Eid ki namaz

Eid Ki Takbeer Aur Eid ul Fitr Ki Namaz Ka Tarika

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:July 19, 2018
  • Reading time:4 mins read

Saal bhar ki namazon me do aham namaz bhi hai jo saal bhar me ek ek baar padhi jati hai, pahli namaz eid ul fitr ki hai, jo ramazan ke khatam hone , aur chand nikalne ke baad ada ki jati hai, yah namaz har musalman aaqil, baligh, azad, muqeem, par wajib yani zaruri hai, aurton aur bachchon aur musafir par yah namaz wajib nahi hai.

Eid Ki Takbeer

Is se murad wah takbeer hai jo eid gaah jaate huye aur aate huye raaste me aur eid ke khutbe me padhi jati hai aur wah takbeer “AALAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LAA YILAHA ILLAHU WLLAHU AKBAR, W LILLAHIL HAMD” hai, الله أكبر الله أكبر لا اله إلا الله والله أكبرولله الحمد app sallallahu alihi wsallam ka tarika yahi tha ki aap is takbeer ko raaste me aur eid ke khutbe me padhte the.

Eid ki Namaz ka Tarika aur takbiren

Eid ki namaz ki sab se aham aur zaruri cheez us ki takbiron ko jaan na hai, aksar log is me galti kar dete hain, to sab se pahle hum ko yah jaan na zaruri hai ki eid aur bakra eid ki 6 takbeer padhi jati hai.
us ka tarika yah hai ki 2 rakat eid ki namaz ki niyat kare, aur 6 zayed takbeer ki bhi niyat kare, niyat karne ke baad pahle Sana padhe, us ke baad 3 takbeer kahte huye kanon tak hath uthaye aur chhoor de, chauthi takbeer ke baad hath bandh le, us ke baad Alhamdu aur koyi Surat padhe, us ke baad Ruku Sajda kar ke ek rakat puri kare.
dosri rakat me alhamdu aur surat padhne ke baad ruku se pahle phir 3 zayed takbeer kahe, phir chauthi takbeer ke baad ruku sajda Tashauhud aur qada Akhira kar ke, Darud Shareef aur Duaaye Masura ke salam pher de, is tarah se eid ki do rakat puri ho gayi.

Eid ka Khutba:

Jis tarah se eid ki namaz zaruri hai usi tarah se eid ka khutba bhi sun na zaruri hai, bhut sare log eid ki namaz padh kar fauran bhagne ke chakkar me rahte hain aur khutba nahi sunte, jab ki yah galat hai, eid ka khutba sun na zaruri hai, begair khutba sune eid gaah se nahi jana chahiye.

Eid Se Related Masle:

Eid ul fitr aur eid ul Azha (bakra eid) ki namaz ek tarah se ada ki jati hai.

Eid ul fitr ki namaz me eid gaah ki taraf mithi cheez kha kar jana chahiye.
Eid gaah ki taraf ek raaste se jana chahiye aur dosre raaste se aana chahiye.

eid ki namaz me 2 rakat hoti hain, aur yah wajib hain.

Agar eid ki namaz chhoot jane ka khatra ho to Tayammum kar ke bhi padh sakte hain.

Eid ul fitr ki namaz me raaste me chalte huye aahista aahista eid takbeer padhna chahiye.

Bakra eid ki namaz me yahi takbeer zor zor aur baland aawaz se padhni chahiye.

Eid ki namaz eid gaah me padhna zada behtar hai.

Eid ki namaz masjid me bhi padh sakte hain.

Jis gaon ya village me juma nahi hota us me eid ki namaz ada nahi hoti

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply