Traweeh Ki Namaz Ka Tarika

Traweeh Ki Namaz Ka Tarika In Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:0 Comments
  • Post last modified:August 10, 2018
  • Reading time:5 mins read

 Traweeh Kise Kahte Hain?

Ramazan ke month me Isha Ki Namaz ke baad 2,2 rakat kar ke 20 rakat tak jo namaz padhi jati hai, aur har 4, 4 rakats ke baad thodi der baith kar aaram karte hain us ko taraweeh kahte hain.

 Taraweeh Ki Namaz Sunnat Hai Ya Nafil?

Taraweeh ki namaz mard aur aurat sab ke liye Sunnat e Muakkadah hai.

Taraweeh Ki Namaz Ki Niyat

Taraweeh Ki Namaz aur dosri sunnat aur nafil namazon ke liye sirf namaz ki niyat kar lene se ada ho jati hain, lekin zada better yah hai ki taraweeh ke liye alag se dil se niyat kare, yani dil me yah sooch le ki mai taraweeh ki namaz padh raha hoon.

Kya Rasulullah (S A W) Ne Taraweeh Ki Namaz Padhyi hai?

Sahih Hadison se yah baat sabit hai ki Rasulullah (S A W) Ramazan ke month me 3 days jamat ke sath taraweeh ki namaz padhayi hai, lekin jab log zada hone lage, aur sahaba ke interest aur shauq  ko dekh kar aap (S A W) ko yah khatra hua ki kahin yah namaz farz aur zaruri na ho jaye aur log use na padh saken, is liye baad me us ko jamat se nahi padhyi. (Sahih Bukhari: 924, Sahih Muslim: 761)

Lekin us ka matlab yah nahi ki aap ne ramazan me ibadat ya taraweeh padhne se mana kar dia balki ramazan ki raaton me zada se zada ibadat karne ki takeed ki aur farmaya ki: “jo shakhs ramazan ki raaton ko ibadat me guzare ga us ke pichhle sare gunaah maaf ho jayen ge”. (Sahih Bukhari: 37, Sahih Muslim: 759)

Yahi wajah ki sahaba ramazan ke mahine me bahut zada ibadat karte the, jo hafiz e quran the wah khud nafil namazon me Quran padhte the, aur jo log hafiz nahi the, wah dosron ke pichhe nafil padhte the, aur hozur (S A W) in sab ko dekhte the magar aap ne kabhi us se naraz nahi huye.

Jamat Ke Sath Taraweeh Ki Starting

Yah Silsila Hazrat Abu Bakr Siddiq (R Z) ke zamane aur Hazrat Umar ke starting zamane kat jari raha, us ke baad Hazrat umar (R Z) ne jab yah dekha ki log alag alag gropes me ya akele akele taraweeh padh rahe hain to aap ne farmaya ki main chahta hun ki sare log ek imam ke pichhe taraweeh padhen, to bahut achchha hoga, aur us ke baad aap ne Hazrat Obai Bin Kad ko Imam banaya aur sare sahaba ne un ke pichhe taraweeh ki namaz padhi. (Sahih Bukhari: 2010)

usi ke baad se taraweeh ba jamat ka silsila start hua.

Taraweeh Me Kitni Rakat Hai?

Is ki details Jaan ne ke liye heading par click karen us ke liye ek alag article hai.

Taraweeh Ka Tarika

2, 2 rakat ki taraweeh ki niyat karke padhe, aur har 2 rakat ke baad salam phere, aur har 4 rakat par tarwiha yani thodi der baith kar aaram kare,

Tarwiha Ya Taraweeh Ki  Dua

Tarwiha (yani har 4 rakat par baithne ke baad) ke liye koyi khass dua fix nahi hai, is me koyi bhi dua ya quran ki tilawat kar sakta hai, kuchh ulma ne yah dua batayi hai jis ka dil chahe wah is dua ko bhi pah sakta hai:

سُبْحَانَ ذِي الْمُلْكِ وَالْمَلَكُوتِ، سُبْحَانَ ذِي الْعِزَّةِ، وَالْعَظَمَةِ والقُدْرَةِ الْكِبْرِيَاءِ والجَبَرُوتِ، سُبْحَانَ المَلِكِ الْحَيِّ الَّذِي لَا يَنَامُ وَلَا يَمُوتُ، سُبُّوحٌ قُدُّوسٌ رَبُّنا وَرَبُّ الْمَلَائِكَةِ وَالرُّوحُ، لا إِله إِلاّ الله، نَسْتَغْفِرُ الله، ونَعُوذُ به مِن النّار.

Tarweeh Kia Dua in Hindi Urdu English

SUBHANA ZIL MULKI WAL MALAKOOT, SUBHANA ZIL IZZATI WAL AZAMATI WAL QUDRATI WAL KIBRIYAAI WAL JABAROOT, SUBHANAL MALIKIL HAYYIL LAZI LA YANAMU WLA YAMOOT, SUBBUHUN QUDDUSUN RABBUNA W RABBUL MALAYIKATI WARROOH, LA YILAHA ILLALAH, NASTAGHFIRULLAH, W NAUOOZU BIHI NAMANNAR.

Taraweeh Ki Namaz Aurton Ke Liye

Jis tarah mardon ke liye taraweeh Sunnat e Muakkadh hai isi tarah se aurton ke liye liye bhi Sunnat hai, lekin aurton ke liye better yah hai ki wah sab akele akele, ya tanha tanha padhen, jamat ke sath un ki mamaz makrooh hai, yani manaz ho to ho jaye gi magar yah theek nahi hai.

Agra wah jamat se padhen to imamat karne wali aurat saf ke beech me Muqtadi aurton ke sath khadi ho, mardon ke imam ki tarah aage na khadi ho.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

Leave a Reply