Chand Grahan Ki Namaz Ka Tarika

Chand Grahan, Suraj Garhan Ki Namaz Ka Tarika, Hindi

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:December 26, 2019
  • Reading time:4 mins read

Kabhi kabhi hum dekhte hain ki chandni raat me bhi chand par andhera chha jata hai, aur ujaali raat kali raat me change ho jati hai, isi tarah suraj par bhi din me kuchh der ke liye andhera chha jata hai, isi ko chand garhan aur suraj garhan  kahte hain.

Chand Garhan Aur Suraj Garhan Ki Haqiqat

Aam taur par logon ka yah maan na hai ki chand aur suraj ka garhan zameen par kisi important cheez ki wajah se hota hai: for example  kisi bade aadmi ki death ho jaye, ya koyi bada aadmi paida ho. Lekin  hamara islam hame yah batata hai ki chand garhan aur suraj garhan yah sab allah ki taraf se hota hai, allah tala jab chahte hain thodi der ke liye chand aur suraj ki roshni ko khatam kar dete hain, aur jab chahen ge to always un ki roshni ko khatam karden ge, jis tarah garhan lagane aur hatane me koyi interfere nahi kar sakta isi tarah world ki baqi sari cheezon me bhi kisi ka koyi ikhtiyaar nahi hai.

Yahi topic hamari hadees me is tarah aaya hai:

عَنْ أَبِي مَسْعُودٍ الْأَنْصَارِيِّ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: إِنَّ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ آيَتَانِ مِنْ آيَاتِ اللهِ، يُخَوِّفُ اللهُ بِهِمَا عِبَادَهُ، وَإِنَّهُمَا لَا يَنْكَسِفَانِ لِمَوْتِ أَحَدٍ مِنَ النَّاسِ، فَإِذَا رَأَيْتُمْ مِنْهَا شَيْئًا فَصَلُّوا، وَادْعُوا اللهَ حَتَّى يُكْشَفَ مَا بِكُمْ “. (صحيح البخاري: 3204، صحيح مسلم: 911).

Translation: Hazrat Abu Masuood Ansari (R Z) se riwayat hai, kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Chand aur Suraj allah tala ki nishaniyon me se ek nishani hai, allah tala un me kuchh changing kar ke apne bandon ko darata hai, kisi ki death ya maut ki wajah se un ko garhan nahi lagta, to jab tum chand ya suraj garhan ko dekho to namaz padho, aur allah se us waqt tak dua jab tak ki garhan khatm na ho jaye”. (Sahih Bukhari: 3202, Sahih Muslim: 911)

Hadees Ka Matlab Aur Chand  Garhan Ki Namaz Ka Tarika

Is hadees me Chand aur suraj garhan ki namaz ke bare me bhi bataya gaya hai, jab aisa ho jaye to 2 rakat lambi namaz padh kar us waqt kat dua karni chahiye jab tak ki garhan khatm na ho jaye. Suraj garhan ki Namaz jamat se aur chand garhan me akele akele namaz padhna better hai, yah mard aur aurat sab ke liye hai, lekin aurten apne home me hi padhen.

Suraj Garhan Ki Namaz Ka Tarika

Suraj garhan ki namaz ka bhi wahi tarika hai jo dosri nafal namazon ka hai, han suraj garhan ki namaz me azaan o iqamat nahi hai, akele akele aur jamat ke sath bhi padhi ja sakti hai, agar jamat ke sath padhna ho to better yah hai ki announcement kar dia jaye ki kal suraj garhan ki namaz hai

Chand o suraj Garhan ki namaz lambi honi chahiye, is namaz me badi badi surten padhi jayen, like: Sure Baqrah, aur lambe lambe ruku aur sajde kiye jayen,  hadees me aaya hai:

عَنْ قَبِيصَةَ بْنِ مُخَارِقٍ الْهِلَالِيِّ، قَالَ: كَسَفَتِ الشَّمْسُ وَنَحْنُ إِذْ ذَاكَ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِالْمَدِينَةِ، فَخَرَجَ فَزِعًا يَجُرُّ ثَوْبَهُ، فَصَلَّى رَكْعَتَيْنِ أَطَالَهُمَا. (سنن النسائي: 1486).

Translation: Hazrat Qabisa Bin Mukhariq (R Z) kahte hain ki ek baar suraj ko garhan laga us waqt hum Rasulullah (S  A W) ke sath madina me the aap ghabra kar apne kapde ko khinchte huye bahar nikle, aur 2 rakat namaz khoob lambi pdhi. (Sunanun Nasayi: 1486)

Suraj Garhan Me Zor Se Qirat Kare Ya Dheere Dheere?

Suraj garnan me imam Abu Hanifa (RH) ke yahan Qirat dheere dheere hai, aur Imam Abu Yusuf ke yahan zor zor se hai, aur Imam Mohammad ke yahan zor zor se bhi hai, aur dheere dheere bhi hai, Imam tahawee ne isi ko pasan kiya hai, kyunki is namaz ke qirat lambi hoti hai, agar zor zor se ki jaye to to padhne wale nahi uktaayen ge.

Suraj Garhan ki namaz ke baad Imam Dua kare, aur imam ke sath padhne wale muqtadi aameen kahen, yahn tak ki suraj garhan khatam ho jaye.

Jin waqton namaz makrooh hai, agar us waqt garhan ho to namaz nahi padhi jaye gi, logon ko dua aur istighfar ka hukm dia jaye ga.

 

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply