Istekhara Ki Dua Kya Hai Aur Kab Padhi Jati Hai?
Istekhara ka malab allah tala se apne kaam ke starting khair aur bhalayi mangna,Yah ek khas dua hai, jo life me koyi khas kaam start karne se pahle 2 rakat namaz ke baad padhi jati hai.
Sab se pahle 2 rakat nafal padhe, bilkul usi tarah jaise dosri nafnal namz padhi jati hai, us ke baad puri tawajjuh aur dil laga kar yah dua padhe.
Istekhara ki dua in Arabic
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ العَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ، وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ، وَأَنْتَ عَلَّامُ الغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي، ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي – أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ – فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الخَيْرَ حَيْثُ كَانَ، ثُمَّ أَرْضِنِي.
Istikhara Ki Dua In English
Allamumma inni astakhiruka biilmika w astaqdiruka biqudratika, w asaluka min fazlikal azeem, finnaka taqdiru w la aqdiru, w talamu w la aalamu, w anta allamul ghuyubi, allahumma in kunta talamu anna hazal amra khairun li fi dini w maashi w aaqibati amri (aw qala aajili amri) faqdurhu li w yassirhu li, summa barik li fihi, win kunta talamu anna hazal amra shrrun li fi dini w maashi w aaqibati amri (awu qala fi aajili w aajilihi ) fasrifhu anni wasifni anhu, wqdur li alkhaira haisu kana summa arzini. (bukhari shareef hadees no: 6282)
Istikhara Ka Tarika
raat me Isha Ki Namaz ke baad 2 rakat nafal namaz padhe phir is dua ko dil laga kar padhe.
istekhara ke bare bare me aur bhi bahut sari baaten hain jin ko jaanne ke liye niche article par click Karen.
Istikhara Karne Ka Tarika
Jis Ko Istekhara Ki Dua Na Yaad Ho Wah Kya Kare?
Usko yaad karne ki koshish karni chahiye, insan duniya ke kaam kaaj ke liye dil o jaan ki bazi laga deta hai, apna sab kuchh qurban kar deta hai, yah bhi to us ka kaam, duniya ka use is ke liye mehnat karni chahiye.
Pahle is dua ko yaad kar le phir istekhara kare, agar yaad nahi ho rahi ho aur aadmi ko istekhara ki bahut zarurat ho 2 rakat namaz padh kar apni language me yah kah leki:
“ai allah agar yah kaam jo mai start karne ja raha hun agar wah mere haq me achchha to usko mere liye aasan kar de, aur agar wah mere haq me bura ho to us ko mere dil se nikaal de, aur mujh se us ko door kar de”.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.