Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen .
Asar Ki Namaz Ki Fazilat
Asr ki namaz ki sab se badi fazilat yah hai ki khud allah tala ne is ko padhne ke liye bahut zor dia hai, Sure Baqrah ki ek aayat me hai:
{حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلَاةِ الْوُسْطَى} [البقرة: 238]
Translation: tamam namazon ki pabandi karo aur khas taur par beech wali namaz ki (AL Baqarah: 238).
Explaination: Is aayat me beech wali namaz se murad Asr ki namaz hai, asar ka waqt aisa hota ki har aadmi is waqt kaam me busy hota market me is waqt zada rush hota hai, har aadmi kharidne bechne me laga rahta hai, to us waqt namaz chhutne ka zada chance hota hai, is liye allah tala ne is namaz ki takeed ki marketing ke chakkar me kahin asar ki namaz chhor mat dena.
Asar Ki Namaz Ka Waqt
Din ki namazon me tisri namaz asar ki namaz hai, is ka waqt zohar ke waqt ke end hone baad start hota hai, yani har cheez ka shadow ya saya double ho jane ke baad start hota hai, aur sunset yani suraj doobne ke baad end ho jata hai, agar us ke main waqt ke end hone ki baat Karen to wah sunset se 15 ya 20 minutes pahle tak hai, is ke baad agar koyi asar ki namaz padhta hai to us ki namaz to ho jaye gi lekin makrooh hogi.
Asar Ki Namaz Me Kitni Rakats Hain?
Asar ki namaz me total 8 rakats hain: 4 rakat Sunnat e Gair Muakkada, aur 4 rakat farz.
Asar ki Namaz Ka Tarika
- Pahle 4 rakat Sunnat padhe, Sunnat ki har rakat me Alhamdu ke surat padhna hai.
- Us ke baad 4 rakat farz ki niyat kare.
- Pahli rakat me Sana, Taauz, Tasmiah aur Alhamdu ke baad koyi surat bhi padhe.
- Dosri rakat me sirf Alhamdu aur surat padh kar Qada Ula kare, aut Attahiyaat padh kar khada ho jaye.
- Tisri aur chauthi rakat me sirf Alhamdu yani Sure Fatiha padhe. aur Qada Akhira kar ke salam pher de.
Asr Ki Namaz Me Padhi Jane Wali Surten
Asr ki namaz me surat se related masnoon tariqa Ausaat e Mufassal ki surten hain, yah Amma Para me “Wassamai Wattariq” se “Lam yakunil lazina kafaru” ke beech ki surten hain, yaad na hone par quran ki tarteeb se koyi bhi surat padh sakte hain.
Safar Me Asar Ki Namaz
Safar me asar ki namaz ko Qasar karna hai, yani 4 rakat farz ko only 2 rakat padhna hai, lekin asar se pahle jo 4 rakat sunnat hai us ko 4 rakat hi padhna hai, Qasar sirf farz namaz me hai sunnat me nahi, agar time kam ho to sunnat ko chhod bhi sakte hain.
Asr Ki Namaz Se Related Masle
Asr ki namaz pdhne ke baad koyi Sunnat ya nafal namaz nahi padhni chahiye.
Asr ke baad Qaza namaz padh sakte hain.
Asr ki farz se pahle Nafal Namaz padh sakte hain.
Asr ki farz padhne ke baad dua mangne se pahle Tasbeeh e Fatimi yani: Subhanallah 33 bar, Alhamdulillah 33 bar, aur Allahu Akbar 34 bar padhna Sunnat hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
Assalam alaikum,
Sir mai namaz padna chahta hu aur iske baare me bataye please.
Mujhe koi surah bhi thik ae yaad nahi hai.
Walaikum assalam
yah bahut hi khushi ki baat hai, aap ko pareshan hone ki koyi zarurat nahi hai, hum app ko in shallah puri namaz ko sikhane ki koshsh karen ge
Aap hamare article Namaz Ka Tarikako read kren.
agar aap ko koyi surah yaad na ho to “SUBHANALLAH” ya “ALHAMDU LILLAH” ya “ALLAHU RABBI” padhte rahen, aur surah yaad karene ke liye bhi try karte rahen, hum ne chhoti chhoti surah ko Roman Hindi me bhi write kar dia hai, aap is article Namaz Ki Surah In Hindi par clik karen in shaallah aap ko surah aasani ke sath yaad ho jaye gi, us ke baad aap namaz me surah bhi padhne lagen ge,
Sir me namaz pdna chati hu to asar ki namaz ka tarika ap images ke sath or hindi me jo bhu usmy pada jata hai jesy Sana surte ye sab likh skty hai