَبِي بَكْرٍ الصِّدِّيقِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: أَنَّهُ قَالَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: عَلِّمْنِي دُعَاءً أَدْعُو بِهِ فِي صَلاَتِي، قَالَ: ” قُلْ: اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الغَفُورُ الرَّحِيمُ”. (صحيح البخاري: 834، صحيح مسلم: 2705)

Qada Akhirah Me Durood Ke Baad Ki Dua In Roman

“Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeraun Wala Yaghfiruz Zunooba Illa Anta, Faghfir Li, Maghfiratam Min Indika Warhamni, Innaka Antal Ghafurur Raheem.”

Translation: ai allah mai ne apne uper bahut zulm kia, mere gunaahon ko tere siwa koyi maaf nahi kar sakta, to meri bakhshish farma, aur mujh par raham farma, beshak tu hi maghfirat karne wala aur raham akrne wala hai.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply