durood sharif

Durood Sharif, Darood Sharif, Darood Ibrahimi, Darood Pak

  • Post author:
  • Post category:Duas
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:September 30, 2021
  • Reading time:8 mins read

Author: Mantasha Aarif Ghazi Aligarh

Quran Kareem Me Durood Shareef Ka Zikr

Nabi sallallahu alayhi wasallam per durood pak padhne ka hukm Quran kareem me diya gaya he.sureh ahzaab me Allah rabbul izzat ne salaat(durood shareef)ki nisbat pehle apni taraf ki he iske baad apni noorani makhlooq farishto ki taraf phir ehle eamaan ko hukm farmaya ke ey momino! Tum bhi durood bhejo,chunancha irshaade baari taala he.

{إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَاأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا} [الأحزاب: 56]

Translation: beshak allah taala or uske farishte rehmat bhejte hen in peghambar per, ey eaman walo tum bhi in per(apne nabi) per rehmat bheja karo

  Hadees shareef me he ke jab ye aayat nazil hui to sahaba kiram ne kaha :ya rasoolallah salam ka tariqa to hame malum ho chuka yaani Attahiyaat me jo padhte hen Assalamu alaika ayyuhan nabiyyu warahmatullahi wabarakaatuhu salaat ka tariqa bhi bata dejiye? to ap sallallahu alayhi wasallam ne duroode ibraheemi sikhaya.

Durood Shareef Ke Fazaail Sahi Hadison Ki Roshni Me

1 Ek Martaba durood shareef padhne per allah rabbul izzat ki das rahmaten naazil hoti hen.

Hazrat abu hurerah se riwayat he ke rasool sallallahu alayihi wasallam ne farmaya.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَنْ صَلَّى عَلَيَّ وَاحِدَةً صَلَّى الله عَلَيْهِ عَشْرًا» (صحيح مسلم: 404)

Transaltion:  jo shakhs mujh per ek martaba durood bhejta he, allah rabbul izzat us per das rahmaten naazil farmata he.( Sahi muslim:408)

Ek Baar Durood Padhne Per 10 Gunah Maaf Hote hain

Hazrat Anas se riwayat he ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya:

عَن أنس بن مَالك قَالَ قَالَ رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم من صلى عَليّ صَلَاة وَاحِدَة صلى الله عَلَيْهِ عشر صلوَات وحطَّ عَنهُ عشر خطيئات. (رواه النسائي في عمل اليوم واليلة: 63)

Translation: jo shakhs mujh per ek martaba durood bhejta he, allah rabbul izzat is per das rahmaten naazil farmata he, iske das gunah mita deta he or iske das darjaat buland kar deta he.(amalul yaum wallailah by Imam Nasayi: 63)

Durood Shareef Zada Padhne Se Pareshaniyan Door Hoti Hain

عَنِ الطُّفَيْلِ بْنِ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: قُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ إِنِّي أُكْثِرُ الصَّلاَةَ عَلَيْكَ فَكَمْ أَجْعَلُ لَكَ مِنْ صَلاَتِي؟ فَقَالَ: مَا شِئْتَ. قَالَ: قُلْتُ: الرُّبُعَ، قَالَ: مَا شِئْتَ فَإِنْ زِدْتَ فَهُوَ خَيْرٌ لَكَ، قُلْتُ: النِّصْفَ، قَالَ: مَا شِئْتَ، فَإِنْ زِدْتَ فَهُوَ خَيْرٌ لَكَ، قَالَ: قُلْتُ: فَالثُّلُثَيْنِ، قَالَ: مَا شِئْتَ، فَإِنْ زِدْتَ فَهُوَ خَيْرٌ لَكَ، قُلْتُ: أَجْعَلُ لَكَ صَلاَتِي كُلَّهَا قَالَ: إِذًا تُكْفَى هَمَّكَ، وَيُغْفَرُ لَكَ ذَنْبُكَ. هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ. (رواه الترمذي في سننه: 2457)

Translation: Hazrat ubayi bin kaab bayan karte hen ke unhone kaha: ey allah ke rasool me ap per zyada durood padhta hu, to ap sallallahu alayhi wasallam ka kiya khayal he ke me ap per kitna durood padhun? ap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: jitna chaho. Mene kaha chothha hissa? apne farmaya jitna chaho or agar isse zyada padhoge to wo tumhare liye behtar he. Mene kaha: aadha hissa? apne farmaya: jitna chaho or agar isse zyada padhoge to wo tumhare liye behtar he . Mene kaha: do tihayi? Apne farmaya: jitna chaho or agar isse zyada padhoge to ye tumhare liye behtar he. Mene kaha me ap per durood hi padhta rahun to? apne farmaya: tab tumhe tumhari pareshani se bacha liya jayga or tumhare gunah maaf kar diye jaynge. Ek riwaayat me he Tarjama tab tumhe allah rabbul izzat  duniya or aakhrat ki pareshani se bacha lega”( Tirmizi: 2457)

Qayamat Ke Din Nabi Ki Qurbat Milti Hai

Qayamat ke roz nabi sallallahu alayhi wasallam ke sabse zyada qareeb wahi hoga jo sabse zyada ap per durood shareef bhejta thha.

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «أَوْلَى النَّاسِ بِي يَوْمَ القِيَامَةِ أَكْثَرُهُمْ عَلَيَّ صَلَاةً»،: هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ. (سنن الترمذي: 484، شعب الإيمان: 1462).

Hazrat ibne masood se riwaayat he ke rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: Qayamat ke din logo me sabse zyada mere qareeb wo hoga jo sabse zyada mujh per durood bhejta hoga.( rawaahut tirmizi wa ibne habban wa abu yaala waghayrahum)

Durood Shareef Ke Words

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ  عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ “.

1 Allahumma salli alaa muhammadiyun wa alaa aali muhammad kamaa sallayta alaa ibaraheema wa alaa aali ibraheema  innaka hameedum majeed.

Allahumma baarik alaa muhammadiyun wa alaa aali muhammad kamaa baarakta alaa ibraheema wa alaa aali ibraheema  innaka hameedum majeed.

اللّهُمَّ صَلِّ وسلِّم على سيِدِنَا محمدٍ صلاةً تُحِلُّ بِها عُقْدَتِي، وتُفَرِّجُ بِهَا كُرْبَتِي، وَتَمْحُو بِهَا خَطِيئَتِي، وَتَقْضِي بِهَا حَاجَتِي.

2 ALLAHUMMA SALLI WASALLAM ALAA SAYYIDINAA MUHAMMAD SALAATAN TUHILLU BIHAA UQDATEE, WA TUFARRIJU BIHAA KURBATEE, WA TAMHOO BIHAA KHATEE ATEE. WA TAQZEE BIHAA HAAJATEE.

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَأَنْزِلْهُ الْمَنْزِلَ الْمُقَرَّبَ مِنْكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ.

ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMAD WA ANZILHUL MANZILAL MUQARRABA MINKA YOUMAL QIYAAMATI.

 

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد ٍوَعَلَى آلِهِ، صَلَاةً تَكُونُ لَنَا طَرِيقاً لِقُرْبِهِ، وتَأكِيداً لِحُبِّهِ، وَبَاباً لِجَمْعِنَا عَلَيْهِ، وَهَدِيَّةً مَقْبُولَةً بَيْنَ يَدَيْهِ، وَسَلِّمْ وَبَارِكْ كَذَلِكَ أَبَداً، وَارْضَ عَنْ آَلِهِ وَصَحْبِهِ السُّعَدَاءِ، وَاكْسِنَا حُللَ الرِّضَا.

3 ALLAHUMMA SALLI WASALLAM ALAA SAYYIDINA MUHAMMAD WA ALAA AALIHI, SALAATAN TAKOONU LANAA TAREEQAN LIQURBIHI, WA TAAKEEDAN LIHUBBIHI, WA BAABAN LIJAM INAA ALAYHI, WA HADYYATAN MAQBOOLATAN BAYNA YADAYHI, WASALLIM WABAARIK KAZAALIKA ABADAA, WA ARZI AN AALIHI WA SAHBIHI ASSU ADAA WA AKSINA KHULALARRIZA.

اللهم صلِّ صَلَاةً كَامِلَةً وَسَلِّمْ سَلَاماً تَاماً عَلَى سَيِّدِنَا محمدٍ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ الذَي تَنْحَلُّ بِهِ العُقَدُ، وتَنْفَرِجُ بِهِ الكُرْبُ، وتُقضى بِهِ الْحِوَائِجُ، وَتُنَالُ بِهِ الرَّغَائِبُ وَحُسْنُ الْخَوَاتِمُ، وَيُسْتَسْقَى الْغَمَامُ، وَعَلَى آلِهِ وَصَحْبِهِ عَدَدَ كُلِّ مِعْلُومٍ لله.

4 ALLAHUMMA SALLI SALAATAN KAAMILA WA SALLIM SALAAMAN TAAMMA ALAA SAYYIDINA MUHAMMADANIN NABIYYIL UMMIYYIL LAZEE TANHALLU BIHIL UQAD, WA TANFARIJU BIHIL KURB WA TUQZAA BIHIL HAWAIJ, WA TUNAALU BIHIR RAGHAYIB WA HUSNUL KHAWAATIM, WA YUSTASQAL GHAMAAM, WA ALAA AALIHI WA SAHBIHI ADADA KULLI MALOOMI LILLAH.

اللهُمَّ صَلِّ وسَلِّمْ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ صَلَاةً تَهِبُ لَنَا بِهَا أَكْمَلَ الْمُرَادِ وَفَوْقَ الْمُرَادِ، فِي دَارِ الدُّنْيَا وَدَارِ الْمَعَادِ، وَعَلَى آلِهِ وصَحْبِهِ وَبَارِكْ وَسَلِّمْ عَدَدَ مَا عَلِمْتَ وَزِنَةَ مَا عَلِمْتَ وَمِلْءَ مَا عَلِمْتَ.

اللهم صَلِّ عِلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ صَلَاةً تُنْجِينَا بِهَا مِنْ جِمِيعِ الأَهْوَالِ وَالْآفَاتِ، وَتَقْضِي بِهَا جَمِيعَ الحَاجَاتِ، وَتُطَهِّرُنَا بِهَا مِنْ جِمِيعِ السَّيِّئَاتِ، وَتَرْفَعُنَا بِهَا عِنْدَكَ أَعْلَى الدَّرْجَاتِ، وَتُبَلِّغُنَا بِهَا أَقْصَى الغَايَاتِ مِنْ جَمِيعِ الْخَيْرَاتِ فِي الْحَيَاةِ وَبَعْدَ الْمَمَاتِ، وَعَلَى آلِهِ وَصَحْبِهِ وَسَلِّمْ تَسْليماً كثيراً.

5 ALLAHUMMA SALLI WASALLAM ALAA SAYYIDANAA MUHAMMAD SALAATAN TAHIBU LANAA BIHA AKMALAL MURAD WA FAUQAL MURAD, FEE DAARID DUNIYA WA DAARIL MA AAD, WA ALAA AALIHI WA SAHBIHI WABAARIK WASALLAM ADADA MAA ALIMTA WA ZINATA MAA ALIMTA WA MIL A MAA ALIMTA.

ALLAHUMMA SALLI ALAA SAYYIDINA MUHAMMAD SALAATAN TUNJEENA BIHA MIN JAMEE IL AHWAALI WAL AAFAAT, WA TAQZEE BIHA JAMEE IL HAJAAT, WA TUTAHHIRUNA BIHA MIN JAMEE IS SAYYIAAT, WA TARFA UNA BIHA INDAKA AALAD DARJAAT, WA TUBALLIGHUNA BIHA AQSAL GHAAYAAT MIN JAMEE IL KHAIRAAT FIL HAYATI WA BAADIL MAMAAT, WA ALAA AALIHI WA SAHBIHI WASALLIM TASLEEMAN KASEERA.

Namaz Me Durood Shareef Kab Padha Jata Hai?

Namaz me durood shareef qayda aakhirah(last attahiyaat) me salam se pehle  padha jata he.

Namaz Ke Baher Durood Shareef Padhne Ka Tariqa

Namaz se alag bhi durood shareef padh sakte hen chalte phirte uthhte bethhte kaam karte hue her haal me durood shareef padh sakte hen bas ye khayal rakhen ke na pasandeedah jagah na ho ap koi esa kaam na kar rahe hon jahan allah ka name lena mana he.ap durood shareef padhte waqt agr darmyan me baat bhi karlen to bhi koi masla nahi ap phir se padhna shuru karden.

Kuchh Wo Waqt Aur Palces Jahan Durood Shareef zyada Padha Jata Hai

  • Azan ke baad.
  • Jume ke din.
  • ramzaan ke mahine me.
  • rasool sallallahu alayhi wasallam ka name mubarak likhte padhte or sunte waqt.
  • Safa or marwa per. Ect

Durood Shareef Ke Kuchh  Fayde

Durood shareef ka sabse bada fayda to ye hi he ke 1 martaba  durood shareef padhne wale shakhs per allah rabbul izzat or unke farishte 10 martaba durood bhejte hen or iske 10 darje buland hote hen or 10 nekiyan Likhi jati hen or 10 gunah mita diye jate hen.or Ese shakhs ki dua qubool hoti he. Nabi sallallahu alayhi wasallam ki shafaat ese shakh pr wajib hoti he. Kasrat se durood shareef padhne se deen or duniya ke kaam poore hote hen gunaho ki maghfirat hoti he.durood shareef ka padhna sadqe ke qaym muqam ho jata he.or iski barkat se beemari se shifa milti he.ese shaks ki dua qubool hoti he jo kasrat se durood padhta he or kasrat se durood shareef padhne wala shakhs pul siraat se nihayat asani or ujlat(jaldi) se guzar jayga.inke alawa bhi durood shareef ke bahut se fayde hen.lekin yahan chand hi likhe gye hen.

Summary Of This Article

Durood shareef  ki ehmiyat or fazeelat isi se samajh a jani chahiye ke quran kareem me allah rabbul izzat ne durood shareef ki nisbat pehle apni taraf ki he.to goya hame us mubarak kaam ka hukm farmaya gya he jo Allah rabbul izzat khud karte hen.jo kaam allah rabbul izzat khud karte hen uski kiya ehmiyat hogi kiya shaan hogi? ap khud andaza laga len.hame to  is per allah rabbul izzat ka shukr guzar hona chahiye ke hame itna qeemti or anmol khazana  mila he .hame kasrat se durood shareef padhne ki koshish karni chahiye kam se kam 1 din me 300 martaba durood shareef  padhna chahiye .or ye mere dosto koi mushkil nhi he .ham apna kaam karte hue durood shareef padhte rahen.koi masla nhi h .isse hamara rab bhi raazi hoga nabi bhi khush honge hamare deen or duniya ke tamam kaam poore honge hamari pareshaniyan mushkilen takleefen ranjo gham sab door honge. In sha allah

Allah rabbul izzat ham sabhi ko kasrat se durood shareef padhne ki tofeeq ata farmye Ameen Summa Ameen Ya Rabbal Aalameen.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply