Namaz e Istisqa

Namaz e Istisqa Ka Tarika in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:February 13, 2019
  • Reading time:4 mins read

Istisqa Meaning: Yah Arabic word hai, is ki meaning allah tala se raining ya barish ki dua karna

Namajz e Istisqa kyun Padhi Jati hai?

Barish allah tala ki bahut badi nemat hai, isi ki wajah se hum ko pine ka pani milta hai, agar kisi elaqe ya shahar ya gaon me barish na to us elaqe ke sare khet hand pumps aur machines sab sookh jate hai phir hamare liye bahut bada masla khada ho jata hai to maloom hua ki hame barish aur pani ki bahut zarurat hai.

Jab log gunaah zada karne lagte hain to allah tala logo ko khabardar karne ke liye barish ko rook deta hai ya kam kar deta hai, jis ki wajah se kheti bari, aur karobaar bar par bada asar padta hai, allah ki taraf se aisa isi liye hota hai taki log allah ke kareeb ho kar apne gunaahon ki maafi mangen, aur aayinda gunaah na karne ka pakka irada kar ke allah se barish ki dua karen, allah tala zarur rahmat ki barish barsayen ge.

Namaz e Istisqa Kahan Padhi jaye?

better yah hai ki Istisqa ki namaz eid gaah ya bade maidan me padhi jaye, albatta Masjid e Haram, Masjid e Nabwi, aur Masjid e Aqsa me padhi jaye gi.

Istisqa Ki Namaz Kitne Din Padhi jaye?

3 din tak lagatar padhna behtar hai, agar pahle ya dosre din barish ho jaye tab bhi logon ko allah ka shukr ada karene ke liye namaz aur dua karni chahiye.

Namaz e Istisqa Ka Tarika

Istisqa ki namaz 2 rakat jamat se padhi jati hai us ka wahi tarika hai jo Eid, Bakra Eid ki Namaz ka hai, farq sirf itna hai ki eid ki namaz me zayed takbiren hoti hain, aur istisqa ki namaz me zayed takbiren nahi hoti, namaz ke baad imam zameen par khade ho kar khutba de,

Khutba ke dauran imam apni chadar ka rukh badle: right side ko left side kar le, aur left side ko right side kar de

 us ke baad Qibla ki taraf rukh kar ke khoob aajizi se aur inkisari ke sath allah se barish ki dua kare, aur sare namazi imam ki dua par aameen kahen, isi tarah hadees me aaya hai:

عَنْ عَبَّادِ بْنِ تَمِيمٍ، عَنْ عَمِّهِ، قَالَ: «خَرَجَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِلَى الْمُصَلَّى، فَاسْتَسْقَى وَاسْتَقْبَلَ الْقِبْلَةَ، وَقَلَبَ رِدَاءَهُ، وَصَلَّى رَكْعَتَيْنِ». (صحيح البخاري: 1026، صحيح مسلم: 894)

Translation: Abbad Bin Tameem apne uncle se riwayat karte hain ki:Nabi Kareem (S A W musalla ki taraf tashreef laaye, aur barish ki dua mangi, aur qibla rukh ho gaye, aur apni chadar ka rukh badla, aur 2 rakat namaz padhi. (Sahih Bukhari: 1026, Sahih Muslim: 894)

 

Ek dosri riwayat me aaya hai:

 

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: «خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمًا يَسْتَسْقِي، فَصَلَّى بِنَا رَكْعَتَيْنِ بِلَا أَذَانٍ وَلَا إِقَامَةٍ، ثُمَّ خَطَبَنَا وَدَعَا اللَّهَ وَحَوَّلَ وَجْهَهُ نَحْوَ الْقِبْلَةِ رَافِعًا يَدَيْهِ، ثُمَّ قَلَبَ رِدَاءَهُ فَجَعَلَ الْأَيْمَنَ عَلَى الْأَيْسَرِ وَالْأَيْسَرَ عَلَى الْأَيْمَنِ» (سنن ابن ماجه: 1268)

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S A W) istisqa ki namaz ke liye nikle, bila  azan o iqamat ke 2 rakat namaz padhayi, phir hum ko nasihat ki, phir qibla ru ho gaye aur hath utha kar dua mangi, aur apni chadar ka rukh badla: dayen ko bayen taraf kia, aur bayen ko dayen taraf kia. (Sunan e Ibn e Majah: 1268)

Note: in dono hadison me istisqa ki namaz ka tarika bataya gaya hai, jaisa ki uper hum ne bataya.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply