Hadees Nabwi

Hadees Nabvi Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Hadees
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 16, 2019
  • Reading time:10 mins read

Imaan Ka Maza Kis Ko Milta Hai?

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ” ثَلاَثٌ مَنْ كُنَّ فِيهِ وَجَدَ حَلاَوَةَ الإِيمَانِ: مَنْ كَانَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِمَّا سِوَاهُمَا، وَمَنْ أَحَبَّ عَبْدًا لاَ يُحِبُّهُ إِلَّا لِلَّهِ عَزَّ وَجَلَّ، وَمَنْ يَكْرَهُ أَنْ يَعُودَ فِي الكُفْرِ، بَعْدَ إِذْ أَنْقَذَهُ اللَّهُ، مِنْهُ كَمَا يَكْرَهُ أَنْ يُلْقَى فِي النَّارِ”. (صحيح البخاري: 21، صحيح مسلم: 46)

Translation: Hazrat Anas Bin Malik (R Z) nabi kareem (S  A W) se riwayat karte hain,aap (S A W) ne farmaya: “Jis aadmi me 3  qualification ya khoobi payi jaye wah imaan ki mithaas ya us ki chashni pa jaye ga:

No 1: Us aadmi ke nazdeek allah aur us ke rasool tamam logon se zada mahboob ho jayen.

No 2: agar wah kisi se mohabbat kare to bas allah ke liye kare.

No 3: imaan ki daulat se mala maal ho jane ke baad wah kufr aur shirk ki taraf return hone ko na pasand kare, jis tarah wah aag me dale jane ko na pasand karta hai”. (Sahih Bukhari: 21, Sahih Muslim: 46)

Allah Ka Mahboob Banda

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” إِنَّ اللهَ إِذَا أَحَبَّ عَبْدًا دَعَا جِبْرِيلَ فَقَالَ: إِنِّي أُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبَّهُ، قَالَ: فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ، ثُمَّ يُنَادِي فِي السَّمَاءِ فَيَقُولُ: إِنَّ اللهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبُّوهُ، فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ، قَالَ ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي الْأَرْضِ، وَإِذَا أَبْغَضَ عَبْدًا دَعَا جِبْرِيلَ فَيَقُولُ: إِنِّي أُبْغِضُ فُلَانًا فَأَبْغِضْهُ، قَالَ فَيُبْغِضُهُ جِبْرِيلُ، ثُمَّ يُنَادِي فِي أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللهَ يُبْغِضُ فُلَانًا فَأَبْغِضُوهُ، قَالَ: فَيُبْغِضُونَهُ، ثُمَّ تُوضَعُ لَهُ الْبَغْضَاءُ فِي الْأَرْضِ. (صحيح مسلم: 2637)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai kahte hain Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Allah tala jab kisi bande ko pasand karta hai to Hazrat Jibreel ko bulata hai aur unse se kahta hai: mai falan bande ko pasand karta hun, is liye tum bhi use pasand karo, to hazrat jibreel bhi use pasand karne lagte hain, phir hazrat jibreel aasman me announcements kaete hain: Ai Aasman walo! sun lo allah tala  falan bande se mohabbat karta hai to tum sab bhi us se mohabbat karo, us ke baad sare aasman wale us se mohabbat karne lagte hain, phir zameen par bhi wah aadmi sab logon ki nagaah me mahboob ho jata hai.

 Aur jab allah tala kisi bande ko na pasand karta hai tab bhi Hazrat jibreel ko bula kar kahta hai: ai jibreel! mai falan ko na pasand karta hun, tum bhi us ko na pasand karo, hazrat jibreel bhi use na pasand karne lagte hain aur aasman me elaan karte hain ki: allah falan ko na pasand karta hai tum sab bhi use na pasand karo, aasman wale bhi use na pasand karne lagte hain, us ke baad zameen par bhi wah aadmi sab ki nigaah me bura samjha jata hai”. (Sahih Muslim: 2637)

Garibon Ki Help Karne Walon Ke Liye Surprise

 عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ نَفَّسَ عَنْ مُؤْمِنٍ كُرْبَةً مِنْ كُرَبِ الدُّنْيَا، نَفَّسَ اللهُ عَنْهُ كُرْبَةً مِنْ كُرَبِ يَوْمِ الْقِيَامَةِ، وَمَنْ يَسَّرَ عَلَى مُعْسِرٍ، يَسَّرَ اللهُ عَلَيْهِ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ، وَمَنْ سَتَرَ مُسْلِمًا، سَتَرَهُ اللهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ، وَاللهُ فِي عَوْنِ الْعَبْدِ مَا كَانَ الْعَبْدُ فِي عَوْنِ أَخِيهِ، وَمَنْ سَلَكَ طَرِيقًا يَلْتَمِسُ فِيهِ عِلْمًا، سَهَّلَ اللهُ لَهُ بِهِ طَرِيقًا إِلَى الْجَنَّةِ، وَمَا اجْتَمَعَ قَوْمٌ فِي بَيْتٍ مِنْ بُيُوتِ اللهِ، يَتْلُونَ كِتَابَ اللهِ، وَيَتَدَارَسُونَهُ بَيْنَهُمْ، إِلَّا نَزَلَتْ عَلَيْهِمِ السَّكِينَةُ، وَغَشِيَتْهُمُ الرَّحْمَةُ وَحَفَّتْهُمُ الْمَلَائِكَةُ، وَذَكَرَهُمُ اللهُ فِيمَنْ عِنْدَهُ، وَمَنْ بَطَّأَ بِهِ عَمَلُهُ، لَمْ يُسْرِعْ بِهِ نَسَبُهُ». (صحيح مسلم: 2699)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) Huzoor (S A W) se riwayat karte hain: Aap ne  farmaya: “Jis ne kisi musalman ki dunya ki pareshaniyon me se koyi pareshani ya takleef door kia kal qayamat ke din allah tala us ki aakhirat ki pareshani door karen ge, jis ne kisi tangdast ya faqeer aur muhtaj ke liye aasani paida ki allah tala us ke liye dunya aur aakhirat me aasani karen ge, jis ne kisi musalman ki parda poshi ki, jaan kar bhi us ki burayi aur aib par parda dala allah tala us ki dunya aur aakhirat me parda poshi karen ge, us ki burayiyon ko ko hide kar den ge, jo banda apne bhai ki help karta hai allah tala barabar us ki help karte hain, jo student ilm e deen hasil karne ke liye safar kare allah tala us ke liye jannat ka raasta aasan kar dete hain, jo log allah ke ghar me baith kar Quran ki tilawat karte hain, aur quran ke ilm ki study karte hain un par sakinat nazil hoi hai, allah ki rahmat un par barasti hai, allah ke farishte unko dhanp lete hain, allah tala apne farishton se un ka zir karta hai”. (Sahih Muslim: 2699)

Allah Tala Gunahgaar Ki Tobah Se Bahut Khush Hota Hai

عَنْ أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” لَلَّهُ أَشَدُّ فَرَحًا بِتَوْبَةِ عَبْدِهِ حِينَ يَتُوبُ إِلَيْهِ، مِنْ أَحَدِكُمْ كَانَ عَلَى رَاحِلَتِهِ بِأَرْضِ فَلَاةٍ، فَانْفَلَتَتْ مِنْهُ وَعَلَيْهَا طَعَامُهُ وَشَرَابُهُ، فَأَيِسَ مِنْهَا، فَأَتَى شَجَرَةً، فَاضْطَجَعَ فِي ظِلِّهَا، قَدْ أَيِسَ مِنْ رَاحِلَتِهِ، فَبَيْنَا هُوَ كَذَلِكَ إِذَا هُوَ بِهَا، قَائِمَةً عِنْدَهُ، فَأَخَذَ بِخِطَامِهَا، ثُمَّ قَالَ مِنْ شِدَّةِ الْفَرَحِ: اللهُمَّ أَنْتَ عَبْدِي وَأَنَا رَبُّكَ، أَخْطَأَ مِنْ شِدَّةِ الْفَرَحِ “. (صحيح مسلم: 2747)

Translation: allah tala apne bande ki toba aur us ke apne gunaahon par sharminda hone par bahut zada khush hota hai, balki us aadmi se bhi zada khush hota hai jo apni sawari par safar karte kare bahut door jungle me pahonch gaya, jahan koyi aabadi nahi thi kisi bhi insan ka naam o nishan nahi tha, suddenly us ki aankh lag gayi aur us ki sawari gayab ho gayi, usi sawari par us ke khane peene ki cheezen thi, ab wah bechara bahut pareshan hua, edhar udhar jungle me us ne sawari ko bahut talash kia, bhook piyaas se us us ki jaan nikalne ke qareeb ho gayi, thak haar kar ek tree ke saye aa kar let gaya aur apni maut ka intizar karne laga, achanak us ki sawari us ke paas khadi mil gayi, wah apni sawari ko dekh itna khush hua itna khush ki allah tala ka shukria ada karte huye galti se kah dia ki: Ai allah mai tera rab hun tu mera banda hai”. (Sahih Muslim: 2747)

Rasulullah (S A W) Ki Best Dua

عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا: أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَقُولُ: «اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الكَسَلِ وَالهَرَمِ، وَالمَأْثَمِ وَالمَغْرَمِ، وَمِنْ فِتْنَةِ القَبْرِ، وَعَذَابِ القَبْرِ، وَمِنْ فِتْنَةِ النَّارِ وَعَذَابِ النَّارِ، وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الغِنَى، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الفَقْرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ المَسِيحِ الدَّجَّالِ، اللَّهُمَّ اغْسِلْ عَنِّي خَطَايَايَ بِمَاءِ الثَّلْجِ وَالبَرَدِ، وَنَقِّ قَلْبِي مِنَ الخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ، وَبَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَايَ كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ المَشْرِقِ وَالمَغْرِبِ». (صحيح البخاري: 6368)

Translation: Hazrat Aisha (R Z) kahti hain: Nabi kareem (S A W) aksar yah dua padhte the: “Ai Allah mai teri panah chahta hum susti se, aur burhape ya old age se, aur gunaahon se, aur qarz se, aur qabar ke fitne aur us ke azaab se, aur jahannam ke fitne aur us ke azaab se, aur maaldari ke fitne ki burayi se, aur mai teri panaah chahta hun garibi ke fitne se, aur mai teri panaah chahta hun Maseeh Dajjaal ke futne se, ai allah mere gunaahon ko ice ya baraf ke pani se wash kar de, aur mere dil ko gunaahon se is tarah pak saaf kar de jis tarah tu white dress ko germs ya gandagi se saaf karta hai, aur mujhe gunaahon se itna door kar de jitna east aur west me doori hai”. (Sahih Bukhari: 6368)

Allah Se Sachchi Tobah Ki Dua

حَدَّثَنِي شَدَّادُ بْنُ أَوْسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ: عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” سَيِّدُ الِاسْتِغْفَارِ أَنْ تَقُولَ: اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لاَ إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ، وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ ” قَالَ: «وَمَنْ قَالَهَا مِنَ النَّهَارِ مُوقِنًا بِهَا، فَمَاتَ مِنْ يَوْمِهِ قَبْلَ أَنْ يُمْسِيَ، فَهُوَ مِنْ أَهْلِ الجَنَّةِ، وَمَنْ قَالَهَا مِنَ اللَّيْلِ وَهُوَ مُوقِنٌ بِهَا، فَمَاتَ قَبْلَ أَنْ يُصْبِحَ، فَهُوَ مِنْ أَهْلِ الجَنَّةِ». (صحيح البخاري: 6306)

Translation: Hazrat Shaddad Bin Aus (R Z) Nabi Kareem (S A W) se riwayat kare hain: aap ne farmaya: “Allah se sab se Sachchi tobah ya Sayyadul Istighfar yah hai tum Allah se kaho: Ai allah tu hi mera rab hai, tere siwa koyi ibadat ke laayeq nahi, tu ne mujhe paida kia aur mai tera banda hun, tu ne apne rasool ki zanabi jo mujh se wada kia hai mai us ko nibhane ki puri koshish kar raha hun, jo kuchh mai ne kia hai mai us ke shar aur burayi se teri panaah chahta hun, wah sari nematen aur saugaaten jo tu ne mujhe dia hai mai us ka iqrar karta hun, mai apne gunaah par sharminda hun, ai allah mujhe maaf kar de, tere elawah koyi gunaahon ko maaf nahi kar sakta”:

Hazrat Shaddad kahte hain aap (S A W) ne us ke baad farmaya: “agar koyi aadmi sahi fleeing se dil se yah dua din me padh le aur shaam hote hote us death ho jaye to wah zarur jannat me zarur jaye ga, isi tarah agar kisi ne raat me dil laga kar yah dua padh le aur morning se pahle wah mar jaye to wah bhi jannat me jaye ga”. (Sahih Bukhari: 6306)

Shubhe Me Dalne Wali Cheezon Se Bacho

 عَنِ النُّعْمَانِ بْنِ بَشِيرٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «الحَلاَلُ بَيِّنٌ، وَالحَرَامُ بَيِّنٌ، وَبَيْنَهُمَا أُمُورٌ مُشْتَبِهَةٌ، فَمَنْ تَرَكَ مَا شُبِّهَ عَلَيْهِ مِنَ الإِثْمِ، كَانَ لِمَا اسْتَبَانَ أَتْرَكَ، وَمَنِ اجْتَرَأَ عَلَى مَا يَشُكُّ فِيهِ مِنَ الإِثْمِ، أَوْشَكَ أَنْ يُوَاقِعَ مَا اسْتَبَانَ، وَالمَعَاصِي حِمَى اللَّهِ مَنْ يَرْتَعْ حَوْلَ الحِمَى يُوشِكُ أَنْ يُوَاقِعَهُ». (صحيح البخاري: 2051، صحيح مسلم: 1599)

Translation: Hazrat Noman Bin Basheer (R Z) kahte hain: Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Hala cheezen sab ki sab zahir hai, (yani har aadmi un ko aasani ke sath maloom kar sakta hai isi tarah se) haram cheezen bhi zahir hai (un ko Quran aur hadees me bata dia gaya hai), aur in dono ke darmiyan ya beech me kuchh shubhe me dalne wali cheezen hain, (yani aasani se maloom na ho ki wah halal hain ya haram) to jo aadmi shubhe me dalne wali cheezon ko chhor de, to wah un cheezon ko zarur chhor de ga jin ka hukm zahir ho, aur jo aadmi shubhe ki wajah se gunaah kar baithe, to jin ka hukm zahir hai un ki wajah se gunaah me padne ka zada chance hai, gunaah allah tala ke hudud aur ahkam hain jin se bachna sab ke liye zaruri hai, jo gunaahon around chakkar lagaye ga wah us me mubtla  ho ho sakta hai yani us gunaah ko kar sakta hai”. (Sahih Bukhari: 2051, Sahih Muslim: 1599)

Sab Se End Me Jannat Me Jane Wala Aadmi

 عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” إِنِّي لَأَعْلَمُ آخِرَ أَهْلِ النَّارِ خُرُوجًا مِنْهَا، وَآخِرَ أَهْلِ الْجَنَّةِ دُخُولًا الْجَنَّةَ، رَجُلٌ يَخْرُجُ مِنَ النَّارِ حَبْوًا، فَيَقُولُ اللهُ تَبَارَكَ وَتَعَالَى لَهُ: اذْهَبْ فَادْخُلْ الْجَنَّةَ، فَيَأْتِيهَا فَيُخَيَّلُ إِلَيْهِ أَنَّهَا مَلْأَى، فَيَرْجِعُ فَيَقُولُ: يَا رَبِّ، وَجَدْتُهَا مَلْأَى، فَيَقُولُ اللهُ تَبَارَكَ وَتَعَالَى لَهُ: اذْهَبْ فَادْخُلِ الْجَنَّةَ “، قَالَ: ” فَيَأْتِيهَا، فَيُخَيَّلُ إِلَيْهِ أَنَّهَا مَلْأَى، فَيَرْجِعُ فَيَقُولُ: يَا رَبِّ، وَجَدْتُهَا مَلْأَى، فَيَقُولُ اللهُ لَهُ: اذْهَبْ فَادْخُلْ الْجَنَّةَ، فَإِنَّ لَكَ مِثْلَ الدُّنْيَا وَعَشَرَةَ أَمْثَالِهَا – أَوْ إِنَّ لَكَ عَشَرَةَ أَمْثَالِ الدُّنْيَا – “، قَالَ: ” فَيَقُولُ: أَتَسْخَرُ بِي – أَوْ أَتَضْحَكُ بِي – وَأَنْتَ الْمَلِكُ؟ “، قَالَ: لَقَدْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ضَحِكَ حَتَّى بَدَتْ نَوَاجِذُهُ، قَالَ: ” فَكَانَ يُقَالُ: ذَاكَ أَدْنَى أَهْلِ الْجَنَّةِ مَنْزِلَةً “. (صحيح البخاري: 6571، صحيح مسلم: 81)

Translation: Hazrat abdullah Bin Masuood (R Z) se riwayat hai kahte hain: Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Mai us aadmi ko janta janta hun jo jahannam se sab se end me nikle ga, aur Jannat me sab se end me entry kare ga, ek aadmi char zanu ho kar jahannam se nikle ga, to allah tala us se farmayen ge: ja Jannat me dakhil ho ja, allah tala ke is hukm ke baad wah aadmi jannat ke paas aaye ga to use yah feel ho ga ki jannat to full ho chuki hai, wah return ho jaye ga aur allah tala se se kahe ga: ai mere rab jannat to full ho chuki hai ab mai kahan jaon, allah tala us se phir wahi word repeat karen ge, aur wah return ho kar kahe ga ki: jannat full hai, us ke baad allah tala us kahen ge: ja jitni badi dunya hai us se 10 guna zada tujhe yahan jagah mile gi, is par wah aadmim kahe ga: ai allah aap baadshahon ke baadshah ho kar bhi mujh se mazaq kar rahe hain, yahan to entry bhi nahi mil rahi hai aur aap hain ki dunya ki 10 guna jagah dene ki baat kar hae hain?”, Hazrat abdullah Bin Masuood (R Z) kahte hain: itna kahne ke baad Aap (S A W) ko hansi aa gayi aur aap ke mubarak daant dikhne lage, yah sab kam darje wale Jannati aadmi ki jagah hai. (Sahih Bukhari: 6571, Shahih Muslim: 81)

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply