Zuhr Prayer

Zohar Ki Namaz Ki Rakat aur Padhne Ka Tarika

  • Post author:
  • Post category:Namaz
  • Post comments:6 Comments
  • Post last modified:July 13, 2019
  • Reading time:5 mins read

Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.

Zohar Ka Starting Aur Ending Time

Din ki namazon me dosri namaz Zohar ki namaz hai, is ki starting mid-day (zawal)  ke baad hoti hai, aur is ka aakhri time jab suraj dhal jaye aur har cheez saya ya shadow double ho jaye,  thand ya winter season  me zohar ko starting  time me aur garmi ke mausam thora der se padhna Sunnat hai, hadison me isi tarah se aaya hai.

 

عَن أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ قَالَ: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا كَانَ الْحَرُّ أَبْرَدَ بِالصَّلَاةِ، وَإِذَا كَانَ الْبَرْدُ عَجَّلَ. رواه النسائي في سننه. رقم الحديث: 499).

 

Translation: Hazrat Anas (R Z) farmate hain ki: Rasulullah (S A W) ki aadat yah thi ki garmi ke mausam me aap der me namaz padhte the, aur thand ya winter season me jaldi namaz padhte the. (Sunanun Nasayi: Hadees No: 499).

 

Isi tarah garmi ke mausam zohar ke bare me bukhari shareef ki ek riwayat hai ki:

 

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَبْرِدُوا بِالظُّهْرِ، فَإِنَّ شِدَّةَ الحَرِّ مِنْ فَيْحِ جَهَنَّمَ» رواه البخاري في صحيحه، رقم الحديث: 538).

 

Translation:  Hazrat Abu Sayid Khudri (R Z) se riwayat hai farmate hain ki Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya ki: ” zohar ki namaz ko garmi ke  mausam me  thora thanda ho jane ke baad padho , kyon ki garmi ki shiddat Jahannam ke asar se hai”.  (Sahih Bukhari: Hadees No: 538).

 

Explaination: in dono Hadison aur isi tarah ki dosri riwayton se pata chalta hai ki: thand me zohar ko jaldi aur garmi me der se padhni chahiye.

Zohar Ki Rakats Aur Padhne Ka Tarika

Zohar ki namaz me total 12 rakats hain:

Pahle 4 Sunnat e Muakkada.

4 Rakat Sunnat Padhne Ka Tarika

 

Us ke baad 4 rakats farz.

4 Rakat Farz Padhne Ka Tarika

 

Phir 2 rakat Sunnat e Muakkada.

Akhir me 2 rakat nafal.

Zohar Me Padhi jane wali Surten

Agar zada surten yaad hon to Sure Hujraat  se lekar Sure Buruj ke beech ki Surten padhna chahiye, aur agar zada na yaad hon to jo yaad hon padhe, lekin quran ki tarteeb se honi chahiye.

Zohar Se Related Masail

Masla: Aadmi agar safar me ho yani musafir to Zohar ki namaz 2 rakat padhe ga, is ki detail ke liye Musafir Ki Namaz Ka Tarika Read karen.

 

Masla: Zohar me agar koyi namazi tisri rakat me jamat shamil hua to wah imam ke salam pherne ke baad khada ho jaye, aur ek rakat padh kar yani Alahamdu aur koyi soorat padh Qada Ula kare, aur Attahiyaat padh kar khada ho jaye, kyun ki us ki 2 rakat puri ho gayi hai, ek rakat imam ke sath aur ek rakat, ab yah tisri rakat me bhi alhamdu ke baad soorat padh kar Ruku Sajda kar ke chauthi  rakat ke liye khada ho jaye, aur chauthi rakat me alhamdu padh kar Ruku Sajda kare ke Qada Akhirah kare, aur Tashuhud aur Darud Shareef ogairah padh kar salam pher de.

Masla: agar Zohar ki namaz me imam zoor se Qirat kar dia aur peechhe se muqtadiyon luqma dia, us ke baad wah aahista se qirat karne lage to imam ko namaz ke aakhir me Sajda Sahw karna zaruri hai, aur agar imam ne jaan boojh kar aisa kia to namaz phir se padhna zaruri hai.

Masla: Agar kisi ki zohar ki namaz ki starting wali 4 rakats miss ho jaye to wah aadmi Zohar ki farz namaz ke baad 2 rakat sunnat padhe, us ke baad wah zohar se pahle wali 4 rakat padhe jo miss ho gayi thi.

Join our list

Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.

Thank you for subscribing.

Something went wrong.

This Post Has 6 Comments

    1. Online Islam

      Adnan jamil! aap kya poochhna chahte hain samajh me nahi aaya???????

  1. Farooz

    Asalam alaikum, agar zuhar ki namaz Mai pheali sunnath 4 rakateyn miss ho gayi to Faraz Ke Baad kaiseay padheay? phelay 4 rakhteay padheay? yaa doo padkar 4 padheay.

    1. Online Islam

      Agar kisi ki zohar ki namaz ki starting wali 4 rakats miss ho jaye to wah aadmi Zohar ki farz namaz ke baad 2 rakat sunnat padhe, us ke baad wah zohar se pahle wali 4 rakat padhe jo miss ho gayi thi.

  2. Neha

    Plzz ladies k namaz ki saari video upload kr dijiye ki kis tarike se padhi jaayengi
    Mjhe namaz sikhna h..
    Isliye achhe se saari detail m bta dijiye

    1. Online Islam

      u too

Leave a Reply