Musafir Ki Namaz

Musafir Ki Namaz in Hindi Urdu

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:30 Comments
  • Post last modified:December 31, 2019
  • Reading time:9 mins read

Musafir: Yah arabic word hai us ki meaning journey ya travel karne wala.

Muqeem: Yah bhi arabic word hai us ki meaning wah aadmi jo apne home ya city me ho.

Qasar: Yah bhi arabic word hai us ki meaning kam ya short hai, yahan us ka matlab 4 rakat wali farz namaz ko 2 rakat padhna.

In words ko explain is liye kiya gaya kyun ki yah words is article me baar baar aayen ge.

Islam ne jin cheezon me logon ko aaram aur sahuliyat diya hai un me se ek safar bhi hai, safar ki wajah se aadmi  ko preshani aur mushaqqat ka samna karta hai, wah ek tarah se bahut majboor hota jata hai, ab agar musafir hone ki halat me us ke liye wahi orders hon jo muqueem hone ki halat me hote hain to aadmi ki diqqqat aur preshani zada ho jaye gi, is liye islam ne musafir logon ka khayal karte huye un ko bhi sahuliyat aur aasani diya hai un me se ek sahulat namaz bhi hai, safar ke duran musafir  ko 4rakat wali farz namaz ko sirf 2 rakat padhne ka order hai, Quran pak me  ek jagah aaya hai:

{وَإِذَا ضَرَبْتُمْ فِي الْأَرْضِ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَقْصُرُوا مِنَ الصَّلَاةِ} [النساء: 101]

Translation: Jab tum zameen me safar karo to tum par koyi haraj nahi ki tum namaz me kami kar dia karo. (Sure Nisa: 101)

 Aadmi Musafir Kab Mana Jata Hai (Distance Of Travel)

Jab kisi ka 78 Km ya us se zada travel karne ka irada ho, aur wah apne gaon ya city se exit ho jaye to us ko musafir kahen ge for example: agar koyi aadmi jis ka gahr Delhi me ho, aur wah Aligarh jana chahta ho, to jaise hi wah Ghaziabad me entering kare ga wah musafir ho jaye ga.

Qasar Namaz Ki Starting

Musafir ban ne baad agar 15 days se kam rukne ka program ho to namaz me qasar zaruri hai hai yani Zohar, Asar, aur Isha ki namaz 2, 2 rakat padhe ga, aur Fajr aur Magrib ki namaz usi tarah padhe ga jaise apne ghar me padhta tha, 2 rakat aur 3 rakat, in dono me kuchh kami nahi ho gi, aur agar jamat se padh raha ho to imam ke sath sari namazen puri puri padhe ga. isi tarah agar 15 days se zada rukne ka plan ho tab bhi sari namaz puri puri padhe ga.

Qasar Namaz Ki Niyat, Qasar Namaz Ka Masla?

Jin Nmazon me qasar zaruri hai un me musafir only 2 rakat ki niyat kare, for example agar Zohar ki  namaz qasar kar raha ho to dil se yah niyat kare ki :mai 2 rakar zohar ki qasar padh raha hun, safar ki wajah se yah maan liya jata hai ki musafir par 4 rakat wali farz namaz 2 rakat me change ho jati hai, yani ab musafir ke uper only 2 rakat hi farz hai, is liye musafir sirf 2 rakat ki niyat kare ga.

Safar Me Sunnat Aur Nafal Namaz

Safar me farz namazen to  4 rakat wali 2, 2 rakats hain, lekin sunnat aur nafal namaz ka dosra masla hai wah yah hai ki agar time ho for example: kisi jagah 2 ya 4 din thahra ho to puri puri padh le us ka sawaab mile ga, agar time na ho jaise plate form par ho ya train me ho to na padhe is me koyi gunaah nahi hai, matlab yah hai sunnat aur nafal musafir jab bhi padhe ga to puri puri padhe ga, is me qasar nahi hai.

Musafir Agar Jamat Se Namaz Padhe To Kya Hukm Hai?

Agar koyi musafir jamat se namaz padhe to agar musafir imam ho to wah 4 rakat wali namaz me only 2 rakat ki niyat kare, aur 2 rakat puri karke wah yah elaan kar de ki: mai musafir hun aap log apni baqi 2 rakat puri kar len.

aur agar musafir muqtadi ho yahi wah imam ke pichhe namaz padh raha ho to wah is surat me wah qasar nahi kare ga, balki 4 rakat ki niyat kare ga 2 rakat ki niyat nahi kare ga chahe wah aakhiri rakat me jamat me shamil hua ho.

Safar Me Sunnat Ka Wahi Hukm Hai Jo Muqeem Hone Ki Halat Me Hota Hai

Farz Namaz ke qasar padhne ki wajah se koyi banda yah na samjhe ki sunnat half half ho jati hai, agar musafir ke paas time aur sahulat ho to sunnat aur nafal namaz puri puri padhe, aur agar time na ho to sunnat aur nafal namaz ke chhodne me koyi gunaah nahi hai.

Musafir Agar Bhool Kar 4 Rakat Padh Le

Agar kisi musafir ne bhool kar qasar wali namaz 4 rakat padh lia to us ki detail yah hai ki agar Pahle Qada me utni der baita raha jitni der me Tashahud padha jata ho to us ki namaz ho jaye gi magar magar makrooh hogi yani us me sawab kam mile ga. aur agar pahle qada me nahi baitha to us ki namaz sahi nahi hogi us ko namaz phir se padhni pade gi.

Airport, Station, Bandargah Par Qasar Ka Hukm

Aadmi ke apne Bus Stands, Ya Railway Stations ya Airports wgairah yah sab city ke under aate hain, yahan se journey start karne wala ya yahan par return none wala muqueem hi rahta hai, wah namaz me qasar nahi kare ga, lekin agar yah places aabadi se zada door hon jaisa ki aaj kal bahut se cities me hoti hain to yahan par interring karne wala musafir ho jaye ga aur namaz me qasar kare ga.

Puri Namaz Padhne Ke Liye 15 Ki Niyat Zauri Hai

Musafir jab tak kisi jagah 15 days ya us se zada rukne ki niyat na kare wah puri namaz nahi padh sakta balki qasar karta rahe ga, for example agar aadmi kisi jagah kaam ke liye gaya, aur us ka irada tha ki 15 days se pahle return ho jaye ga lekin kaam ki wajah se us ke rukne ki muddat badhti chali jaye tab bhi wah qasar hi kare ga chahe yah muddat kitni zada ho jaye, han agar 15 days rukne ka plan bana le tab wah namaz puri padhe ga.

Masla: Agar kisi aadmi ne yah niyat ki  15 days 2 cities ya 2 shahron me rahun ga some days ek city me aur some days dosre city me:  for example: aadmi Lucknow me rahta hai wah Allahabad aur Varansi ke liye safar par nikla, aur plan banaya ki kuchh din Allahabad me rahe ga aur kuchh din Varansi me to wah Musafir hi rahe ga muuqeem nahi hoga, aur namaz qasar kare ga.

Employment Places (Nokri Ki Jaghon) Ka Hukm

Jo log kisi company me permanent job karte hon, ya kisi city me permanent business karte hon, aur unka yah plan ho ki bila kisi important reason ke wah us jagah se nahi jayen ge to yah jagah un ke liye real home (Apne asli ghar) ki tarah hogi, yahan wah muqueem samjhe jayen ge aur namaz puri puri padhen ge.

Ghar Par Chooti Huyi Namazon Ko Safar Me Padhna

Agar Koyi  aadmi agar safar me chala gaya aur uski kuchh namazen ghar par rahte huye qaza ho gayi hon to agar safar me un ki qaza karna chahe to qasar nahi karega balki puri puri padhe ga, for example: agar us aadmi Asar ya Isha  ki namaz ghar par choot gayi, aur usi time us ko train pakadni thi, wha train par sawar ho gaya dosre din us ko yaad aaya ki meri Asar aur Isha Qaza ho gayi hai, ab agar wah safar ki halat me Asar aur Isha ki qaza padhan chaahta ho to us ko 4, 4 rakat padhna hoga, safar me bhi wah un qasar nahi kare ga.

Safar Ki Qaza Namazon Ko Ghar Aa Kar Padhna

Agar safar ki halat me kuchh namazen chhoot gayi hon aur ghar aa kar unki qaza karna chahe  to qasar karega puri nahi padhe ga, kyun ki us ke zimme qasar hi farz huyi thi, aur jo namaz jis tarah farz ho us ko usi tarah ada karna zaruri hai.

Safar Me Nikalne Ki Dua In Arabic

Safar Me Nikalne Ki Dua In English

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 30 Comments

  1. Khwaja Nizamuddin Chishty

    Assalamu Alaikum Janab,Qasar namaz ki niyath kaise karein….For eg:-Isha ke 4 rakat hain tho safar me 2 hi padhne ka jab hukm hai tho niyat 4 ki karein jaise real home me karte hain ya ke 2 rakat ki niyat karein???
    2)Kya safar me sunnat e mokkada aur nawafil namaze padh sakte hain ya nahi??

    1. Online Islam

      Walikum assalm wrahmatullahi wabarkathu:
      1- Jin Namazon me qasar hai Jaise: Zohar, Asar aur isha un me musafir sirf 2 rakat ki niyat kare ga, musafir hone ki wajah se yah maan lia jaye ga ki us aadmi par sir 2 hi rakat farz hai, aur jab 2 hi rakat farz hai to only 2 rakat ki niyat kare ga.
      2- agar time aur sahulat ho to musafir ko sunnat aur nafal padhni chahiye, aur agar time na ho to na padhne me koyi gunaah nahi.

  2. Simrah

    We have our own house in palghar and we stay in bombay we hardly go in few months for 3 to 4 days so do we have to perform 2 rakat kasar or 4 frz

    1. Online Islam

      You will perform 4 rakat farz, because the Palghar is your homeland “Watn e Asli” So you do not preform Qasar in the original homeland. if you will change your homeland with Mumbai, in this case you will perform Qasar in Palghar, in this case Palghar will be your residence home “Watn e Iqamat”
      please note the rule: The homeland will be change from the homeland, and the residence home will be change from the residence home.

  3. Naaz

    Assalamu alaikum.
    Musafir ki sirf zohar,asr,isha ye teen namaz ki qasar hogi, fajr ajr maghrib farz hai?
    Aur kya musafir ko for example: fajr k 2 rakat farz namaz padhta hu….. Bolkar niyat karna hoga?

    1. Online Islam

      Waalikum asslam
      Ji haan Fajar Aur Magrib Ki Qasar nahi hogi
      Niyat dil se karna kafi hai, bol kar karna zaruri nahi hai

      1. Tauseef

        Abhi mai GHAR me he hu, aur fajr ka waqt shuru nahi hua hai, aur mujhe safar shuru Karna hai, jisse me meri fajr ki namaz qza hone wali hai, to mai kya Pehle fajr ki namaz ghar me he padh kar ja sakta hu?

        1. Online Islam

          ji bilkul padh kar ja sakte hain, hamare deen me aasani hai wah kisi ko mushkil me nahi dalna chahta.

  4. Farooq

    Musafir ko Niyat kese karni hai?
    Niyat ki mene 2 raakat farj asar qasar karke waaste allah tala ke muh mera kaba sharif ki taraf.

    1. Online Islam

      Niat Dil se karna zaruri hai ki Mai Fajr, Zohar ya Asr ki 2 rakat Qasar 2 rakat Qasar padh raha hun, zaban se ada karna zaruri nahi hai, kar le tab bhi harj nahi hai.

  5. Farz

    Assalam o alikum,
    Qasar namaz faraz ke short karke 2 rakat padhtehin. sunnat aur nafil namaz padhnahi ya nahi padhnahi. sunnat aur nafil namaz kise padhnahi musafir ke halat me?

    1. Online Islam

      Safar me sunnat aur nafal namaz ka ka hukm yah hai ki agar time ho to puri puri padh le us ka sawaab mile ga, agar time na ho jaise plate form par ho ya train me ho to na padhe is me koyi gunaah nahi hai.

  6. شيخ مجتبى عروة

    السلام عليكم ham jab ghar se nikle ke treatment ke liye karela city jana hai mar ham ne wa ha ek flat rent par le ye 1 month aur wha 10 min ke raste pe hai Masjid tu ham par 5 times namaz is farz hai kya nhi aur hospital me chair par namaz ho ya nhi ya ha se masjid door hai

    1. Mohammad Abulkalam

      Assalamu alaikum sheik main jeddah saudi Arabia me rahta hun
      15 din se kam dinon ke liye jeddah Madinah aaya hun aur yahan pe taqreeban khali hi rahta hun yani mere pas waqt rahta hai to kya aisi surat me bhi Qasar Namaz parhni paregi ya puri Namaz parh sakte hain
      Bara e meharbani is bare mein bataiye

      1. Online Islam

        walaikum asslam, musafir ko farz ki puri namaz padhne ke liye muqeem hona zaruri hai, aur muqeem us waqt hoga jab wah kisi jagah 15 din ya us se zada rukne ki niyat kare aur wah jagah us ke watn e asli ya watn e iqaamat se 78 km door ho,
        aap ke paas agar time ho bhi musafir ke liye hanfia ke nazdeek farz namaz me qasr karna zaruri hai, han agar time ho jaisa aap bata rahe hain to aap sunnat puri puri padh sakte hain

  7. Mohsin

    Agar koi sakhs rojana ek city se dusri city me 100 km job ke liye up down kar raha he to us mamle me namaj kis tarah ada kare.

    1. Online Islam

      anpe home se jis ciyi me aap jate hain wahan par aap musafir rahen ge, aur qasar karen ge, yahi 4 rakat wali namaz 2 rakat padhen ge.

  8. Zainab Sultana

    Main jahan se jaa rahi huun woh bhi mera hi ghar hai or jahan jaa rahi huun woh bhi mera hi hai magar hum wahan rehte nhi to kya wahan jaane ke baad main qasar namaz parhungi qki mujhe nhi pata ki main wahan kitne din rukne waali huun

    1. Online Islam

      shadi ke baad shauhar ka ghar hi aurat asli ghar mana jata hai, agar aap ka matlab maayka aur sasuraal se hai to aap apne maayka me agar 15 days se kam rukti hain to aap qasr karen gi.

  9. Mustafa

    My home land is Gujrat. I also own a house in Rawalpindi a city 160km away from home land.
    I come here for 4 to 5 days a week and stay in this house.
    Please tell weather i will offer safar namaz or qasar

    1. Online Islam

      Is hisab se Gujrat aap ka asli watan mana jaye ga, jab aap kabhi Rawalpindi jayen aur 15 din se kam rukne ka plan ho to aap namaz ko qasar padhen ge, aur agar 15 din se zada rukna ho to puri namaz padhen ge, qasar nahi karen ge.

  10. Muhammad Saqlain

    Hi HASHIM,
    Hope you are doing well and great. I am a software engineer by profession. The distance from my Home (Watan e asli) to office is 126 km and i intend to stay there for 13 days. After office work, we live in a house rented by office.My question is that Should i will offer qasar or full prayer in office time or in rented house ?
    Thanks in advance.

    1. Online Islam

      if you intend to stay in rented home 15 days or more then 15 days you will offer full prayer, otherwise you will offer Qasr.

      1. Muhammad Saqlain

        Got it. There is Jammat for asar prayer at office. Should i join them or offer separately?. Jazak Allah

        1. Online Islam

          no no you should join jamaat do not offer separately

          1. Muhammad Saqlain

            ok . JazakAllah for your time.

      2. Mohammad Abdulla

        As salaam Alaikum
        I’m working at sea or ramzan start ho gya hai mje ye puchna hai ki kya mai surah taravih padhuga? Or agr taravih na padhi jae srf Esha ki hi namaz padh lya jae to kya ispr gunah milega? Qki masjid Jana possible nahi taraveh k lye.

        1. Online Islam

          taraweeh aur namaz ke liye masjid zaruri nahi hai, agar aap ko time mil jata ho to ship par hi namaz aur taraweeh padh len

    2. Imran Ayub Khan

      Assalamualaikum,
      Mera home town Varanasi hai.Pr mai abb Aligarh rehta hun waha padhai k silsile me Ammi k sath rehta hun fir mera addmission Jamia Millia Islamia me hogya Delhi waha mai rehne laga.Qareeb mujhe 5 saal baad Banaras aana pada wo bhi koi irada nahi tha rukne ka zyada din pr abb mai ruk rha hun 15 din se zyada kya mujhe bhi Safar ki namaz padhna hoga.Aur Aligarh bhi mujhe jana wha mai hmesha k liye jaa rha hun.⁸

      1. Online Islam

        agar varansi me aap ki property etc ho, aap ke relative wgairah wahan hon to aap ka asli home varansi mana jaye ga, jab aap varansi aayen ge to namaz full padhen ge, qasar nahi karen ge, han Aligarh ya Delhi me agar 15 days se kam rukna ho to wahan Qasr karen ge full namaz nahi padhen ge.

Leave a Reply