Dua Qunoot Kya Hai?
Dua e qunoot ek dua hai, yah do tarah ki hai: ek wah dua jo Witr ki me padhi jati hai, qunoot dosri wah dua hai jo kisi khaas waqt ya kisi badi musibat aur kisi Bade hadse me jis se aam log chapet me aa jayen us waqt Fajar ki Namaz me dosri rakat me surat padhne ke baad ruku me jane se padhi jati is ko Qunoot E Nazila kahte hain.
Dua E Qunoot Kab Padhi Jati Hai?
Dua e qunoot Isha ke baad witr ki namaz ke tisri rakat me alhamdu aur surah ke baad padhte hain.
Kya Dua E Qunoot Padhna Zaruri Hai?
Ji han witr ki namaz me qunoot ka padhna Wajib aur zaruri hai, matlab yah hai agar kisi ne jaan boojh kar qunoot ko nahi padha to uski namaz nahi hogi, usko witr ki namaz dohrana pade ga, aur agr bhool kar chhod de to Sajda Saho karna zaruri hoga.
Jis Ko Dua E Qunoot Na Yaad Ho Wah Kya Kare?
Pahli baat yah hai ki wah dil se yadd karne ki koshish kare, aur jab tak yaad na ho jaye, 3 baar qul huallahu ahad, ya jo bhi surat yaad ho padh le, aur allah tala se toba istighfar karta rahe, wahi bhool chook ko maaf karne wala hai.
Agar Koyi Dua E Qunoot Bhool Kar Ruku Me Chala Jaye To Kya Kare?
Agar koyi namazi witr ki tisri rakat me Duaay e Qunoot bhool kar ruku me chala jaye to us ke liye behtar yah hai ki Qayam ki taraf na laute aur Duaay e Qunoot Chhor de, aur akhir me Sajda Sahw kar le, kyun ki Ruku Farz hai aur Duaay e Qunoot Wajib hai, farz ko chhor kar wajib ki taraf aana munasib nahi hai.
Aur agar ruku karne ke baad yaad aane par wah khada ho gaya to ab Duaaye Qunoot padh kar Ruku na kare balki sajde me chala jaye, kyun ki tisri rakat ka Ruku to wah pahle hi kar chuka hai, us se ruku ka farz ada ho gaya, ab us ko dobara karne ki zarurat nahi, bas sajda karke “Attahiyaat” padh kar dahini taraf salam pher kar “Sajda Sahw” kar le, phir “Attahiyaat”, “Darud” aur “Duaay e masurah” padh kar Salam pher de namaz ho jaaye gi.
Words Of Dua E Qunoot In Arabic
اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْتَعِينُكَ، وَنَسْتَغْفِرُكَ، وَنُؤْمِنُ بِكَ، وَنَتَوكَّلُ عَلَيْكَ، وَنُثْنيِ عَلَيْكَ الْخَيْرَ، وَنَشْكُرُكَ وَلَا نَكْفُرُكَ، وَنَخْلَعُ وَنَتْرُكُ مَنْ يَفْجُرُكَ، اللَّهُمَّ إِيَّاكَ نَعْبُدُ، وَلَكَ نُصَلِّي وَنَسْجُدُ، وَإِلَيْكَ نَسْعَى وَنَحْفِدُ، نَرْجُو رَحْمَتَكَ، وَنَخَافُ عَذَابَكَ، إِنَّ عَذَابَكَ بِالْكَافِرِينَ مُلْحَقٌ،
Dua e Qunoot In Hindi
अल्लाहुम्मा इन्ना नस्तयिनुका वनसतगफिरुका वनुमिनुबिका वनतवक्कालू अलैका वनुस्नी अलैकल खैर, वनश्कुरुका वला नक्फुरुका वनख्लऊ वनतरुकू मैंयफजुरुका, अल्लाहुम्मा इय्याका नाबुदु, वलका नुसल्ली, वनस्जूदू वइलैका नसआ, वनह्फिदु वनर्जू रह्मताका, वनख्शा अज़ाबका, इन्ना अज़ाबका बिलकुफ्फारी मुल्हिक.
Dua E Qunoot In Roman English
Allahumma Inna Nastayeenuka W Nastaghfiruka W Numinu Bika, W Natawakkalu Alika W Nusni Alikal Khair, W Nashkuruka Wala Nakfuruka, W Nakhlau W Natruku May Yafjuruka, Allahumma Iyyaka Nabudu W Laka Nusalli, W Nasjudu, W Ilaika Nas’aa, W Nahfidu W Narju Rahmataka, W Nakhsha Azabaka, Inna Azabaka Bil Kuffari Mulhiq. (Musannaf Abdur Razzaq Hadees No: 4978, Al Sunanul Kubra: Hadees No: 3144)
Dua e Qunoot Translation In Roman
Ai allah hum tujh se hi madd mangte hain, aur tujh se hi bakhshish talab karte hain, aur tere uper eemaan late hain, aur tere uper bharosa karte hain, aur teri achchi tareef karte hain, aur tera shukr ada karte hain, aur teri nashukri nahi karte, aur jo teri nafarmani kare us se hum completely alag ho jate hain, ai allah hum teri hi ebadat karte hain, aur tere liye namaz padhte hain aur sajda karte hain, aur teri taraf daur kar aate hain, aur haziri dete hain, aur teri rahmat ki ummid karte hain, aur tere azab se darte hain, beshak tera azab kafiron tak pahochne wala hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.