Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.
5 Waqton ki Namaz ki tarah juma ki namaz bhi zaruri hai, lekin yah weekly hai. aayen sab se pahle Juma ki fazilat ke bare me jante hain:
CronaVirus Ki Wajah Se Masjid Ko Band Karne Ki Halat Me Juma
Aaj kal jis tarah ke halaat hain cronavirus ki wajah se masjidon ko bhi band kar dia gaya hai, masjid me aam permission nahi hai to aisi halat me juma ki namaz ka bhi bada masla hai, ki log juma ki namaz kaise padhen? to agar kisi jagah par gali mohalle me aane jane ki thodi bahut permission ho to kisi ke home par mohalle ko kuchh logon ko jama kar ke juma padha ja sakta hai, lekin yah khayaal rahe ki bahut bheer nahi honi chahiye, jahan aisa karna mumkin ho wahan kuchh log juma padh sakte hain, aur jahan ghron se bilkul na nikalne dia ja raha ho wahan Zohar ki Namaz hi behtar hai, is waqt hamare liye lock down ka khayaal karna zada zaruri hai.
Juma Ki Fazilat
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَكَرَ يَوْمَ الجُمُعَةِ، فَقَالَ: «فِيهِ سَاعَةٌ، لاَ يُوَافِقُهَا عَبْدٌ مُسْلِمٌ، وَهُوَ قَائِمٌ يُصَلِّي، يَسْأَلُ اللَّهَ تَعَالَى شَيْئًا، إِلَّا أَعْطَاهُ إِيَّاهُ». (صحيح البخاري: 935، صحيح مسلم: 852)
Translation: Hazrat Abu Huraira (R Z) se Riwayat hai ki: Rasulullah (S A W) ne Jumah ke bare me bataya ki: “is me ek time aisa hai ki agar koyi Musalman Namaz barabar padhta ho aur wah us time allah se jo bhi mangta hai allah tala us ko wah cheez de dete hain”. (Bukhari Shareef Hadees No: 935, Muslim Shareef Hadees No: 852).
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «خَيْرُ يَوْمٍ طَلَعَتْ عَلَيْهِ الشَّمْسُ يَوْمُ الْجُمُعَةِ، فِيهِ خُلِقَ آدَمُ، وَفِيهِ أُدْخِلَ الْجَنَّةَ، وَفِيهِ أُخْرِجَ مِنْهَا». (صحيح مسلم: 854)
Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne irshad farmaya: “Sab se best day Juma ka hai, Juma ke din Hazrat Aadam (A S) paida huye, aur isi din Jannat me un ko entry mili,aur isi din Jannat exit huye”. (Sahih Muslim: 854)
Juma Kis Par Zaruri Hai Aur Kis Par Nahi?
Ek Musalman Jo Baligh (18+) ho, Samajhdar ho, Apne city ya mohalle me ho us par Juma ki Namaz Farz hai, Aurton aur bachchon par Juma farz nahi, aurten apne gharon juma ke din Zuhr ki Namaz padhen gi, isi tarah agar koyi aadmi 77+ Km ka safar kar chuka ho to us par bhi juma farz nahi hai, isi tarah jo aadmi pagal ho gaya ho us par bhi juma zaruri nahi hai.
Juma Aur Dosri Namazon Me Difference
(1) Juma ki Namaz weekly hai, aur dosri farz namazen daily hain.
(2) Juma ki Namaz akele ya tanha nahi padh sakte hain us ke liye Jamat zaruri hai, dosri namaz jamat se aur akele bhi padh sakte hai,
(3) Small village me Juma nahi padh sakte, dosri namazen padh sakte hain.
(4) Juma ki namaz me “Khutba” zaruri hota hai, dosri namazon me khutba nahi hota.
Juma Na Padhne Ki Saza:
عَنْ عَبْدَ اللهِ بْنَ عُمَرَ، وَأَبَا هُرَيْرَةَ أَنَّهُمَا سَمِعَا رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ عَلَى أَعْوَادِ مِنْبَرِهِ: «لَيَنْتَهِيَنَّ أَقْوَامٌ عَنْ وَدْعِهِمُ الْجُمُعَاتِ، أَوْ لَيَخْتِمَنَّ اللهُ عَلَى قُلُوبِهِمْ، ثُمَّ لَيَكُونُنَّ مِنَ الْغَافِلِينَ». رواه مسلم في صحيحه (865).
Translation: Hazrat Abdullah bin Umar aur Hazrat Abu Hurairah (R Z) ne Rasulullah (S A W) ko farmate huye suna ki: Aap Mimbar (Imam ke Musllae ke bagal me wah jagah jis par khade ho kar Juma ka Khutba deta hai) ki siriyon par ya farma rahe the: “Jo log Juma ki namaz chhor dete hain wah log Khabardar ho jayen warna allah tala un ke dilon par muhar laga denge phir wah log gafileen me se ho jayen ge”. Muslim: Hadees No (865)
Juma Ki Namaz Me Kitni Rakat Hai?
Juma ki namaz me total 12 rakats hain bilkul usi tarah jaise zuhar ki namaz me hai, bas juma me 4 ki jagah 2 Farz hai.
Juma Ki Namaz Padhne Ka Tarika:
Sab se pahle 4 rakat Sunnat e Muakkadah padhe, phir Khutba ki azan aur khutba ke baad Imam ke sath 2 rakat farz padhe, 2 rakat farz ke baad 4 rakat Sunnat e Muakkadha Padhe, us ke baad 2 rakat nafal padhe is tarah se total 12 rakats hoti hain.
Juma Me Imam Kaun si Surten Padhe?
Waise quran ki tarteeb se jo surat chahe imam padh sakta hai lekin Sunnat yah hai ki pahli rakat me “SABBI HISMA RABBIKAL AALA”, aur dosri rakat me “HAL ATAKA HADISUL GHASIYAH” padhe,
Juma Se Related Dosre Masle
1 _ Juma only jamat ke sath ada kia jata hai.
2_ Jab iman khutba dene ke liye mimbar par khada ho jaye to us waqt kisi namaz ki niyat nahi karni chahiye, agar sunnat padh raha ho to jaldi se use pura kar ke khutba sune.
3_ Jab imam Khutba de raha ho to us waqt baat cheet karna haram hai, agar khutba ki aawaz aarahi ho gaur se sune warna khamosh rahe.
4_ Khutba ke waqt agar koyi salam kare to us ke salam ka jawab bhi nahi dena chahiye aur agar koyi aadmi baat kar raha ho to us ko mana bhi nahi karna chahiye, juma ki namaz ke baad us ko bata de ki khutba ke dauran baat cheet nahi karna chahiye.
5_ Agar kisi ki ek rakat juma ki chhot gayi ho to wah dosri rakat puri kar ke salam pher de wah juma ka pane wala mana jaye ge
6_ Agar koyi imam ke salam pherne ke baad pahuncha to ab us ka juma chhot chuka hai, wah dosri masjid me jaye ya Zohar ki Qaza kare, Juma ki qaza nahi hoti
7_ Bachche agar shararat karen to un ko juma ke khutbe se pahle daant ya bol sakte hain, khutbe ke dauran un ko daantna bhi jayez nahi hai.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
KYA MASJID MAI ELAN KAR KR PAISA MANGNA JAYAZ HAI?
Personal zarurat ke liye masdij me elan kar ke paisa mangna ya chanda karna sahi nahi hai.
han aisi dini zarurat jis me aam musalmanon ka fayda ho for example: khud usi masjid ka chanda, ya dosri masjid ki tameer ka chanda, ya dini madaris ka chanda in sab ke liye elan kar ke chanda kar sakte hain.
Apni kisi personal zarurat ke liye masjid ka koyi saman use karna sahi nahi hai.
JUME KI SUNTON KI NIYAT KYA HE??? AYA WO JUME KI NIYAT HO GI YA ZOHOR KI PLEASE REPLY ME AT MY GMAIL.COM
MUBASHARCLL44@GMAIL.COM
Agar juma ki sunnat hai to juma ki niyat karna zaruri hai: for example: 4 rakat ya 2 rakat sunnat waqt juma.