Humbistari Ka tarika

Sambhog Kaise Kare? Humbistari Ka Tarika In Islam

  • Post author:
  • Post category:Islamic
  • Post comments:2 Comments
  • Post last modified:January 22, 2019
  • Reading time:16 mins read

Mubashart ya humbistari insan ki life ki sab se zada suknoon ki cheez hai, yah aisi lazzat hai jo sirf jism tak mahdood nahi rahti, balki us ki sansanahat , insan ke mind, us ki nafsiyat, aur us ki rooh par bhi asar daalti hai, mubasharat ke begair ek success life ka wajood mushkil hai,

Waise to mubasharat aur humbistari ke bahut se maqsad aur fayde, aur tarike hain lekin is article me hum aap ko us ke main aur important cheezon ke bare me baat karen ge,sab se pahle hum baat ko humbistari se start karte hain: to aap ko malooom hona chahiye ki humbistari ke 3 aham aur zaruri maqasid hain:

Mubashrat Ke Maqasid

(1) Insan ki nasal ki hifazat, aur us ko always baqi rakhna, aur yah kaam only intercourse ya jema ya humbistari, ya mubasharat , ya sambhog  hi se ho sakta hai, aur allah tala ko jitne insanon ko dunya me paida karna hai wah intercourse ya jema hi se complete ho sakta hai.

(2) semen ya mani ka exit hona jis ke ruk jane aur jama hone se insan ke puri body ke liye hanikarak hai.

(3) Insan ko apni khoahish puri karna, aur allah ki nemat se enjoy karna, yah aisa benefit aur fayda hai jo insan ko Jannat me bhi provide kia jaye ga.

Sambhog Ya Humbistari Ke Fayde

Sambhog  ki wajah se aadmi bahut si bimariyon se bach jata hai, for example: waswase, madness, mirgi other wise.

Kuchh samjhdar logon ka kahna hai ki: insan ko apne aap se 3 promise kar lena chahiye: (1) wah morning walk, (2) khana khana kabhi bhi na chhoore, (3) sambhog ya mubasharat karna na chhoore, is liye ki jis kuyen (well) se pani na nikala jaye wah sookh jata hai, aadmi ka private part sikud jata hai, us ka jism thanda ho jata hai, us ka hazma kharab ho jata hai.

Sambhog ka ek fayda yah bhi hai ki aadmi ki nigaah niche ho jati hai, us ko apne uper control hota hai, wah haram kari se bach jata hai, aur aurat se alag fayda uthata hai, isi wajah se hamare hazrat Mohammad (S A W) use bahut pasand karte the, aap khud farmate the ki: “Tumhari dunya ki 2 cheezen mujhe bahut pasand hai: (1) aurat, (2) khushbu”. [Musnad e Ahmad: 3/128, 199]

Sambhog Aur Humbistari Ka Sahi Time

Aadmi apni wife se jab chahe sambhog bana sakta hai, lekin us ke liye best time night ka ending part hai, us ki main wajah yah hai ki us time khana hazam ho jata hai, aur us ko zada time tak napak nahi rahna padta hai, kyun ki morning me us ko nahana hota hai, aur agar night ke starting part me humbistari kare to us me 2 nuqsan hain: 1 khana khane ke fauran baad intercourse se mana kia jata hai kyun ki wah aadmi ke sharir ke liye hanikarak hai, 2 intercourse ke baad wah puri raat napaki ki halat meguzarta hai.  

Humbistari Se Pahle Foreplay Zaruri Hai

Sambhog aur humbistari se pahle apne partner ko tayyar karna sab se important cheez hoti hai, us ka sab se aham reason  yah hai ki mard aam taur par aurat se pahle farig ho jata hai, yahi mard ki semen ya mani aurat se pahle nikal jati hai us ke baad mard apne private part ko jaldi se exit karna chahta hai, aur aurat der me farig hoti hai, aur mard ki is harkat se aurat ko dili takleef hoti hai, us ko sambhog me maza nahi aata hai, aur agar yah matter continue chalta rahe to aurat ko us mard se nafrat ho jati hai, phir kabhi bhi wah us mard ke sath sambhog karne ke liye tayyar nahi hoti, aur nafrat honi bhi chahiye aakhir aurat ka bhi dil hota hai us ki bhi khoahish hoti hai, jab us ki chahat puri na ho, us ka dil na bhare to us ko sambhog se kya fayda mile ga, is liye mard ke liye zaruri hai wah main sambhog se pahle foreplay zarur kare taki aurat sambhog ke liye tayyar ho jaye, aur dono ek sath farig ho jaye aur dono ko sukoon mile.

Foreplay Yani Aurat Ko Humbistari Ke LiyeTayyar Karne Ke Tarike

Yah cheez aurat par depend hoti hai ki wah kis cheez ko chhone se humbistari ke lite tayyar hoti hai, likin in sab me common yah hai ki us ke narm o nazuk part ko touch kia jaye us ki pahchan yah hoti hai ki aurat tez tez sansen lene lagti hai aur us ki ayes tan jati hain, anyway aurat jis tarike se tayyar ho jaye us ka sambhog ke tayyar hona zaruri hai, agar bina tayyari ke humbistari ho to aurat ka masla hal nahi hota.

Sambhog Kaise Kare ? Humbistari Ka Tarika

Jab mard ko maloom ho jaye ki ab us ka partner ab humbistari ke liye tayyar ho gaya hai, tab us ke sath sambhog banaye, us ka sab se behtar tarika yah hai ki mard aurat ke uper ho, ek mard hone ke ki wajah se us ko uper hona hi chahiye, taki us ke hakim hone ka pata chale, jaisa ki allah tala ne farmaya hai ki: mard aurton par hakim banaye gaye hain. [Sure Nisa: 34] to jahan aur cheezon mard aurat ke uper hote hain, yahi dosre works aurten mard ke order ki bina nahi kar sakti to sambhog me bhi mard ko aurat ke uper hona chahiye.

dosri important cheez yah hai ki sambhog ka yah tarika almost sari aurton ke liye better hota hai, is tarike me mard aur aurat ek dosre se achhi tarah chimat jate hai, aur yah chimatna un dono ki mohabbat ko badha deta hai. aur un  ke liye dress ya libas ka kaam deta hai, isi ki taraf ishara quran ki us aayet se milta hai jis me allah tala ne farmaya hai ki: “Tum aurton ke liye libaas ho aur aurten tumhare liye libaas hain”. [Sure Baqrah: 187]

kahne ka matlab yah hai ki hambistari ka yah sab se achhha tarika hai, quran ki aayton me bhi us ki tara ishara milta hai, us se badh kar har aurat ho yah pasand hota hai, is tarike me mard aur aurat is tarike me koyi diqqat nahi hoti.

Tisri important cheez yah hai sambhog ke beech me agar mard aurat se jaldi farig ho jaye to us tatkal aurat se alag nahi hona chahiye, balki aurat ko bhi farig hone ka mauqa dena chahiye, jab aurat bhi farig ho jaye tab us se alag ho jaye, fauran alag hone ki soorat me aurat bechari kuchh hasil nahi hota, har mard ko us ka khayal rakhna chahiye,

Hambistari Ka Sab Se Bura Tarika

Humbistari ka sab se bura aur bekar tarika yah hai ki aurat mard ke uper ho, aur mard apni peeth ki taraf se humbistari kare, yah tarika naturally bhi sahi nahi hai, kyun ki mard aur aurat ki jis tarah paidaaish huyi hai, aur aurat aur mard ka jo kaam hai us se bhi maloom hota hai ki mard ko aurat ke uper hona chaiye. Sambhog ke is aasan me bahut si kharabiyan hain un me se ek yah bhi hai ki mard ki semen ya mani ka puri tarah exit hone me diqqat hoti hai, some time mani ka kuchh hissa mard ke private part me rah jata hai, jis ki wajah se mard mard ho bahut sari bimari bhi ho sakti hai.

Kya Aurat Ke Pichhle Private Part Me Sambhog Banana Sahi Hai?

To us ka answer yah hai ki aurat ke pichhle private part me sambhog karna sahi nahi hai, Huzoor (S A W) ne us mana farmaya hai ek riwayat me hai: 

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَلْعُونٌ مَنْ أَتَى امْرَأَتَهُ فِي دُبُرِهَا». (سنن أبي داود: 2162)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat ki Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Us aadmi par allah ki phatkar aur lanat ho jo aurat ke pichhle private part me sambhog banaye”. [Sunan e Abu Daud Hadees No: 2162]

Pichhle Private Part Me Sambhog Banana Se Kya Kya Problems Saamne Aati Hain?

(1) Alulad paida nahi hoti jo ki shadi ka main point hota hai.

(2) Aurat ka haq mara jata hai, kyun ki sambhog aurat ka haq hota aur is part me intercourese karnne se aurat ki khiahish puri nahi hoti, koyi bhi aurat yah nahi chahe gi ki us ke dosre part me sambhog banaya jaye.

(3) Aurat ka Dosra part sambhog ke liye nahi banaya gaya hai, aur na hi dosre part ka ya maqsad hai ki us me sambhog banaya jaye, blaki sambhog ke liye pahla part hai, so jo log agle part ko chhor kar pichhle part me sambhog karte hain wah Islam ki Shariyat aur allah ki hikmat dono ke khelaf ja rahe hain.

(4) dosre part part me sambhog mard ke liye zada hanikarak hai, is liye world ke sare doctors aur samjhdar log is kaam se mana karte hain, us ka reason yah hai ki aurat ke agle private part me aisi kashsh hoti hai ki wah mard ki ruki huyi mani ya semen ko apne andar kheench leti hai, jis mard ko aaram milta hai, aur dosre private part me sambhog karne ruki huyi mani puri tarah exit nahi hoti, jis se mard ko takleef hoti hai, aur jaldi se wah apne private part ko nikalna chahta hai.

(5) Pichhla part gandagi ki jagah hai, us ke sambhog karte waqt gandagi samne hoti hai, aur kabhi kabhi mard ke private me bhi gandagi lag jati hai, jis mard ko nafrat ho jati hai, aur aurat ko bhi sakhat nuqsan hota hai.

Anyway is bure kaam me aur na jane kitni kharabiyan jin ko count karna mushkil hai, allah ham sab ki is se hifazat farmaye aameen.

Kya Period Ya Haiz Ki Halat Aurat Sambhog Banaya Ja Sakta Hai?

Us ka answer yah ki period ya haiz ki halat me aurat se humbistri karna Haram aur najayez hai, us ki wajah yah ki Quran pak me allah tala ne is halat me sambhog karne se mana kia hai, allah tala farmate hain:

 

{وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الْمَحِيضِ قُلْ هُوَ أَذًى فَاعْتَزِلُوا النِّسَاءَ فِي الْمَحِيضِ وَلَا تَقْرَبُوهُنَّ حَتَّى يَطْهُرْنَ فَإِذَا تَطَهَّرْنَ فَأْتُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ أَمَرَكُمُ اللَّهُ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ التَّوَّابِينَ وَيُحِبُّ الْمُتَطَهِّرِينَ} [البقرة: 222]

 

Translation: Ai nabi aap se log reriod wali aurton ke sath sambhog se related log aap se sawal karten hain ki un ke sath sambhog banana kaisa hai? aap un logon se kah kah dijiye ki: period gandagi hai, is halat me aurat se hambistari na karo, han jab wah period se pak saaf ho jayen tab un se humbistari kar sakte ho, beshak allah tala toba karne walon aur pak saaf rahne walon ko pasand karta hai [Sure Baqrah: 222]

Explanation: Is aayet se saaf saaf maloom hota hai ki period me aurat ke sath humbistri karna sahi nahi hai.

Hamare Nabi Hazrat Mohammad (S A W) ne bhi us se mana kia hai, ek hadees me aaya hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَنْ أَتَى حَائِضًا، أَوِ امْرَأَةً فِي دُبُرِهَا، أَوْ كَاهِنًا، فَقَدْ كَفَرَ بِمَا أُنْزِلَ عَلَى مُحَمَّدٍ.[سنن الترمذي: 135]

 

Taranslation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) Nabi kareem (S A W) se riwayat karte hain aap ne farmaya: “Jis aadmi ne period me aurat se humbistari ki, ya aurat ke dosre private part me sambhog banaya, ya jotishi ke paas apna bhavishy jaan ne gaya us ne mohammad (S A W) ke laaye huye orders ka inkar kia”. [Sunan e Tirmizi Hadees No: 135]

Period Me Aurat Ke Sath Humbistari Kyun Nahi Karni Chahiye?

Quran aur hadees ne period ki halat me sambhog se mana kia hai hum musalnano ke yahi kafi hai, lekin mai app doctory ke hisab se ek baat bata raha hun wah yah hai ki period ki halat me humbistari karne se agar aurat pregnant ho jaye to jo child paida hota hai wah sahi salim nahi hota hai, yani kisi ki naak bhayanak ho jati hai ya eyes nahi hoti hain, child ka face daraona aur bad shakal hota hai, us ko starting hi se muhlik aur khatarnaak bimari lag jati, us ki wajah se maa bap kafi pareshan hote hain, hamari society me is tarah ke bahut sare case paye jate hain.

 

 Is ka main reason yah hai ki period me aurat ko jo bleeding hoti hai wah kharab khoon hota hai, aur us dauran jo hamal hota hai us me kharaab khoon bhi mil jata jis ka effect child par hota hai aur bachche ki shakal o soorat aksar damage ho jati hai, is liye zaruri hai hai hum period me sambhog se bachen,

 

Dosri baat yah hai period hi halat me koyi bhi aurat sambhog ke liye apni khushi se razi nahi hoti, hum ko apne partner ki khushi na khushi ka kkayal rakhna chahiye.

 

Tisri baat yah hai ki period days me aurat ko aksar bleeding hoti hai, ho sakta hai ki sambhog ke time bhi bellding ho jaye aur mard aurat ki bleeding ko dekh kar us se nafrat karne lage, aur phir wah kabhi bhi shayad us aurat ke sath sambhog ke liye tayyar na ho, is ka effect un ki marriage life par ho sakta hai.

bahut se nayi shadi shuda log is baat ko nahi jante, jawani ke josh aur apni hawas ke chakkar me aisi galti kar jate hain jis ko theek karne me un ki puri life barbad ho jati hai, allah hum sab ko us par amal ki taufeeq de, aur hamari marriage life ko khush gawar banaye aameen.

Humbistari Ya sambhog Bana Ne Baad Ghar Me Kaam Ogairah Karna

Bahut sare friends ne mujh se yah sawal kia tha ki humbistari ke baad ghar me kaam kaaj kar sakte hain ki nahi?

is liye main socha ki isi post me us ke bare me aap sab logon ko bata dun, baat yah hai ki humbistari ke baad nahane se pahle aap Quran ki tilawat ya Namaz nahi padh sakte, is ke elawa aap apne ghar me koyi bhi kaam kar sakte hain is me koyi masla nahi hai.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 2 Comments

  1. Danish

    Ghusl main pani gale m kha tak pahuchna chahiye
    Garare karne se muje yakin nhi hota ki pani gale ki naram haddi tak pahuch gya h aur m 6-7 baar kulli krta hoon

    1. Online Islam

      Itni takleef uthane ki zarurat nahi hai, aasani se jahan tak pani gale me pahonch jaye bas utna kafi hai, is me gargara karne ki bhi zarurat nahi hai, bas kulli kar lijiye, aur muh me jahan tak ho sake pani ko ghuma di jiye bas itna kafi hai.

Leave a Reply