Chasht Ki Namaz

Namaz e Chasht Ka Tarika in Roman Hindi/ Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:2 Comments
  • Post last modified:February 13, 2019
  • Reading time:4 mins read

Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.

Chasht Ki Namaz Ki Fazilat

Nafl Namazon me ek namaz Chasht ki bhi Namaz hai,  jis ko Huzur (S A W) padhte  the, is namaz ki fazilat hadison me bahut aayi hai, ek riwayat me hai:

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ صَلَّى الضُّحَى ثِنْتَيْ عَشْرَةَ رَكْعَةً بَنَى اللَّهُ لَهُ قَصْرًا مِنْ ذَهَبٍ فِي الجَنَّةِ. رواه الترمذي وابن ماجه في سننهما (473، 1380).

Translation: Hazrat Anas (R Z) se riwayat hai kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jo Admi Chasht ki 12 rakats padhta hai allha tala us aadmi ke liye Jannat me ek gold ka Mahal Tayyar karte hai”. (Trmizi: Hadees No: 473, Sunan e Ibne Maja: Hadees No:  1380).

Explaination: Matlab yah hai ki yah namaz allah tala ko bahut pasand hai, gold  ka mahal ek andaza hai, yah  dunya ke aitbaar se hai, dunya me gold ka mahal kafi Qimti hota hai, is liye yah dunya me bahut bada gift mana jata hai, lekin yah allah ke yahan bahut chota hai, Allah Tala us se bhi badi cheez de sakte hain.

Namaz e Chasht Time

chast ki namaz ka time 10: 00 Am, ya  11: 00 Am hai jab ki suraj khoob unchayi par aa jaye, aur wah roshan aur chamkdar ho jaye  tab Namaz e Chasht  ada ki jaye.

  Chasht Ki Namaz Ki Rakaten

Chasht ki namaz me 2 rakat se lekar 12 rakats tak hain, agar koyi sirf 2 hi rakat padhe tab bhi us ko Namaz e Chasht ka sawab milega, behtar yah hai ki 4 ya 8 rakat padhe. yahi hadison me bhi aaya hai jaisa ki Muslim Shareef ki ek riwayat me hai:

عَن مُعَاذَةُ، أَنَّهَا سَأَلَتْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا، كَمْ كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي صَلَاةَ الضُّحَى؟ قَالَتْ: «أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ وَيَزِيدُ مَا شَاءَ». رواه مسلم في صحيحه (719).

Translation: Hazrat Muaza ne Hazrat Aayesha (R Z) se Puchha ki: Rasulullah (S A W) Chasht ki kitni Rakat padhte the?  Hazrat Aayesha ne Jawab dia ki aksar aap 4 rakat padh te the aur kabhi us se zada bhi. (Muslim Shareef Hadees No: 719).

Explaination: Is hadees se pata chala ki behtar yah ki 4 rakat ya 8 rakat padhe.

Namaz e Chasht ka Tarika

2, 2 rakat  ya 4 rakat nafal ki niyat kare, us ke baad jis tarah har namaz padhi jati hai isi tarah yah namaz bhi padhe, agar 4 rakat ki niyat kare to 2 rakat par Qada Ula kare phir 4 rakat puri kare, aur  Qada Akhira kar ke Salam phere.

Chash ki Namaz kaun kaun surten padhna Mustahab Hai?

Agar kisi ko Sure “Wash shamsi w Zuhaha” aur Sure “Wazzuha wallaili iza saja” yaad ho to in dono surton ko padhna behtar hai, aur agar yaad na ho to jo bhi surat yaad ho parh le sawab me in Sha allah koyi kami na hogi.

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 2 Comments

  1. Wajida

    Assalamualaykum please isha ki mukammal namaz ka tareqa batayen?

Leave a Reply