For starting Namaz please click on this article: Namaz Padhne Ka Tarika
Isha Ki Namaz Ki Fazilat
5 time ki namazon me sab se aakhiri namaz isha ki hai, is namaz ki fazilat bahut zada hai, kyun ki aadmi din bhar kaam kar ke thak jata hai, ab wah raat me jaldi sona chahta hai, kaam ki thakan ki wajah se badan me susti bhi zada hoti hai, is liye isha ki namaz padhne ko us us ka ji nahi chahta, yahi wajah hai munafiq log is namaz me susuti karte the, lekin jo log sachche pakke musalman hote hain wah susti aur thakawat ke waqt bhi allah tala ko yaad karna nahi bhoolte, kyun ki un ko maloom hai ki is namaz ka sawab bahut hai, Muslim Shareef ki ek riwayat me aaya hai:
عَنْ عُثْمَانِ بْنِ عَفَّانَ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: «مَنْ صَلَّى الْعِشَاءَ فِي جَمَاعَةٍ فَكَأَنَّمَا قَامَ نِصْفَ اللَّيْلِ». (صحيح مسلم: 656)
Translation: Hazrat Usman Bin Affan (R Z) se riwayat hai, kahte hain: mai ne rasulullah (S A W) ko farmate huye suna hai,aap kah rahe the: “Jis ne isha ki namaz jamat se padha wah aisa hai goya ki us ne aadhi raat tak allah ki ibadat ki”. [Sahih Muslim: 656]
Hadees Ka Matlab: Is hadees se maloom hua ki Isha ki namaz ka sawaab bahut zada hai, aap zra sochiye ki aadmi agar isha ke time se nafal namaz padhna start kare aur aadhi raat tak padhta rahe to wah kitni rakats padh lega aur us ko kitna sawaab mile ga, to wah sara sawaab us ko isha ki namaz jamat se padhne par mil jaye ga.
Namaz e Isha Ka Mustahab Waqt
Maghrib ki Namaz ke 1 hour baad aasman se safed roshni khatam hone ke baad isha ka waqt start ho jata hai. Isha ki namaz ko ek tihayi raat se pahle tak padhna behtar aur mustahab hai, aur aadhi raat tak padhne me bhi koye masla nahi, aadhi raat ke baad se subah sadiq tak begair kisi pareshani aur uzr ke padhna Makrooh hai.
Isha Ki Namaz Ki Rakat
Isha ki namaz me total 17 rakaats hain:
4 Rakat Sunnat
4 Rkat Farz
2 Rakat Sunnt
2 Rakat Nafal
3 Rakat witr
2 RakatNafal
Isha Ki Namaz Ka Taika
1 – Pahle 4 Sunnat
Isha se pahle 4 Rakat jo sunnat hai us ko “Sunnate Gair Muakkada” kahte hain, is ka matlab hai ki Nabi kareem (S A W) ne kabhi us padha hai aur kabhi chhoor bhi diya hai, yani Aap (S A W) ne us ki takeed nahi farmayi hai. Is sunnat ko padhna chahiye, aur agar kabhi chhut jaye to koyi masla nahi, is ko kaise padha jaye?
us ko jaan ne ke uper Sunnat ke link par click karen.
عَنِ الْبَراء رَفعه : “من صَلَّى قبل الْعشَاء أَرْبعا كَانَ كَأَنَّمَا تهجد من ليلته وَمن صَلَّاهُنَّ بعد الْعشَاء كمثلهن من لَيْلَة الْقدر”. وَأخرجه الْبَيْهَقِيّ من حَدِيث عَائِشَة مَوْقُوفا وَأخرجه النَّسَائِيّ وَالدَّارَقُطْنِيّ مَوْقُوفا عَلَى كَعْب. الدراية في تخريج أحاديث الهداية (1/ 198).
Translation: Hazrat Bara bin Azib Huzur (S A W) se riwayat karte hain ki: “Jis ne Isha se pahle 4 rakat padhi to goya ki us raat ko Tahajjud padha, aur jis ne un ko isha ke baad padha us ko Shab-e-Qadr me 4 rakaat padhne ke barabar sawab milega. ” (Al Diraya fi takhriji ahadisil hidaya: 1/98).
4 Rakaat wali sunnat ki har rakat me Sure Fatiha ke baad koyi Surat bhi milana zaruri hota hai, us ka tarika jaane ke liye is link par Click Karen:
4 Rakat Suunat Pdhne Ka Tarika
2 – 4 Rakat Farz
4 Rakat Sunnat ke baad 4 Rakaat Farz padhe, farz ki pahli 2 rakaton me Sure Fatiha ke baad Surat milana zaruri hai, aur akhir ki 2 rakaton me sirf Sure Fatiha yani Alhamdu padhna hai, jis ko jyada Quran yaad ho us ke liye Ausaat-e-Mufassal ki Suraton ko padhna Masnoon hai aur yah Sure Tariq (Wassmayi wattariq) se Sure Bayyinah (Lam yakunil lazina kafaru min ahlil kitabi) tak ki Surten hain, aur jis ko zada soorat yaad na ho wah koyi bhi soorat padh sakta hai.
4 Rakat Farz Namaz Padhne Ka Tarika
3 – 2 Rakat Sunnat-e-Muakkada
4 Rakat Farz ke baad 2 rakat sunnat padhe, is ko Sunnat-e-Muakkada kahte hain, is sunnat ko Huzoor (S A W) takeed farmayi hai aur aap ne is ko kabhi bhi nahi chhora hai, is liye is ka padhna zaruri hai, is ki dono rakat me Alhamdu ke baad surat padhna zaruri hai.
2 Rakat Sunnat Padhne Ka Tarika
4 – 2 Rakat Nafal
2 rakat sunnat padhne ke baad 2 rakat Nafal padhe, is ke padhne me sawab hai na padhne me koyi gunaah nahi.
5 – 3 rakat Witr
Us ke baad 3 Rakat Witr hai, yah Wajib hai yani is ka padhna zaruri hai, na padhne se aadmi Gunahgar hoga, is ki teeno rakaat me Alhamdu ke baad koyi Surat milana hai, aur tisri rakat me ruku ke pehle “Duaay-e-Qunoot” padhna hai.
Note: Witr namaz bilkul alag hai, is liye us ki detail aur us ke padhne ka tarika hum ne ek alag article me bataya hai, agar aap chahen to niche ke link par click karen aap ko puri details mil jaye gi.
3 Rakat Witr Padhne Ka Tarika
6 – Witr Ke Baad 2 Rakat Nafal
Witr ke baad do rakat nafal padhna hai, bilkul usi usi tarah jis tarah 2 rakat sunnat padhte hain.
Isha Ki Namaz Me Padhi Jane Wali Soorten
Better yah hai ki Agar Amma Para poora yaad ho isha ki namaz me Sure Tariq (WASSAMAYI WATTARIQ WAMA ADRAKA MATTARIQ) se lekar Sure Lam yakun (Lam Yakunillazina Kafaru) ke beech ki soorten padhi jayen, jis ko yah sari soorten yaad na ho wah koyi bhi soorat padh sakta hai.
Safar Me Isha Ki Namaz Ka Tarika
Agar aap safar me hon to isha ki farz namaz 2 rakat padhen ge, safar ka matlab sharyi safar hai, is details agar aap chahte hon to to is par click karen:
Summary Of This Article
- Raat aur din ki namazon me Isha sab se last namaz hai.
- Isha ka time magrib ki namaz ke 1 hour ke baad start hota hai.
- Isha ka better time ek tihayi raat tak hai.
- Isha ka last time suraj nikalne ek do hour pahle tak hai.
- Isha me total 17 rakats hain: 4 Sunnat, 4 Farz, 2 Sunnat, 2 Nafal, 3Witr, 2Nafal.
- Isha me sure Tariq se sure Bayyinah ke beech ki surten padhna sunnat hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
Shukriya
Shukria! Apne isha ka waqt highlight karke kafi mehrbani kari h…koi bhi site me itna detail aur asan lafzo me nhi dia hai umeed h aap aise hi post jari rakhe
Thanks… insh aallah aisi hi posts aayen gi.
Subhan allah aapne itna acchi se namaz ke bare m bataya
Shukriya aap ka!
Assalmo-alaikum Hazrat…..
Agar Dua-e-Qunood yaad na ho to hum witr ki namaz kaise ada kare…iska koi hal hai?
App bata de to Jab tak Dua-e-Qunood yaad nhii hua tab tak witr ki namaz mai amal krta rahunga…