attahiyat in namaz

Attahiyat In Namaz, Attahiyat Dua In Hindi, Attahiyat In Hindi

  • Post author:
  • Post category:Duas
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:September 30, 2021
  • Reading time:4 mins read

Attahiyat Kya Hai?

Attahiyat ek dua hai jo har Namaz me padhi jati hai, 2 rakat wali namaz me ek bar padhi jati hai, aur 4 rakat wali namaz me 2 baar padhi jati hai, is ka padhna Wajib aur zaruri hai, agar kisi ne jaan boojh kar is ko chhod dia to uski namaz nahi hogi.

Attahiyat Namaz Me Kab Padhi Jati Hai?

2 rakat wali namaz me doosri rakat ka sajda karne ke bad fauran padhi jati hai, uske bad Durood Shareef aur Duaay E Masoorah padhte hain phir salam pherte hain.

Aur 4 rakat wali namaz me chahe wah farz ho ya Sunnat 2 baar padhi jati hai, pahli baar dosri rakat me usko Qada Ula kahte hain, aur doosri baar chuthi rakat me, us ka naam Qada Akheera

Attahiyat Me Ek Khaas Kaam Aur Us Ka Reason

 Attahiyat padhte padhte jab “Ashhadu alla ilaha” par pahonchte hain to shahadat ki ungli ko uthate hain, aur “Illalahu” par ungli neeche kar dete hain.

Uska reason yah hai ki: “la ilaha” ka matlab hai ki koyi ebadat ke layeq nahi, to us time ungli Uthha kar ishara karte  hain ki ek allah ibadat ke layeq hai, aur “illal lahu” ka matlab saway allah ke, jab allah ka word aa gaya to ab ungli khada rakhne ki zarurat nahi hai is liye ungli ko gira dete hain.

Jis Ko Attahiyat Yaad Na Ho Wah Kya Kare?

Attahiyat ka namaz me padhna Wajib aur zaruri hai, jis ko yaad na ho wah yaad akrne ki koshish kare, aur jab tak yaad na ho jaye us waqt tak subhanallah, Alhamdulillah, Allahu Akbar, etc padhta rahe aur allah se Toba Istighfaar karta rahe.

Hadison Me Attahiyat Ka Zikr

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ: كُنَّا إِذَا صَلَّيْنَا خَلْفَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قُلْنَا: السَّلامُ عَلَى اللَّهِ، فَقَضَى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلاتَهُ ذَاتَ يَوْمٍ ثُمَّ أَقْبَلَ عَلَيْنَا، فَقَالَ: لا تَقُولُوا السَّلامُ عَلَى اللَّهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ السَّلامُ، وَلَكِنْ قُولُوا: “التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنْ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ”. رواه الإمام مالك في موطئه: ص: 69)

Translation Of This Hadees

Hazrat Abdullah bin Masood se riwayat hai kahte hain: jab hum rasulullah sallallahu alaihi wasllam ke peechhe namaz padhte the to hum “asslam alal lahi” kahte the, ek din aap sallallahu alaihi wasllam namaz se farigh ho kar kahne lage: “asslam alal lahi” na kaho kyun ki allah tala khud hi salam aur rahmat hai, balki tum attahiyat padha karo, us ke baad aap ne poori attahiyat padh kar batayi. [Muatta Imam Malik: page: 69]

Is ke bad namaz me attahiyat padhi jane lagi.

Attahiyat Ke Words In Arabic

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنْ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ.

Tashauhud (Attahiyyat) Roman Me:

“Attahiyyatu Lilahi Wassalawatu Wattayyibatu, Asslamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu Warahmatul Llahi Wabarakatuh, Asslamu Alaina Wa Alaa Ibaadil Laahis Saaliheen, Ashhadu Ash hadu Al la ilaha Illalahu Waashhadu Anna Mumammadan Abduhu Warasuluh.”

अत्ताहियात हिन्दी में:

अत्तहियातु लिल्लाहि वस्सलवातु वात्तायिबातु अस्सलामु अलैका अय्युहन्नबिय्य वरहमतुल्लाही व बरकतुहू, अस्सलामु अलैना वला इबादिल्ला हिस्सालिहीन अशहदु अल्लायिलाहा इलललाहू वअश्हदु अन्ना मुहम्मदन अब्दुहु व रसुलुहू।

Attahiyat Translation In Roman Urdu Hindi

Tamam zabani, mali aur badni ibadaten allah ke liye hain, ai nabi tum par salam ho, aur tum par allah ki rahmat aur barkaten nazil hon, hum par aur allah ke nek bandon par salamti ho, mai gawahi deta hun ki allah ke siwa koyi ebadat ke layeq nahi, aur is baat ki gawahi deta hun ki hamare hazrat Mohamamd sallahu alaihi wasllam allah ke bande aur uske rasool hain.

Summary Of This Article

  • tashauhud aur attahiyat dono ek hi dua hai.
  • attahiyat ka padhna Wajib aur zaruri hai.
  • agar bhool kar yah dua namaz me chhoot jaye to Sajda Saho wajib hota hai.
  • agar jaan boojh kar chhood de to namaz nahi hogi.
  • attahiyat namaz me har 2 rakat ke baad padhi jati hai.
  • 2 rakat wali namaz me dosri rakat ke sajda ke baad padhi jati hai.
  • 4 rakat wali namaz me dosri aur chauthi rakat me padhi jati hai.

attahiyat

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply