Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.
Sunnat kise kahte hain?
5 waqton me Farz aur wajib ke elawa kuchh aisi namazen bhi hain jin ko Huzur (S A W) padhte the, un ko sunnat kahte hain, aur yah sunnat 2 tarah ki hoti hain: 1 sunnat e Muakkada, 2 Sunnat e Gair Muakkada.
Suunat e Muakkada: us Sunnat ko kahte hain jis ko Huzur (S A W) ne continue padha ho aur kabhi bhi na chhora ho, jaise: Fajr se pahle 2 rakat, ya Zuhr se pahle 4 rakat wagaira.
Sunnat e Gair Muakkada: jis ko Huzur (S A W) kabhi padha ho aur kabhi chhor dia ho jaise: Asr se pahle 4 rakat, ya Isha se pahle 4 rakat.
4 Rakat Sunnat Ka Tarika
4 rakat wali farz aur sunnat me thoda sa farq hai, 4 rakat wali farz namaz ka tarika aur us ki details ke liye click Karen
Yahan 4 rakat wali sunnat ke bare bare me bataya ja raha hai:
pahli Rakat
Sab se pahle 4 rakat ki niyat kare, us ke baad “sana” taauuz, aur tasmiyah, parh kar Alhamdu parhe, us ke baad koyi surat padhe, us ke baad ruku sajda kare, is tarah ek rakat ho gayi.
Dosri Rakat
Dosri rakat me sirf alhamdu aur koyi surat padh kar ruku sajda ke baad Qada Ula kare. Qada ula me “Attahiyaat” padhne ke baad khada ho jaye.
Tisri Rakat
Tisri rakat me bhi alhamdu ke baad koyi surat padhe, jab ki farz namaz ki tisri rakat me sirf alhamdu padha jata hai, us ke baad ruku sajda kar ke chauthi rakat ke liye khara ho jaye.
Chauthi Rakat
Chauthi rakat me bhi Sure Fatiha ke baad koyi surat padhe, us ke baad ruku sajda kar ke Qada Akhira kare. Is me Tashauhud. Darud Shareef aur Duaay e Masura padh kar salam pher de. Is tarah 4 rakat puri kare.
Surton Ki Tarteeb
Sunnat ki 4 rakaton ki har rakat me Alhamdu ya Sure Fatiha to padhna hi hai, lekin sab se bada masla yah hai ki in 4 rakats me Surton ki kya tarteeb honi chahiye? To us ka simple sa jawab yah hai ki in 4 rakaton me surat usi tarah padhe jaise Quran me hai, For example: agar pahli rakat me “Alam Tara” padha hai to dosri rakat me “Liyi Laafi Quraish” padhe, aur tisri rakat me “Araaital Lazi” padhe, aur chauthi rakat me “Inna Aataina” padhe. Aur is ka ulta na kare, yani pahli rakat me “Liyi Laafi Quraish” aur dosri rakat “Alam Tara” yah tarteeb sahi nahi hai,
Agar surat chhor kar padhna ho to beech me 2, 2 surten chhor kar padh sakta hai jaise: pahli rakat me “Alam Tara” aur dosri rakat me “Inna Aataina” aur tisri rakat me “Tabbat Yada” aur chauthi rakat me “Qul Aauzu Birabbin Naas”.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
sukriya .all online islam
Assalamu alekum apka bohot bohot shukriya mujhe is hi tarha namaz janni thi mai har namaz mai har rakat mai ek hi tarha ki Surat parti hu ab insha allah mari bhi namaz sahi ho jaygi ya rabbul izzat apko Naik duao se nawaze
Aameen. Namaz ke bare me agar koyi question aap ke mind me ho to aap hame replay kar sakti hai.
Assalamualaikum
apka koi you tube channel bhi hai??
ji hai. website ke neeche ya uper dekhiye.
Koi bhi 4 rakat faraj namaz me 3 or 4 rakat me sirf Alhamdulillah hi padhna he ya koi or surt bhi padhni chahiye..?
Sirf alhamdu padhna hai
sir aghar har rakt ma surah fatiha k bad sura ikhlas pr lain to b thk ha.
k ya jo ap nay tarteeb btai ha usi trah prni han.
Nahi Sir hum ne jo tarteeb batayi hai wahi sahi hai, Han agar kisi ko sirf sure fatiha aur sure ikhlaas hi yaad ho to jab tak wah dosri surten yaad nahi kar leta wah har rakat me sure fatiha ke baad sure ikhlaas padh sakta hai, lekin us ke liye zaruri hai ki wah dosri sorton ko yaad karne ki koshish kare.
Assalam alaiqum….. Namaz Hajat kese padein aur Konse waqt mein pade aur yeh namaz din mein kitni bar pad sakte hai
aap is link me poori jankari le sakte hain Salatul Hajat, Namaz e Hajat Ka Tarika
plz readthis this article Salatul Hajat, Namaz e Hajat Ka Tarika
Mashallah thank you all online
Bhai Shukriya aap sab ka
Mujhe sure fatiha,sure kausar,sure ikhlaass,sure naas,sure falaq yad h ab isko haam sunnat namaz me kis tarike se padh sakte hain?
Aap Sure Fatiha ko to sunnat namaz ki har rakat me padhen ge
agar 4 rakat wali sunnat ho to pahli rakat me Sure Kausar, dosri rakat me Sure Ikhlaas, tisri rakat me Sure Falaq, aur chauthi rakat me Sure naas padhen ge.
aur agar 2 rakat wali sunnat ho to pahli rakat me Sure Kausar, Sure Ikhlass, aur Sure Flaq padh sakte hain,
aur dosri rakat me Sure Ikhlass, Sure Falaq, Sure Naas padh sakte hain.
2 rakat wali sunnat me bhi dono rakats me surat se pahle sure fatiha zaruri hai.
Aslam o alaikum. Ager zuhr ki farz namaz sey pehley wali sunnat namaz na perh sakay toh kya woh perhni hai aur kb perhni chahiye ?
Agar zohar se pahle ki 4 rakat sunnat na padh sake to us ko farz ke baad 2 rakat sunnat ke baad padh le.
Shukriya
Masha Allah
Alhamdu ke baad Jo Surat padni he usme aap ne Jo Surat btai he unki Jgha me ye suraten padh sakta hu Jaise surh kafirun , surh ikhlas , surh flak , surh naas. Aapne hame Jo namaz Ka trika btaya Uske liye Aapka bhut bhut shukriya
Sir alhamdu ke baad surh kafirun,surh ikhlas,surh flak, surh naas padh sakta he kiya
Ji, padh sakte hain, han itni baat yaad rahe ki agar aap ne pahli rakat me surah kafirun padha hai to dosri rakat me surah iza jaa padhen, ya surah falaq padhen. kahne matlab yah hai ki ek surah padhne ke baad dosri rakat me us ke baad wali surah padhen, aur agar gape karna chaahte hain to beech me 2 surah ka gape hona chahiye, ek surah ka nahi.
Phli rakat me surah kafirun ke baad dusri rakat me surah ikhlas nhi padh skte kya?
Padh sakte hain, lekin better yah hai ki 2, 2, surah ka gape ho.
Ye jo ap ne Tarika btaya h ye maukda sunnat ka hay ya gair maukda sunnat ka? Please clear Kar dain
Dono ka tarika ek jaisa hi hai, padhne me koyi farq nahi hai, but niyat ka farq hai
Dono ka tarika ek jaisa hai.
Kya sana har namaz me padha hai
Ya wo farz ho
Ya sunnat mokaida
Ya sunnat gair mokaida
Ya wajib vitar
Ya nafil
Ya sirf fard namazo me hi padhna hai
Har namaz ke starting me sana padhna sunnat hai.
MashaAllah ap NY bht acha tarika btaya hai…pr mjhe Ak alam NY btaya hai K 3sri rakat me b Sana prhni hai r us k alhamd r Phr Sara.. R 2sri rakat me attahyat Pora prhni hai means Dua tk.. Agr sunnat gher mukada hn tu… R mukada k lie attahyat darood se Phly tk prhna hai…thora rhnumai framaye
Sana only pahli rakat me hai us ke baad nahi hai.
Kya hum durood e ibhrahim ke bad.. Rabbi jalni… Bol skte hai?
Aslamu Alikum mujy 4 Qul, surah Kausar, Alam tarkaif, Iza Ja A nsrullah, Wateen, Surrah Qadar, Walasre in la.insan, surah yaseen ka phla mubeen surat yad hai likn mjy sahi tarteeb se namaz mai parhna nhe ata rehnmaye farmaye.
walikum asslam. aap jas tarteeb se quran me surah hai usi tarteeb se padhen, jaise agar pahli rakat me ALAM TRA padha hai to dosri rakat me LIYILAFI QURAISHIN padhna hai, aisi tamam rakaton me karna hai, jo is article aap ko batayi gayi hai
Your comment here… Agar hm 4rakt sunat parhatay hain to fatiha k bad jo suratain ap nay btae hain sirf whe par sktay hain ya apni marzi say koe b 4 suratain par sktay hain plz replay me
Nahi aisa nahi aap apni marzi se bhi padh sakte hain, bus quran tarteeb ke hisaab se hona chahiye
Sir aapka bahut bahut shukriya.mujhe aaj pta chala hein ki mein namaz mein kitni galtiya karta tha.aap jo bhi ho sir aapne mera dil jeet liya.
V good guidance….thqnku si much…Allah ajqr dy apko ameeen
Assalamualequm w.b Aapne Bohot ahcci information di hai Allah Aaapko hamesah Salamat Rahkke Ameen⚘️⚘️💚💚💚💚
Sir mujhe sirf 4 surah yaad hai..
surah naas
surahikhlaas
surah kausar
Surah Maun toh is sureh me meri qaza or sunnat hoti hai kya
Plz mujhe reply zarur Dena apke reply ka wait krunga
plz read this article as well 4 Rakat Sunnat Namaz Ka Tarika aap ko jawab aur tarika mil jaye ga.